KYA QUR'AAN KO KHUD PARDHNE SE AADMI GUMRAAH HOJAATA HAI ?


KYA QUR'AAN KO KHUD PARDHNE SE AADMI GUMRAAH HOJAATA HAI ?

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Hum Allaah ki Panaah mein aate hain aise Kufriyah jumle se.

• Ye sach hai ke Allaah ke Kalaam ya'ni Qur'aan ki manmaani tafseer wa tashreeh nahin karni chaahiye jaisa ke kuch log apne faayede ke liye karte hai. Irshaad e Baaree (تعالى) hai:

اَفَتَطۡمَعُوۡنَ اَنۡ یُّؤۡمِنُوۡا لَکُمۡ وَ قَدۡ کَانَ فَرِیۡقٌ مِّنۡهُمۡ یَسۡمَعُوۡنَ کَلٰمَ اللّٰہِ ثُمَّ یُحَرِّفُوۡنَهٗ مِنۡۢ بَعۡدِ مَا عَقَلُوۡہُ وَ هُمۡ یَعۡلَمُوۡنَ

"(Musalmaano !) Kya tumhaari khwaahish hai ke ye Log Eemaan waale ban jaayein haalaanke in mein se aise log bhi hain jo Kalaam Allaah ko sunkar Aql wa Ilm waale hote huye phir bhi badal daala karte hain." [1]

• Kuch logon ka da'waa hota hai ke Qur'aan ko seedha (direct) pardhne se gumraah honaate hain aur Jaahil awaam is par yaqeen bhi karleti hai ye aisa ilzaam hai jis se Qur'aan ki takzeeb laazim aati hai ya'ni aisa kehna Qur'aan ki Aayaat ko jhutlaana hai aur Qur'aan ke ek harf maslan ALIF LAAM MEEM mein se ALIF ko bhi jhutlaane waala Kaafir hojaata hai toh kayi Aayaat ka toh sawaal hi paida nahin hota kyunke jab hamaara Eemaan hai ke Qur'aan Allaah ka Kalaam hai, Apne Bandon ke liye Allaah ka Paighaam hai toh jab uske Ek harf ko jhutlaana, uske saare Kalaam ko jhutlaane ke baraabar hai jo ke Kufr e Akbar hai jiski wajah se Insaan Kaafir hojaata hai.

• Allaah (تعالى) ne Qur'aan e Kareem mein irshaad farmaaya:

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم

شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِیۡۤ اُنۡزِلَ فِیۡهِ الۡقُرۡاٰنُ هُدًی لِّلنَّاسِ وَ بَیِّنٰتٍ مِّنَ الۡهُدٰی وَ الۡفُرۡقَانِ

"Ramazaan ka Maheenah woh hai jis mein Qur'aan naazil kiya gaya jo Insaanon ke liye Hidaayat hai aur is (Qur'aan) mein Hidaayat ki waazeh aur Haqq ko baatil se juda karne waali daleelein hain." [2]

• Allaah (تعالى) ne Qur'aan e Hakeem ko Insaanon ke liye Hidaayat ka zariya banaaya hai aur ye Sarkash logon ka kehna hai ke Qur'aan ko seedha (direct) pardhne se Gumraah hojaate hain.

• Ye baat bilkul durust hai ke Qur'aan ke kuch Aayaat Mutashaabihaat hai matlab jinki tashreeh wa ta'beer mein ta'weel ki gunjaaish hai inke maf'hoom ko jaanne ke liye 'Ulamaa hi ki taraf rujoo' karna pardhta hai haalaanke woh log bhi jo ta'weel bataayenge usey bhi sau feesad (100%) saheeh hai nahin kaha jaayega kyunke uska asal matlab sirf Allaah hi ko ma'loom hai.

• Aur Qur'aan ke kuch Aayaat Muhkamaat hain ya'ni woh Aayaat jinke ma'naa sareeh (saaf saaf, waazeh) hain aur in mein ta'weel ki koi zaroorat nahin hain, inko baghair ta'weel ke hi samajha jaa sakta hai. Ulamaa ne logon ki samajh ke hisaab se in Aayaat ki aasaan si tafseer kee hui hai.

• Irshaad e Baaree (تعالى) hai:

هُوَ الَّذِیۡۤ اَنۡزَلَ عَلَیۡكَ الۡکِتٰبَ مِنۡهُ اٰیٰتٌ مُّحۡکَمٰتٌ هُنَّ اُمُّ الۡکِتٰبِ وَ اُخَرُ مُتَشٰبِهٰتٌ ؕ فَاَمَّا الَّذِیۡنَ فِیۡ قُلُوۡبِهِمۡ زَیۡغٌ فَیَتَّبِعُوۡنَ مَا تَشَابَهَ مِنۡهُ ابۡتِغَآءَ الۡفِتۡنَةِ وَ ابۡتِغَآءَ تَاۡوِیۡلِهٖ ۚ؃ وَ مَا یَعۡلَمُ تَاۡوِیۡلَهٗٓ اِلَّا اللّٰہُ ۘ ؔ وَ الرّٰسِخُوۡنَ فِی الۡعِلۡمِ یَقُوۡلُوۡنَ اٰمَنَّا بِهٖ ۙ کُلٌّ مِّنۡ عِنۡدِ رَبِّنَا ۚ وَ مَا یَذَّکَّرُ اِلَّاۤ اُولُوا الۡاَلۡبَابِ

"Wohi hai jisne Aap par Kitaab naazil kee jis mein kuch Aayaat Muhkam (Waazeh) hain jo is Kitaab ki asal bunyaad hain aur kuch doosri Mutashaabihaat (Ghair Waazeh) hain, phir jin logon ke Dil mein Zaygh (kaji, shak) hai woh in mein se unhi Aayaton ke peeche padhey rehte hain jo Mutashaabah (Ghair Waazeh) hain, in (logon) ka maqsad sirf Fitney aur Ta'weel ki talaash hota hai, haalaanke Allaah ke siwa koi bhi in (Mutashaabah Aayaat) ki ta'weel nahin jaanta, aur jo log ilm mein pukhtah hain woh kehte hain: Hamaara in (Mutashaabihaat) par Eemaan hai, ye sab hamaare Rabb hi ki taraf se hain aur Naseehat toh Aqlmand hi haasil karte hain." [3]

• Ma'loom hua ke Qur'aan ke Muhkam Aayaat ko samajhna aasaan hai jisko Allaah ne Qur'aan ki asal bunyaad kaha hai jo ke khule aur saaf saaf hote hain in mein koi ta'weel ki zaroorat nahin pardhti, bohat se Ulamaa e Haqq ke tafaaseer maujood hai jisey aasaani se samjha jaa sakta hai. Irshaad e Baaree (تعالى) hai:

وَلَقَدۡ یَسَّرۡنَا الۡقُرۡاٰنَ لِلذِّکۡرِ فَهَلۡ مِنۡ مُّدَّکِرٍ

"Yaqeenan Humne Qur'aan ko Naseehat ke liye aasaan kardiya hai pas kya hai koi Naseehat haasil karne waala." [4]


• Aur Allaah (تعالى) ne Qur'aan mein kayi jagah farmaaya ke Aql rakhne waale logon ke liye ye Qur'aan Naseehat haasil karne ka zariya hai toh woh logon ka aisa kehna ke Qur'aan ko khud pardhne se Gumraah hojaaoge, Kya ye Qur'aan ko jhutlaana nahin hua ?

وَیُبَیِّنُ اٰیٰتِهٖ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ یَتَذَکَّرُوۡنَ

"Woh apni Aayatein logon ke liye bayaan farma raha hai taake woh Naseehat haasil karey." [5]

یُّؤۡتِی الۡحِکۡمَةَ مَنۡ یَّشَآءُ ۚ وَ مَنۡ یُّؤۡتَ الۡحِکۡمَةَ فَقَدۡ اُوۡتِیَ خَیۡرًا کَثِیۡرًا ؕ وَمَا یَذَّکَّرُ اِلَّاۤ اُولُوا الۡاَلۡبَابِ

"Woh jisey chaahe Hikmat aur Daanaayi deta hai aur jis shakhs ko Hikmat aur Samajh diya jaaye woh bohat saari bhalaayi diya gaya aur Naseehat sirf Aqlmand hi haasil karte hain." [6]

ذٰلِكَ نَتۡلُوۡہُ عَلَیۡكَ مِنَ الۡاٰیٰتِ وَ الذِّکۡرِ الۡحَکِیۡمِ

"Ye jisey Hum tere saamne pardh rahey hain Aayatein hain aur Hikmat waali Naseehat hain." [7]

فَاتَّقُوا اللّٰہَ یٰۤاُولِی الۡاَلۡبَابِ ۬ ۚ ۖ ۛ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا ؕ ۟ ۛ قَدۡ اَنۡزَلَ اللّٰہُ اِلَیۡکُمۡ ذِکۡرًا

"Pas Allaah se daro Aye Aqlmand Eemaan waalo, yaqeenan Allaah ne tumhaari taraf Naseehat utaardi hai." [8]

• Ulamaa ne Qur'aan ki aasaan si tafseer kee hai jisey aasaani ke saath khud padha jaa sakta hai. Jaaiye aur Padhiye.

Note: Qur'aan ko khud ki samajh se manmaani tafseer karne ke liye ye tehreer nahin likhi gayi hai, Qur'aan ko Man'haj e Sahaabah aur Sahaabah ke Fahem aur Ulamaa e Haqq ke samajh ke mutaabiq samajhna chaahiye jaisa ke Mufassireen ne naqal kiya hai. Is tehreer ka matlab bilkul ye nahin ke khud pardhne se muraad khud ki samajh lagaakar pardhna chaahiye. Aisa hargiz nahin hai.

☆ Allaah se du'aa hai ke Aye Allaah ! aisey log jo tere kalaam se awaam ko door kar rahey hain ye kehkar ke Qur'aan ko khud pardhne se Gumraah hojaaoge haalaanke Aapne Qur'aan ko Hidaayat ka zariya banaaya hai usey Gumraahi ka zariya banaakar logon ko Gumraahi ke andheron mein dhakel rahey hain, unhein tabaah wa barbaad kardey.

آمين يا المنّان بديع السموات والأرض يا ذا الجلال والإكرام يا حيّ يا قيّوم

وما عليّ إلا البلاغ، ولله الحمد والمنة و أعلم


《 Muharrir: Abd Al Mudhill Hafizahullah》

(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )
_____________

References:

[1] Soorah No. 2, Al-Baqarah, Aayah: 75.

[2] Soorah No. 2, Al-Baqarah, Aayah: 185.

[3] Soorah No. 3, Aal 'Imraan, Aayah: 7.

[4] Soorah No. 54, Al-Qamar, Aayaat: 17, 22, 32, 40.

[5] Soorah No. 2, Al-Baqarah, Aayah: 221.

[6] Soorah No. 2, Al-Baqarah, Aayah: 269.

[7] Soorah No. 3, Aal 'Imraan, Aayah: 58.

[8] Soorah No. 65, Al-Talaaq, Aayah: 10.
 

Similar threads


Top