Ramadhan ke baad hamari amali zindagi


Umar Asari

Administrator
Staff member
Ramadhan ke baad hamari amali zindagi

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Ek muqaddas, pur bahaar nekiyon se labrez (bhara huwa) maheena jaise laga pal bhar mein hum se rukhsat ho gaya. Is azeem ul ajr maheene se ijtehaad karne waala koshish, mehnat aur taufeeq ke hisaab se nekiyon se apna daman bharta raha. Ab woh din nahi rahe ke nekiyan laut saken, woh lamhe rukhsat ho gaye jo Rabb ko behad azeez the. Magar yaad rakhen Allah Taala ka karam aam hai woh kabhi sakhawat aur karam ka darwaaza band nahi karta. Maangne waale hamesha paate rahenge, iltijaa karne waale hameesha khush hote rahenge. Yahan hamein sochna yeh hai ke jab waqa’ee Rabb Kareem hai, us ka karam aam hai, is par hamara imaan hai to phir us ke faiz e aam se kaise hamesha lutf andooz huwa jaaye?
Hamein yaad hai ke isteqbaal e Ramadhan ke liye hum ne ek behtareen laaeha e amal murattab kiya tha. Wohi laaeha e amal Ramadhan ke baad bhi murattab karne ki zaroorat hai taaki zindagi ke awqaat bilkul Islam ke mutabiq guzarte rahen. Darasal zindagi mein wohi log nakaam hote hain jin ka koi laaeha e amal nahi hota. Islam hamein subah se shaam tak aur raat se din tak 24 ghante ka ek dustoor deta hai jis ke mutabiq banda subah saadiq mein hi bedaar ho kar Rabb ki bandagi aur zikr kar ke tawakkul aur aitemaad ke saath rozi kamaane ke liye Allah ki zameen mein phel jaata hai phir muqaddar ki rozi le kar wapas ho jaata hai. Sone se pehle bhi Rabb ki bandagi baja laata hai aur uth kar bhi pehle Rabb ki bandagi karta hai phir zindagi ke liye soochta hai. Yeh shab o roz ki islami tarz e zindagi insaan ko Rabb ki razamandi ke saath duniya ki khair o bhalaayi se bhi poori tarah lutf andooz hone ka mauqa deta hai.
Ramadhan hamaare liye in’aam e ilaahi ban kar aaya tha, woh ab dobarah naseeb ho paayega ya nahi yeh Rabb ki taufeeq par munhasir hai lekin Rabb ke farmaan mein likha hai, us ki ne’mat milne par shukrguzaari se woh ne’mat dobarah mil sakti hai:
وَإِذْ تَأَذَّنَ رَبُّكُمْ لَئِنْ شَكَرْتُمْ لَأَزِيدَنَّكُمْ ۖ وَلَئِنْ كَفَرْتُمْ إِنَّ عَذَابِي لَشَدِيدٌ​
Tarjumah: Aur jab tumhaare parwardigar ne tumhein aagah kar diya ke agar tum shukrguzaari karoge to be-shak main tumhein ziyadah dunga aur agar tum na shukri karoge to yaqeenan mera azab bahut sakht hai.
(Surah Ibrahim, Surah No: 14 Ayat No: 7)

Yeh haqq bhi hai ke ne’mat par shukrguzaari karen warna naqadri se kufran e ne’mat ka shikaar ho jaayenge aur Allah ki pakad ke sath zawaal e ne’mat ke sazawar thehrenge. Allah Taala ka farmaan hai:
فَاذْكُرُونِي أَذْكُرْكُمْ وَاشْكُرُوا لِي وَلَا تَكْفُرُونِ​
Tarjumah: Is liye tum mera zikr karo main bhi tumhein yaad karunga meri shukrguzaari karo aur na shukri se bacho.
(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 152)

Neez farmaan e ilaahi hai:
مَا يَفْعَلُ اللَّهُ بِعَذَابِكُمْ إِنْ شَكَرْتُمْ وَآمَنْتُمْ ۚ وَكَانَ اللَّهُ شَاكِرًا عَلِيمًا​
Tarjumah: Allah Taala tumhein saza de kar kya karega? Agar tum shukrguzaari karte raho aur ba-imaan raho Allah Taala bahut qadr karne waala aur poora ilm rakhne waala hai.
(Surah An-Nisa, Surah No: 4 Ayat No: 147)

Shukrguzaari yeh hai ke hum Rabb ki Hamd o Sana bayan karen, us ki ne’mat ki qadardaani aur azmat ka ehsas hamesha dil mein basaaye rakhen aur jo jo ne’matein milen sab ke badle Rabb ka gun gaate phiren. Shukrguzaari ka sab se ahem darja hamesha Allah ka zikr karte rehna hai jis ka zikr Allah Taala ne is Aayat mein kiya hai:
الَّذِينَ آمَنُوا وَتَطْمَئِنُّ قُلُوبُهُمْ بِذِكْرِ اللَّهِ ۗ أَلَا بِذِكْرِ اللَّهِ تَطْمَئِنُّ الْقُلُوبُ​
Tarjumah: Jo log imaan laaye un ke dil Allah ke zikr se itminaan haasil karte hain, yaad rakho Allah ke zikr se dilon ko tasalli haasil hoti hai.
(Surah Ar-Ra’d, Surah No: 13 Ayat No: 28)

Allah ke zikr se muraad us ki tauheed ka bayan hai jis se mushrikon ke dilon mein inqibaz paida ho jaata hai, ya us ki ibadat, tilawat e Quran, nawafil aur dua o munajaat hai jo ahl e imaan ke dilon ki khuraak hai ya us ke ahkaam o farameen ki ita’at aur baja aawri hai jis ke baghair ahl e imaan aur ahl e taqwa be qarar rehte hain.
(Tafseer Ahsan ul Bayan)

Aur Allah ka zikr hi sab se bada hai:
اتْلُ مَا أُوحِيَ إِلَيْكَ مِنَ الْكِتَابِ وَأَقِمِ الصَّلَاةَ ۖ إِنَّ الصَّلَاةَ تَنْهَىٰ عَنِ الْفَحْشَاءِ وَالْمُنْكَرِ ۗ وَلَذِكْرُ اللَّهِ أَكْبَرُ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا تَصْنَعُونَ​
Tarjumah: Jo kitaab Aap ki taraf wahi ki gayi hai use padhiye aur Namaz qaaim karen, yaqeenan namaz be
hayaai aur buraayi se rokti hai, beshak Allah ka zikr bahut badi cheez hai, tum jo kuch kar rahe ho us se Allah khabardaar hai.
(Surah Al-Ankaboot, Surah No: 29 Ayat No: 45)

Ramadhan ul Mubarak ka laaeha e amal hamein achchi tarah maloom hi hai use bus dawaam (hameshgi) bakhshna hai. Wahi namaz, isi tarah nafli Roze (Shawwal ke Roze, Ashra e Zil-Hijjah ke Roze, Arafah ke Roze, Muharram ke Roze, Ayyaam e Beez, Monday aur Thursday ke Roze), Qiyaam ul Lail, Dua aur Munajaat, Tasbeeh o Tahleel, Sadqa aur Khairaat, Tilawat e Quran aur us mein tadabbur, duroos aur bayanaat ko sunna, ahkaam o masail ki jankaari aur ita’at o bhalaayi par mehnat aur mashaqqat musalsal hote rehna chaahiye. In cheezon par jam jaane aur tasalsul ke saath qaaim rehne ka naam istiqamat hai.
Apne laaeha e amal mein istiqamat le aayenge to Ramadhan ke fuyuz o barkaat saal bhar milte rahenge. Istiqamat hi imaan waalon se matloob hai. Allah Taala ka farmaan hai:
فَاسْتَقِمْ كَمَا أُمِرْتَ​
Tarjumah: Pus Aap jame rahiye jaisa ke Aap ko hukm diya gaya hai.
(Surah Hood, Surah No: 11 Ayat No: 112)

Doosri jagah irshaad e ilaahi hai:
فَاسْتَقِيمُوا إِلَيْهِ وَاسْتَغْفِرُوهُ​
Tarjumah: Tum seedhe usi ka rukh ikhtiyar karo aur usi se istighfaar karo.
(Surah Fussilat, Surah No: 41 Ayat No: 6)

Is waqt zamana nihayat pur-fitan hai, imaan walon ko apna imaan bachaana aur sunnat ke mutabiq zindagi
guzarna bahut mushkil ho gya hai. Subah mein momin shaam mein kafir aisa manzar barpa ho gaya hai.
Abu Hurairah Radhiallahu Anhu riwayat karte hain ke Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
بَادِرُوا بِالْأَعْمَالِ فِتَنًا كَقِطَعِ اللَّيْلِ الْمُظْلِمِ، يُصْبِحُ الرَّجُلُ مُؤْمِنًا، وَيُمْسِي كَافِرًا-أَوْ: يُمْسِي مُؤْمِنًا، وَيُصْبِحُ كَافِرًا-يَبِيعُ دِينَهُ بِعَرَضٍ مِنَ الدُّنْيَا​
Tarjumah: Un fitnon se pehle pehle jo tareek raat ke hisson ki tarah (chaa jaane waale) honge, (nek) aamaal karne mein jaldi karo. (Un fitnon mein) subah ko aadmi momin hoga aur shaam ko kafir ya shaam ko momin hoga to subah ko kafir, apna deen (imaan) dunyawi samaan ke badle bechta hoga.
(Sahih Muslim: 118)

Aise halaat mein deen par istiqamat hi hamaare imaan ko sharr o fasaad aur zamaane ke fitnon se mehfooz kar sakta hai. Mujhe Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka ek farmaan yaad aa raha hai:
عَنْ سُفْيَانَ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ الثَّقَفِيِّ قَالَ : قُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ، قُلْ لِي فِي الْإِسْلَامِ قَوْلًا لَا أَسْأَلُ عَنْهُ أَحَدًا بَعْدَكَ. وَفِي حَدِيثِ أَبِي أُسَامَةَ : غَيْرَكَ. قَالَ : قُلْ آمَنْتُ بِاللَّهِ فَاسْتَقِمْ​
Tarjumah: Sufyan bin Abdullah Radhiallahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Mujhe Islam ki ek aisi baat batlaayen ke phir Aap ke baad kisi se us ke mutalliq sawal na karun. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Kaho mera Rabb Allah hai aur usi par qaim raho.
(Sahih Muslim: 38)

Agar waqa’ee hum istiqamat ki raah ikhtiyar karenge to Allah Taala us ke badle hamein jannat naseeb karega:
إِنَّ الَّذِينَ قَالُوا رَبُّنَا اللَّهُ ثُمَّ اسْتَقَامُوا تَتَنَزَّلُ عَلَيْهِمُ الْمَلَائِكَةُ أَلَّا تَخَافُوا وَلَا تَحْزَنُوا وَأَبْشِرُوا بِالْجَنَّةِ الَّتِي كُنْتُمْ تُوعَدُونَ​
Tarjumah: (Waqa’ee) jin logon ne kaha ke hamara parwardigaar Allah hai phir usi par qaaim rahe un ke paas farishte (yeh kehte huwe aate hain ke tum kuch bhi andesha aur gham na karo (balki) us jannat ki basharat sun lo jis ka tum wa’da diye gaye ho.
(Surah Fussilat, Surah No: 41 Ayat No: 30)

Istiqamat se hamein khud-bakhud buraayi se chutkara milega. Shaitan hum se door bhaagega, kabhi us ke behkawe ka shikaar nahi honge, awsaaf e razeela (gheebat, dhoka, ayyari, badqumaashi, be-imaani waghera) se nijaat milegi, zulm o baghawat se dil mein nafrat paida hogi.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Islaah e Mu’aashra 0
Staff Member Islaah e Mu’aashra 1

Similar threads


Top