IJMAA , IJTIHAAD AUR ASAAR-E-SALAF SALIHEEN


IJMAA , IJTIHAAD AUR ASAAR-E-SALAF SALIHEEN
Tahreer: Muhaddis Hind o Paak Imam-ul-Asr Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.77, page:50)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

(1)
Molana Muhammed Husain Bataalwi rahimahullah ne farmaaya:
"Is meyaar ke dosre darje par jahan Sahih Hadis-e-Nabawe nah paayi jaati ho, dosra meyaar-e-salafiyyah Aasaar-e-Sahabah, Kibaar Tabayeen-e-Abraar aur Muhaddiseen-e-Akhbaar hain, jis mas'ala eteqaadiyah o amalaiyah mein sareeh Sunnat-e-Nabawi ka ilm nah ho, is mas'ala mein Ahl-e-Hadis ka mutamasska Aasaar-e-Salafiyyah hote hain aur wahi mazhab Ahl-e-Hadis kahlata hai, jis ko maton o shurooh kutb-e-hadis o fiqah waghairah mein Ahl-e-Hadis se mansob kya gya hai, aur jis qaul ka qaayil bajuz ahl-e-bidat Mutazilah waghairah ya falaasafah ya mutakallimeen koi malom nho, aur salaf saliheen Sahabah o Tabayeen aur in ke itibaa Muhaddiseen se kisi ek shakhs se bhi woh qaul marwi o manqol na ho, woh mazhab Ahl-e-Hadis na hoga."(Taareekh Ahl-e-Hadis:1/157, Az Qalam: Dr. Muhammed Baha-ud-Deen)

(2)
"Ahl-e-Hadis woh hai jo apna dastor-ul-amal o istidlaal, Ahadis-e-Sahihah aur Aasaar-e-Salafiyyah ko banawe aur jab is ke nazdeek saabit o muhaqqiq hojaye ke in ke muqabile mein koi muarz masaawi yaa is se qawi nahi payaa jataa woh Ahadis o Aasaar par amal karne ko mustayed hojaye aur us amal se uske kisi imam yaa mujtahid ka qaul bilaa dalil maane nah ho."(Taareekh-e-Ahle Hadis:1/151)

(3)
Molana Syed Nazeer Husain Muhaddis Dahlawi rahimahullah ne farmaaya:
"Haan hum ijmaa o qiyaas koi see tarha maante hain jis tarha ayimah mujtahideen maante the."(Aazaad Ki Kahani Khud Aazaad Ki Zabaani, page:64)

(4)
Molana Muhammed Ismaayeel Salafi rahimahullah ne farmaaya:
"Ayimah Sunnat ke nazdeek bunyaadi usool chaar hain. Tamaam deeni masaayil mein unki taraf rujo kya jata hai. Quran o Sunnat, Ijmaa-e-Ummat aur Qiyaas. In mein bhi Asl Quran aur Sunnat hai.
Ijmaa aur Qiyaas ka maakhaz bhi Quran aur Sunnat hai kitaab o Sunnat ke khilaaf na Ijmaa hosakta hai aur na Qiyaas. Quran aur Sunnat dono ki hifaazat ka zimmah ALLAH TA'ALA ne lya hai."(Meyaar-ul-Haqq ka pesh lafz SZ, dosra nuskha Ba-Tahqeeq Molana Muhammed Yahya Gondalwi rahimahullah, page:12)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Manhaj 0

Similar threads


Top