IJMAA AUR IJTIHAAD


IJMAA AUR IJTIHAAD
Tahreer: Muhaddis Hind o Paak Imam-ul-Asr Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.47, page:48)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

((أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عُيَيْنَةَ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ مُسْهِرٍ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ، عَنِ الشَّعْبِيِّ، عَنْ شُرَيْحٍ، أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ كَتَبَ إِلَيْهِ: " إِنْ جَاءَكَ شَيْءٌ فِي كِتَابِ اللَّهِ، فَاقْضِ بِهِ وَلَا تَلْفِتْكَ عَنْهُ الرِّجَالُ، فَإِنْ جَاءَكَ مَا لَيْسَ فِي كِتَابِ اللَّهِ فَانْظُرْ سُنَّةَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَاقْضِ بِهَا، فَإِنْ جَاءَكَ مَا لَيْسَ فِي كِتَابِ اللَّهِ وَلَمْ يَكُنْ فِيهِ سُنَّةٌ مِنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَانْظُرْ مَا اجْتَمَعَ عَلَيْهِ النَّاسُ فَخُذْ بِهِ، فَإِنْ جَاءَكَ مَا لَيْسَ فِي كِتَابِ اللَّهِ وَلَمْ يَكُنْ فِي سُنَّةِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، وَلَمْ يَتَكَلَّمْ فِيهِ أَحَدٌ قَبْلَكَ. فَاخْتَرْ أَيَّ الْأَمْرَيْنِ شِئْتَ: إِنْ شِئْتَ أَنْ تَجْتَهِدَ برأْيكَ ثُمَّ تَقَدَّمَ فَتَقَدَّمْ، وَإِنْ شِئْتَ أَنْ تتأخَّرَ، فَتَأَخَّرْ، وَلَا أَرَى التَّأَخُّرَ إِلَّا خَيْرًا لَكَ (("

"Hame Muhammed Bin Oyainah (al-Fazari Abu Abdullah al-Shaami) ne hadis bayaa ki wo Ali Bin Mushir se wo Abu Is'haaq(Sulaiman Bin Abi Sulaiman) se woh (Aamir Bin Sharahil) al-Sha'abi se woh Shuraih(Bin Al-Haris al-Qazi rahimahullah) se bayaan karte hain ke (Syidina) Omer Bin al-Khattab (raziallahu-anhu) ne unki taraf likh kar bheja: jab tumhare paas kitabullah me se koi cheez (daleel) Aaye to uske mutabiq faislah karo aur suke muqabile me logon ki taraf eltefaat nah karna, phir agar kitaabullah me nah mile to RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ki sunnat (hadis) dekh kar uske mutabiq faislah karna. Agar kitabullah aur RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ki sunnat me bhi nah mile to dekhna keh kis baat par logon ka ijmaa hai phi usey lelenaa. Agar kitabullah aur RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ki suannat me bhi nah pawo aur tum se pahle kisi ne uske bare me klaam nah kya hot do kaamon me se jo chaho ikhtiyaar karlo: yaa to ijtihaad karo aur faislah kardo yaa phiche hat jao aur faisle me taakheer karo aur mera khiyaal hai ke tumhare liye taakheer hi bahtar hai."

(Sunan al-Daarmi, Hadis No.169, aur iski sanad HASAN hai, Muhammed Bin Oyainah al-Fazaari ko Imam Ibn Hibban ne SIQQAH kaha hai. / Sunan Al-Tirmizi:2677, Ba-Tahseen hadis, aur usko riwaayat karne wali jama'at SUDOQ hai. / Sunan Al-Nasayi:8/231, Hadis No. 5401, is hadis ko Sufyaan al-Sauri ne Shibaani se riwaayat kiya hai)
 

Similar threads


Top