Imam Abu Hanifah Rahimaullah Aur Imam Abdullah Ibne Mubarak Rahimaullah Ke Beech Rafadain Par Munazra


Abdul Adil

Member
Tahreer :- Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Imam Abu Hanifah Rahimaullah Aur Imam Abdullah Ibne Mubarak Rahimaullah Ke Beech Rafadain Par Munazra



أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللهِ الْحَافِظُ، أنبأ الْحَسَنُ بْنُ حَلِيمٍ الصَّائِغُ، بِمَرْوَ ثنا أَبُو الْمُوَجَّهِ، أَخْبَرَنِي أَبُو نَصْرٍ مُحَمَّدُ بْنُ أَبِي الْخَطَّابِ السُّلَمِيُّ، وَكَانَ رَجُلًا صَالِحًا قَالَ: أَخْبَرَنِي عَلِيُّ بْنُ يُونُسَ، ثنا وَكِيعٌ قَالَ: " صَلَّيْتُ فِي مَسْجِدِ الْكُوفَةِ فَإِذَا أَبُو حَنِيفَةَ قَائِمٌ يُصَلِّي، وَابْنُ الْمُبَارَكِ إِلَى جَنْبِهِ يُصَلِّي، فَإِذَا عَبْدُ اللهِ يَرْفَعُ يَدَيْهِ كُلَّمَا رَكَعَ وَكُلَّمَا رَفَعَ، وَأَبُو حَنِيفَةَ لَا يَرْفَعُ، فَلَمَّا فَرَغُوا مِنَ الصَّلَاةِ قَالَ أَبُو حَنِيفَةَ لِعَبْدِ اللهِ: يَا أَبَا عَبْدَ الرَّحْمَنِ، رَأَيْتُكَ تُكْثِرُ رَفْعَ الْيَدَيْنِ، أَرَدْتَ أَنْ تَطِيرَ؟ قَالَ لَهُ عَبْدُ اللهِ: يَا أَبَا حَنِيفَةَ قَدْ رَأَيْتُكَ تَرْفَعُ يَدَيْكَ حِينَ افْتَتَحْتَ الصَّلَاةَ فَأَرَدْتَ أَنْ تَطِيرَ؟ فَسَكَتَ أَبُو حَنِيفَةَ " قَالَ وَكِيعٌ فَمَا رَأَيْتُ جَوَابًا أَحْضَرَ مِنْ جَوَابِ عَبْدِ اللهِ، لِأَبِي حَنِيفَةَ

Tarjuma :- imam waqeey Rahimaullah farmatay hain ke mein ne koofa ki masjid main namaz padhi to wahan abu hanifah Rahimaullah bhi namaz padh rahay thay aur in ke baghal mein imam Abdullah bin mubarak Rahimaullah namaz padh rahe thay to Abdullah bin Mubarak Rahimaullah namaz mein jab bhi ruku mein jatay aur ruku se uthte to rafa dain karte thay, aur Abu Hanifah Rahimaullah rafa dain nahi karte thay jab yeh log namaz se farigh huye to abu hanifah Rahimaullah ne imam Ibn al mubarak Rahimaullah se kaha aie Abu Abdullah ( Ibn al mubarak ) main ne tumhe namaz mein bakasrat rafa dain karte huye dekha kya tum namaz mein udna chaah rahay ho ? is par imam Ibne Mubarak Rahimaullah ne abu hanifah Rahimaullah ko jawab diya ke : aie abu hanifah main ne dekha aap ne namaz ke shuru mein rafa dain kiya to kya aap udna chaah rahay thay ? is jawab par abu hanifah Rahimaullah khamosh ho gaye, imam waqqey farmatay hai. ki main ne imam Ibne Mubarak Rahimaullah se ziyada haazir jawab kisi ko nahi dekha .

Sunan Al Qubra Lil Baihaqi 2/117 Hadees Number 2538 Sanad Saheeh


Ye Waqya bilkul Saheeh Sanad Se Sabit hai . Balki ye Waqya aur bhi Mutaadad Tark se marwi hai dekhiye 👇



( کتاب السنۃ لعبداللہ بن احمد بن حنبل ، ص : 59 ، تاویل مختلف الحدیث لابن قتیبی ، ص : 66 ، سنن بیہقی ، ج : 2 ، ص :82 ، ثقات ابن حبان ، ج : 4 ، ص : 17، تاریخ خطیب ، ج : 13 ، ص :406 ، تمھید لابن عبدالبرج :5 ، ص :66 ، جزءرفع الیدین للبخاری مع جلاءص : 125,123 )


is sahih aur sachey waqea se maloom huwa ki imam abu hanifah Rahimaullah apne shagird Ibne mubarak Rahimaullah ke samnay la-jawab hogaye thay . wazeh rahay ki yahan imam Ibne Mubarak Rehimaullah ne imam abu hanifah ko jo mskt jawab inayat kiya hai woh darasal rafa dain ke khilaaf uthaye jane walay har shubhay ka jawab hai .

aaj imam abu hanifah Rahimaullah ke pairokaar is azeem sunnat ke khilaaf jo bhi aitrazaat paish karte hain un sab ka jawab Abdullah Ibne Mubarak Rahimaullah ki mazkoorah baat me mojood hai jis par imam abu hanifah Rahimaullah bhi mabhoot ho kar rah gaye thay .
zail me tarkin rafa rafadain ke kuch aitrazaat paish kiye jatay hain jo bilkul un ke imam hi ke pesh kardah aitraaz se mlitay jultay hain, neez un sab ka jawab bhi imam Ibn mubarak Rahimaullah ke mskt jawab hi ki terhan hai 👇

mulahiza ho


Aitraz :-

Saheeh muslim ki hadees main rafa dain ko sarkash ghodo ke dum se tashbeeh di gayi hai

jawab:- imam Ibne mubarak Rahimaullah ki zabaan me 👇

to phir takbeer E Tahrima walay rafa rafadain ke baray main kya khayaal hai ?

Aitraz :-

koi aisi hadees pesh karen jis main yeh likha ho ki tahyat rafa Dain karna hai .

jawab :- imam Ibne mubarak Rahimaullah ki zabaan main 👇

koi aisi hadees paish krin‌ jis mein Takabeer E Tahrima walay rafa dain se mutaliq taa hayaat ki Sarahat ho .

Aitraz :-

koi aisi hadees paish karen jis mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne hukum diya ho ki rafa dain karo .

jawab :- imam Ibne Mubarak Rahimaullah ki zabaan main 👇

koi aisi hadees paish karen jis mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne hukum diya ho ki Takabeer E Tahrima ke waqt rafa dain karo .

Aitraz :-

agar koyi rafa dain nahi kere to is ki namaz hoti hai ya nahi ?

jawab :- imam Ibne mubarak Rahimaullah ki zubaan main 👇


agar koi Takabeer E Tahrima wala rafa Dain na kare to is ki namaz hoti hai ya nahi .

Aitraz :-

rafa dain wajib farz hai ya sunnat ?

jawab :- imam Ibne mubarak Rahimaullah ki zubaan main 👇

Takbeer E Tahrima wala rafa Dain wajib farz hai ya sunnat ?


فماکان جوابکم فهوجوابنا
 

Top