AHLE SUNNAT WAL JAMAA'AT KA AQEEDAH


AHLE SUNNAT WAL JAMAA'AT KA AQEEDAH

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

HAMAARA AQEEDAH WA MANHAJ

Sahīh Aqeedey se muta'lliq yeh bohat hi mukhtasar tehreer hai.. isko zaroor padhiye, SHARE karein aur apne Aqeedey ki islaah karein. جزاكم الله خيرا

Gunaaho mein sab se bada Gunaah Allaah ke saath kisi ko Shareek karna hai. Aur Shirk ki haalat mein Marney waale ko Allaah kabhi muaaf nahi karta aur uske liye Maghfirat ki du'aa karna bhi jaaez nahi aur uske liye Allaah Ta'aalā ne Jannat ko Haraam kardiya hai Ya'ni woh hamesha Jahannam mein rahega. Dekhiye [An-Nisā : 116, Al-Maaidah : 72 aur At-Tawbah : 113]

Shirk ke saath Neyk A'maal jaise Namaaz, Rozah, Zakaat, Hajj yahaan tak ke apni jaan wa maal se Jihād ka bhi koi faaedah nahi hoga. Allaah ta'aalā ne Sūrah Al-An'aam mein 18 Anbiyā ka naam zikr karke farmaaya:

"..وَلَوۡ اَشۡرَکُوۡا لَحَبِطَ عَنۡہُمۡ مَّا کَانُوۡا یَعۡمَلُوۡنَ."
"..Aur agar woh Sab bhi Shirk karte tou jo kuch woh (Neyk) A'maal kiya karte the sab bekaar hojate." [Al-An'aam, 6:88]

YEH HAMAARA (Muwahhidīn, Ahle Sunnat ka) AQEEDAH WA MANHAJ HAI:

Allaah Ka Deen Hi Woh cheez hai Jisey Hum ikhtiyaar kiye huye Hai. Isi Deen ki Binaa Par Hum Dosti Karte Hain, Isi Ke Khaatir Hum Dushmani Mol Letey Hain.
Hum Allaah Ta'aalā Ki Hamd Bayaan karte Huye Aur usse madad talab karte huye yeh kehte hain :

1. Hum Eemaan laate hai ke Allaah Ta'aalā Sab se Zyaada Buland Aur Bartarr aur Azeem Hai. Uske Siwa Koi Ma'bood-e-Barhaqq (sachcha Ma'bood) Nahi, Aur Koi uska Humsar Nahi. Tawheed Ka Kalimah Jis Cheez Ko Saabit karta Hai Hum Allaah (سبحانه وتعالى) Ke Liye Uska Isbaat Karte Hai. Hum Uske Saath Shirk Ki Nafee Karte Hain.

Hum Gawaahi Detey hain ke Allaah Wahdahu Lashareek Ke Siwaa Koi Ma'bood-e-Barhaqq nahi. Yahi Deen Ki Ibtedaa Aur Intehaa Hai Aur Yahi Deen Ka zaahir aur baatin Hai.

Jis ne Is Kalimey Ka Iqraar Kiya, Iske Sharaaet Ki Pabandi Kee Aur iska Haqq Adaa Kiya, Wahi Musalmaan Hai. Jisne iske Shuroot ki Bajaa Aawari Nahi Kee, Ya iske Nawaaqiz (Insaan ko Islaam se baahar kar deney waale kaam) Mein Se Kisi Ek Bhi Naaqid/Nullifier Ka irtekaab Kiya, tou Woh Kaafir Hai, Khwaah Woh Musalmaan hone ka Da'waa Karta Rahey.

2. Hum Eemaan rakhte hain ki Allaah Ta'aalā Hi Khaaliq Aur Mudabbir (Tadbeer/planning karne waala) Hai. Usi ke Liye Saari Badshaahat Hai. Usi ke Liye Tamaam Ta'reefein Hain. Woh Har Cheez Par Poori Tarah Qudrat Rakhta Hai. Wahi Awwal Wa Aakhir Aur Zaahir Wa Baatin Hai.

لَیۡسَ کَمِثۡلِهِ شَیۡءٌ ۚ
TARJUMAH: Us (Allaah) Jaisi Koi cheez nahi hai, aur woh khoob sunne waala aur dekhne waala hai. [42:11]

3. Hum Allaah (سبحانه وتعالى) Ke Asma Wa Sifaat ke Muaamley mein kajravi (Khilaaf Warzi) ikhtiyaar nahi karte. Hum unko uske liye Bilkul usi Tarah Saabit Maante (Ya'ni iqraar wa qubool karte) hai jaisa ke Woh Qur'aan Majeed aur Saheeh Ahaadeeth Mein Mazkoor Hai, Ya'ni Baghair Takyeef (Kaifiyat Bayaan karne), Tamseel (Makhlooq jaisi Misaalein Deney), Ta'weel (Zaahiri Ma'na Ko Chhordkar Khud Saakhta Ma'na Muraad Leney) Aur Ta'teel (Inkaar Karne) Ke.

4. Hum Eemaan laate hain ke Muhammad (ﷺ) Tamaam Insaano Aur Jinnon Ki Taraf Bheje Gaye Allaah Ke Rasool Hai. Jis Cheez Ka Bhi Aap ne Hukm Diya Hai uski Itteba' Waajib Aur Uski Ta'meel Zaroori Hai. Aur jin cheezon ki Aap ne khabar dee hai Unki Tasdeeq (qubool) Karna Aur Unke Aagey Sar-e-Tasleem kham Karna Laazim Hai. Hum Nabi (ﷺ) ke baarey mein Allaah Ta'aalā ke Darj zeyl Farmaan Par Kaarband Hai:

"فَلَا وَ رَبِّکَ لَا یُؤۡمِنُوۡنَ حَتّٰی یُحَکِّمُوۡکَ فِیۡمَا شَجَرَ بَیۡنَہُمۡ ثُمَّ لَا یَجِدُوۡا فِیۡۤ اَنۡفُسِہِمۡ حَرَجًا مِّمَّا قَضَیۡتَ وَ یُسَلِّمُوۡا تَسۡلِیۡمًا."

TARJUMAH: "[Aye Nabi (ﷺ) !] Aap ke Rabb Ki Qasam ! Woh Mumin Nahi Ho sakte Jab tak ke Apne Baahimi ikhtelaaf Mein Aapko Faisla Karne Waala Na Maanlein, Phir Aap ke Kiye Huye Faisley Par Unke Dilon Mein Koi Tangi Na Aaney Paaye aur woh Usey Dil wa Jaan Se maanlein." [An-Nisā : 65]

5. Hum Allaah Ta'aalā ke Muazziz Farishton par Eemaan laate Hain.
Allaah Ta'aalā unko Jo hukm deta hai, wou usme uski Nafarmaani Nahi Karte aur Jo Hukm diya jaata hai usko Bajaa Laate Hain. Unse Muhabbat karna Eemaan Ka Hissa Hai Aur Unse Bughz rakhna Kufr Mein Shaamil Hai.

6. Hum Eemaan laate hai ki Qur'aan Majeed apne Huroof wa Ma'aani (words and meanings) Ke Lihaaz se Allaah Ta'aalā ka Kalaam hai, Neez Woh Allaah Ta'aalā ke Sifaat mein Se Ek Sifat hai, Maqlooq Nahi. Uski Ta'zeem (izzat wa ehteraam) Waajib Hai. Uski Itteba' laazim hai aur uske Mutaabiq Faislah Karna Farz Hai.

7. Hum Allaah Ta'aalā Ke Tamaam Anbiyā Aur Rasoolon par Eemaan laate hai un mein Sab se Pehle Aadam (عليه السلام) Hai Aur Sab se Aakhri Muhammad (ﷺ) Hai. Tamaam Anbiyā Karaam Baahum Muhabbat karne Waale Bhai Hain Jin ko Rabbul 'Aalameen Ki Tawhīd Pehchaanne ke Liye Mab'oos kiya (ya'ni bheja) gaya.

8. Hum Eemaan Laate Hain ke Sunnat (Hadees-e-Nabawi) Vahee Ki Doosri Qism Hai Jo Qur'aan Ki Vazaahat Aur Uski Tafseer karti Hai. Jo Sunnat Sahīh Aur Saabit Hai, Hum Kisi Bhi Shakhs Ke Qaul Ki Wajah Se Eraaz nahi karte. Hum choti badi har Qism ki Bida'aat se Ijtenaab karte (bachte) Hai.

9. Hamaare Nabi (ﷺ) Ki Muhabbat Ek Fareezah Aur Qurb-e-ilaahi (Ya'ni Allāh ke qareeb hone) Ka Zariya Hai. Rasoolullaah se Bughz (Nafrat) Rakhna Kufr Wa Nifaaq Hai. Hum Apne Nabi Ki Muhabbat ki bunyaad par aap ke Ahle Bayt Se Muhabbat karte Hai, Unki Izzat Wa Tawqeer Karte Hain Aur Unke Muaamley Mein ifraat Wa Tafreet Se Kaam Nahi Letey.

10. Hum Tamaam Sahābah Karaam (رضي الله عنهم أجمعين) Se Raazi Hai. Aur Woh Sab Ke Sab Aadil (insaaf karne waale) Hain. Hum unke Baarey Mein Khayr Ke Siwa Kuch Nahi Kehte. Unki Muhabbat Hamaare Liye Waajib Hai, Aur Unse Bughz (Nafrat) Hamaare Haan Nifaaq Hai.

Hum unke aapas ke ikhtelaafaat ke baarey mein Khamoshi ikhtiyaar karte hai woh sab is Muaamley mein Muta'awwil (Ta'weel/interpret karne waale) the aur behtareen log the.

11. Hum Taqdeer par Eemaan laate hain. Usme Maujood khayr Wa Sharr Sab Allaah Ki Taraf Se Hai. Allaah (سبحانه وتعالى) Ki Aam Mashiyat Aur Mutlaq Iraada Kitaab wa Sunnat Se Saabit Hai. Jo Allaah Chaahta Hai Wahi Hota Hai Aur Jo woh Nahi Chaahta woh Nahi hota. Allaah Ta'aalā Bandon ke Af'aal (ya'ni kaamo) ka Khaaliq Hai aur Uske Hukm Ke Ba'd Hi Bandon Ko Apne Af'aal Mein ikhtiyaar Haasil Hai. Allaah (سبحانه وتعالى) Ki Qazaa Wa Qadr Uski Rahmat, Fazal Aur Adal Se khaarij Nahi.

12. Hum Eemaan Laate Hai Ki Qabr Ka Azaab Aur uski Ni'matein Barhaqq (sach) Hain, Agar Allaah Ne Chaaha tou woh uske mustahaq ko azaab dega aur chaahega tou muaaf kardega. Munkir Wa Nakeer Ke Muta'lliq Rasoolullaah (ﷺ) Ki Zikr Kardah Ahaadees se Jo kuch saabit Hai Hum Us par Bhi Eemaan laate hai, Jaisa Ke Uske Muta'lliq Darj zeyl Farmaan-e-ilaahi bhi hai:

یُثَبِّتُ اللّٰہُ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا بِالۡقَوۡلِ الثَّابِتِ فِی الۡحَیٰوۃِ الدُّنۡیَا وَ فِی الۡاٰخِرَۃِ ۚ وَ یُضِلُّ اللّٰہُ الظّٰلِمِیۡنَ ۟ ۙ وَ یَفۡعَلُ اللّٰہُ مَا یَشَآءُ

TARJUMAH: "Allaah Eemaan Waalon Ko Allaah ta'aalā pakki baat Se Dunya Ki Zindagi aur Akhirat mein Saabit Qadam Rakhta hai aur Allaah Zaalimon ko Gumraah kardeta Hai Aur Allaah Jo Chaahta Hai Woh karta hai." [Sūrah Ibraahīm : 27]

13. Hum Maut Ke Ba'd Zindah Hone Par, Yaum-e-Aakhirat Par, A'maal aur logon ke Allaah Ta'aalā Ke Saamne pesh hone par qiyaamat ke din aur Meezaan par, Hauz-e-kausar Aur Pul Siraat Par aur Jannat wa Jahannam ke barhaqq hone par Eemaan laate hain.

14. Hum qiyaamat ki nishaaniyon par Eemaan laate hai jo Nabi (ﷺ) ki Sahīh Ahaadeeth Mein Mazkoor (zikr) hai.
Jab se Allaah Ta'aalā ne Aadam (عليه السلام) ko paida Kiya hai, us waqt se lekar Roz-e-Qiyaamat tak sab se Azeem Fitnah Maseeh Dajjaal ka Fitnah hai.

Hum Eemaan rakhte hain ke Eesā (عليه السلام) adal wa insaaf qaayam karne waale bankar naazil hongey. Hum Nabawi Tareeqey ke Mutaabiq Khilaafat-e-Raashidah ki waapasi par Eemaan laate hain.

15. Hum Eemaan Laate hain ke Allaah Ta'aalā Ahle Tawhīd ko Shafaa'at karne waalon ki sifaarish par Aag se khulaasi dega.
Yeh Shafaa'at Haqq hai uske liye jisey Chaahe Allaah Ta'aalā ijaazat dey aur uski baat ko pasand Kare.

16. Hum apne Nabi Muhammad (ﷺ) ki Shafaa'at par Eemaan laate hain, aur is baat par ke roz-e-qiyaamat unhi ko Maqaam-e-Mahmood ataa hoga.

17. Eemaan qaul, Amal aur niyyat ka naam hai. Eemaan Dil se iteqaad, zabaan se Iqraar aur A'zaa-e-Jawaarih (body parts) se Amal ko kehte hain.
Yeh teenon cheezein laazim wa malzoom hai aur in mein se ek doosre se kifaayat nahi karti. Ya'ni Dil se iteqaad ho, Zabaan se Iqraar ho lekin A'zaa-e-Jawaarih se Amal na ho tou yeh Eemaan hi nahi. Amal Eemaan ka rukn (pillar) hai, Amal ke bina Eemaan hi nahi.

Dil ka iteqaad: Uska qaul aur Amal hai.

Dil ke qaul se muraad yeh hai: Uski ma'rifat ya Uska ilm aur uski Tasdeeq.

Dil ke A'maal mein se yeh cheezein hai: Muhabbat, khauf aur ummeed...الخ

18. Eemaan itaa'at wa farmabardaari se badhta hai aur Gunaah wa naafarmaani se ghatta hai.
Iski mukhtalif shaakhein hain jaisa ke Saadiq wa Masdooq (ﷺ) ne bataaya hai. Un mein sab se A'laa (badi) shaakh laa ilaaha illallaah (لا إله إلا الله) hai aur sab se adna (choti) shaakh Raaste se takleefda cheez ko hataana hai.

Eemaan ki ba'z shaakhein woh hai jo asal (Ya'ni bunyaad) hai Jin ke zaail (khatm) hone se Eemaan zaail hojata hai, jaise tawheed (لا إله إلا الله), Namaaz aur is tarah ke deegar umoor ke Jin ke muta'lliq Shar' (Sharee'at) ne saraahat kee hai ke inko tark karne se Eemaan ki asal (bunyaad) zaail hojati hai aur Eemaan hamesha ek jaisa nahi rehta balke jaata rehta hai.

Kuch aisey cheezein hotey hai jin ke karne se Eemaan Zaail (khatm) nahi hota balke ghatta ya kam ho jaata hai, misaal ke taur par Zina, sharaab Noshi, chori waghaira.

19. Hum Muwahhidīn mein se kisi bhi shakhs ki aur Jo Musalmaano ke Qibley ki taraf rukh karke Namaaz padhta hai, uski Gunaaho (jaise Zina, sharaab Noshi aur chori) ki wajah se Takfeer nahi karte,
jab tak ke woh usey Halaal na samjhe. Hum Kabeera Gunaahon par kisi ki Takfeer nahi karte.

Eemaan ke Muaamley mein hamaara qaul ghaali Khawārij aur Tafreet ke shikaar Ahle irjaa ke darmiyaan hai.

20. Kufr ki asal do (2) qismein hai: Kufr Akbar aur Kufr Asghar. Iska Hukm iska irtekaab iteqaadi ya qauli ya fe'li (Dil se, zabaan se ya Amal se) Karne waale par laagu hota hai lekin un mein se ek Muayyan (khaas nishandahi) shakhs ki Takfeer aur uske hamesha aag mein rehne ka Hukm - Takfeer ki Shuroot se Saabit hone aur Mawaani' Takfeer (barriers of Takfīr) ki ghair maujoodgi par mawqoof hai.

Hum Vada', Vaeed, Takfeer aur Tafseeq ke Muta'lliq Waarid Nusoos ko mutlaq hi rakhte hain aur kisi Muayyan Fard ki is umoom mein daakhil hone ka Hukm nahi lagaate yahaan Tak ke uske andar koi aisi cheez paayi jaati Jo Takfeer Muayyan ka taqaaza karti ho aur jis ka Mu'riz (eraaz karne waala) bhi koi na ho.

Hum mahaz gumaan aur kisi baat ke anjaam aur nateejey khaizi ki Bina par kisi ko Kaafir qaraar nahi detey.

21. Hum uski Takfeer karte Hain jis ki Allaah aur uske Rasool (ﷺ) ne Takfeer kee hai. Hum Kufr/Shirk Akbar ke ya Nawaaqid Al-Islām ke murtakib ki Takfeer karte hain. Jis ne bhi Islaam ke Alaavah kisi aur deen ko ikhtiyaar kiya, khwaah uske paas (Islaam ki) daleel pohanchi ya nahi, woh Kaafir hai.

Albatta aakhirat ke Azaab ka wahi mustahaq hoga jis tak daleel pohanchaayi gayi hogi. Farmaan-e-Baari ta'aalā hai: "Hum kisi (qaum) ko azaab nahi dengey jab tak ke koi Rasool na bhejdey." [Sūrah Al-Israa : 15]

22. Jo Shahādatayn ka Iqraar kare, hamaare saamne apna Islaam zaahir Kare aur Nawaaqidul-Islām mein se kisi bhi Naaqid ka irtekaab na kare, hum Uske saath Musalmaano waala Muaamla karte hain aur Uska baatin Allaah ke supurd karte hain,

isliye ke jab Koi hamaare saamne Sha'aar-e-Deen (jaise daadhi, hijaab, Namaaz waghaira) ka izhaar karta hai tou us par usi ke Ahkaam laagu hotey hain. Pas logon ke Muaamlaat zaahir par ma'mool hotey hain aur Allaah ta'aalā hi posheeda baaton ka nigehbaan hai.

23. Raafidi giroh hamaare haan Mushrik wa Murtadd aur Muhaarib (Jung karne waale) hai.

24. Hum yeh iteqaad rakhte hain ke jab kisi mulk par Kufriya Qawaaneen chhaajaaye aur wahaan islaami Ahkaam ke bajaaye Kufriya Ahkaam ka ghalba ho tou woh Daarul Kufr hai.


Islaami Hukoomat ke na hone, Murtaddeen ke ghaalib aajane aur unke islaami mamlakat ki baag dorein sambhaalne ki wajah se wahaan ke baashindon ki Takfeer laazim nahi hai.

Hum ghaali afraad ki tarah yeh nahi kehte ke:
الأصل في الناس كفر
"(Asal yeh hai ke tamaam log mutlaq taur par Kaafir hai)".

Aisa hargiz nahi hai, balke sab ke sab log apni apni haalaat ke Mutaabiq shumaar hongey. Un mein ba'z Musalmaan hai aur ba'z Kaafir.

25. Hum is baat par Eemaan rakhte Hain ke Secularism apne mukhtalif jhandon aur mazaahib, jaise ke qaumiyat, wataniyat, communist aur ba'siyat samiyat vaazih aur khullam khulla Kufr hai Jo Islaam ke manaafi aur Millat se
khaarij kar deney waala hai.

HAMAARA MANHAJ:

HAMAARE HAAN ISTEDLAAL KE USOOL; kitaab wa Sunnat aur behtareen ibtedaayi teen (3) sadiyon ke Salaf Saalih (Sahābah, Taabaeen aur Taba' Taabaeen) ka Faham hai.

26. Hum har neyk, faajir aur Musalmaano mein se jo Mastoorul haal ho (jis ka koi Naaqid-e-Islaam zaahir na hua ho) uske peechey Namaaz ko jaaez samajhte hain, jab tak ke vaazih kufr na paalein.

27. Jihaad Imām (Haakim) ki maujoodgi, Adam maujoodgi aur uske zulm wa insaaf ke baavajood taa-qiyaamat jaari rahega.
Agar Imām maujood na ho tab bhi muakhkhar (taakhir/delay) nahi hota. Kyunke Jihaad ki maslihat uski taakhir ke baa'is faut hojati hai.

Agar Maal-e-Ghaneemat Mujaahideen ke haath lagjaaye tou woh usey Sharee'at ke Mutaabiq taqseem karengey. Har Mumin ke liye zaroori hai ke woh Allaah ke Dushmano se jihād kare, agarche woh tanha hi kyun na rehjaaye.

28. Musalmaano ka khoon, unki izzat wa aabru aur unke amwaal hamaare nazdeek Haraam hai. Un mein se sirf wahi jaaez wa mubaah hai jisey Sharee'at ne jaaez qaraar diya ho aur jis ka khoon Rasoolullaah (ﷺ) ne raayegaan (bekaar) tehraaya ho.

29. Agar hamlaawar Kaafir Musalmaano ki hurmaat wa muqaddisaat par chadaayi kardey tou us waqt Jihaad Farz-e-Ayn hojata hai. Iske liye kisi Shart ki Zaroorat nahi rehti. Har mumkin Hadd tak us Dushman ko door karna zaroori hai, pas hamlaawar Dushman Jo Deen wa dunya ko tabaah wa barbaad kardey, Eemaan ke ba'd isko maar bhagaane se zyaada koi cheez isse badhkar waajib nahi.

30. Irtedaad ya'ni Deen se phir jaane ka jo Kufr hai woh Ulamā ke ijmaa' ke mutaabiq Kufr asal se zyaada sakht hai, isliye Murtaddeen se qitaal hamaare nazdeek asal Kaafir ke qitaal se awwal aur zyaada zaroori hai.

31. Mansab-e-Imaamat (hukmraani/rulership) kisi Kaafir ke liye muna'qid nahi hota aur jab Imām Kufr ka murtakib ho tou woh ikhtedaar ke Hukm se khaarij hojata hai aur uski itaa'at saaqit hojati hai.
Is soorat mein Musalmaano par waajib hojata hai ke woh uske Khilaaf uth khadey ho aur usey Ma'zool kardey. Neez agar unke bas mein ho tou uski jagah Aadil Imām ko Mansab-e-Imaamat par rakhein.

32. Deen ke qiyaam ka zariya Qur'aan hai Jo seedhi raah dikhaata hai aur talwaar hai jo madad faraaham karti hai, pas hamaara Jihaad Saif wa Sinaan (talwaar wa Nezey) aur Hujjat wa bayaan ke saath hota hai.

33. Jis ne Islaam ke Siwa kisi aur cheez ki da'wat dee, ya Hamaare Deen mein ta'n wa tashnee' kee, ya hum par talwaar uthaayi tou hum se Jung Karne Waala (Muhaarib) hai.

34. Hum firqah bandi aur Baahimi ikhtelaafaat yaksar mustarad karte hain aur aapas mein (Ahle Islaam ke darmiyaan) ittehaad wa ittefaaq ki da'wat detey hain.

35. Hum ijtehaadi Masaail mein kisi bhi Musalmaan ko na tou gunahgaar qaraar detey hai aur na usse qata' ta'lluq karte hain.

36. Hum umooman Poori Ummat aur bil-khusoos Mujaahideen ke ek parcham taley par jama' hone ko waajib samajhte hain.

37. Musalmaan ek Ummat hai. Un mein kisi Arabi ko kisi ajami par koi fauqiyat haasil nahi magar Taqwa ke saath. Musalmaano ke khoon aapas mein baraabar hain.
Unka adna aadmi bhi Mu'aahidey ki zimmedaari uthaa sakta hai aur kisi ko amaan dey sakta hai. Allaah Ta'aalā ne hamaare jo naam rakhe hain, hum unse inhiraaf nahi karte.

38. Hum Allaah Ta'aalā ke doston se dosti karte aur unki Nusrat wa himaayat karte hain aur Allaah ta'aalā ke Dushmano se dushmani rakhte aur unse Nafrat karte hain. Hum kitaab wa Sunnat ki Shahiraah par gaamzan hokar aur Bida't wa gumraahi ki raahon se ijtenaab karte huye Millat-e-Islaam ke siwa har Millat wa mazhab se Alaihidgi (doori) aur bezaari ikhtiyaar karte hain aur uska inkaar karte hain.

Yahi hamaara Aqeedah wa Manhaj hai. Donon cheezein (Al-Walā Wal-Barā) Hamaara Deen aur hamaara Shi'aar hai.
Hum Allaah Ta'aalā se martey dum tak hidaayat, saabit qadmi aur is Aqeedey wa Manhaj par mazbooti ke saath kaarband rehne ki du'aa karte hain.

Jama' Wa Tarteeb: « Abu Zaahid Hafizahullah »
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Staff Member Emaan 0

Similar threads


Top