Ibnatu Ali

Member
Whatsapp Use Karney Key Aadaab

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah wa Ra’aah

Romanised By: Umar Asari

(1) Jo Bhi Qurani Aayat Ya Hadees Aap Ke Paas Aaye Usay Forword Karney Se Pehlay Check Kar Len Ya Kisi Mustanad (Authoritative) Aalim Se Pooch Len, Kahin Aisa Na Ho Ke Aap Ke Upar Jhooti Hadees Ko Phelanay Ka Wabaal (Pest) Aur Gunah Aa Jay.

(2) Apne Watsaap Ko Logon Ki Burai Aur Gheebat Ka Zariya Na Banayen, Yaad Rakhen Ke Sirf Aik Gheebat Wali Baat Share Karney Ki Wajah Se Lakhoon Logon Ka Gunah Aap Ke Sir Aajayga Aur Aap Ko Maloom Bhi Nahi Hoga.

(3) Logon Ki Izzat Ke Peechay Na Paden, Kisi Ki Jasoosi Na Karen, Kiyunkay Jo Dosron Ki Izzat Par Haath Dalta Hai Allah Taala Usay Zaleel o Ruswa Kar deyta Hai.

(4) Shahed Ki Makhkhi Ki Misaal Banen Jo Khushbudar Cheezon Par Hi Baithti Hai Aur Logon Ko Faiday Ki Cheez "Shahed" (Honey) Deti Hai. Aisay Hadsaat o Waqiyat Ko Share Na Karen Jin Se Koi Faida Na Ho, Logon Ko Khush Karen Na Ke Mayoos Karen. Us Makhkhi Ki Misaal Na Banen Jo Gandagi Par Baithti Hai.

(5) Apne Mulk o Watan Se Mutalliq Galat Baatein Share Na Karen, Aik Zimmedaar Shehri Banen. Allah Ka Shukr Ada Karen Ke Aap Apne Mulk Mein Aazaadana Taur Par Apne Deen Par Amal Kar Saktay Hain.

(6) Dosron Ki Khusoosan (Khaas Taur Sey) Ulma e Kiraam Ki Aib Joi Na Karen (Unkey Aib Na Nikalen), Lekin Agr Kisi Galati Par Aagaah Karna Ho To (Behtar Andaaz Mein) Kar Saktey Hain. Doosron Ke Aib Talaash Karney Ke Bajaye Apni Islaah Ki Ziyada Fikr Karen, Is Liye Ke Aib Talaash Karney Ke Liye Zabaan Sab Ke Paas Hai.

(7) Koi Link Share Karney Se Pehlay Check Karlen, Kahin Anjanay Mein Shareeyat Key Khilaaf Baat Na Share Kar Dein.

(8) Kisi Ko Koi Message Bhejnay Se Pehlay Yeh Zaroor Dekh Len Ke Un Ka Waqt Musnasib Hai Ke Nahi.

(9) Koi Zaroori Nahi Ke Har Woh Cheez Jo Aap Ke Paas Aaye Usay Zaroor Share Karen. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Farmatey Hain:
قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ كَفَى بِالْمَرْءِ كَذِبًا أَنْ يُحَدِّثَ بِكُلِّ مَا سَمِعَ ‏"‏ ‏.‏​
Tarjumah: Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya: Ke Aadmi Key Jhoota Honey Key Liye Ye Baat Kaafi Hai Ke Wo Har Suni Sunai Baat Ko Aagey Bayan Kar Dey.
(Sahih Muslim: 5)
Isliye Sirf Tehqeeq Ki Hue Cheezein Hi Bheja Karen.

(10)
Hamesha Whatsaap Se Chimtey Rehna Munasib Nahi, Mehman Ho To Un Ka Khayaal Karen, Class Room Mein Hon, Walidain Ke Paas Hon, Ya Friends Ke Saath Hon Us Waqt Whatsaap Band Kar Dein Yani Sirf Munasib (Suitable) Auqaat (Times) Mein Hi Whatsaap Ka Istemaal Karen.

(11) Apne Auqaat Ka Muhasba Karen Ke Kitna Waqt Whatsapp Istemaal Karne Mein Lagatey Hain? Aur Kitna Waqt Quran e Kareem Ko Samjh Kar Parhnay Aur Deen Seekhnay, Sikahnay Mein Lagatey Hain? Aur Kitna Waqt Doosrey Zaroori Kaam Mein Lagatey Hain? Is Ke Baad Time Spend Karney Ka Routine Banayen.

(12) Logon Ko Ziyada Se Ziyada Quran o Hadees Ki Sahih Baatein Pohnchayen Aur Awam (Logon) Mein Phailay Galat Afkaar o Nazariyyat Ki Bharpoor Tardeed Karen Lekin Wazeh Rahay Apni Dawat Ka Mehwar (Axis) Aqeeda e Toheed Ko Banayen.

(13) Jo Bhi Cheez Doosron Ko Bhaijtay Rahenge Woh Sab Aap Ke Nama e Aamaal Mein Darj Hota Rahayga. Is Liye Aap Ki Hamesha Yeh Koshish Ho Ke Hamaray Nama e Aamaal Mein Sawaab Ka Kaam Likha Jaye Or Azaab Walay Tamam Kaamon Se Parhaiz Karen.

Allah Hamein Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye. Aameen.
 

Similar threads


Top