Hum Ramazan Kaise Guzaren?


Abul Husayn

Moderator
Staff member
Hum Ramazan Kaise Guzaren?

Tahreer:
Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
______________________

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على رسول الأمين

اما بعد

Mah e Ramazan Rahmaton, Barkaton, Sa'aadaton aur Maghfiraton ka mahina hai jo hum se yeh taqaza kar raha hai ke dekhna kahin hameshah ki tarha is baar bhi meri tamaam tar Fazilaten sameentney se mehroom na reh jaana ......shayad yeh zindagi ka aakhri ramazan ho..... dubara aisa Ba-Barkat mahina naseebey mein na ho...... kya tum dekhtey nahi kitne ki aise hain jo tumhaare sath Sehri aur Iftaari mein shareek honey waaley aur Qiyaam e Ramazan mein sath khadey honey waaley thhey lekin .....aaj nazar nahi aarahe hai! kiyun?... is liye ke in ka muqarrarah waqt poora ho chuka hai.
وَلَن يُؤَخِّرَ اللَّهُ نَفْسًا إِذَا جَاءَ أَجَلُهَا​
(Aur jab kisi ki maut aajati hai tou Allah usko hargiz muhlat nahi deyta.) ki sadaa aachuki hai balke ab tou tum bhi .....isi qataar mein khadey nazar aatey hon, anqareeb .....tumhaari baari bhi aaney waali hai, phir kiyun na is zindagi ke baqiyah lamhaat o sa'aat se faidah utthatey huwe apne ko badal den.

Ma'siyat aur nafarmaani ki daldal se nikal kar zuhad o taqwa ke talaab mein ghaoutah-zan hon, lekin kaise? hum apni zindagiyon mein kis tarha inqelaab laayen? ....han! .....Rab e Kareem ne hummen ek behtareen mauqa' aata kiya hai aur wo "Mah e Ramazan" hai, hum kis tarha is mahine ke shab o roz guzaaren, taake hummara Rab e Raheem hum se Razi ho jaaye aur hummare 'amaal us ke han maqbool qaraar paayen?

TOU ZAROORI HAI KE DARJ ZAIL BAATON KO MALHOOZ RAKHA JAAYE:

TAWBAH:

Sab se pehle apni sabiqah zindagi par ek nazar daalen ke jis qadr bhi gunaah huwe hain, Allah aur uske Rasool ki nafarmaani ki hai, khawah qaulan hai ya 'amalan tou in sab se apne Allah ke huzoor Sachchi Tawbah karen, tawbah ka mafhoom hi yeh hai ke gunaah ke kamo se lautna, gunaah ka aiteraaf aur aaindah na karney ka 'azm karna,

Irshaad e Bari Ta'ala hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا تُوبُوا إِلَى اللَّهِ تَوْبَةً نَّصُوحًا عَسَىٰ رَبُّكُمْ أَن يُكَفِّرَ عَنكُمْ سَيِّئَاتِكُمْ وَيُدْخِلَكُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِن تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ​
"Aye Emaan Waalon! Allah ke huzoor khalis tawbah karo kuch ba'eed nahi ke tumhaara Parwardigar tum se tumhaari buraaiyan door kar dey aur tumhen aisi jannato mein dakhil karega jin ke neechey nehren beh rahi hain."
[Surah at-Tehreem: 8]

Ho sakey tou Khauf e Ilaahi se chand qatrey ansoo'on ke bhi shamil kar len, kiyun ke, Nabi ﷺ ne farmaya:
لا يلج النار رجل بكى من خشية الله​
"Wo shaksh jahannum mein nahi jaayega jo Allah ke dar se roya."
(Sunan at-Tirmizi: 1633, Sahih)

Neez Aap ﷺ ne farmaya:
"Saat qism ke logon ko qayamat ke din Allah ﷻ apna saaya aata karega, in mein se ek wo shaksh hai jise tanhayi mein Allah ki yaad aaye aur us ke aanso jaari ho jaayen."
(Sahih Bukhari: Hadees 660, Sahih Muslim: Haddes 1031)

HUSOOL E TAQWA:

Gunaahon ko chhorne aur neki ke kaam karney par tabi'at ka mayil hona aur apne gunaahon ke anjaam se dar kar in se bachney ki koshish karna taqwa hai aur Mah e Ramazan ka bada aur ahem maqsad taqwa ka husool hai,

Irshaad e Bari Ta'ala hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ​
"Aye Emaan Waalon! tum par Ramazan ke rozey farz kar diye gaye hain jaisa ke tum se pehle logon par bhi farz kiye gaye thhey (aur iska maqsad yeh hai) ke tum mein Taqwa paida ho."
[Surah al-Baqra: 183]

Taqwa ikhtiyaar karney ke duniyawi aur ukhrawi bahut ziyadah fawaid hain jis ka tazkirah Qur'an o Sunnat mein jaa baja milta hai, Allah ﷻ farmata hai:
وَمَن يَتَّقِ اللَّهَ يَجْعَل لَّهُ مَخْرَجًا
وَيَرْزُقْهُ مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُ​
"Jo Allah se darta hai, Allah us ke liye (mushkilaat se) nikalney ka raastah aasaan kar deyta hai aur us ko aisi jagah se rizq deyta hai jahan se us ko waham o gumaan bhi nahi hota."
[Surah at-Talaaq: 2,3]

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
اتقوا الله ربكم وصلوا خمسكم وصوموا شهركم وادوا زكاة اموالكم واطيعوا ذا امركم تدخلوا جنة ربكم​
"Allah se daro, apni panchon Namazen aada karo, apne (Ramazan ke) mahine ke Rozey rakho, apne maalo ki Zakaat aada karo, apne Hakimo ki itaa'at karo! tou tum apne Rab ki jannat mein dakhil ho jaaoge."
(Sunan at-Tirmizi: 616, Hasan)

ROZEY KI HIFAZAT:
Rozey ki hifazat karna bahut zaroori hai, kiyunke agar hum ne is silsiley mein susti aur kotahi ka saboot diya aur sahih tareeqey se Rozey ki hifazat na kar sakey tou hum is ki Fazilaton aur Barkaton se mehroom reh saktey hain, is liye lazim hai ke (Rozey ke ajr o sawaab ko khatam karney waaley 'amaal maslan) jhoot, bohtaan chogli, gheebat aur ladai jhagdey se bacha jaaye, khususan zabaan ki hifazat ki jaaye aur Taqwa ikhtiyaar kiya jaye, Nabi ﷺ ne farmaya:
رب صائم ليس له من صيامه إلا الجوع، ورب قائم ليس له من قيامه إلا السهر​
"Kitney hi Rozey daar aise hain jinhen piyaas ke ilawah kuch haasil nahi hota aur kitney hi Qiyaam (al-Lail) karney waaley aise hain jinhen be-daari ke siwa kuch nahi milta."
(Sunan Ibne Majah: 1690, Sunan ad-Daarmi: 2722, Isnadahu Hasan)

Yane jo shaksh bhi mazkorah khurafaat se nahi bachta us ka Rozah usey faidah nahi deyta, neez Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya:
من لم يدع قول الزور والعمل به، فليس لله حاجة في ان يدع طعامه وشرابه​
"Jo shaksh jhoot bolna aur us par 'amal karna nahi chhorta tou Allah ko us ke bhookey piyaase rehney ki koi zaroorat nahi hai."
(Sahih Bukhari: Hadees 1903)

QIYAAM UL LAIL:
Allah ﷻ ke sath ta'alluq ko marboot karney ka ahem zari'ah Qiyaam ul Lail hai aur Ramazan mein Qiyaam ul Lail fazilat ke lehaz se aur bhi badh jaata hai, Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
من قام رمضان إيمانا واحتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه​
"Jo shaksh Emaan ki halat mein aur sawaab ki niyat se Qiyaam e Ramazan karta hai tou us ke guzistah gunaah mu'aaf kar diye jaatey hain."
(Sahih Bukhari: Hadees 37)

Yahan ek baat ka khayaal rahey ke b'az hazraat yeh samhjtey hain ke "Qiyaam e Ramazan Akeley Ghar Mein Karna Ziyadah Behtar Hai, Lehaza Hum Ghar Mein Qiyaam Karenge." lekin wo bechara saari raat bistar par sooye hi guzaar detey hain.

Aur b'az hazraat Qiyaam e Ramazan ba-jamaat ko sunnat samahjney se hi inkaari hain!

Aise hazraat ki Islah ke liye is lambi Hadeees ka ek hissa paish e khidmat hai jo Aap ﷺ ne Qiyaam e Ramazan ke bareme farmaya tha:
إن الرجل إذا صلى مع الإمام حتى ينصرف حسب له قيام ليلة​
"Yaqeenan jab aadmi imam ke sath namaz padh kar farigh ho jaata hai tou baqiyah raat (bhi sawaab ke lehaaz se) qiyaam hi mein shumaar ki jaati hai."
(Sunan Abi Dawood: 1375, Sunan at-Tirmizi: 806, Sunan Nasayi: 1365, Sunan Ibne Majah: 1337, Wa Sanadahu Sahih)

Umeed hai ke is qadr Qiyaam e Ramazan ba-jamaat ki Fazilat jaan kar heelo aur bahano se ihteraaz kiya jaayega.

TILAWAT E QUR'AN E MAJEED KI KASRAT:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
اقرءوا القرآن، فإنه ياتي يوم القيامة شفيعا لاصحابه​
"Qur'an (kasrat se) padha karo, is liye ke Qayamat waaley din yeh apne (padhney waaley) sathiyon ke liye shifarish ban kar aayega."
(Sahih Muslim: Hadees 804)

Yeh haqeeqat hai ke ajr o sawaab ke lehaaz se Mah e Ramazan mein kiya huwa 'amal ziyadah Afzal hai, lekin dekhney mein aaya hai ke log Ramazan mein tou khoob Qur'an padhtey aur suntey hain aur digar mahino mein Qur'an e Majeed chhoney ki tawfeeq nahi hoti.

ZIKR E ILAAHI SE ZABAAN TAR RAKHNA:
Laghwiyaat aur fuzooliyat ko tark kar ke hamesha apni zabaan ko Allah ﷻ ke zikr se tar rakhna chahiye, Sayyidah Aisah Razi Allahu Anha bayaan karti hain ke:
كان النبي صلى الله عليه وسلم، يذكر الله على كل احيانه​
"Rasoolullah ﷺ apne tamaam awqaat mein Allah ka zikr farmaya kartey thhey."
(Sahih Muslim: Hadees 373)

Doosrey maqaam par Aap ﷺ ne farmaya:
لا يزال لسانك رطبا من ذكر الله عز وجل​
"Teri zabaan hamesha Allah ke zikr se tar rehni chahiye."
(Sunan Ibne Majah: Hadees 3793 Wa Sanadahu Hasan)

Subh aur shaam ke azkaar ki bhi pabandi karni chahiye jaisa ke digar dalaayil se sabit hai.

ITEKAAF:
Ramazan ke aakhiri 'ashrey mein Itekaaf karna Sunnat e Nabawi hai aur yeh Tazkiyah e Nafs ka behtareen zari'ah hai, Sayyiduna Abdullah Bin Umar Razi Allahu Anhu bayaan kartey hain ke:
كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يعتكف العشر الاواخر من رمضان​
"Rasoolullah ﷺ aakhiri ashrey mein Itekaaf farmaya kartey thhey."
(Sahih Bukhari: Hadees 2025, Sahih Muslim: Hadees 11171)

AAKHIRI ASHRAH:

Is ashrey mein apni tamaam tar tawanaayi is pe kharch kar deyni chahiye ke hum se hummare Allah razi ho jaaye aur hummari kamiyon, kotahiyo aur khataao se darguzar farma dey aur nekiyon ke husool mein izafah aur jazbah e sabqat ho,

(Ramazan mein) Rasoolullah ﷺ bhalayi mein teez hawa se bhi ziyadah saqawat kartey thhey. (Sahih Bukhari: Hadees 6, Sahih Muslim: Hadees 2308)

Sayyidah Aisah Razi Allahu Anha bayaan karti hain ke:
Jab (aakhri) ashrah shuru ho jaata tou Rasoolullah ﷺ shab bedaari farmatey aur apne ghar waalon ko bhi bedaar kartey aur (ibadat ke liye) kamar kas leyte."
(Sahih Bukhari: Hadees 2224, Sahih Muslim: Hadees 1774)

LAILATUL QADR:
Isi ashrey mein Lailatul Qadr hai jis ke bareme Allah ﷻ farmata hai:
إِنَّا أَنزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ
وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ
لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِّنْ أَلْفِ شَهْرٍ​
"Hum ne is (Qur'an) ko Shab e Qadr mein nazil kiya aur aap ko kya maloom ke Shab e Qadr kya hai? Shab e Qadr hazaar mahino sw behtar hai."
[Surah al-Qadr: 1,3]

Lehaza aakhri ashrey mein Lailatul Qadr ko talaash karna chahiye, kiyun ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
ومن قام ليلة القدر، إيمانا، واحتسابا، غفر له ما تقدم من ذنبه​
"Jo shaksh Lailatul Qadr mein Emaan ke sath aur Sawaab ki niyat se qiyaam karey, tou us ke sabiqah gunaah mu'aaf kar diye jayenge."
(Sahih Muslim: Hadees 760, Sahih Bukhari: Hadees 2008)

Neez Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
تحروا ليلة القدر في العشر الاواخر من رمضان​
"Tum Lailatul Qadr ko Ramazan ke aakhiri ashrey ki taaq raaton mein talaash karo."
(Sahih Bukhari: Hadees 2020)

EK AHEM BAAT:

Jo silsila Ramazan ki mubarak Saa'aton mein qayim kiya jaye wo baqiyah giyara mahino (11 months) mein bhi barqarar rehna chahiye, kahin aisa na ho ke jo shakhs Ramazan mein Qiyaam ul Lail aur Ishraaq wagerah tak ki pabandi karta tha wo Ghair Ramazan mein Farz Namaz bhi chhor baithey aur phir usi ma'siyat o nafarmaani ki daldal mein jaa girey jahan pehle phansa huwa tha aur mahiney bhar ke "Amaal e Saliha" ki kamayi akarat kar dey.

Is liye zaroori hai ke is mubarak mahiney mein apna ihtisaab kartey huwe hamesha ke liye Siraat e Mustaqeem ka inteqaab kar len aur apna har lamha har lehaaz se Qur'an o Sunnat ke mutabiq guzaar kar aakhirat mein Allah ﷻ ke han surq-roh ho jayen. In-Sha-Allah

Allah ﷻ Se Dua Hai Ke Humme Apne Deen Ke Liye Chun Ley Aur Hum Se Razi Ho Jaye. (Aameen)

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.119, Safa no.17-26]
 
Top