"Ya Wadud" Ka Masnooi (Banawti) Zikr


Shona shaikh

Active member
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

"Ya Wadud" Ka Masnooi (Banawti) Zikr



Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Sawaal:
Mujh se ek bhai ne zikr kiya ki unhone ek TV programme mein ek molvi se suna wo keh rahe the ke miya biwi me kam jhagda honey, aur mohabbat badhaney ke liye har namaz ke Baad "Ya Wadud" kasrat se padha karein.
Kya ye tareeqa Quran o hadees ki roshni me sahi hai?

Jawaab:
"Wadud" Allah ke asmaye husna (behtareen naamon) mein se hai, is ke matlab hai mohabbat karna. Soofiyon ke yaha "Ya Wadud" ka wird muta'addid qism ke mohabbat ke taur pe kasrat se istemaal hota hai.
Kuch ki taraf ishara kar deta hun jo unke yahan ma’roof (famous) hai, taki logo pe iski haqeeqat zahir ho jaye.

(1) Jo shakhs 1000 martaba "ya wadudu" padh kar khaney par dam karega, aur biwi ke sath baith kar wo khana khayega to In Sha Allah miya biwi ka jhagda khatam ho jayega aur aapas me mohabbat paida ho jayegi.

(2) Jo shakhs is mubaarak naam ka 1000 baar zikr karega Woh Allah Rabbul Izzat ka mehboob ho jayega.

(3) Miya biwi ki mohabbat ke liye awwal aakhir 2 baar darood shareef aur "ya wadud" 2000 baar cheeni par. Ya awwal akhir 2 baar darood shareef aur "ya wadud" 1000 baar namak par padh kar matloob ka naam le kar dam karein, aur matloob ko khilayein. Aapas mein mohabbat mein izafa hoga.

(4) Jiska beta buraiyon me mubtala ho wo juma ke Baad 1000 baar ye mubarak naam muat'tir o lateef sheerni par padh kar dam karey, aur do rakat namaz ada karey, aur wo sheerni usko khilaye In sha Allah beta neik aur saleh ho jayega.

(5) Iska wird taskheer ke liye mufeed hai.

(6) Jo shakhs kisi pareshani me pad jaye, ya dushmano ya daaku'on ke nargey me aa jaye wo 2 rakaat namaz padh kar dua kare in sha Allah pareshani door ho jayegi.

Dua ye hai:
اَللّٰھُمَّ یَاوَدُوْد (teen baar) یَا ذَا الْعَرْشِ الْمَجِیْدُ یَا مُبْدِئُ یَا مُعِیْدُ یَا فَعَّالاً لِّمَا یُرِیْدُ اَسْءَلُکَ بِنُوْرِ وَجْھِکَ الَّذِیْ مَلَأَ اَرْ کَانَ عَرْشِکَ وَبِقُدْرَتِکَ الَّتِیْ قَدَرْتَ بِھَا عَلٰی جَمِیْعِ خَلْقِکَ وَبِرَحْمَتِکَ الَّتِیْ وَسِعَتْ کُلَّ شَیْ ءٍ لَآ اِلٰہَ اِلَّآ اَنْتَ یَاغِیَاثَ الْمُسْتَغْثِیْنَ اَغْثِنِیْ (aghisni teen baar)​

(7) Jo dulhan sasurali ghar me pehli baar dakhil hotey waqt ek saans me 7 baar "ya wadud" padhegi usey saari zindagi apney miya aur sasural se pyaar milega.

Upar zikr kiye gaye "Ya Wadud" ke saarey azkaar khayali aur banawti hain.
Dar'asal inhein gadhney (bananey) waley wo pesha'war log hain jinhone jhaad phoonk ko paise kamaney aur apne aapko famous karney ka zariya banaya.
Is qism ke banawati azkaar se pesha'waron ne to khoob kamaai ki, jhoothi shaan ke mehal tameer kiye. Magar sadah musalmano ki zindagi tabaah kardi. Unhein Allah ki ibadat se ghafil kar ke In banawati azkar par jhootha yaqeen dilwa diya.

Allah ki panah!

In mein se koi bhi tareeqa aur amal kisi Saheeh Hadees se sabit nhi hai. (6) number mein jo zikr hai usey sheikh Albani Rahimahullah ne “Mauzoo” kaha hai. {As Silsilah Az Zaeefah (Albani): 5737}

Isliye ye sharai tareeqa nahi hai, Islam ne jis ta’lluq se jo rehnumai ki hai wohi faida-mand hai.

Aur musalmano ko Quran o hadees se sabit shudah tareeqey pe hi amal karna chahiye.
 
Last edited:
Top