BIRTHDAY MANANA KAISA HAI?


Staff Member

Member
Staff member
BIRTHDAY MANANA KAISA HAI❓

Allah Musalmano Ko Yahudiyon Aur Isayon Ke Raaste Se Bachaye’ Jinho Ne Sab Se Pehle Apne Ambiya (Alaihimussalam) Ki Saalgirah Ko Manana Shuru Kiya Aur Fir Apni Khud Ki Bhi Saalgirah Manane Lage Aur Unki Salgiraah Dekh Hamare Kuch Muslaman Bhai Bahen Bhi Manane Lage Aur Ye Ab Is Qadar Aam Ho Gaya Hai Ke Musalmano Me Saalgirah Manana Ab Ek Status Ban Chuka Hai. Muslaman Ye Jante Hue Bhi Ke Ye Yahoodiyo Aur Isaaiyo Ka Tareeqa Hai Ise Ankh Band Karke Manaate Hai.
Hamare Islam Me Birthday Manane ka Quran Aur Ahadees Me Koi Bhi Saboot Nahi Milta hai. Agar Birthday Manana Islam Me Jaiz Hota To Rasool’Allah sallallaho Alaihi wasallam ne Zarur Apna Birthday Manaya hota lekin 63 saal ki umr me unhone kabi apna birthday nahi manaya, Naa hi Sahaba Ne Manaya.
Birthday Manana Yahoodi Aur Isaaiyo Ka Tareeqa Hai. Allah Ke Rasool Sallallahu Aalaihi Wasallam Ne Hame Kafiro Ki Copy Karne Se Mana Farmaya Hai.

☘Abdullah Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke Rasool’Allah Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Jisne Kisi Qaum Ki Mushabehat(copy) Ki Wo Unhi Me Se Hai”
Abu Dawood, 4031; classed as saheeh by al-Albaani in Irwa’ al-Ghaleel, 2691

Allah Ta’ala Farmata hai

Al-Quran
“Humne Har Ek Ummat Ke Liye Ibaadat Ka Ek Tareeqa Muqarrar Kar Di Hai Aur Unhe Usi Par Chalna Hai”
( Surah Hajj 22, Ayat 67)

✒Allah Ta’ala ne to hamare Musalaman hone ke Tahat Deen e Islam ki Raah Muqarrar Ki Hai aur Ye Allah Ka Hukm Hai Ke Hame Usi Par Chalna Hai. Kya Hamare Islam Ke Tareeqe Achhe Nahi❓ Jo Ham Ghair Muslim Qaum Se Unke Tareeqe Le Rahe Hai. Ye To Nauzbillah Allah Ta’ala Ke Deen me Kami Nikalna Hua…❗Bhale Koi Zuban Se Na Kahe Lekin Is Baat Ka Matlab Yahi Nikalta Hai Ke Is Deen Me Kami Hai Tabhi Ham Apne Is Deen Ki Baato Ko Sikhne Ke Bajaye Ghair Muslimo Ke Tareeqe Sikh Rahe.

Allah Ta’ala Farmata Hai

Al-Quran
“Aaj Maine Tumhare Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya Aur Apni Ney’mat Tum Par Puri Kar di Aur Islam Ko Bahaisiyat e Deen Tumhare Liye Pasand Kar Liya.
(Surah Maida 5, Ayat 3)

✒SubhanAllah!!!! Allah Ta’ala Ne Gawahi De Di Hai Ke Hamara Deen Mukammal Ho Chuka Hai Aur Hamare Liye Islam Ko Allah Ne Pasand Kiya hai. KYA Hamare liye Allah Ta’ala Ki Ye Gawahi Kaafi Nahii❓ To Fir Ham Kyu Bhatak Rahe Hai Aur Kafiro Se Milte Chale Ja Rahe Hai. Aur Is Qadar Mil Chuke Ke Badi Afsos Ki Baat Hai Ke Ab Agar Koi Sahi Raah Dikhata Bhi Hai To Log Usi Ko Hi Galat Khane Lagte Hai.
Hame Allah Ke Aage Ye Iqrar karna Chahiye Ke,
“Ya Allah Hum Utne Hi Deen Par Razi Hain, Jitna Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Par Tune Nazil Kiya Aur Hume Yaqeen Hai Ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Pura Deen Hum Tak Pahuncha Diya Hai..❗
Jinhe Yaqeen Nahi Hai wo jo chahe izafa kare.

☘Aisha Radhi Allahu Anha Riwayat Karti Hai Ke Rasool’Allah Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jisne Hamare Is Deen Me Koi Aisi Chiz Ijaad Ki Ke Jispe Hamara Amal Nahi To Wo Mardud hai”
Sahih Bukhari,2697
Sahih Muslim, 1718

Meri Ye Musalman Bhai Baheno Se Darkhwast Hai Ke Birthday Parties Manana Chhod de Aur Na khud Manaye Aur Naahii birthday Ke Invitations Qubul Kare.Aur Ye Hamesha Yaad Rakhe Ke Ham Musalman Hai Aur Behatareen Deen E Isalm Se Nawaze Gaye Hai. Lehaza Kafiro Ka Tareeqa Chhod Kar Musalman Hone Ke Naate Allah Ke Diye Hue Deen Ko Hi Follow Karen.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top