Amamah (turban) kon kon se rang ka pehenna sunnat hai aur amamah (turban) bandhne ka sunnat tareeqa kya hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Amamah (turban) kon kon se rang ka pehenna sunnat hai aur amamah (turban) bandhne ka sunnat tareeqa kya hai?

✵Sawaal:✵
Assalaamualaikum bhai mera sawaal hai ke amamah (turban) kon kon se rang ka pehenna sunnat aur amamah (turban) bandhne ka sunnat tareeqa kya hai.Daleel ke saath jawaab dein reference number ke saath quran o hadees ki roshni mein jazak allah.

✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu

Mere ilm ke mutabiq Nabi ﷺ ne do colour ke amame pehne hain.
Kaala amamah:
عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم دَخَلَ يَوْمَ فَتْحِ مَكَّةَ وَعَلَيْهِ عِمَامَةٌ سَوْدَاءُ​
“Jabir bin Abdullah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi ﷺ Fatah ke din Makkah mein daakhil huwe to Aap (ke sar e mubarak) par kaale rang ka amamah tha.”
(Sahih Muslim, Hadees No: 1358)

Aur ek doosri riwayat mein hai:
أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم خَطَبَ النَّاسَ وَعَلَيْهِ عِمَامَةٌ سَوْدَاءُ​
“Nabi ﷺ ne logon ko khutba diya is haal mein ki Aap (ke sar e mubarak) par kaale rang ka amamah tha.”
(Sahih Muslim, Hadees No: 1359)

Safaid (white) amamah:
Mustadrak Hakim ki ek lambi Hadees mein hai:
وَأَصْبَحَ عَبْدُ الرَّحْمَنِ قَدِ اعْتَمَّ بِعِمَامَةٍ مَنْ كَرَابِيسَ سَوْدَاءَ، فَأَدْنَاهُ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ثُمَّ نَقَضَهُ وَعَمَّمَهُ بِعِمَامَةٍ بَيْضَاءَ، وَأَرْسَلَ مِنْ خَلْفِهِ أَرْبَعَ أَصَابِعَ أَوْ نَحْوَ ذَلِكَ وَقَالَ: هَكَذَا يَا ابْنَ عَوْفٍ اعْتَمَّ​
“Agle din subah Abdur Rehman bin Auf Radhiallahu Anhu kaale rang (black colour) ka amamah pahen kar tayyar ho gaye, Nabi e Akram ﷺ ne un ko apne qareeb bulaaya, un ka kaala amamah utaar kar un ke sar par safaid amamah baandh diya aur pichhli jaanib chaar ungliyon ke barabar ya us ke qareeb qareeb miqdaar mein shamlah latkaaya. Phir farmaya: Aye Ibn e Auf! Is tarah amamah baandhte hain.”
(Mustadrak Hakim Taba’ Daar ul Kutub Al-Ilmiyyah: 4/582, Hadees No: 8623)

Is Hadees ko Imam Hakim Rahimahullah ne Sahih kaha hai aur Imam Zahbi Rahimahullah ne un ki muwafaqat ki hai. Mazeed Allama Albani Rahimahullah ne bhi is ki Sanad ko Hasan kaha hai.
(Silsila Al-Ahadees As-Saheeha: 1/218)

Is ke alawah main amamah ke colour ke mutalliq koi Sahih Marfoo’ riwayat nahi talaash kar saka. (Wazeh rahe ki ulama ne is baat ki wazahat ki hai ki in colours ke alawah bhi use kar sakte hain)

Aur jahan tak amamah baandhne ke tareeqe ka talluq hai to Amr bin Huraith Radhiallahu Anhu kehte hain:
كَأَنِّي أَنْظُرُ إِلَى رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَلَى الْمِنْبَرِ، وَعَلَيْهِ عِمَامَةٌ سَوْدَاءُ، قَدْ أَرْخَى طَرَفَيْهَا بَيْنَ كَتِفَيْهِ​
“Jaise main (ab bhi) Rasoolullah ﷺ ko mimbar par dekh raha hun, Aap ﷺ (ke sar e mubarak) par kaala amamah hai Aap ﷺ ne us ke dono kinaron ko apne dono kandhon ke darmiyan (kamar ki taraf) latkaaya huwa hai.”
(Sahih Muslim, Hadees No: 1359)

Aur ek doosri Hadees mein hai:
عَنْ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا اعْتَمَّ سَدَلَ عِمَامَتَهُ بَيْنَ كَتِفَيْهِ، قَالَ نَافِعٌ: وَكَانَ ابْنُ عُمَرَ يَسْدِلُ عِمَامَتَهُ بَيْنَ كَتِفَيْهِ، قَالَ عُبَيْدُ اللَّهِ: وَرَأَيْتُ الْقَاسِمَ، وَسَالِمًا يَفْعَلَانِ ذَلِكَ​
“Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma kehte hain ke jab Nabi e Akram ﷺ amamah baandhte to usay apne shaanon ke beech latka lete. Nafe’ Rahimahullah kehte hain: Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma apne amamah ko shaanon ke beech latkaate they. Ubaidullah bin Umar kehte hain: Main ne Qasim aur Salim ko bhi aisa karte huwe dekha.
(Sunan Tirmizi: 1736, Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)

Wallahu A’lam Bis-Sawaab!
 
Top