Namaz E Hanafi Ya Rasoolullah ﷺ Wali Muhammadi Namaz ?


Abdul Adil

Member
Namaz E Hanafi Ya Rasoolullah ﷺ Wali Muhammadi Namaz ?

Tehreer :- Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah

Mazmoon :- Namaz E Hanafi Ya Rasoolullah ﷺ Wali Muhammadi Namaz ?

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya 👇

صلّوا كمارأيتموني أصلّى

"Namaz us tarha padho jis tarha tumne mujhe padhtey huwe dekha."

(Sahih Bukhari: 631)

Maloom huwa ke namaz us tariqa se padhni chahiye jis tariqa par Muhammadur Rasoolullah (ﷺ) ney namaz padhi thi.

Rasoolullahﷺ ne farmaaya 👇

ياأيها الناس! خذوامناسككم

"Aye logon! haj ke tariqe (mujh se) ley lo."

(Sunan Nasaai 5/270 Hadees 3064 Wa Sanaduhu Sahih, Wal Lafzu Lahu, Sahih Muslim: 1297)

Maloom huwa ke namaz bhi muhammadi tariqe par padhni chahiye aur haj bhi muhammadi tariqe par karna chahiye.

Islam hanafi tariqe par nazil nahi huwa balki Qur'an wa Hadees ki surat mein huwa hai. jab imam abu hanifa paida bhi nahi huwe they to us waqt bhi Deen-E-Islam mukammal halat mein maujood tha.

Tehreer :- Hafiz Zubair Alizai Rahimahullah

Romanised :- Syed Ibraheem Salafi

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.61, Safa no.8-9]
 

Similar threads


Top