NOHA KHAWANI [BAIN KARNA]


Ibnatu Ali

Member
➢NOHA KHAWANI [BAIN KARNA]

'Azeem munkaraat mein se hi Noha wa Bain karna bhi hai ba'z 'aurtein apney kisi azeez ki mayyat par oonchi aawaaz mein cheekhti, roti aur bain karti hain, isi tarah gireybaan chaak karna, kapdey phaadna, gaalon ko peetna, baal mundwaana yaa nochna aur kaatna, ye sab qazaa e ilaahi (Allah ki marzi) ka inkaar karney aur museebat par sabr naa karney ki daleel wa saboot hai, aur Nabiﷺ ne in umoor ka irtekaab karney waaley par la'nat farmaayi hai, Hazrat Abu Umaama (Razi Allahu 'Anhu) se marwi hai:
◈أن رسول الله صلى الله عليه وسلم لعن الخامشة وجهها والشاقة جيبها والداعية بالويل والثبور.​
Nabiﷺ ne chehre ko nochne waali aur kapde aur girebaan chaak karney waali aur wail wa halaakat ki bad du'a maangney waali 'aurton par la'nat farmaayi hai".
❲Ibne Maajah 1/505. Sahih ul jaame'; 5068❳

Hazrat Abdullah bin Mas'ood (Razi Allahu 'Anhuma) se marwi ek marfoo' hadees mein hai ke Nabiﷺ ne farmaaya:
◈ليس منا من ضرب الخدود أو شق الجيوب أو دعا بدعوى الجاهلية.​
"woh shakhs hum musalmanon mein se nahin jo apney rukhsaar peetey, gireybaan chaak karey aur kapdey phaadey aur jo jaahiliyat ke bol[bain] pukaarey".
❲Sahih ul Bukhari, dekhiye al-fatah 3/163❳

Aur Nabiﷺ ka irshaad hai:
◈النَّائِحَةُ إذَا لَمْ تتُبْ قَبْل مَوْتِهَا تُقَامُ يوْمَ الْقِيامةِ وعَلَيْها سِرْبَالٌ مِنْ قَطِرَانٍ، ودِرْعٌ مِنْ جرَبٍ.​
"Noha wa bain karney waali agar maut se pehley tauba naa karey toh qayamat ke din usey iss haal mein khadaa kiya jaayega ke uss par taar kol ki qamees aur khaarish waala kurta hoga.
❲Sahih Muslim: 934❳

"Taar kol aatish-geer maadah hai, ussey jism mein aag jald bhadak utheygi aur uss 'aurat ke jism par khaarish musallit kardi jaayegi jo uskey poorey jism ko iss tarah apni lapait mein lelegi jaisey qamees saarey jism ko dhaanp leti hai".❨Abu Adnan❩

━━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa Umoor❩ Taleef: Fazilat Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidahullah] Page No: 135,136,137┃
 
Top