Waqt Ki Ahmiyat (New Year Ke Pas e Manzar)

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Islamic Da'wah Centre,Taif KSA
Romanised By: Khadija Muhammadi

January Aate Hi Pichla Year Purana Aur Aane Wala "New Year" Ho Jata Hai, Is Mauqah Par Pehli January Ko Duniya Bhar Me Log Khushiyan Manate Hain, Khushi Manane Ke Naam Par Mazhabi Ya Samaji Khidmaat Nahi Anjaam Di Jaati Balke Kufr o Ma'siyat, Naach Gaane, Fisq o Fujoor Aur Sharaab o Kabaab Ki Mastiyan Chalti Hain Yaha Tak Ke Zinakariyan Aur Ayyashiyan Tak Ki Jaati Hain. Allaah Ki Panaah Aysi Khushi Aur Izhaar e Khushi Ke Fohash Tariqon Se. Agar Aap Un Logo Ka Jaiza Len Jo Aysi Khushiya Manate Hain To Malum Hoga Ke Woh Dar Haqeeqat Waqt Ki Ahmiyat Se Be-Parwaah Aur Zindagi Ke Asal Maqsad Se Bahut Door Hote Hain.
Islaam Me Waqt Ko Badi Ahmiyat Haasil Hai Is Wajah Se Insaani Zindagi Ka Ek Ek Pal Aur Ek Ek Lamha Bahut Hi Qimati Hai. Waqt Woh Qimti Sarmaya Hai Jis Ki Buniyaad Par Aakhirat Me Faisla Hoga Aur Har Shakhas Ko Uske Mutaabiq Natijah Milega Yani Jis Insaan Ka Duniyawi Waqt Achcha Hoga Aakhirat Me Uska Natijah Bhi Achcha Hoga Aur Jiska Duniyawi Waqt Bura Guzra Hoga Uske Saath Aakhirat Me Bhi Bura Hi Hoga.
Mo'amin Aur Kaafir Ki Zindagi Me Buniyadi Farq Yah Hai Ke Kaafir Duniya Ko Aish o Ishrat, Aur Khane Peene Ki Jagah Samajhta Hai Aur Usi Hisaab Se Zindagi Guzaarta Hai Jis Ki Saza Me Allaah Use Jahnnam Me Daal Dega Jabke Mo'min Is Duniya Ko Aakhirat Ki Taiyyari Ki Jagah Samajhta Hai Aur Allaah Ke Azaab Aur Jahnnam Se Khauf Khaa Kar Yahan Kufr Aur Gunaah Se Bachta Aur Imaan Aur Amal e Saleh Ka Kaam Karta Hai Jis Ke Badle Me Allaah Use Baaghon Wali Jannat Me Daakhil Karega. Allaah Ka Irshaad Hai:
إِنَّ اللَّهَ يُدْخِلُ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِن تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ ۖ وَالَّذِينَ كَفَرُوا يَتَمَتَّعُونَ وَيَأْكُلُونَ كَمَا تَأْكُلُ الْأَنْعَامُ وَالنَّارُ مَثْوًى لَّهُمْ​
Tarjumah: Jo Log Imaan Laaye Aur Unhone Nek Aamaal Kiye Unhe Allaah Yaqeenan Ayse Baaghon Me Daakhil Karega Jin Ke Niche Nehre Jaari Hain Aur Jo Log Kaafir Huwe Woh (Duniya Hi Ka) Faidah Utha Rahe Hain Aur Chaupaayon Ke Jaise Khaa Rahe Hain, Unka Asal Thikaana Jahnnam Hai.
(Surah Muhammad: 12)

Is Aayat Par Gaur Karte Huwe Ibne Abbas Radhiallahu Anhu Ka Yah Qaul Bhi Saamne Rakhen Jise Ibn e Mubarak Rahimahullah Ne Apni Kitaab “Az-Zuhd War-Raqaaiq” Me Zikr Kiya Hai. Aap Farmate Hain:
لَيَأْتِيَنَّ عَلَى النَّاسِ زَمَانٌ يَكُونُ هَمُّ أَحَدِهِمْ فِي بَطْنِهِ ، وَدِينُهُ هَوَاهُ​
Tarjumah: Logon Par Ek Aysa Zamana Aayega Jis Me Aadmi Ka Aham Maqsad Pait Palna Hoga Aur Apni Khawaahish Par Chalna Uska Deen Hoga.
(Az-Zuhd War-Raqaaiq, Hadees No: 601)

Aaj Musalmaano Ke Haalaat Par Nazar Dalte Hain To Hamein Unki Zindagi Me Mo'minaana Kirdaar Nazar Nahi Aata Jis Ka Zikr Allaah Ne Mazkoorah Aayat Me Kiya Hai Balke Woh Tarz e Zindagi Nazar Aati Hai Jis Ka Zikr Ibn e Abbas Radhiallahu Anhu Kar Rahe Hain. Waqai Bilkul Wahi Zamana Musalmaano Par Aa Gaya Hai, Ek Taraf Haraam Aur Halaal Ki Parwaah Kiye Bagair Log Pait Bharna Hi Zindagi Ka Maqsad Samajh Baithe Hain To Dusri Taraf Duniya Parasti, Nafs Parasti, Qabr Parasti, Shakhsiyat Parasti Aur Bid'at o Gumraahi Ko Deen Ka Naam De Kar Bade Ikhlaas Se Unhein Anjaam Diya Ja Raha Hai.
Duniya Parasti Ne Hamein Zindagi Ke Maqsad Se Is Qadar Door Hata Diya Ke Maheene aur Saal Kis Raftaar Se Guzar Rahe Hain Uski Samajh Aur Ehsaas Khatam Hota Jaa Raha Hai, Aysa Mehsoos Hona Dar Asal Qayaamat Ki Ek Aham Nishaani Hai, Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai:
لا تقومُ السَّاعةُ حتَّى يتقارَبَ الزَّمانُ ، فتَكونُ السَّنةُ كالشَّهرِ، والشَّهرُ كالجُمُعةِ ، وتَكونُ الجمعةُ كاليَومِ، ويَكونُ اليومُ كالسَّاعةِ ، وتَكونُ السَّاعةُ كالضَّرمةِ بالنَّارِ​
Tarjumah: Qayamat Nahi Qaaim Nahi Hogi Yaha Tak ke Zamana Qareeb Ho Jaae Ga,Year 1 Month Ke Barabar Ho Jaae Ga Jabke 1 Month One Week Ke Barabar Ho Jaae Ga Aur One Week One Day Ke Barabar Aur One Day One Saa'at (Ghadi) Ke Barabar Ho Jaae Ga Aur One Saa'at (Ghadi)Aag Se Paidah Hone Wali Chingaari Ke Barabar Ho Jaae Gi.
(Sunan At-Tirmizi: 2332)

Zamana Qareeb Ho Jaane Ka Matlab Yah Hai Ke Zamane Ki Barkaat Aur Fawaaid Khatam Ho Jaayenge, Nuqsaan Hi Nuqsaan Hoga Aur Yah Bhi Matlab Hai Ke Log Duniya Me Is Qadar Mast Aur Magan Ho Jaaenge Ki Maheene Aur Saal Kis Tarah Guzar Rahe Hain Iska Ehsaas Jata Rahega. Is Baat Ko Misaal Se Is Tarah Samjhen Ke Aaj Hamare Haathon Me Internet Mobile Aa Gaya Hai, Raat Ya Din Me Kisi Waqt Mobile Istimaal Karne Beth Jaate Hain To Ghante Kis Tarah Guzar Jaate Hain Pata Hi Nahi Chalta. International Cricket Tournament Aur Test Series Jo Mahino Par Mushtamil Hoti Hai, Unki Wajah Se Na Sirf Khelne Walon Ka Balke Dekhne, Sunne Aur Intizaami Umoor Sambhalne Walon Ke Bhi Kai Kai Maheene Barbaad Ho Jaate Hain Jis Ka Ehsaas Aur Ilm Unhein Nahi Ho Paata. Khel Ka Matlab Hota Hai Chand Lamhe Ya Ghante Bhar Ka Magar Maheeno Par Mushtamil Tournament Aur Series Se Maaloom Hota Hai Ke Logon Ne Khel Ko Zindagi Ka Maqsad Aur Duniya Ko Khel Ki Jagah Samajh Liya Hai, Is Se Ziyadah Hairaani Un Logon Par Hai Jo Zindagi Bhar Ke Liye Khilaadi Ban Jaate Hain Yani Un Logo Ki Zindagi Khel Tamashe Me Khatam Ho Jaati Hai. Lamha e Fikriyah Hai Un Tamam Logo Ke Liye Jo Khelon Me Apni Umar Barbaad Karte Hain Chahe Woh Khilaadi Hon Ya Amla Hon Ya Tamashaayi Hon.
Waqt Aur Zindagi Allaah Ki Taraf Se Hamare Liye Bahut Badi Neamat Hai, Is Ki Hifazat Aur Qadar Karna Hamari Zimmedaari Hai, Magar Iski Adaayegi Me Aksar Log Me Kami Nazar Aati Hai, Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai:
نِعْمَتانِ مَغْبُونٌ فِيهِما كَثِيرٌ مِنَ النَّاسِ: الصِّحَّةُ والفَراغُ​
Tarjumah: Do Nemate Aysi Hain Ke Aksar Log Unki Qadar Nahi Karte, Sehat Aur Faraaghat.
(Sahih Bukhari: 6412)

Aysi Hi Ek Dusri Hadees Hai Jis Me Nabi ﷺ Ne Ek Sahabi Ko Kuch Nasihatein Farmayi Hain, Aap Unhein Nasihat Karte Huwe Farmate Hain:
اغتنِمْ خمسًا قبلَ خمسٍ: حَياتَك قبلَ موتِك، و صِحَّتَك قبلَ سَقَمِك، و فراغَك قبلَ شُغْلِك، و شبابَك قبلَ هَرَمِك، وغِناك قبلَ فقرِكَ​
Tarjumah: Paanch Chizon Se Pehle Paanch Chizon Ko Ganimat Shumaar Karo! Apni Jawani Ko Apne Budhape Se Pehle, Apni Sehat Ko Apni Bimaari Se Pehle, Apni Maaldaari Ko Apni Tangdasti Se Pehle Apni Faraaghat Ko Apni Mashgooliyat Se Pehle Aur Apni Zindagi Ko Apni Maut Se Pehle.
(Sahih ul Jaame’: 1077)

Kis Qadar Qimti Nasihat Hai?Jo In Nasihaton Ko Apni Zindagi Ka Hissa Bana Lega Yaqeenan Uski Duniya Aur Aakhirat Sanwar Jaayegi.
Aaiye Ikhtisaar Ke Saath Kuch Umoor Ki Taraf Aap Ki Taraf Tavajjoh Karata Hun Jo Waqt Ki Ahmiyat Ko Samajhne Aur Us Se Faidah Uthane Me Madadgaar Sabit Hongi:
Sab Se Pehle To Pichli Zindagi Aur Apne Nafs Ka Muhasba Abhi Aur Isi Waqt Karen. Sochhen, Yaad Karen Aur Jahan Jahan Kamiyan, Kotahiyan Paayi Jaayen Aaindah Unko Door Karen. Huqooq ul Ibaad Se Mutalliq Galtiyon Ka Khaatma Unhien Bandon Se Hogi Jin Se Mutalliq Woh Galti Hai Albatta Allaah Ke Haq Me Ki Gayi Choti Badi Har Tarah Ki Na-Farmaniyon Ke Liye Sachche Dil Se Taubah Karen. Allaah Apne Bandon ko Be-Panaah Mu'aaf Karne Wala Hai. Pichle Gunaahon Par Sharmindagi Aur Aaindah Neki Ka Pukhta Iraadah Karna Pehla Maqsad Banaayen.
Insaan Gunaahon Ki Taraf Nafs Ki Khawahish Ki Wajah Se Jata Hai Aur Nafs Me Bure Khayaal Shaitaan Dalta Hai To Jis Tarah Shaitaan Hamara Bada Dushman Hai Nafs Bhi Isi Tarah Bada Dushman Hai Is Liye Jaha Shaitaan Se Bachna Hai, Usko apne Upar Haawi Nahi Hone Dena Hai Wahi Nafs Ki Aysi Tarbiyat Karen, Us Par Ibaadat Ka Is Qadar Bojh Dalen Ke Nafs Aap Ke Qaabu Me Ho Jaaye.
Ayse Friends Ki Sohbat Ikhtiyaar Karen Jin Ke Yahan Awqaat Ki Ahmiyat Aur Zindagi Guzaarne Ka Behtareen Saleeqah Hai Aur Buri Sohbat Se Bachen Jo Waqt Ki Barbaadi Ka Bada Sabab Hai.
Aslaaf Ki Seerat Bhi Padhni Chahiye Is Se Zindagi Me Adab Aur Saleeqa Aur Zindagi Ka Ehsaas Paida Hoga. Maine Dr. Muqtada Hasan Azhari Rahimahullah Ki Seerat Me Padha Tha Ke Woh Bahut Zaheen Taalib e Ilm Nahi They Magar Do Khubiyon Ki Wajah Se Zaheen o Fateen Saathiyon Se Sabqat Le Gaye, Ek Waqt Ki Tanzeem Aur Dusri Musalsal Koshish. Maine Apni Zindagi Me Kuch Karne Ke Liye Dr Sahab Ki In Do Khubiyon Ko Apnaane Ki Koshish Ki Aur Uske Phal Ka Mushahida Kiya.
Bimari Se Pehle Jo Sehat Mili Hai Aur Maut Se Pehle Jo Zindagi Naseeb Hui Hai Use Qeemati Sarmaya Samjh Kar Achche Kaam Me Lagaayen. Abdullaah Bin Umar Radhiallahu Anhu Farmaya Karte The:
إذَا أمْسَيْتَ فلا تَنْتَظِرِ الصَّبَاحَ، وإذَا أصْبَحْتَ فلا تَنْتَظِرِ المَسَاءَ، وخُذْ مِن صِحَّتِكَ لِمَرَضِكَ، ومِنْ حَيَاتِكَ لِمَوْتِكَ​
Tarjumah: Shaam Ho Jaaye To Subah Ka Intizaar Na Karo, Aur Subah Ke Waqt Shaam Ka Intizaar Na Karo, Apni Sehat Ko Bimaari Se Pehle Ghanimat Jano Aur Zindagi Ko Maut Se Pehle.
(Sahih Bukhaari: 6416)

Matlab Yah Hai Ke Maut Aur Bimaari Se Pehle Sham Ke Waqt Jo Kaam Ho Usi Waqt Kar Lo Subah Ka Intizaar Na Karo Aur Subah Ke Waqt Jo Kaam Aaye Usi Waqt Kar Lo Shaam Ka Intizaar Na Karo.
Aadmi Apna Waqt Kiyun Barbaad Karta Hai? Use Zindagi Ka Asal Maqsad Pata Nahi Hoga Ya Usmein Imaan Ki Hararat Aur Fikr e Aakhirat Khatam Hogi Ya Woh Gunaahon Ki Taraf Jhuka Hoga Ya Duniya Ke Andar Mashghool Hoga Ya Duniya Ko Hi Sab Kuch Samajh Liya Hoga Ke Yah Aish Karne Aur Khel Kood Karne Ki Jagaah Hai Ya Buri Sohbat Ka Asar Hoga Ya Nafs Aur Shaitaan Ka Us Par Ghalaba Hoga.
Ayse Haalat Me Hamare Liye Madadgaar Kaam Yah Hai:
⓵ Hamein Yah Janna Hoga Ke Zindagi Ka Asal Maqsad Allaah Aur Uske Rasool Ke Ahkaam Ke Mutabiq Chalna Hai, Khana Peena Sirf Zindagi Ki Zaroorat Hai, Maqsad Nahi Hai Is Liye Dil Me Duniya Ko Chaahne Ki Muhabbat Nahi Aakhirat Ki Fikr Honi Chaahiye.
⓶ Maut Ko Kasrat Se Yaad Karen Jaisa Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Hamein Iska Hukm Bhi Diya Hai Taaki Maut Ki Fikr Se Imaan Me Quwwat Aur Hararat Paidah Ho, Dil Se Gunaah Aur Duniya Talabi Ka Khayaal Door Hoga Aur Nek Aamal Ki Taraf Raghbat Hogi.
⓷ Maut Ki Us Ghadi Aur Sakhti Ko Yaad Karen Jab Rooh Nikal Rahi Hoti Hai, Paas Me Saare Ahl o Ayaal Hote Hain Magar Na Koi Sakhti Kam Kar Sakta Hai Aur Na Hi Maut Taal Sakta Hai.
Jis Tarah Maut Ke Waqt Ahl o Ayaal aur Maal o Daulat Kuch Kaam Nahi Aate Usi Tarah Aakhirat Me Apne Amal Ke Siwa Kuch Kaam Nahi Aayega.
⓸ Qabrastaan Ki Ziyarat Karen Taaki Aakhirat Ki Fikr Paida Ho, Aakhirat Ki Taiyyari Ka Khayal Dil Me Aa Sake Aur Aane Wali Zindagi Ke Liye Tausha Ikaththa Karen.
⓹ Qabr Ki Manzil Se Le Kar Maidaan e Hashr Tak AkelePan Ka Ehsaas Karen, Na Marte Waqt Koi Sath Diya, Na Mar Kar Koi Dusra Hamari Qabr Me Saath Dene Ke Liye Aaya Aur Aakhirat Me To Ek Dusre Ko Dekh Kar Hi Bhaagenge.
⓺ Sab Se Aham Kaam Yah Hai Ke Hamein Hamesha Us Waqt Ko Yaad Karna Chaahiye Jab Hamara Hisaab o Kitaab Hoga Aur Ham Se Umar Ke Bare Me Sawaal Hoga. Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai:
لا تزولُ قدَما عبدٍ يومَ القيامةِ حتَّى يسألَ عن عمرِهِ فيما أفناهُ​
Tarjumah: Qayamat Ke Din Kisi Bande Ke Dono Paaon Nahi Hatenge Yaha Tak Ke Us Se Yah Na Puch Liya Jaaye Ki Usne Apni Umar Kin Kaamon Me Khatam Ki.
(Sunan At-Tirmizi: 2417)

Allaah Ne Qur'aan Me Waqt Ki Qasam Khaayi Hai, Kahien Raat Aur Din Ki To Kahien Fajr Aur Asar Ke Waqt Ki. Iski Wajah Yah Hai Ke Allaah Apne Bandon Ko Waqt Ki Ahmiyat Aur Uski Hifazat Ki Taraf Tavajjoh Dilana Chahta Hai Isliye Hame Waqt Ko Ahmiyat Deni Chahiye, Uski Hifazat Karni Chaahiye Aur Be-Maqsad Ya Gunaahon Ke Kaamon Me Waqt Lagaane Se Allaah Ka Khauf Khana Chaahiye.
Waqt Ki Munazzam Karen Yani Apne Liye Din o Raat Ka Aysa Schedule Tayyar Karen Jis Me Apne Apne Waqt Par Pabandi Se Gharelu, Samaji Aur Deeni Sare Kaam Achchi Tarah Se Anjaam Paate Rahen. Misaal Ke Taur Par Bahut Se Log Namaaz Ya Tilawat Ya Dua Ya Zikr Ke Liye Bahana Banate Hain Ke Duniyawi Kamon Se Fursat Nahi Hai. Yah Bahana Qubool Nahi Hai. Aap Ne Zindagi Ko Munazzam Nahi Kiya Hai. Aap Ne Apne Waqt Ko Is Tarah Tarteeb Den Ke Ibdaat Bhi Muqarrarah Awqaat Me Pabandi Se Karen Aur Duniyawi Muaamlaat Aur Zimmedaariyan Bhi Achche Se Poora Kar Saken.

NEW YEAR AUR AAKHRI PAIGAAM:
New Year Ke Aane Par Log Isliye Khushiyan Manate Hain Ke Unhein Yah Ehsaas Ho Raha Hota Hai Ke Ham Ne Zindagi Ki Ek Bahar Mukammal Kar Li Aur Hamari Umar Me Ek Saal Ka Izaafa Ho Gaya, Ab Ham Ek Year Bade Ho Gaye, Birthday Manane Ke Piche Bhi Yahi Wajah Hai. Aysa Sochne Aur Ehsaas Karne Wale Woh Log Hain Jin Ke Liye Duniya Hi Sab Kuch Hai Is Liye Ayse Log Duniya Me Bahut Saara Maal Kamaane Aur Nafs Ko Aarzi (Temporary) Lazzat Aur Suroor Pahunchaane Me Apne Waqt Ko Barbaad Karte Rehte Hain. Sochne Ka Maqaam Hai Ke Duniyawi Zindagi Mehdood Aur Mukhtasar Hai Jo Ke Taqreeban 60 Se 70 Saal Ke Darmiyaan Hai Agar Koi Ek Saal Bada Hota Hai To Uska Matlab Yah Hota Hai Ke Uski Zindagi Se Ek Saal Kam Ho Gaya Yani Woh Ek Saal Ziyada Zindah Rehta Ab Ek Saal Kam Hi Zindah Rahega. New Year Ke Aane Se Maloom Ho Raha Hai Ke Ham Ek Saal Mazeed Maut Se Qareeb Ho Gaye. Kis Qadar Hairaani Ki Baat Hai Ke Aadmi Ki Zindagi Ka 1 Saal Khatam Ho Raha Hai Aur Maut Se Ek Saal Qareeb Ho Raha Hai Fir Bhi New Year Ka Jashn Mana Raha Hai, Kya Aysa Nahi Lag Raha Hai Ke Woh Apni Maut Ka Jashan Mana Raha Hai? Kis Qadar Be-Waqoof Hai Woh Shakhs Jo Apni Maut Ka Jashn Manata Hai.
Mere Piyare Bhaiyo! Samajhne Ki Koshish Karo, Yah Duniya Aazmaaish Ki Jagah Hai Bhala Aazmaish Ki Jagah Jashn Manana Kis Ko Zaib Deta Hai? Yahan To Rote Huwe Zindagi Guzarni Chahiye, Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai:
لَوْ تَعْلَمُونَ ما أعْلَمُ لَضَحِكْتُمْ قَلِيلًا، ولَبَكَيْتُمْ كَثِيرًا​
Tarjumah: Jo Kuch Main Janta Hun Agar Tumhein Bhi Maloom Hota To Tum Hanste Kam Aur Rote Ziyadah.
(Sahih Bukhari: 6485)

Aaiye Wada Karte Hain Ke Ab Se New Saal Ka Jashn Nahi Manaayenge Balke New Year Ke Aane Par Apne Nafs Aur Aamaal Ka Muhasba Karenge Aur Pichle Gunaahon Se Taubah Kar Ke Aaindah Mustaqil Taur Par Nek Aamaal Anjaam Dene Ka Pukhta Iraadah Karte Rahenge. In-Shaa-Allaah.
 
Last edited by a moderator:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top