Ilm Kaise Uthta Hai?


Abul Husayn

Moderator
Staff member
Ilm Kaise Uthta Hai?

Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
___________________


الـحـمـد لله رب الـعـالـمـيـن والـصـلـوة والـسـلـام عـلـى رسـولـه الـأمـيـن، أمـابـعـد؛​

Ahle ilm ka khitta e arz par maujood hona logon ke liye baa'is e rahmat o sa'aadat hai aur unka yahan se chale jaana hasrat o yaas ke ilaawah buraiyaan aam hone ka zari'ah hai.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
إن من اشراط الساعة ان يرفع العلم، ويثبت الجهل، ويشرب الخمر، ويظهر الزنا​
"Bilashubah yeh 'alamaat e qayamat mein se hai ke ilm uttha liya jaayega aur jahalat phayl jaayegi, (khullam khulla) sharaab pee jaayegi aur zina phayl jaayega."
(Sahih Bukhari: 80, Sahih Muslim: 6785)

Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:
يتقارب الزمان، وينقص العمل، ويلقى الشح، وتظهر الفتن، ويكثر الهرج، قالوا؛ يا رسول الله، ايم هو؟، قال: القتل القتل​
"(Qayamat ke khareeb) waqt mukhtasar ho jaayega, ilm uthaa liya jaayega, logon mein bukhl aam hoga, fitne roonuma honge aur harj ba-kasrat hoga" Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool! harj se kya muraad hai? Aap ﷺ ne farmaaya: qatl o ghaarat."
(Sahih Bukhari: 7061, Sahih Muslim: 2682/6794)

Sayyiduna 'Amr bin 'Aas (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke maine Rasoolullah ﷺ ko yeh farmaate huwe suna:
الله لا ينتزع العلم من الناس انتزاعا ولكن يقبض العلماء فيرفع العلم معهم يبقي في الناس رءوسا جهالا يفتونهم بغير علم فيضلون ويضلون​
"Allah ta'ala ilm ko is tarha nahi utthayega ke ise logon (ke seeno) se kheench ley lekin wo ilm ko ahle ilm ki wafaat ke zariye se utthaayega hatta ke jab koi aalim baaqi nahi rahega tou log jahilo ko sardaar bana lenge, jab un se sawaal kiya jaayega tou wo baghair ilm ke fatwaa denge, lehaza wo kudh bhi gumraah honge aur doosron ko bhi gumraah karenge."
(Sahih Bukhari: 100, Sahih Muslim: 6800)

'Amaar bin Abi 'Amaar bayaan karte hain ke jab Sayyiduna Zaid bin Saabit (Razi Allahu Anhu) faut huwe tou Sayyiduna Abdullah bin Abbas (Razi Allahu Anhuma) ne farmaaya:
هكذا ذهاب العلم، لقد دفن اليوم علم كثير​
"Ilm ka uthna is tarha hai, aaj (Zaid Razi Allahu Anhu ke sath) bahut ziyadah ilm dafn kar diya gaya."
(al-Ma'rifah wat-Tareekh Lil Fasawi: 1/261 Wa Sanadahu Hasan)

Maloom huwa ke ilm uthne se muraad Ulama ka faut hona hai, jon jon ahle ilm is duniya se jaa rahe hain tou maashare mein bad-amani, fitna o fasaad, maasiyat o nafarmaani aur qatl o ghaarat ki bhi kasrat ho rahi hai jis se yeh baat waazeh ho jaati hai ke Ulama e Haq mahalle, ilaaqe, shehar aur mulk o millat ke liye baa'is e rahmat o barkat hote hain.

Abu al-'Alaa Hilaal bin Khabbaab bayaan karte hain ke maine Sa'eed bin Jubair (Rahimahullah) se dariyaaft kiya: Aye Abu Abdillah! logon ki halakat o barbaadi ki nashaani kya hai? unhon ne farmaaya:
إذا هـلـك عـلـمـاؤهـم​
"Jab unke Ulama faut ho jaayen."
(Musannaf Ibne Abi Shaibah: 14/38, Wa Sanadahu Sahih)

(Tambeeh: Musannaf ke aksar nuskhon mein "Saabit bin Zaid" hai jo ke khataa hai, sahih "Saabit bin Yazeed" hai aur yeh siqah raawi hain, dekhe "Jaame' Bayan al-'Ilm wa-Fazlih Li Ibne Abdul Bar (1/483)" aur kutub e asma al-rijaal wagerah, neez Abu Usaamah Hammad bin Abi Usaamah Bari Minat Tadlees hain)

Is mein koi shak nahi ke ahadees e mazkoorah mein in umoor ki ittillaa' di jaa rahi hai jo qurb e qayamat waaqi' honge lekin yeh bhi haqeeqat hai ke ilm o ulama ki 'adm maujoodgi mein jahalat ka daur e daurah hota hai jis bina par duniya mein be-rah rawi aur gunaah 'aam ho jaate hain lehaza 'awaam o khawaas aur arbaab hal o aqd ko chahiye ke Ulama e Kiraam ke saamne mushkilaat aur rukawaten khadi karne ke bajaye unki qadr karte huwe deeni mu'aamalaat mein unse ta'awun karen aur jo is duniya se chale gaye hain unhen apni duaon mein hamesha yaad rakhen. (Allah unki maghfirat kare Allah un par raham kare) sath hi ahle ilm ke liye bhi lamha e fikriyah hai ke wo digar masrofiyaat mehdood kar ke tehreer, taqreer aur tadrees ke zariye se doosron tak apna ilm khoob pohchaaiyen taake jab is duniya se rukhsat hon tou kitaabon aur shagirdon ki surat mein sadqa e jaariyah rahe.

Qaht ur-Rijaal ke is daur mein Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zai (Rahimahullah) ki wafaat bahut bada saaniha hai aur yeh silsilah jaari hai kabhi Ustaaz Hafiz Abdul Mannaan Noorpuri (Rahimahullah) ki judaayi tou kabhi Dr. Abdur Rashid Azhar (Rahimahullah) ka hum se bichhadna, lehaza talbaa se guzarish hai ke husool e ilm ke liye sanjeedgi se laayiha e amal tayyar karen.

Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya:
عليكم بالعلم قبل أن يقبض وقبضه ذهاب أهله​
"Ilm uth jaane se pehle haasil kar lo aur is ka uthna Ulama ka faut hona hai."
(Jaame' Bayan al-'Ilm wa-Fazlih Li Ibne Abdul Bar: 1/480, Hadees 1017, Wa Sanadahu Sahih)

Ishaatulhadith Shumara 112, Page 15-16
 

Similar threads


Top