KAAFIRON SE DOSTI KARNE KA BAYAAN


KAAFIRON SE DOSTI KARNE KA BAYAAN

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ

Is Muaamley Mein Kuch Log Apni Raaye Laakar Aur Hikmat Ke Bahaane Banaakar Kehte Hain Ke Kuffaar Se Dosti Karna Jaaez Hai. Lekin Haqeeqat Mein Aisey Log Allaah Ki Aayaat Ko Jhutla Rahey Hain.

Allaah Ta'alaa Farmaate Hain:


الَّذِیۡنَ یَتَّخِذُوۡنَ الۡکٰفِرِیۡنَ اَوۡلِیَآءَ مِنۡ دُوۡنِ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ ؕ اَیَبۡتَغُوۡنَ عِنۡدَہُمُ الۡعِزَّۃَ فَاِنَّ الۡعِزَّۃَ لِلّٰہِ جَمِیۡعًا

"Jin Ki Yeh Haalat Hai Ke Musalmaanon Ko
Chhord Kar Kaafiron Ko Dost Banaatey Phirte Hain Kya Unke Paas Izzat Ki Talaash Mein Jaatey Hain ? (Tou Yaad Rakhein Ke) Izzat Tou Saari Ki Saari Allaah Ta'aalaa Ke Qabzey Mein Hai."

Aur Doosri Jagah Kehte Hain:

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوا الۡکٰفِرِیۡنَ اَوۡلِیَآءَ مِنۡ دُوۡنِ الۡمُؤۡمِنِیۡنَؕ اَتُرِیۡدُوۡنَ اَنۡ تَجۡعَلُوۡا لِلّٰہِ عَلَیۡکُمۡ سُلۡطٰنًا مُّبِیۡنًا


"Aye Eemaan Waalon ! Muminon Ko Chhord Kar Kaafiron Ko Dost Na Banaao, Kya Tum Yeh Chaahtey Ho Ke Apne Oopar Allaah Ta'aalaa Ki Saaf Hujjat Qaayam Karlo."

[Sūrah An-Nisaa, Aayat : 139, 144]

TAFSEER: KAAFIR SE DOSTI AAG SE DOSTI KARNE KE BARAABAR HAI.

ينهى تعالى عباده المؤمنين عن اتخاذ الكافرين أولياء من دون المؤمنين ، يعني مصاحبتهم ومصادقتهم ومناصحتهم وإسرار المودة إليهم ، وإفشاء أحوال المؤمنين الباطنة إليهم ، كما قال تعالى :


Kaafiron Se Dostiyaan Karne Se Unse Dili Muhabbat Rakhne Se Unke Saath Uthne Baithne Se Bheyd Unko Deney Se Aur Poshida Ta’lluqaat Unse Qaayam Rakhne Se Allaah Ta'aalaa Eemaandaaron Ko Rok Raha Hai. Jaise Aur Aayat Mein Hai:

لا يتخذ المؤمنون الكافرين أولياء من دون المؤمنين ومن يفعل ذلك فليس من الله في شيء إلا أن تتقوا منهم تقاة ويحذركم الله نفسه ) [ آل عمران : 28 ]

"Muminon Ko Chaahiye Ke Eemaan Waalon Ko Chhord Kar Kaafiron Ko Apna Dost Na Banaaye Aur Jo Aisa Karega Woh Allaah Ta'aalaa Ki Kisi Himaayat Mein Nahi
Magar Yeh Ke Inke Sharr Se Kisi Tarah Bachaao Maqsood Ho Aur Allaah Ta'aalaa Khud Tumhein Apni Zaat Se Dara Raha Hai. Aur Allaah Ta'aalaa Hi Ki Taraf Laut Jaana Hai."

[Sūrah Aal Imraan, Aayat : 28]

Muminon Ko Chaahiye Ke Sirf Muminon Ke Siwa Kuffaar Se Dosti Na Karein.
Aisa Karne Waala Allaah Ke Haan Kisi Bhalaayi Ka Mustahaq Nahi.

Haan Agar Sirf Bachaao Ke Taur Par Zaahirdaari Ho Tou Aur Baat Hai. Allaah Ta'aalaa Humein Apne Aap Se Daraa Raha Hai Ya'ni Agar Tum Uski Naafarmaniyaan Karogey Tou Tumhe Uske Azaabon Ko Yaad Rakhna Chaahiye.

قال ابن أبي حاتم : حدثنا أبي ، حدثنا مالك بن إسماعيل ، حدثنا سفيان بن عيينة ، عن عمرو بن دينار ، عن عكرمة عن ابن عباس قوله : ( سلطانا مبينا ) [ قال ] كل سلطان في القرآن حجة . وهذا إسناد صحيح . وكذا قال مجاهد ، وعكرمة ، وسعيد بن جبير ، ومحمد بن كعب القرظي ، والضحاك ، والسدي والنضر بن عربي .


Ibn Abi Haatim Mein Abdullaah Bin Abbaas (Raziyallaahu Anhuma) Ka Farmaan Marvi
Hai Ke, Aap Ne Kaha: "Qur'an Mein Jahaan Kahin Aisi ibaaraton Mein Sultaan
Ka Lafz Hai, Wahaan Usse Muraad Hujjat Hai.

Ya'ni Tum Ne Agar Muminon Ko Chhorkar Kuffaar Se Dili Dosti Ke Ta’lluqaat Paida Kiye Tou Tumhaara Aisa Karna Saboot Ke Liye Kaafi Hoga Aur Poori Daleel Hogi Jis Ki Wajah Se Allaah Ta'aalaa Tumhe Sazaa Dey.


Bohat Se Salaf Mufassireen (Rahimahumullaah) Ne Is Aayat Ki Yahi Tafseer Kee Hai.

[Tafseer Ibn Kaseer]

Allaah Subhaanahu Wa Ta’aalaa Ka Farmaan Hai :

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوۡا بِطَانَۃً مِّنۡ دُوۡنِکُمۡ

“Aye Eemaan Waalon! Tum Apna Wali (Dost) Eemaan Waalon Ke Siwa Kisi Ko Na Banaao.”

[Sūrah Aal-Imraan, Aayat : 118]


Is Aayat [3:118] Ki Ziman Mein Imaam Qurtubi (Rahimahullaah) Ka Qaul Hai :

“Un Kuffaar Ko Apna Khaas Jigri Raazdaar Na Banaao.”

Isi Tarah Ek Muqaam Par Farmaan-e-ilaahi Hai :

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوا الۡیَہُوۡدَ وَ النَّصٰرٰۤی اَوۡلِیَآءَ ۘ بَعۡضُہُمۡ اَوۡلِیَآءُ بَعۡضٍ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَلَّہُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاِنَّہٗ مِنۡہُمۡ ؕ اِنَّ اللّٰہَ لَا یَہۡدِی الۡقَوۡمَ الظّٰلِمِیۡنَ

“Aye Eemaan Waalon! Tum Yahood Aur Nasaara Ko Dost Na Banaao Yeh Tou Aapas Mein Hi Ek Doosre Ke Dost Hain.
Tum Mein Se Jo Bhi Un Mein Se Kisi Se Dosti Kare Woh Beshak Unhi Mein Se Hai, Zaalimon Ko Allaah Hargiz Raah-e-Raast Nahin Dikhaata.”

فَتَرَی الَّذِیۡنَ فِیۡ قُلُوۡبِہِمۡ مَّرَضٌ یُّسَارِعُوۡنَ فِیۡہِمۡ یَقُوۡلُوۡنَ نَخۡشٰۤی اَنۡ تُصِیۡبَنَا دَآئِرَۃٌ ؕ فَعَسَی اللّٰہُ اَنۡ یَّاۡتِیَ بِالۡفَتۡحِ اَوۡ اَمۡرٍ مِّنۡ عِنۡدِہٖ فَیُصۡبِحُوۡا عَلٰی مَاۤ اَسَرُّوۡا فِیۡۤ اَنۡفُسِہِمۡ نٰدِمِیۡن

“Aap Dekhengey Ke Jin Ke Dilon Mein Beemaari (Nifaaq) Hai Woh Daud Daud Kar Un Mein Ghus Rahey Hain Aur Kehte Hain Ke Humein Khatra
Hai. Aisa Na Ho Ke Haadsa Ham Par Padh Jaaye Bohat Mumkin Hai Ke Allaah Ta’aalaa Fatah Dey Dey. Ya Apne Paas Se Koi Aur Cheez Laaye. Phir Tou Yeh Apne Dilon Mein Chupaayi Huyi Baaton Par Bey Tarah Naadim Hone Lagengey.”

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا مَنۡ یَّرۡتَدَّ مِنۡکُمۡ عَنۡ دِیۡنِہٖ فَسَوۡفَ یَاۡتِی اللّٰہُ بِقَوۡمٍ یُّحِبُّہُمۡ وَ یُحِبُّوۡنَہٗۤ

“Aye Eemaan Waalon ! Tum Mein Se Jo Shakhs Apne Deen Se Phir Jaaye (Ya’ni Murtadd Hojaaye) Tou Allaah Ta’alaa Bohat Jald Aisi Qaum Ko Laayega Jo Allaah Ki Mehboob Hogi Aur Woh Bhi Allaah Se Muhabbat Rakhti Hogi.

اَذِلَّۃٍ عَلَی الۡمُؤۡمِنِیۡنَ اَعِزَّۃٍ عَلَی الۡکٰفِرِیۡنَ ۫ یُجَاہِدُوۡنَ فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ وَ لَا یَخَافُوۡنَ لَوۡمَۃَ لَآئِمٍ

Woh Naram Dil Hogey Musalmaanon Par Aur Sakht Aur Tezz Hongey Kuffaar Par, Allaah Ki Raah Mein Jihaad Karengey Aur Kisi Malaamat Karne Waale Ki Malaamat Ki Parwa Bhi Na Karengey.”

[Sūrah Al-Maaidah, Aayat : 51,52,54]


《Muharrir: Abu Al-Hasan Al-Hindi Hafizahullah》
 
Top