HUM SAB ALLAAH KI REHMAT KE MOHTAAJ HAIN


HUM SAB ALLAAH KI REHMAT KE MOHTAAJ HAIN

بسم الله الرحمن الرحيم

• Jaabir (Raziyallaahu 'Anhu) kehte hain ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

قَارِبُوا وَسَدِّدُوا، وَاعْلَمُوا أَنَّ أَحَداً مِنْكُمْ لَنْ يُنْجِيَهُ عَمَلُهُ

"(Amalon mein) kami peyshi na karo aur jaanlo ke tum mein se koi apne amalon ki badaulat nijaat nahin paasakta."

• Logon ne kaha: Aye Allaah ke Rasool! Aap bhi nahin?

• Farmaaya:

وَلاَ أَنَا إِلاَّ أَنْ يَتَغَمَّدَنِيَ اللَّهُ بِرَحْمَةٍ مِنْهُ وَفَضْلٍ

"Main bhi nahin magar is tarah ke Allaah ki rehmat aur fazl mujhe dhaanple."


[Sunan Al-Daarmi: 2775 (Saheeh); Saheeh Muslim: 2817]


FAWAAYED: Nijaat ka daaromadaar faqat (sirf aur sirf) Allaah ki Rehmat par hai, iska ye matlab hargiz nahin ke amal mein kotaahi wa kami ka koi nuqsaan nahin Ya amal na bhi huye toh Rehmat ki binaa par nijaat mumkin hai kyunke Amal baa'is e Rehmat hai (Ya'ni Allaah ke hukmon par amal karne se Uski Rehmat haasil hoti hai).

• Jitne amal zyaadah honge utni hi Allaah ki Rehmat zyaadah hogi aur Allaah ki naafarmaani karke Uski Rehmat se ummeed rakhna bewaqoofi aur dhoka hai.

• Shaytaan ke kayi chaalon mein se ek chaal ye bhi hai ke woh Allaah ki naafarmaani karne par ubhaarta hai aur naafarmaani hojaane ke ba'd us amal ko munaasib (durust aur saheeh) hai bataata hai maslan Allaah bohat Ghaffaar hai agar hum gunaah bhi karenge toh hamein mu'aaf kardega, fikr mat karo Allaah ki naafarmaani karte jaao aur Uski Rehmat se ummeed karte jaao waghairah waghairah.

• Allaah hamein Shaytaan ke chaalon ko pehchaanne ki salaahiyat dey aur us ke chaalon se bachne mein hamaari madad karey. Aameen

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: Abdul-Mudhill Hafizahullah
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Mu’aasharat (Rahen Sahen) 0

Similar threads


Top