IMAM BUKHARI R.A ki JUZ'UL QIRA'T, JUZ'UL RAFA'EDAIN aur MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI


IMAM BUKHARI R.A ki JUZ'UL QIRA'T, JUZ'UL RAFA'EDAIN aur MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI


IMAM BEHAQI R.A (458h) famaty hain:
Kay meine KITAB'UL QIRA'T KHALF'UL IMAM jo IMAM BUKHARI R.A ki tasneef hai, mein parha hai.
(Kitab'ul Qira't safa 69)

Ek jaga likhty hain:
Kay IMAM BUKHARI R.A ne KITAB'UL QIRA'T KHALF'UL IMAM mein farmaya aur yehi baat unho ne ba'takrar kahi.
(Kitab'ul Qira't safa 37,44,49,54,62)

IMAM BEHAQI R.A se pehle MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI se ye KITAB riwayat karny waly MUHAMMAD BIN AHMED BIN AL-MALAHIMI (395h) kay bary mein HAFIZ ZEHBI R.A ne likha hai:
Kay IMAM MUHADIS AL-MALAHIMI ne nisapur aur baghdad mein MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI se KITAB'UL QIRA'T aur KITAB RAFA'EDAIN ka dars dya, yehi kuch unho ne Tareekh'ul Islam mein (395h) kay ayam mein safa 319 mein zikar kya hai, balky inse qabal KHATEEB R.A ne yehi kuch (Tareekh Baghdad jild 1 safa 350) aur ILAMA AL-SUMANI R.A ne (Al-Ansaab jild 5 safa 432) mein naqal ki hai.

MUHADIS AL-MALAHIMI in dono ka dars nisapur aur baghdad mein dete thy, koi nahi kehta kay ye tu unki kitabein he nahi.

IMAM AL-MALAHIMI se kitab ka SAMA aur RIWAYAT karny walo mein ABDUL KAREEM BIN ALI ABU'TAMAM AL-HASHMI hain jo IMAM KHATEEB BAGHDADI R.A kay USTAD hain.

IMAM KHATEEB BAGHDADI R.A farmaty hain:
Kay hum ne in (ABDUL KAREEM BIN ALI ABU'TAMAM AL-HASHMI) se IMAM BUKHARI R.A ki tasneef KITAB'UL QIRA'T KHALF'UL IMAM ka sama kya. ABDUL KAREEM kay bhai ka naam ABDUL SAMAD BIN ALI aur kuniyat ABU'AL-GANAIM hai wo bhi IMAM AL-MALAHIMI se is kitab kay rawi hain aur unhi kay wasty se is kitab ki SANAD HAFIZ IBN'E HAJAR R.A tak pohnchi aur unho ne iski riway'aat zikr ki hain, Mulahiza ho (Nata'ejul Afkar jild 2 safa 18) (Fatah'ul Bari jild 2 safa 119,227,228,229,242,245,269)

Ise tarha (Muwafiqa Al-Khabar jild 1 safa 417,421) ILAMA IBN'E JUZI R.A ne bhi ABDUL SAMAD ABU'AL-GANAIM kay wasty se JUZ'UL QIRA'T se riwayat li hai, Mulahiza ho (Al-Tehqeeq jild 1 safa 367), ne'yaz is kay sath (Tanqeh Ahadees Al-Taleeq La Bin Abdul Hadi jild 1 safa 378) aur (Tanqeh Al-Tehqeeq Li'Zehbi jild 1 safa 155) Mulahiza farmaly.

ILAMA ZELI R.A ne tu ise JUZ'UL QIRA'T ki ahmiyat ki bina per (Nasb'ul Riya jild 2 safa 19,20,21) mein iski TALKHEES paish kardi, ILAMA AINE R.A bhi isay IMAM BUKHARI R.A ki kitab qarar dete hain (Umda'ul qari jild 2 safa 14), ILAMA AL-MEZI R.A ne Tehzeeb'ul kamal kay muqadma jild 1 safa 26 mein isay IMAM BUKHARI R.A ki kitab qarar dya hai aur jabja iski riway'aat bhi zikr ki hain, IMAM IBN'E ADI R.A (365h) ne (Al-kamil jild 4 safa 1437) mein IMAM BUKHARI R.A ki SANAD se HAZRAT ABU SAEED AL-KHAZRI R.Z ka asar naqal kya hai (kay unse QIRA'T KHALF'UL IMAM kay bary mein sawal kya gaya tu unho ne farmaya: han SURAH FATIHA parhi jae) jisay (Juz'ul Qira't safa7) mein dekha ja sakta hai.

MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI 332h mein faut hue jab kay IMAM IBN'E ADI R.A 277h mein paida hue jis se bazhir yehi sabit hota hai kay IMAM IBN'E ADI R.A ne IMAM BUKHARI R.A ki JUZ'UL QIRA'T ka sama bawasta MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI he hai. IMAM IBN'E ADI aur AL-MALAHIMI kay ilawa HAFIZ ABU AL-ABBAS AHMED BIN MUHAMMAD BIN AL-HUSSAIN bhi shagird rashed hain jaisa kay (Al-Tazkr'a jild 3 safa 1079) aur (Al-irshad Al-khaleli jild 3 safa 974) mein mazkor hai.

Islye MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI ko majhol kehna ghalat hai,

IMAM IBN'E ADI R.A, IMAM BEHAQI R.A aur degar tamam mutakhiren ka JUZ'UL QIRA'T ki riway'aat per itemad is baat ka saboot hai kay MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI naqably itemad nahi, ILAMA ZEHBI R.A ne Tareekh'ul Islam safa 83 mein 332h kay ahwal mein MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI ka tazkra kya hai aur farmaya hai:
Kay isne IMAM BUKHARI R.A aur IMAM YAZEED BIN HAROON kay shagird MUHAMMAD BIN AL-HASSAN BIN JAFAR se sama kya hai, AHADEES biyan ki hain aur lambi umar pae hai.

HAFIZ AL-KHALELI R.A ne ise MUHAMMAD BIN AL-HASSAN kay tarjumay mein likha hai:
(Al-irshad Al-khaleli jild 3 safa 968)
In sub se akhir mein MEHMOOD BIN ISHAQ AL-QAWASI AL-BUKHARI riwayat karty hain jisne BUKHARI mein sub se akhir mein IMAM BUKHARI R.A se AJZ'A, JUZ'UL QIRA'T, JUZ'UL RAFA'EDAIN ki riway'aat ki hain, Yad rahe kay HAFIZ KHALELI R.A, IMAM MUHAMMAD BIN AHMED AL- MALAHIMI kay shagird hain aur unhe kay wasty se MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI se IMAM SALEH ZARA R.A ki munqbat mein ek waqia biyan karty hain (Al-irshad Al-khaleli jild 3 safa 967) zahir hai kay IMAM MALAHIMI se unho ne JUZ'UL QIRA'T ka bhi sama kya hoga jaisa kay MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI kay bary mein unho ne JUZ'UL QIRA'T ka rawi hona zikr kya hai.

Ab INSAAF shart hai kay:

IMAM IBN'E ADI R.A
IMAM BEHAQI R.A
IMAM KHATEEB BAGHDADI R.A
HAFIZ AL-KHALELI R.A
ILAMA IBN'E JUZI R.A
ILAMA IBN'E ABDUL HADI R.A
ILAMA AL-SUMANI R.A
ILAMA AL-MEZI R.A
HAFIZ ZEHBI R.A
ILAMA ZELI R.A
ILAMA AINE R.A
ILAMA IBN'E QAIEM R.A
ILAMA IBN'E AL-MALQAN
ILAMA IBN'E RAJAB R.A (Sharah Al-Termizi jild 2 safa 879)

HAFIZ IBN'E HAJAR R.A aur degar mutakhiren KITAB'UL QIRA'T per itemad karein us se aqwal aur riway'aat naqal karein balky HAFIZ IBN'E HAJAR R.A MEHMOOD BIN ISHAQ AL-KHAZAI kay wasty se riwayat zikr kar kay usay hassan qarar dein, magar us kay bawajod KITAB'UL QIRA'T IMAM BUKHARI R.A ki kitab qarar na pae?


JUZ'UL RAFA'EDAIN
Isay IMAM BUKHARI R.A ne apni kitab JUZ'UL RAFA'EDAIN mein MUHAMMAD BIN MAQATIL ki SANAD se naqal kya hai.
(Tanqeh Al-Tehqeeq Fi Ahadees Al-Taleeq 139)
Amir Adnan
Active member
Nov 18, 2016
#2
Umdah jazakallahu khairan
Is muta'alliq ek tahreer jo ki aap ki tahreer se mukhtalif hai isiliye soch raha hu ki use bhi yahi post kar dun
Amir Adnan
Active member
Nov 18, 2016
#3
ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

KYA JUZZ AL RAFUL YADAIN AUR JUZZ AL QIRAT IMAM BUKHARI RH KI KITAB NAHI HAI?EK AITERAZ AUR USKA JAIZAH



IS TAHREER KO URDU ME PADHNE KE LIYE YAHA'N CLICK KARE'N


Baaz logo’n ko ye kehte hue suna gaya hai ki ye KITABE’N IMAM BUKHARI RH se SAABIT nahi hai



In logo’n ke is AITERAZ ki BUNIYAAD ye hai ki in dono KITAB ki SANAD me ek RAAWI “MAHMOOD BIN IS’HAAQ ALBUKHARI ALKHAZAA’E ALQAWAAS RAHIMAULLAH ( محمود بن اسحاق البخاري الخزاعي القواس) hain aur in par ye AITERAZ kiya jaata hai ki ye MAJHOOL hain aur isi bina par ye kaha jaata hai ki ye IMAM BUKHARI RH ki KITAAB nahi hai



IN SHA ALLAH AAJ IS POST ME IS RAAWI KE BAARE ME TAFSEELI GUFTUGU HOGE



Chunancha ab MAHMOOD BIN IS’HAAQ RAHIMAULLAH ki SAREEH aur GHAIR SAREEH TAUSEEQ ke HAWAALE PESH E KHIDMAT hain



HAAFIZ IMAM IBN HAJAR ASQALANI RH ne MAHMOOD BIN IS’HAAQ ki BAYAN KARDAH ek RIWAYAT ko “HASAN” QARAR diya hai



[[ MAWAFIQATUL KHABAR UL KHABAR JILD 1 SAFA 417 ]]



SCAN


TAMBIYAH:- RAAWI ki MUNFARID RIWAYAT ko SAHEEH ya HASAN kehna us RAAWI ki TAUSEEQ hoti hai



[[ AN NASBUR RA’YAH JILD 1 SAFA 149,JILD 3 SAFA 264 ]]



SCAN


ALLAMA NAWWI RH se JUZZ AL RAFUL YADAIN se ek RIWAYAT BATAUR E JAZAM NAQAL ki likhte hain



وروي البخاري في كتاب رفع اليدين باسناده الصحيح عن نافع



Ki IMAM BUKHARI RH ne apni KITAB ” RAFUL YADAIN ” me NAAFE se SAHEEH SANAD ke sath RIWAYAT kiya hai



[[ ALMAJMOO’A SHARAH AL MUHAZZAB JILD 3 SAFA 405 ]]



SCAN


MALOOM hua ki IMAM NAWWI RH JUZZ RAFUL YADAIN ko IMAM BUKHARI RH ki SAHEEH wa SAABIT KITAB samajhte the



IMAM IBN MULAQQAN RH ne JUZZ RAFUL YADAIN se ek RIWAYAT BATAUR E JAZAM NAQAL ki likhte hain



وروي البخاري ايضاً في كتاب رفع اليدين باسناد صحيح



Ki IMAM BUKHARI RH ne isko apni KITAB ” RAFUL YADAIN ” me bhi SAHEEH SANAD ke sath RIWAYAT kiya hai



[[ AL BADAR UL MUNEER JILD 3 SAFA 478 ]]



SCAN


IMAM ZAYLI HANAFI RH ne JUZZ RAFUL YADAIN se BATAUR E JAZAM RIWAYAT NAQAL ki likhte hain



وذكر البخاري الأول معلقاً في كتابه المفرد في رفع اليدين



Ki aur BUKHARI RH ne pehle MUALLAQAN apni KITAB ” RAFUL YADAIN ” me MUFRAD ZIKR kiya hai



[[ AN NASBUR RA’YAH JILD 1 SAFA 390,393,395 ]]



SCAN


IMAM BAIHAQI RH ne MAHMOOD BIN IS’HAAQ ki RIWAYAT KARDAH KITAB JUZZ AL QIRAT LIL BUKHARI ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain



البخاري في كتاب القرأءة خلف الإمام



Ki IMAM BUKHARI RH ne apni KITAB ” RAFUL YADAIN ” me farmaya



[[ QIRAT KHALF UL IMAM SAFA 23 HADEES 28 ]]



SCAN


IMAM MIZZI RH ne JUZZ AL QIRAT ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain



روي له البخاري في كتاب القراءة خلف الإمام



Ki IMAM BUKHARI RH ne apni KITAB ” QIRAT KHALF UL IMAM ” me RIWAYAT kiya



[[ TAHZEEB UL KAMAL JILD 14 SAFA 67 ]]



SCAN


IMAM AINI HANAFI RH ne JUZZ RAFUL YADAIN ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain



وقال البخاري في كتابه رفع اليدين في الصلاة



Ki IMAM BUKHARI RH ne apni KITAB ” RAFUL YADAIN FIS SALAAT ” me farmaya



[[ UMDAT UL QARI JILD 5 SAFA 272 HADEES 735 ]]

[[ SHARAH SUNAN ABU DAWOOD 3 SAFA 250 HADEES 732 ]]

[[ MA’AANI UL AKHBAR JILD 3 SAFA 476 ]]



SCAN


IMAM BADRUDDIN MUHAMMAD BIN BAHADUR BIN ABDULLAH AZ ZARKASHI RH ne JUZZ mazkoor ko BATAUR E JAZAM NAQAL kiya hai likhte hain



البخاري روي في كتابه المفرد في رفع اليدين



Ki IMAM BUKHARI RH ne apni KITAB ” RAFUL YADAIN ” me MUFRAD RIWAYAT kiya hai



[[ AL BAHRUL MUHEET FI USOOL UL FIQH JILD 6 SAFA 156 ]]



SCAN


IMAM MUHAMMAD AZ ZARQAANI RH ne ” JUZZ AL QIRAT ” ko IMAM BUKHARI RH se BATAUR E JAZAM NAQAL kiya hai likhte hain



البخاري في جزء القراة



Ki IMAM BUKHARI RH ne apni KITAB ” JUZZ AL QIRAT ” me kaha



[[ SHARAH AZ ZARQAANI ALAL MU’ATTA JILD 1 SAFA 158 ]]



SCAN


IMAM SUYUTI RH ne JUZZ RAFUL YADAIN ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain



قال البخاري في كتاب رفع اليدين في الصلاة



Ki IMAM BUKHARI RH ne apni KITAB ” RAFUL YADAIN FIS SALAAT ” me farmaya



[[ FIZ UL WA’AA FI AHADEED RAFUL YADAIN BID DUAA SAFA 5 ]]



SCAN


IMAM ZAHBI RH likhte hain



رواهُ (خَ) فِي كتابِ ” رفعِ الْيَدَيْنِ ” نَا محمدُ بنُ مقَاتل عَنهُ.



Ise (خ) ya’ni IMAM BUKHARI RH ne apni KITAB RAFUL YADAIN me MUHAMMAD BIN MAQAATIL ki SANAD se NAQAL kiya hai



[[ TANQEEH UT TAHQEEQ JILD 1 SAFA 170 ]]



SCAN


NOTE>> YAHA (خ) SE MURAAD IMAM BUKHARI RH HAIN



IMAM ALAUDDIN MUGHALTAAYI RH ne ” JUZZ AL QIRAT ” ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain



قال البخاري في كتاب قراءة خلف الإمام



Ki IMAM BUKHARI RH ne apni KITAB ” QIRAT KHALF UL IMAM ” mee farmaya



[[ SHARAH SUNAN IBN MAAJAH SAFA 1414 ]]



SCAN


AAL E DEOBAND WA AALE BARELWI AUR AAL E TAQLEED KE KAYI ULAMA NE JUZZ RAFUL YADAIN AUR JUZZ AL QIRAT KO BILJAZAM IMAM BUKHARI RH SE NAQAL KAR RAKHA HAI JINME SE BAAZ HAWAALE MULAHIZAH HO’N



MUHAMMAD BIN ALI NEMWI HANAFI ne JUZZ RAFUL YADAIN ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain



رواه البخاري في جزء رفع اليدين واسناده صحيح



Ki IMAM BUKHARI RH ne isko apni KITAB ” JUZZ RAFUL YADAIN ” me RIWAYAT kiya hai aur iski SANAD SAHEEH hai



[[ AASAAR US SUNAN SAFA 169 ]]



SCAN


MAULANA SOOFI ABDUL RAHMAN KHAN SAWAATI DEOBANDI ne JUZZ RAFUL YADAIN ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain ki



” QUNOOT E WITR me RAFUL YADAIN ke silsila me IMAM BUKHARI RH apne RISAALAH ” JUZZ RAFUL YADAIN ” me HAZRAT ABDULLAH BIN MAS’OOD RAZIALLAHU ANHU se SANAD SAHEEH ke sath NAQAL karte hain ”



[[ NAMAZ E MASNOON KALAA’N SAFA 646 ]]



SCAN


FAIZ AHMAD MULTANI DEOBANDI ne JUZZ AL QIRAT KHALF UL IMAM ko BATAUR E JAZAM NAQAL kiya hai likhte hain ki



” IMAM BUKHARI RH ne ” JUZZ AL QIRAT ” SAFA 11 par farmaya ”



[[ MUDALLAL NAMAZ SAFA 118 ]]



SCAN


MAULANA JAMEEL AHMAD NAZEERI DEOBANDI ne JUZZ RAFUL YADAIN ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain ki



” yahi baat IMAM BUKHARI RH ne apne RISAALAH ” RAFUL YADAIN ” me SAFA 24 par bhi likhi hai ”



[[ RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA TAREEQA E NAMAAZ SAFA 227 ]]



SCAN


MAULANA SARFARAZ KHAN SAFDAR DEOBANDI ne JUZZ RAFUL YADAIN ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain ki



” QUNOOT ke waqt RAFUL YADAIN ka SUBOOT IMAM BUKHARI RH ki KITAB ” JUZZ RAFUL YADAIN ” ke SAFA 28 me hai ”



[[ KHAZAIN US SUNAN JILD 1 SAFA 416 ]]



SCAN


ALI MUHAMMAD HAQQANI DEOBANDI ne JUZZ RAFUL YADAIN ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai



[[ NABWI NAMAZ (SINDHI) JILD 1 SAFA 292 ]]



SCAN NOT AVAILABLE



GULAAM MUSTAFA NOORI BARELWI ne JUZZ MAZKOOR ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai ek RIWAYAT NAQAL karne ke baad likhte hain ki



” IMAM BUKHARI RH ne apni KITAB JUZZ RAFUL YADAIN me safa 56 par likha ”



[[ NAMAZ NABWI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM SAFA 162 ]]



SCAN


MAULANA GULAAM MURTAZA SAAQI BARELWI ne JUZZ RAFUL YADAIN ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain ki



” IMAM BUKHARI RH ne bhi ye RIWAYAT NAQAL ki hai jisme sirf 2 jagah par RAFUL YADAIN karne ka ZIKR hai “JUZZ RAFUL YADAIN ” safa 68 ”



[[ MASLA RAFUL YADAIN SAFA 26 ]]



SCAN


ABU YOOSUF MUHAMMAD WALI DARWESH DEOBANDI ne JUZZ MAZKOOR ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai



[[ PAIGAMBAR E KHUDA SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM (PASHTO) SAFA 414 ]]



SCAN NOT AVAILABLE



ABDUL SHAKOOR QAASMI DEOBANDI ne bhi JUZZ RAFUL YADAIN ko BATAUR E JAZAM IMAM BUKHARI RH se NAQAL kiya hai likhte hain ki



” isko IMAM BUKHARI RH ne RIWAYAT kiya hai apni KITAB ” JUZZ RAFUL YADAIN ” me aur iski SANAD SAHEEH hai ”



[[ KITAB US SALAT SAFA 113 ]]



SCAN


In sab ne JUZZ AL QIRAT YA JUZZ RAFUL YADAIN ke HAWALE BATAUR E JAZAM wa BATAUR HUJJAT NAQAL kiye hain aur baaz ne to RAFUL YADAIN se MUZKOOR ek RIWAYAT ko SAHEEH SANAD QARAR diya hai



Hamare ILM ke MUTABIQ MAHMOOD BIN IS’HAAQ par kisi MUHADDIS ya MUSTANAD AALIM ne koi JARAH nahi ki aur unki BAYAN KARDAH KITABO’N aur RIWAYATO’N ko SAHEEH QARAR dena ya BILJAZAM ZIKR karna ( inpar JARAH na hone ki HAALAT me ) is baat ki DALEEL hai ki wo MAZKOORAH tamam ULAMA wa GHAIR ULAMA ke NAZDEEQ SIQAA wa SUDOOQ the , Lehaza JUZZ AL QIRAT aur JUZZ RAFUL YADAIN dono KITABE’N IMAM BUKHARI RH se SAABIT hain aur 14wi 15wi SADEE ke BA’AZ UN NAAS ka in KITABO’N par TA’AN wa AITERAZ MARDOOD hai



BA’AZ UN NAAS KI JIHALAT YA TAJAAHIL KA RADD



14wi 15wi SADEE ke BA’AZ UN NAAS ne MAHMOOD BIN IS’HAAQ ALBUKHARI RH ko MAJHOOL keh diya hai HAALA’N ki 7 RAAWIYO’N ki RIWAYAT , HAAFIZ IBN HAJAR RH aur DEEGAR ULAMA wa GHAIR ULAMA ki TAUSEEQ ke baad MAJHOOL kehna yaha’n BAATIL wa MARDOOD hai. Hamare ILM ke MUTABIQ 332 HIJRI me WAFAAT paane waale MAHMOOD BIN IS’HAAQ ko kisi MUHADDIS ya MUSTANAD AALIM ne MAJHOOL UL AIN ya MAJHOOL UL HAAL (MASTOOR) nahi kaha



IMAM HAAFIZ ZAHBI RH likhte hain



محمود بن إسحاق البخاري القواس.

سمع من: محمد بن إسماعيل البخاريّ، ومحمد بن الحسن بن جعفر صاحب يزيد بن هارون.

وحدَّث، وعُمِّر دهرا.

أرخه الخليلي، وقال: ثنا عنه محمد بن أحمد الملاحميّ.



Ki MAHMOOD BIN IS’HAAQ AL BUKHARI ALQAWAAS: inhone MUHAMMAD BIN ISMA’EEL AL BUKHARI aur YAZEED BIN HAROON ke SHAGIRD MUHAMMAD BIN HASAN BIN JA’AFAR se suna,HADEESE’N BAYAN ki’n aur ek (TAWEEL) ZAMAANAH ZINDAH rahe ,KHALEELI ne inki TAREEKH E WAFAAT BAYAAN ki aur farmaya hume MUHAMMAD BIN AHMAD AL MULAHAMEE (الملاحمی) ne inse HADEES BAYAN ki hai



[[ TAREEKH UL ISLAM JILD 25 SAFA 83 ]]



SCAN


USOOL E HADEES ka MASH’HOOR MASLA hai ki jis RAAWI se 2 ya ZYADAH SIQAA RAAWI HADEES BAYAN kare’n to wo MAJ’HOOL UL AIN (MAJ’HOOL) nahi hota aur agar aise RAAWI ki TASEEQ MAUJOOD na ho to MAJ’HOOL UL HAAL (MASTOOR) hota hai CHAND HAWALE DARJ ZAIL HAIN



IMAM KHATEEB BAGDADI RH likhte hain



وَأَقَلُّ مَا تَرْتَفِعُ بِهِ الْجَهَالَةُ أَنْ يَرْوِيَ عَنِ الرَّجُلِ اثْنَانِ فَصَاعِدًا مِنَ الْمَشْهُورِينَ بِالْعِلْمِ كَذَلِكَ



Ki aur AADMI ki JIHALAT (MAJ’HOOL UL AIN hona) KAM AZ KAM isse KHATM ho jati hai ki usse ILM ke sath MASH’HOOR 2 ya ZYADAH RAAWI RIWAYAT BAYAN kare’n,isi TARAH hai



[[ ALKIFAYAH FI ILM UL RIWAYAH SAFA 88 ]]

[[ WAL LAFZ LAHU SHARAH MULLA ALI QAARI ALA NAZHATUN NAZAR SHARAH NUKHBATUL FIKAR SAFA 517 ]]



SCAN


IMAM IBN SALAAH RH farmate hain



ومن روي عنه عدلان وعيناه فقد ارتفعت عنه هذه الجهالة



Ki aur jisse 2 SIQAA RIWAYAT kare’n aur uska (naam lekar) TA’EEN kar de’n to usse ye JIHALAT (MAJHOOL UL AIN hona) khatm ho jaati hai



[[ MUQADDAMA IBN SALAAH SAFA 112 ]]

[[ SHARAH MULLA ALI QARI SAFA 517 ]]



SCAN


IMAM ZAHBI RH USAAMAH BIN HAFS ke baare me likhte hain



ليس بمجهول فقد روي عنه أربعة



Ki wo MAJHOOL nahi q ki usse 4 RAAWIYO’N ne RIWAYAT BAYAN ki hai



[[ HADIYUS SAARI SAFA 408 ]]



SCAN


TAMBIYAH:-YE IBARAT IS SYAAQ KE SATH MEEZAN UL AITEDAL KE MAT’BOOA NUSKHO’N SE GIR GAYI HAI



IMAM IBN TAIMIYAH RH ke MUKHALIF ALI BIN ABDUL KAAFI AS SUBKI RH ne AILAANIYAH likha hai



وبروابة اثنين تنتفي جهالة العين فكيف برواية سبعة



Ki 2 ki RIWAYAT se JIHALAT E AIN MURTAF’A (ya’ni khatm) ho jati hai,lehaza 7 ki RIWAYAT se kis tarah RAF’A na hogi



[[ SHIFA US SIQAAM SAFA 98 ]]



SCAN


IMAM IBN ABDIL BARR RH ek RAAWI ABDUL RAHMAN BIN YAZEED BIN UQBAH BIN KAREEM AL ANSARI ALSUDOOQ ke baare me likhte hain



وَقَدْ رَوَى عَنْهُ ثَلَاثَةٌ وَقَدْ قِيلَ رَجُلَانِ فَلَيْسَ بِمَجْهُولٍ



Ki usse 3 ya 2 AADMIYO’N ne RIWAYAT BAYAN ki , lehaza wo MAJ’HOOL nahi hai



[[ AL ISTIZKAAR JILD 2 SAFA 153 ]]



SCAN


IMAM ABU JA’FAR AN NAHAAS RH farmate hain



ومن روي عنه اثنان فليس بمجهول



Ki aur jisse 2 RIWAYAT kare to wo MAJ’HOOL nahi



[[ AL NAASIKH WAL MANSOOKH SAFA 47 ]]



SCAN


ALLAMA AINI HANAFI RH ek RAAWI (ABU ZAID) ke baare me farmate hain



والجهالة عند المحدثين تزول برواية اثنين فصاعدا، فأين الجهالة بعد ذلك؟! إلَّا أن يراد جهالة الحال؛



Ki aur MUHADDISEEN ke NAZDEEQ 2 ya ZYADAH ki RIWAYAT se JIHALAT KHATM ho jati hai , lehaza iske baad JIHALAT kaha’n rahi ? Ilaa ye ki isse JIHALAT E HAAL MURAAD li jaaye



[[ SHARAH MA’AANI UL AASAR LIL AINI JILD 2 SAFA 282 ]]



SCAN


Isi tarah ke aur bhi bahut se HAWAALE hain dekhiye



[[ LISAAN UL MEEZAN JILD 2 SAFA 226 ]]

[[ MAJMA UZ ZAWAID JILD 1 SAFA 362 ]]



ZAFAR AHMAD THANWI DEOBANDI “AAISHAH BINT AJRAD (عائشة بنت عجرد) ” ke baare me ek USOOL likhte hain



وليس بمجهول من روي عنه اثنان



Ki aur jisse 2 SIQAA RAAWI RIWAYAT BAYAN karen to wo MAJ’HOOL nahi hota



[[ A’ALAA US SUNAN JILD 2 SAFA 207 ]]



SCAN


TAMBIYAH:-ISKE BAAD وعرفها يحيي بن معين فقال : لها صهبة ” waali IBAARAT ALAAHIDAH hai aur iska is USOOL se koi TAKRAAO nahi hai



ZAFAR AHMAD THANWI DEOBANDI MAZEED farmate hain



برواية عدلين ترتفع جهالة العين عند الجمهور ولا تثبت به العدالة



Ki JAM’HOOR ke NAZDEEQ 2 SIQAA RAAWIYO’N ki RIWAYAT se JIHALAT E AIN KHATM ho jati hai aur isse ADAALAT (RAAWI KI TAUSEQ) SAABIT nahi hoti



[[ A’ALAA US SUNAN JILD 19 SAFA 213 ]]

[[ QAWAID FI ULOOM UL HADEES SAFA 130 ]]



SCAN


MAULANA ABDUL QAYYOOM HAQQANI DEOBANDI ek RAAWI ke baare me likhte hain ki



” iske jawab me SHARIHEEN E HADEES farmate hain ki inka naam YAZEED hai aur inse 3 RAAWI RIWAYAT karte hain aur QAAIDE ke MUTABIQ jis SHAKS se RIWAYAT karne waale do ho’n uski JIHALAT RAF’A ho jati hai ”



[[ TAUZEEH US SUNAN JILD 1 SAFA 571 ]]

[[ NEZ DEKHIYE TAUZEEH US SUNAN JILD 2 SAFA 605 ]]



SCAN


MAULANA MUHAMMAD TAQI USMANI DEOBANDI ek MAJ’HOOL UL HAAL RAAWI ABU AAISHAH par AITERAZ ka JAWAB dete hue likhte hain ki



” aur USOOL E HADEES me ye baat tay ho chuki hai ki jis SHAKS se do RAAWI RIWAYAT kare’n uski JIHALAT MURTAF’A ho jati hai , lehaza JIHALAT ka AITERAZ durust nahi aur ye HADEES HASAN se KAM nahi ”



[[ DARS E TIRMIZI JILD 2 SAFA 315,316 ]]



SCAN


MAULANA ABDUL HAQ HAQQANI AKODWI DEOBANDI ek RIWAYAT me MAJ’HOOL waale AITERAZ ke baare me likhte hain ki



” to iska JAWAB ye hai ki MAJ’HOOL ki 2 QISM hain (1) MAJ’HOOL ZAAT ((2) MAJ’HOOL SIFAAT jab kisi RAAWI ne RIWAYAT me حدثنی رجل keh diya aur wo رجل MALOOM nahi to ye MAJ’HOOL ZAAT hai agar aise GHAIR MALOOM RAJUL se 2 SHAGIRD jo SIQAA AADIL TAAM UZ ZABAT ho’n aur UMMAT ko un par AITEMAD ho ) RIWAYAT NAQAL kar de’n to aise 2 TALAMIZAH ka ek USTAAD se RIWAYAT NAQAL karna goya USTAAD (RAJUL MAJ’HOOL) ki SIQAAHAT ki SHAHADAT hai q ki BAKAMAAL TALAAMIZAH BEKAMAAL USTAAD se kabhi bhi SABAQ HAASIL nahi karte ”



[[ HAQAIQ US SUNAN SHARAH JAAME US SUNNAN LIT TIRMIZI SAFA 206 ]]



SCAN


MAULANA AHMAD HASAN SAMBHLI TAQLEEDI DEOBANDI MUZAFFAR NAGRI ne IMAM IBN ABI SHAIBA ke (APNE MAZ’OOM IMAM PAR) pehle AITERAZ ke JAWAB me likhte hain ki



” PAS jab 2 SHAKSO’N ne unse RIWAYAT ki to JIHALAT MURTAF’A ho gayi su ye MA’ROOF SHUMAR honge jaisa ki ye QAAIDAH USOOL E HADEES me SABIT ho chuka hai ”



[[ AJOOB UL LATEEFA AN BA’AZ RADD IBN ABI SHAIBA AL ABI HANIFA SAFA 18,19 ]]

[[ TARJUMAN E AHNAF SAFA 418,419 ]]



SCAN


Ye kitab 4 ASHKHAAS ki PASANDEEDAH hai dekhiye



1-ASHRAF ALI THANWI

[[TARJUMAN E AHNAF SAFA 408 ]]



2-MASTER AMEEN OKADWI

[[ TARJUMAN E AHMAF SAFA 3 se 7 ]]



3-MUSHTAQ ALI SHAH DEOBANDI

[[ TARJUMAN E AHNAF KA PAHLA SAFA ]]



4-ILYAS GHUMAN HAYATI

[[ FIRQA AHLEHADEES PAAK O HIND KA TAHQEEQI JAIZAH SAFA 390 ]]



AGAR is HAWAALE me MAZKOORAH USOOL E HADEES ke MASLE ka INKAAR kiya jaaye to AAL E TAQLEED ka apne MAZ’OOM IMAM ka, pehle hi MASLE me DIFAA khatm ho jata hai aur IMAM IBN ABI SHAIBA ka ye AITERAZ SAHEEH SABIT ho jata hai ki (IMAM) ABU HANIFA AHADEES ki MUKHALIFAT karte the



MAULANA SHABBIR AHMAD USMANI DEOBANDI likhte hain



ثم من روي عنه عدلان ارتفعت جهالة عين



Ki phir jisse 2 SIQAA RAAWI RIWWAYAT BAYAN kare’n to uski JIHALAT E AIN KHATM ho jaati hai



[[ FATAHUL MULHIM JILD 1 SAFA 167 ]]



SCAN


MAULANA MUHAMMAD IRSHAD UL QASMI DEOBANDI BHAGALPURI likhte hain ki



” MAJ’HOOL UL AIN ki RIWAYAT 2 AADIL se SAABIT ho jaaye to JIHALAT MURTAF’A ho jaaye gi ”



[[ IRSHAD USOOL UL HADEES SAFA 95 ]]



SCAN NOT AVAILABLE



MAULANA MAHMOOD AALAM SAFDAR OKAADWI likhte hain ki



” ye baat yaad rahe ki RAAWI ke 1 hone par JIHALAT ka MADAAR doosre MUHADDISEEN ke NAZDEEQ hai , aur unke NAZDEEQ agar 2 RIWAYAT karne waale ho’n to JIHALAT E AINI MURTAF’A ho jayegi hamare NAZDEEQ MAJ’HOOL UL AIN wo hai jisse 1 ya 2 HADEESE’N MARWI ho’n aur uski ADAALAT bhi MA’LOOM na ho AAM hai ki usse RIWAYAT karne waale 2 ya 2 se ZAAID ho’n is QISM ki JIHALAT agar SAHABI me hai to MUZAR nahi aur agar GHAIR me hai to phir agar uski HADEES QURN E SAANI ya QURN E SAALIS me ZAAHIR ho jaaye to us par AMAL JAAIZ hoga aur agar ZAAHIR ho aur SALAF uski SEHAT ki GAWAHI de’n ,TA’AN se KHAMOSH rahe’n to QUBOOL kar li jaayegi aur agar RADD kar de’n to RADD kar di jaayengi aur agar IKHTILAF kare’n to agar MUWAFIQ E QIYAAS hogi to QUBOOL warna RADD kar di jayegi ”



[[ QATRAAT UL ATAR SAFA 238 ]]



SCAN NOT AVAILABLE



NOTE>>MAHMOOD AALAM SAFDAR OKAADWI ke is DEOBANDI USOOL se MAHMOOD BIN IS’HAAQ aur NAAFE BIN MAHMOOD ALMAQDASI WAGAIRAHUMA RH ki RIWAYAT MAQBOOL (SAHEEH YA HASAN) ho jaati hai



Is TARAH ke MAZEED HAWAALE bhi TALAASH kiye jaa sakte hain aur inse SAABIT hua ki 7 SHAGIRDO’N waale RAAWI MAHMOOD BIN IS’HAAQ ALBUKHARI ALKHAZAA’E RH ko MUTLAQAN MAJ’HOOL ya MAJ’HOOL UL AIN kehna bilkul GALAT wa MARDOOD hai



RAHA MAJ’HOOL UL HAAL YA MASTOOR QARAR DENA TO YE SIRF US SOORAT ME HOTA HAI JAB RAAWI KI TAUSEEQ SIRE SE MAUJOOD HI NA HO (ya NAQAABIL E AITEMAD HO) JAISA KI IMAM HAAFIZ IBN HAJAR RH farmate hain



أَوْ إنْ روى عنهُ اثنانِ فصاعِداً، ولم يُوَثَّقْ1 فهو مَجْهولُ الحالِ، وهُو المَسْتورُ.

وقد قَبِلَ رِوَايَتَهُ جَمَاعَةٌ بغيرِ قيدٍ، وردَّها الجمهورُ.



Ki agar usse 2 ya 2 se ZAAID ne RIWAYAT ki ho aur uski TAUSEEQ na ho to wo MAJ’HOOL UL HAAL hai aur MASTOOR hai ise BEGHAIR kisi QAID ke ek JAMA’AT ne QUBOOL kiya hai aur JAM’HOOR ne RADD kar diya hai



[[ NAZHAT UN NAZAR FI TAUZEEH NUKHBAT UL FIKAR SAFA 126 ]]

[[ QATRAAT UL ATAR SHARAD URDU NUKHBAT UL FIKAR SAFA 236 ]]



SCAN


Ek JAMA’AT ne QUBOOL kiya hai,ki TASHREEH me MULLA ALI QARI HANAFI RH farmate hain



…منهم ابو حنيفة



Ki inme ABU HANIFA … hain



[[ SHARAH SHARAH NUKHBAT UL FIKAR SAFA 518 ]]



SCAN


MAULANA SHABBIR AHMAD USMAANI DEOBANDI likhte hain



ومنهم أبو بكر بن فورك وكذا قبله أبو حنيفة خلافاً للشافعي، ومن عذاه إليه فقد وهم



Ki aur in (MASTOOR ki RIWAYAT QUBOOL karne) me ABU BAKAR BIN FOURAK hain aur unse pehle ABU HANIFA hain (ye USOOL) SHAFAYI ke KHILAF hai aur jisne ise un (SHAFAYI) ki taraf MANSOOB kiya hai (ki MASTOOR ki RIWAYAT MAQBOOL hai) To use GALATI lagi hai



[[ FATAHUL MULHIM JILD 1 SAFA 166 ]]



SCAN


HABEEB UR RAHMAN A’AZAMI DEOBANDI ki PASANDEEDAH KITAB ULOOM UL HADEES me MAULANA MUHAMMAD UBAIDULLAH AS’ADI likhte hain ki



” IMAM ABU HANIFA ke NAZDEEQ MAJ’HOOL ke AHKAAM ki BAABAT TAFSEEL ye hai :- (ALIF) MAJHOOL UL AIN=> ye HAAL JARAH nahi hai uski HADEES is SOORAT me GHAIR MAQBOOL hogi jabki SALAF ne usko MARDOOD QARAAR diya ho yaa ye ki uska ZAHOOR OHOD E TABA’A TABA’EEN ke baad ho aur agar uske pehle ho khwaah SALAF ne uski TAQWIYAT ki ho ya BA’AZ ne MUWAFIQAT ki ho ya ki sab ne SUKOOT kiya ho us par AMAL DRUST hai

(BE) MAJ’HOOL UL HAAL=> RAAWI MAQBOOL hai, khwaah ADAL UZ ZAAHIR HANAFI UL BAATIN ho ya dono ki RU se MAJ’HOOL ho

(Hey) MAJ’HOOL UL ISM=> bhi MAQBOOL hai BASHARTEKI QUROON E SAALSA se TA’ALLUQ rakhta ho

Is TAFSEEL se ye bhi ZAAHIR hai ki IMAM SAHAB ke NAZDEEQ bhi MAJ’HOOL MUTLAQAN MAQBOOL nahi KAM AZ KAM QUROON E SAALSA se TA’ALLUQ ki QAID zaroor MAL’HOOZ hai jaisa ki TASHREEH ki gayi hai ”



[[ ULOOM UL HADEES SAFA 200 ]]



SCAN NOT AVAILABLE



MAULANA ABU SA’AD SHERAZI DEOBANDI likhte hain ki



” jo RAAWI MAJ’HOOL UL AIN na ho aur uski TAUSEEQ bhi kisi se MANQOOL na ho use MASTOOR kehte hain uski RIWAYAT MAQBOOL hai ”



[[ QAFLA E HAQ JILD 3 SHUMARAH 2 SAFA 29 ]]



SCAN NOT AVAILABLE



SHERAZI DEOBANDI ne apne SULTAN UL MUHADDISEEN MULLA ALI QAARI se NAQAL kiya hai ki



” aur MASTOOR ki RIWAYAT ko ek JAMA’AT ne BEGAIR ZAMANA ki QAID ke QUBOOL kiya hai unhi me se ABU HANIFA RH bhi hain. SAKHAWI ne isko ZIKR kiya hai aur is QAUL ko IMAM A’AZAM RH ki ITTIBA karte hue IBN HIBBAN ne IKHTIYAR kiya hai ”



[[ QAFLA E HAQ JILD 3 SHUMARAH 2 SAFA 35 ]]



SCAN NOT AVAILABLE



TAMBIYAH:- ye DA’WA ki is USOOL me IMAM IBN HIBBAN RH ne HANAFIYAH ke IMAM ABU HANIFA ki ITTIBA ki hai.BEDALEEL wa BESANAD hai



MAULANA SHABBIR AHMAD DEOBANDI (JADEED) likhte hain ki



” Teesre RAAWI hain IMAM ABU ASMAH (عصمہ) SA’AD BIN MU’AAZ ALMARAUZI . in par ALI ZAI ne MAJ’HOOL hone ki JARAH NAQAL ki hai ,Haala’nki USOOL E HADEES ki ROO se ye JARAH bhi MARDOOD hai q ki MAJ’HOOL ki 2 QISME’N hain

1-MAJ’HOOL UL HAAL

2-MAJ’HOOL UL AIN

MAJ’HOOL ka matlab hai jiski ADAALAT ZAAHIR na ho, MUSALMAN ho. IMAM A’AZAM ABU HANIFA RH aur aapke MUTTABI’EEN ke NAZDDEEQ MAJ’HOOL UL HAAL ki RIWAYAT QUBOOL ki jaayegi ya’ni RAAWI ka MUSALMAN hona aur FISQ se bachna uski RIWAYAT ki QUBOOLIYAT ke liye kaafi hai

MAJ’HOOL UL AIN ka matlab hai ki ULAMA us RAAWI aur uski RIWAYAT ko na pahchante ho’n ,usse sirf 1 RAAWI ne NAQAL kiya ho ba’alfaz deegar usse 1 SHAGIRD ne RIWAYAT NAQAL ki ho .

MAJ’HOOL ki AQSAAM me se 1 QISM bhi ABU ASMAH par SAADIQ nahi aati na MAJ’HOOL UL HAAL aur na hi MAJ’HOOL UL AIN. AHNAAF ke USOOL ke MUTABIQ to uski RIWAYAT QUBOOL hai hi deegar A’IMMAH ke USOOL ke MUTABIQ bhi iski RIWAYAT QUBOOL hai q ki in ke SHAGIRD kayi (کئی) hain aur ye hain bhi MUSALMAN Lehaza inki RIWAYAT QUBOOL hogi ”



[[ QAFLA E HAQ JILD 5 SHUMARAH 4 SAFA 24 ]]



SCAN


INSAAF PASAND QAA’REEN kARAAM GAUR kare’n ki ABU ASMAH se CHAND RAAWIYON ne RIWAYAT BAYAN ki aur kisi 1 MUSTANAD MUHADDIS ya AALIM ne uski SAREEH ya GAIR SAREEH TAUSEEQ nahi ki balki IMAM ZAHBI RH SAAF likhte hain



مجهول و حديثه باطل



Ki wo MAJ’HOOL hai aur uski HADEES BAATIL hai



[[ MEEZAN UL AITEDAAL JILD 2 SAFA 125 ]]



SCAN


IS ABU ASMAH KO TO SIQAA WA SUDOOQ SAABIT KIYA JAA RAHA HAI AUR MAHMOOD BIN IS’HAAQ ALKHAZAA’E ALBUKHARI WA NAAFE BIN MAHMOOD ALMAQDASI WAGAIRAHUMA KO MAJ’HOOL WA MASTOOR KAHA JA RAHA HAI ALLAH HIDAYAT DE AAMEEN



KHULASAT UT TAHQEEQ=> MAHMOOD BIN IS’HAAQ ALKHAZAA’E ALBUKHARI MAZKOOR MAJ’HOOL WA MASTOOR NAHI BALKI SIQAA WA SUDOOQ AUR SAHIH UL HADEES WA HASAN UL HADEES THE LEHAZA INPAR OKAADWI AUR MUQALLIDEEN E OKAADWI KI JARAH MARDOOD HAI



ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

FOR MORE DETAIL CLICK HERE=>ahlehadithhaq.wordpress.com
 

Similar threads


Top