QAYAMAT ke din hone wale 5 bade sawalat?


QAYAMAT ke din hone wale 5 bade sawalat?

BismillahirRahmanNirRaheem
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: qayamat ke din kisi bande ke dono paon nahi hatenge yahan tak ke usse yeh nah pooch liya jaye: Uski Umar ke baray mein ke usay kin kamo mein khatam kiya, Aur uske ilm ke baray mein ke us par kya amal kiya, Aur uske maal ke baray mein ke usay kahan se kamaya aur kahan kharch kiya, Aur uske jism ke baray mein ke usay kahan khapaya.

[Jamiat Tirmidhi: jild 4, kitab sifat Al-Qiyamah wa Al-Riqaq wa Al-wara 37, hadith no. 2417]

WAZAHAT: is hadees ke mutabiq jin cheezon se mutaliq daryaft hoga un mein sab se pehle is zindagi ke baray mein sawal hoga jis ka ek ek lamha bohat qeemti hai, isliye usay sirat samajte hue Allah ki ita'at wa farmabardari mein guzaarna chahiye, kyun ke iska hisaab dena hai, jawani mein insaan apne aap ko haraam najayez kamo se bachaaye, isme kotahi karne ki soorat mein Allah ki giraft se bachna mushkil hoga, isi tarah maal ke silsila mein usay kamate aur kharch karte waqt dono sooraton mein Allah ka dar taqwa ikhteyar kare khareed farokh mein halal jayez rasta ikhteyar kare, ilm ke mutabiq amal ki baabat sawal hoga, is se maloom huwa ke deen wa shariyat ka ilm haasil kare, kyun ke yahi uske liye mufeed aur nafa bakhash hai.
 
Top