Ibn e Masood (Radiallahu Anhu) Ka Aqeeda Tha Ki Allah Arsh Par Mustawi Hai


Staff Member

Member
Staff member
Ibn Masood (Radiallahu Anhu) Ka Aqeeda Tha Ki Allah Arsh Par Mustawi Hai:

1.Hazrat Abdullah Ibn Masood (Radiallahu Anhu) farmate hain:
مَا بَيْنَ سَمَاءِ الدُّنْيَا وَالَّتِي تَلِيهَا مَسِيرَةَ خَمْسِمِائَةِ عَامٍ، وَبَيْنَ كُلِّ سَمَاءٍ مَسِيرَةَ خَمْسِمِائَةِ عَامٍ، وَبَيْنَ السَّمَاءِ السَّابِعَةِ وَبَيْنَ الْكُرْسِيِّ خَمْسِمِائَةِ عَامٍ، وَالْعَرْشُ فَوْقَ السَّمَاءِ، وَاللَّهُ تَبَارَكَ وَتَعَالَى فَوْقَ الْعَرْشِ، وَهُوَ يَعْلَمُ مَا أَنْتُمْ عَلَيْهِ​
Aasmaan-e-Duniya aur dosray aasmaan k darmeyaan 500 saal ka fasela hai aur har aasmaan k darmeyaan 500 saal ka fasela hai, Saatoway (7th) aasmaan say kursi k darmeyaan 500 saal ka fasela hai aur kursi aur paani k darmeyaan 500 saal ka fasela hai, arsh paane par hai aur Allah Ta’ala arsh par hai aur tumharay aamaal ko jaanta hai.
{Kitabut Tawheed Li Ibn Khuzama, Safa no.244, Hadith no.150, Sanad Sahih}

⊗ Imam Zahabi (Rahimahullah) ne is hadith ko sahih qarar diya hai.

{Kitabul U’lu, Safa no.103, Hadith no.48, Kitabul Arsh, Safa no.124, Hadith no.105}

⊗ Imam Haisame (Rahimahullah) is hadith k bare mein farmate hai.
رواه الطبراني في الكبير ورجاله رجال الصحيح​
Is rewayat ko Tabrani ne Kabeer mein rewayat kiya hai aur is k sab rawe Sahih Bukhari k hai.
{Majmu’a Zawaid, Jild no.1, Safa no.112, Hadith no.284}

2. Imam Zahabi (Rahimahullah) farmate hai:
وأخرج أبو احمد العسال بإسناد صحيح عن ابن مسعود أنه قال: من قال: سبحان الله والحمد الله والله أكبر تلقاهن ملك فعرج بهن إلى الله عز وجل فلا يمر بملأ من الملا ئكة إلا استغفر والقائلهن حتى يحي بهن وجه الرحمن عز وجل​
Aur Abu Ahmad Al-Asaal ne sahih sanad k saath Abdullah Ibn Masood (Radiallahu Anhu) say rewayat kiye hai kee: “Jis ne kaha Allah paak hai aur khaalis ta’reef Allah ki hi hai aur Allah sab say bada hai” toh in alfaaz ko le kar ek farishta Allah Azza Wajal ki taraf chadhta hai, aur jin jin farishtoon ke pass se wo guzarta hai wo farishte yeh alfaaz kahne waale ke liye maghfirat ki dua karte hain yahaan tak ke in alfaaz se Rahmaan ka chehra khush ho jaata hai.
{Kitab-ul-Al-U’lu, Safa no.104, Hadith no.49, Sanad Sahih}

⊗ Is rewayat k bare mein Imam Ibnul Qayim (Rahimahullah) farmate hai:
أخرجه العسال في كتاب المعرفة بإسناد كلهم ثقات​
Is hadith ko Al-Asaal ne Kitab-ul-Ma’arefat mein us sanad k saath rewayat kiya jis k sab rawe siqa hai.
{Ijtimaul Joyoosh, Safa no.159}

3 Ibn Masood (Radiallahu Ahhu) farmate hai:
إن العبد ليهم بالأمر من التجارة والامارة حتى إذاتيسرله نظرالله إليه من فوق سبع سموات فيقول للملائكة اصرفوه عنه فإنه إن يسرته له أدخلته النار​
Kabhi kisi bande ko tijaarat wa hukoomat ki khaahish hote hai aur jab wo kaam uske liye aasaan hone lagte hain toh Allah Ta’ala uski taraf saaton aasmaanon ke oupar se dekhta hai aur farishton se kahta hai: In kaamoon ko is bande say door kardo agar yeh kaam main ne iske liye mohayya kardiye toh yeh kaam ise jahannam mein daakhil karne ka sabab ban jaayenge.
{Kitab-ul-Al-U’lu, Safa no.104, Sharh Usool-e-I’tiqaad Ahlis Sunnah Wal Jamaat, Jild no.3, Safa no.261, Hadith no.976, Al-Radul Jamiya, Safa no.46, Hadith no.80}

⊗Is rewayat k bare Imam Zahabi (Rahimahullah) farmate hai:
أخرجه اللالكائي بإسناد قوي​
Is hadith ko qawi sanad k saath Al-Laalikaa’ee ne rewayat kiya hai.
{Kitab-ul-Al-U’lu, Safa no.104, Hadith no.50}

Imam Zahabi ne Kitab-ul-Arash (Safa no.125, Hadith no.107) mein sahih qarar diya hai.
 
Top