Imam Abu Hanifa Rh Aur Imam Auzaai Rh ke Rafadain Ke Munazre Ki Haqiqat


Abdul Adil

Member
_______________________________

Imam Abu Hanifa Rh Aur Imam Auzaai Rh ke Rafadain Ke Munazre Ki Haqiqat

_______________________________

Tahreer :- Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Romanised :- Abdul Adil Ansari

Note :- Urdu Me padhne ke liye is Link par click karen 👇


_______________________________

Imam Abu Hanifa ( المتوفى 150 ) ki wafaat ke taqreeban 150 saal baad pida hone walay Abu Mohammad Abdullah bin Mohammad bin Yaqoob bin al-haris al-haarishi ( 340 المتوفی ) ne kaha 👇

حدثنا محمد بن إبراهيم بن زياد الرازي، حدثنا سليمان ابن الشاذكوني، قال: سمعت سفيان بن عيينة يقول: اجتمع أبو حنيفة والأوزاعي في دار الحناطين بمكة، فقال الأوزاعي لأبي حنيفة: ما بالكم لا ترفعون أيديكم في الصلاة عند الركوع وعند الرفع منه؟ فقال أبو حنيفة: لأجل أنه لم يصح عن رسول الله صلى الله عليه وسلم فيه شيء، فقال: كيف لم يصح وقد حدثني الزهري، عن سالم، عن أبيه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم أنه كان يرفع يديه إذا افتتح الصلاة، وعند الركوع، وعند الرفع منه، فقال له أبو حنيفة: وحدثنا حماد، عن إبراهيم، عن علقمة، والأسود، عن عبد الله بن مسعود، أن رسول الله صلى الله عليه وسلم كان لا يرفع يديه إلا عند افتتاح الصلاة، ولا يعود لشيء من ذلك، فقال الأوزاعي: أحدثك عن الزهري، عن سالم، عن أبيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وتقول: حدثني حماد، عن إبراهيم، فقال له أبو حنيفة: كان حماد أفقه من الزهري، وكان إبراهيم أفقه من سالم، وعلقمة ليس بدون ابن عمر في الفقه، وإن كانت لابن عمر صحبة، فله فضل صحبة، والأسود له فضل كثير، وعبد الله عبد الله، فسكت الأوزاعي.

Tarjuma :- Sufiyan bin ainiya se naqal kiya jata hai ke imam abu hanifa aur imam auzaai Rh mecca mein daar حناطین mein ikhatta huye to imam auzaai rh ne abu hanifa rh se kaha : tum logon ko kya ho gaya hai tum log ruku me jatay waqt aur ruku se uthte waqt rafa dain kyun nahi karte ? to abu hanifa ne jawab diya : is liye ke Allah ke Rasool Saw se is silsilay mein kuch bhi saabit nahi hai. to imam Auzaai Rh ne kaha : kyun nahi saabit hai jab ki mujh se imam zehri ne bayan kya, unhon ne salim se naqal kya unhon ne apne waalid se naqal kiya unhon ne Allah ke Rasool Saw se riwayat kiyaa ki : Aap Saw namaz shuru karte waqt , ruku mein jatay waqt aur ruku se uthte waqt rafa dain karte thay. to imam abu hanifa rh ne kaha : aur hum se Hamad ne bayan kiya, unhon ne ibrahim se riwayat kya, unhon ne Alqamah aur Aswed se naqal kya, unhon ne Abdullah bin Masood Razi Allahu anho se naqal kiya ki Allah ke Rasool Saw sirf namaz shuru karte waqt hi rafa dain karte thay, aur is ke baad aisa kuch bhi nahi karte thay. to imam auzaai Rh ne kaha : mein tumhe zehri an salim an abi annan Nabi Sallallahu alaihi wasallam ke tareeqe se riwayat kar raha hun aur tum Hamad an ibrahim ke tareeq se riwayat kar rahay ho ? to Abu Hanifa rh ne un se kaha : Hamad yeh zehri se ziyada faqih thay aur ibrahim yeh salim se ziyada faqih thay aur Alqamah Ibn Umar Razi Allahu anho se fiqa mein kam nahi grch Ibn Umar Razi Allahu anho sahabi hain aur yeh Sharf inhen haasil hai, aur Abdullah bin Masood razi Allah anho to Abdullah bin Masood razi Allah anho hain. is ke baad imam Auzaai Rh khamosh ho gaye .

[مسند أبي حنيفة للحارثي 1/ 483 رقم 778 ، ط : المكتبة الإمدادية نیز دیکھیں: جامع المسانيد للخوارزمي: 1/ 352 - 353]۔

_______________________________

Tahqeeq :- ye poora waqia jhoota wa man-gharat hai aur sanad is ki silsila jootha hai, is ki sanad mein kayi jhutay Raawi hain jo apne joothe ustad se naqal kar rahay hain tafseel mulahiza ho 👇

_______________________________

Abdulllah bin Mohammad bin Yaqoob bin al-haris al-haarshi par ek najar 👇

musnad abu hanifa lil-haarishi isi badnaseeb ki likhi huyi kitaab hai yeh imam abu hanifa rh ke daur mein paida hi nahi hua tha balki imam abu hanifa rh ki wafaat ke taqreeban 150 saal baad paida huwa aur musnad abu hanifa naam ki kitaab likhi jis mein jhoothe aur khurafaat waqye ka ek majmoa ikhatta kar diya . yeh shakhs jhoota wa kazzab tha aur gair moatabar tha .

_______________________________

Abdulllah bin Mohammad bin Yaqoob bin al-haris al-haarshi Muhaddiseen ki najar me 👇

1) Imaam Abu Jara'a Ahmed bin al-hussein Al-Raaji Rh ( المتوفى375 ) ne kaha 👇

ضعيف

Tarjuma :- Ye Zaif hai .

[سؤالات حمزة للدارقطني: ص: 228]۔

2) Imam Ya Ya'ali alkhalili Rh (المتوفى446 ) ne kaha 👇

يعرف بالأستاذ، له معرفة بهذا الشأن، وهو لين ضعفوه، سمع عبد الصمد بن الفضل البلخي، وأقرانه من شيوخ بلخ وسمع ببخارى، ونيسابور، والعراق، يأتي بأحاديث يخالف فيها، حدثنا عنه الملاحمي، وأحمد بن محمد بن الحسين البصير بعجائب

Tarzuma :- yeh ustaad ke laqab se jana jata hai, usay hadees ki jaankaari thi, lekin yeh kamzor hai ahal sfun ne usay zaeef qarar diya hai, is ne Abdus Samad bin Fazal aur un ke hum asar mein blkh ke mashaiykh se riwayaat Suni , isi terha bukhari, nesabur aur Iraq mein bhi is ne riwayaat sunen, yeh aisi ahadees lata hai jis mein doosri ki mukhalfat hoti hai, is ke waastaa se hamein milahami aur Ahmad Bin Mohammad ne ajeeb wa gharib riwayaat bayan ki hain .

[الإرشاد في معرفة علماء الحديث للخليلي: 3/ 971]۔

3) Khateeb Bagdadi Rh ne kaha 👇

وليس بموضع الحجة

Tarjuma :- Ye is layek nahi ki isse hujjat pakdi jaye .

تاريخ بغداد، مطبعة السعادة: 10/ 126]۔

Khateeb bagdadi Rh ne mazeed kaha 👇

صاحب عجائب ومناكير وغرائب

Tarjuma :- ye azeeb wa gareeb aur munkir bate bayan karta hai

[تاريخ بغداد، مطبعة السعادة: 10/ 126]۔

4) Imam Ibne Jauzi Rh ne kaha 👇

عبد الله بن محمد بن يعقوب البخاري يروي عن العباس بن حمزة قال أبو سعيد الرواس كان يتهم بوضع الحدي

Tarjuma :- Abdullah bin Muhammad bin Yaqoob Al Bukhari ye abbas bin hamzah se riwayat bayan krta hai aur abu sayeed ar-rawas ne kaha ye hadees ghadne me mutham tha .

[الضعفاء والمتروكين لابن الجوزي: 2/ 141]

5) Imam Zahbi rh ne kaha 👇

عبد الله بن محمد بن يعقوب البخاري قال أبو سعيد الرواس يتهم بالوضع

Tarjuma :- Abdullah bin Mohammad Bin Yaqoob ke bare me abu sayeed al-rawas ne kaha ki ye hadees ghadne e mutham hai .

المغني في الضعفاء للذهبي: ص: 36]۔

6) Imam Zahbi Rh ne kaha 👇

عبد الله بن محمد بن يعقوب البخاري الفقيه: يأتي بعجائب واهية.

Tarjuma :- Abdullah Bin Mohammad Bin Yaqoob intehaayi boodi kism ki azeeb wa gareeb bate bayan karta hai .

[ديوان الضعفاء ص: 227]۔

7) Imam Zahbi rh ne kaha 👇

وقال أحمدالسليماني: كان يضع هذا الإسناد على هذا المتن، وهذا المتن على هذا الإسناد، وهذا ضرب من الوضع.

Tarjuma :- Ahmad Sulemani ne kaha ye shaksh ek sanad ko doosri matan par fit kr deta tha , aur doosre matan ko doosri sanad par fit kr deta tha , Imam Zahbi rh kahte hai ye cheej bhi hadees ghadne me shamil hai .

[ميزان الاعتدال للذهبي: 2/ 496]۔

_______________________________

Ab Ayiye Is Sanad ke raawiyon ki tahqeeq karte hai 👇

_______________________________

Pahle Raawi Ki Tahqeeq

_______________________________

Is Hadees ki sanad me ek raawi hai Muhammad Bin Ibraahem bin jyad Ar-Raajj

Haarshi Kazzab ne isi shaksh se mazkoorah riwayat nakal kiya hai aur ye shaksh bhi kazzab ( jhootha ) hai .

_______________________________

Muhammad Bin Ibraahem bin jyad Ar-Raajj Muhaddiseen Ki Adalat me

1) Imam Daraqutni Rahimahullah Ne kaha 👇

محمد بن إبراهيم بن زياد متروك

Tarjuma :- Mohammad Bin Ibraheem Bin Jyad Matrook hai

[تاريخ بغداد، مطبعة السعادة: 1/ 406]

2) Haafiz Ibne Hajar As-kalani Rh nakal karte hai ki 👇

قال الدارقطني أيضًا: دجال يضع الحديث

Tarjuma :- Imam Daraqutni Rahimahullah kahte hai Ye Kazzab hai aur hadees ghadne wala tha .

[لسان الميزان ت أبي غدة 6/ 474]۔

3) Khateeb Bagdadi Rh ne kaha 👇

سألت عنه أبا بكر البرقاني فقال بئس الرجل

Tarjuma :- Maine iske bare me Abu Bakar badalani se poocha to unhone kaha ye bahut bura aadmi hai .

[تاريخ بغداد، مطبعة السعادة: 1/ 406]۔

4) Khateeb Bagdadi Rh ne iski hadees jikr karne ke baad kaha 👇

أراه مما صنعت يداه

Tarjuma :- Main Smajahta hun ki is hadees ko isi ke haanthon ne banaya hai .

[تاريخ بغداد، مطبعة السعادة: 11/ 305]

_______________________________

Doosre Raawi Ki Tahqeeq

_______________________________

Is hadees ki Sanad me doosre raawi ka name hai Suleman Bin Dawd Al- Shajkoni

_______________________________

Suleman Bin Dawd Al- Shajkoni Muhaddiseen Ki Adalat me

1) Imam Ibne Mayeen Rh ne kaha 👇

كذاب عدوالله كان يضع الحديث

Tarjuma :- Ye bahut bada jhootha aur Allah Ka dushman hai . ye hadees ghadta tha .

[الجرح والتعديل لابن أبي حاتم: 4/ 114]۔

2) Imam Ahmad Bin Hambhal Rh ne kaha 👇

من نحو عبد الله بن سلمة الأفطس يعنى انه يكذب

Tarjuma :- Ye Abdullah bin salmah ki tarah hai , yaani ye bhi jhooth bolta hai .

[الجرح والتعديل لابن أبي حاتم: 4/ 114]۔

3) Imam Ibne Adi Rh ne kaha 👇

عندي ممن يسرق الحديث

Tarjuma :- Mere nazdeek ye Hadees chor hai .

[الكامل في ضعفاء الرجال لابن عدي: 4/ 299]۔

_______________________________

Munazre Ke Majamoon Ka Jayeza

_______________________________

sanad mein jo kazzabeen hain un ke ilawa asal waqiye mein bahut hi ajeeb wa gharib baatein hain jo is waqea ke jhoot honay pr mazid Dalalat karti hain maslan 👇

imam Auzaai Rh ko aisi sanad par khamosh zahir kya ja raha jo intehai mardood aur wajeh taur par zaeef hai, chunancha is mein mojood Hamad ikhtilaat ke shikaar hogaye thay aur ikhtilaat se qabal jin logon ne un se riwayat liya hai un mein Abu Hanifa nahi hain, neez khud imam Abu Hanifa Rh ka Hafiza bahut kharab tha imam Ibn Abdul- Barr Rh kahte hain 👇

ولم يسنده غير أبي حنيفة وهو سيء الحفظ عند أهل الحديث

Tarjuma :- Is hadees Ko Imam Abu Hanifa rh ke alawa kisi ne bhi musnad nahi bayan kiya hai , Aur Abu Hanifa rh Muhaddiseen ke nazdeek bade ubekaar hafizah wale the .

[التمهيد لابن عبد البر: 11/ 48]۔

Jis sanad ki ye halat ki Imam Auzaai rh use sun kar khamosh rah sakte hain ?

is waqea mein yeh kaha gaya ke Hamad zehri se ziyada faqih thay halaank yeh safaid jhoot hai .

is terhan is waqea mein kaha gaya ki ibrahim salim se bade faqih the yeh bhi mazhaka khaiz hai .

aur sab se badi jasaarat yeh ke is waqea mein yahan tak keh diya gaya Alqamah ( Tabeyi) Jaleel-ul-Qadr sahabi Ibn Ibne Umar Raji Allah anho se fiqa mein kam tar nahi thay grchh Ibn Umar Raji Allah anho sahabi hain .

yeh sahabi Rasool Ibne Umar Raji Allah anho ki wazeh tauheen hain ke aik Tabeyi ko fiqah mein un ke hum palla qarar diya jaye, agar itni laghu aur be-hooda baat imam Abu Hanifa rh se saabit hoti tab bhi hum usay raddi ki tokri mein pheink dete chaa jaye ki imam Abu Hanifa rh se usay jhutay aur Kazzabeen ne naqal kya hai yani imam Abu Hanifa rh se yeh poori baat saabit hi nahi .

Neez is waqye me ek aur ghap ye dekhiye ki Imam Abu Hanifa Rh se nakal kiya ja raha hai , ki unhone Imam Auzaai rh se kaha 👇

لأنه لم يصح عن رسول الله صلى الله عليه وآله وسلم في ذلك شيء

Tarjuma :- yani hum rafa-Dain is liye nahi karte kyun ki is silsilay mein Allah ke Rasool Saw se kuch bhi saabit nahi .

arz hai ke yeh itna bada ghap hai ke Abu Hanifa rh ke baad aaj tak dunya e hanfiyat mein koi aik bhi Hanfi yeh juraat nah kr saka ki imam Any hanifa rh ki taqleed mein kahe ke rafa dain ke baray mein Aap Saw se kuch bhi saabit nahi balki ahnaaf ki taraf se yahi kaha jata hai ke rafa dain to saabit hai lekin mansookh hai ya aur dosre bahanay .

is jhutay waqea mein khud imam Abu Hanifa rh ki bhi tanqees hai ki kyunkay is waqea mein yeh zahir kiya gaya ki Abu Hanifa rh ke paas rafa-dain se mutaliq Allah Ke Nabi Saw se kuch bhi saabit nahi halakin rafa-dain ki ahadees mutawatar hai aur mutawatar sehat hadees ka sab se aala darja hai yeh darja isi hadees ko milta hai jo bohat ziyada Tiraq se marwi ho yani bohat ziyada mashhoor wa maroof hadees ho aur qatee tor par sahih ho .

ab gaur karen jab imam Abu Hanifa Rh ko itni mashhoor wa maroof aur mutawatar hadees ka bhi pata na tha to deegar ahadees se mutaliq Maosoof ke ilm ka kya haal raha hoga ?

is waqea mein aik aur ajooba yeh bhi dekhye ke aik Ilmi behas mein yeh zahir kya gaya hai ke imam Abu Hanifa rh ne apne ustad imam Auzaai rh ko khamosh kar diya, halaanki haqeeqat yeh ke Ilmi behas mein ustsd to door ki baat khud apne shagird ke samnay bhi imam Abu Hanifa Rh ke lajawab honay ka saboot milta hai.

_______________________________
 

Top