Mareez Ka Peshab Ki Thaili Le Kar Masjid Jaana


Ibnatu Ali

Member
Mareez Ka Peshab Ki Thaili Le Kar Masjid Jaana

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari


Woh mareez jin ke paas peshab ya pakhana (toilet) ke liye mustaqil thaili lagi rehti hai un ka us haalat mein namaz padhna durust hai. Agar mareez chalne ki taaqat rakhta hai to masjid mein bhi thaili ke saath jayega aur agar uthne ki taaqat nahi to us haalat mein bistar par parh lega. Woh najasat us ki namaz aur taharat par asar-andaaz (effective) nahi hogi jo thaili mein gir rahi hai ya pehle se maujood hai. Allah Taala ka farmaan hai:
لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا​
Tarjumah: Allah Taala kisi jaan ko us ki taaqat se ziyadah takleef nahi deta.
(Surah Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 286)

Doosri jagah farmaan hai:
يُرِيدُ اللَّهُ بِكُمُ الْيُسْرَ وَلَا يُرِيدُ بِكُمُ الْعُسْرَ​
Tarjumah: Allah Taala tumhare saath aasani chahta hai aur woh tumhein mushkil aur sakhti mein nahi daalna chahta.
(Surah Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 185)

Aur Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
إِنَّ الدِّينَ يُسْرٌ، وَلَنْ يُشَادَّ الدِّينَ أَحَدٌ إِلاَّ غَلَبَهُ، فَسَدِّدُوا وَقَارِبُوا وَأَبْشِرُوا، وَاسْتَعِينُوا بِالْغَدْوَةِ وَالرَّوْحَةِ وَشَىْءٍ مِنَ الدُّلْجَةِ​
Tarjumah: Be-shak deen aasaan hai aur jo shakhs deen mein sakhti ikhtiyaar karega to deen us par ghalib aa jayega (aur us ki sakhti na chal sakegi) pas (is liye) apne amal mein pukhtagi ikhtiyaar karo. Aur jahan tak mumkin ho miyana-rawi barto (means aitedaal se kaam lo) aur khush ho jao (ke is tarah ke amal se tum ko dono jahanon ke faide haasil honge) aur subah aur dopahar aur shaam aur raat ke kuch hisse mein (ibadat se) madad haasil karo.
(Sahih Bukhari: 39)

Namaz to har haal mein parhna hai aur taqat rakhne walon ko Masjid mein haazir hona hai. Is liye woh mareez jin ke saath peshab ki thaili lagi hue rehti hai unhein masjid mein hazir ho kar namaz parhne mein koi harj nahi hai lekin kuch ehtiyati cheezein apnane ki zaroorat hai.

Kuch ehtiyati cheezein:
(1) Waisay aam taur se thaili nikalne ki gunjaish nahi hoti jaisa ki doctors usay niklana nuqsaandeh batate hain. Phir bhi agar kisi mareez ko thaili nikalne ki gunjaaish ho to namaz ke waqt thaili nikaal le taaki mashaqqat aur pareshaani se aur najasat Masjid mein le jaane se bacha rahe.

(2) Namaz ke waqt agar aasaani se thaili ki safaai mumkin ho to Masjid jaane se pehle us ki safaai kar le aur agar safaai mumkin na ho to waise hi chala jaye.

(3) Thaili ko kisi cheez se dhak le aur is tarah se jaye ke najasat thaili se bahar na nikle.

(4) Thaili se lagi kapde ya badan ki najasat saaf kar le.

(5) Urinary incontinence (سلس البول) ki bemaari wala har namaz ke liye alag wuzu karega aur wuzu, namaz ka waqt ho jaye tab kare. Is soorat mein wuzu ke baad tapakne wale qatre se wuzu to nahi tootega lekin agli namaz ke liye naya wuzu karega jaisa ki Istehaaza (non-menstrual vaginal bleeding) ka masla hai.
واللہ اعلم بالصواب​
 
Top