HIJAMA (SEENGI LAGWANA) EK SHARA'I ELAAJ


Staff Member

Member
Staff member
HIJAMA (SEENGI LAGWANA) EK SHARA'I ELAAJ

Tahreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah.

Hijama Se Muraad Pachna Lagwana Hai Ya'ani Jism Ke Mutasirah Hisse Se Seengi Ke Zariye Kharaab Wa Faasid Khoon Nikalwana. Ye Aisa I'laaj Hai Jis Ki Tibbi Ehmiyat Se Inkaar Mumkin Nahi Balke Daur E Jadeed Me Scienci Lihaaz Se Bhi Isey Mujarrab Wa Mufeed Qarar Diya Gaya Hai. Humne In Sutoor Mein Saheeh Ahadees Wa Aasaar Se Hijama (Seengi) Ki Shara'i Haisiyat Waazeh Karne Ki Koshish Ki Hai:

1. Seengi Mein Shifa Hai:

Syedna Jabir Bin Abdullah Razi Allahu Anhu, Muqann'a Bin Sanaan (Tabaee) Ki Taimardaari Ke Liye Tashreef Laaye Phir Unse Farmaaya: Jab Tak Tum Seengi (pachna) Na Lagwaalo Mai Yahan Se Nahi Jaunga Kyunke Mai Ne Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ko Farmaate Hue Suna Hai: "إن فیہ شفاء" Bila Shuba Iss Mein Shifa Hai. [Saheeh Bukhari:5697]

Nabi E Kareem Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaya: "Shifa Teen Cheezon Mein Hai,
1.Seengi Lagwaane Me,
2.Shehad Peene Mein,
3.Aur Aag Se Daaghne Mein, Lekin Mai Apni Ummat Ko Daaghne Se Mana Karta Hoon."
[Saheeh Bukhari:5681]

Syedna Jabir RaziAllahuAnhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaya:
"Agar Tumhari Dawaon Mein Shifa Hai Toh Seengi Lagwaane Mein Aur Aag Se Daaghne Mein Hai Aur Mai Daaghne Ko Pasand Nahi Karta.
[Saheeh Bukhari:5704]

2. Seengi Behtareen Dawa (I'laaj) Hai:

Nabi E Kareem Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaya: "Jin Cheezon Se Tum I'laaj Karte Ho Inn Mein Se Koi Behtareen Dawa Hai Toh Wo Seengi (pachna) Lagwaana Hai.
[Sunan Abu Dawud:3857, Sunan Ibn Majah:3476, iski sanad hasan hai.]

3. Seengi Lagwaane Ke Liye Qamri Tareeq Ka Inteqaab:

Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaaya: "Jo Shaqs (Qamri Mahine Ki) 17,19,21 Tareeq Ko Seengi Lagwaaye, usey Har Beemari Se Shifa Hogi."
[Sunan Abu Dawud:3861,iski sanad Hasan hai.]

4. Aurtein Bhi Seengi Lagwaa Sakti Hain:

Ummul Momineen Syedah Umme Salamah RaziAllahuAnha Ne, Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Se Seengi Lagwaane Ki Ijaazat Chaahi Toh Nabi Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Abu Taybah Ko Hukm Diya Ke Inhein Seengi Lagadein.
Raawi Ke Nazdeek Abu Taybah Syedah Umme Salamah RaziAllahuAnha Ke Raza'i Bhai Ya Nabaligh Ladke The.
[Saheeh Muslim:2206,Nuskha darussalam:5744]

Rajeh Yehi Hai Ke Woh Uss Waqt Ghulamon Mein Seengi Lagaane Ke Maahir Nabaligh Ladke The.

5. Haalate Ahram Mein Seengi Lagwana:

Ibn Buhainah Razi' Allahu anhu riwayath karte hai ke "Rasoolullah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Lahi Jamal Ke muqam par halate Ahram mein Sir Ke darmiyan Seengi lagwayi thi."
[Saheeh Bukhari:1836,Saheeh Muslim:1203]

Syedna Abdullah bin Abbas RaziAllahuAnhu Ne Farmaaya:
"Nabi Sallallahu Alaihi wasallam Ne Halate Ahram mein seengu lagwayi."
[Saheeh Bukhari:5695]

6. Roze Ki Halath Mein Seengi Lagwana:

Syedna Abdullah Bin Abbas Razi' Allahu anhu Se riwayath hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Roze Ki Halath Mein Seengi Lagwayi.
[Saheeh Bukhari:5694]

7. Seengi Lagwane ke Ba'd Ghusl Karna:

Syadah Ayesha Razi'Allahu anha se Riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihiwasallam 4 kaamon ki wajah se Ghusl Kiya karte the: Janabath Se, Jum'ah ke din, Seengi lagwane se aur Mayyith ko ghusl Dene Ke baad.
[Sunan Abu Dawud:348, Iski Sanad Hasan hai]

8. Seengi Lagaane Waale Ko Ujrat (Paise) Dena ?

Abu Taybah Ne Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ko Seengi Lagaayi Toh Aap Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Hukm Diya Ke Inhein (Mazdoori Mein) Ek Saa' Khajoor Dii Jaaye Aur Aap Ne Unke Maalikon Ko Hukm Diya Ke Inn Pr Muqarrarah Kharaaj Mein Kami Karein.
[Saheeh Bukhari: 2102, Saheeh Muslim: 1577]
Yahaan Kharaaj Se Muraad Woh Raqm Hai Jo Ghulaam Apne Maalik Ya Maalikon Ko Azaadi Haasil Karne Ke Liye Deta Hai.

Syedna Abdullah Bin Abbas RaziAllahuAnhu Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Seengi Lagwayi Aur Hajjaam Ko Usski Ujrat Dii, Agar Ye Ujrat Haram Hoti Toh Use Na Dete.
[Saheeh Bukhari: 2103]

Sabit Hua Ke Jin Riwayaat Mein Iss Ujrat Ko Khabees Waghaira Kaha Gaya Hai Wo Karahat par Mahmool Hai Ya Mansookh Hain. . .Wallahu'Alam

9. Seengi Lagwaane Ke Baare Mein Chand Z'aeef Wa Ghair Saabit Riwayaat:

1. Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaya: Jis Raat Mujhe Me'raj Hui, Mein Farishton Ki Jiss Jama'at Ke Paas Se Guzra Woh Sab Mujhe Yehi Kehte Rahe: Aye Muhammad (Sallallahu'Alaihiwasallam)!! Seengi Lagwaya Karein.
[Sunan Tirmizi: 2052, Abdul Rahman bin ishaq Al koofi al wasti Za'eef hai,Sunan Ibn Majah: 3477,Al mustadrak Lil Hakim 4/209, Abbad bin mansoor Za'eef hai aur ye riwayath apne tamam turuq wo Shawahid Ke Saath Za'eef hi hai.]

2. Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaaya: Seengi Lagaane Waala Acha Banda Hai,Khoon Le Jaata Hai, Kamar Halki Karta Hai Aur Binaayi Tez Karta Hai.
[Sunan Tirmizi: 2053, Sunan Ibn Majah: 3478,Al mustadrak 4/212,Abbad Bin Mansoor Za'eef Rawi hai.]

3. Syedna Ali RaziAllahuAnhu Se Marwi Hai Ke Jibreel Alaihissalaam Ne Nazil Hokar Nabi E Kareem Sallallahu'Alaihiwasallam Ko Gardan Ki Ragon Pr Aur Dono Kandhon Ke Darmiyan Seengi Lagwaane Ki Hidayat Ki.
[Sunan Ibn Majah:3482,Asbagh bin Nubata Matrook Rawi Hai.]

4. Syedna Anas RaziAllahuAnhu Bayaan Karte Hain Ke Nabi Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Ne Gardan Ki Ragon Pr Aur Kandhon Ke Darmiyan Seengi Lagwaayi.
[Sunan Abi Dawud:3860, Sunan Tirmizi:2051, Ibn Majah:3483 Ye Riwayat Qatadah Ki An Ki Wajeh Se Za'eef Hai.]

5. Rasoolullah Sallallahu'Alaihiwasallam Ne Farmaya: Nahaar Munh Seengi Lagwana Zyadah Mufeed Hai Isse Aqal Mein Izafa Aur Hafizah Tez Hota Hai Aur Achi Yaadasht Waale Ki Yaadasht Bhi Zyadah Hojati Hai. Jisne Seengi Lagwani Ho Woh Allah Ka Naam Le Kar Jumerat Ko Lagwaaye, Jum'ah, Hafta Aur Itwaar Ko Seengi Lagwaane Se Ijtenab Karo. Somwaar Aur Mangal Ko Seengi Lagwaliya karo, budh waale din bhi seengi lagwane Se Bacho Kyunke Ayyub Alaihissalaam Ko Isi Din Aazmaish Aayi Thi. Juzam Aur Bars Sirf Budh Ke Din Ya Budh Ki Raat Mein Zaahir Hota Hai.
[Sunan Ibn Majah:3488, Abdullah Bin Ismah Aur Sa'eed Bin Maimoon Donon Majhool Hain.]

Tanmbeeh: Jin Dinon Mein Seengi Lagwane Ki Mumaani'at Waarid Hui Hai Woh Sab Za'eef Riwayaat Hain, Kisi Bhi Din Seengi Lagwaayi Jaa Sakti Hai, Albatta qamri Mahine Ke Teen Dinon Mein Seengi Lagwana Behtar Wa Afzal Hai, Jaisa Ke Bahawala Hadees Guzr Chuka Hai.

Qaraeen Kraam! Hum Ne Intehaayi Ikhtesaar Ke Saath Seengi Ki Shara'i Haisiyat Aur Iss Ke Ehkaam Safha Qirtaas Pr Muntaqil Kardiye Hain ,Ummeed Hai Ke Iss Matrook Amal Ko Jaari Wa Aam Karne Ki Koshish Ki Jaayegi. Ye Baat Hamesha Zehan Nasheen Rahe Ke Aise Maahir Mu'aallij Ka Inteqhab Karein Ko Baqhoobi Jaanta Ho Ke Jism Ke Kis Hisse Pr Kis Maqsad Ya Marz Ke Liye Seengi Lagaani Hai.
[Mahnama Alhadees,Shumara:84 Safa:40-41]
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Masail 0

Similar threads


Top