AHLE HADIS EK SIFAATI NAAM


AHLE HADIS EK SIFAATI NAAM
Tasneef: Muhaddis-ul-Asr HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI Rahimahullah
Roman Script: Abu Omaimah Owais
MUQADDIMAH
Al-Hamdulillahi Rabbil Alameen Wassalatu Wassalamu Ala Rasoolihil-Ameen, Amma Ba'ad:

Taayifah Mansurah, Firqai Najiyah aur AHLE HAQ ka sifaati naam AHLE HADIS hai, ye wo azeem log hai jo har daur me maujood rahe hai aur qayamat tak rahenge.

RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((‏ لاَ تَزَالُ طَائِفَةٌ مِنْ أُمَّتِي مَنْصُورِينَ لاَ يَضُرُّهُمْ مَنْ خَذَلَهُمْ حَتَّى تَقُومَ السَّاعَةُ))
"Meri ummat me qayamat tak hamesha aisa groh rahega jise (ALLAH TA'ALA ki) madad hasil rahegi, jo in'he chod de ga wo in'he koi nuqsaan na puhcha sakega."(Suan Ibn Majah, Hadis No.6. Sunan al-Tirmizi:2192, wa sanaduho SAHIH)

Imam Ahmed Bin Hanbal rahimahullah ne farmaya:
((إِنْ لَمْ تَكُنْ هَذِهِ الطَّائِفَةُ الْمَنْصُورَةُ أَصْحَابَ الْحَدِيثِ فَلَا أَدْرِي مَنْ هُمْ))
"Agar ye "Taayifah Mansurah" As'hab-ul-Hadis (Ahle Hadis) nahi to mai nahi jaanta ke wo kon log hai." (Kitab Ma'arifat Ulum ul Hadith lil-Hakim:2, wa sanadohu HASAN)

Imam Ahmed Bin Hanbal rahimahullah ne hadis ki tafseer me badi umdah baat ki hai ke Taayifah Mansurah jise qayamat tak (be-yaar O madadgaar) nahi choda jaiga (wo groh) As'hab ul Hadis hi ka groh hai, is taweel (tafseer) ka haq-daar un (Ahle Hadis) se badh kar kon hai jo nek logo ke raaste par chale, aasaare salaf ki pairwi ki aur RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki sunnat ke zariye se mukhalifeen wo ahle bid'at (ke saamne dat gai aur un) ka natiqah(moh) band kardiya. sabza zaar aur marghubaat ki pur aish zindagi par sehrai be aab O gyah ke safro ko tarjih di ahle ilm O akhbaar ki suhbat ki khatir safri sawobaton se lutf andoz hote rahe. (Ma'arifat Ulum ul Hadith, page:112)

Imam Ali Bin Madini rahimahullah ne farmaya:
((ھُمْ أَصْحَابَ الْحَدِيثِ))
Yahan Taayifah Mansurah se muraad ahle hadis hain. (dekhiye: Suan al-Tirmizi:2192, waghairah)

Imam Bukhari rahimahullah ne Taayifah Mansurah ke bare me farmaya:
((یَعْنِی أَھْلُ الْحَدِیْثِ))
Yani Ahle Hadis(Taayifah Mansurah[jis ki qayamat tak mada ki jati rahegi] ka groh hai)(Mas'alah al-ihtijaaj bi-sh-shafayi lil-Khateeb, page:47, wasanaduho SAHIH)

Imam Ibn Hibban ne darje bala hadis par yon baab baandha:
((ذِكْرُ إِثْبَاتِ النُّصْرَةِ لِأَصْحَابِ الْحَدِيثِ إِلَى قِيَامِ السَّاعَةِ))
Yani Ahle Hadis ke liye qayamat tak nusrat(madad) ke isbaa(suboot) ka bayan. (Sahih Ibn Hibban:1/261, kitab ul ilm, Hadis No.61)

Abu Abdullah Muhammed Bin Muflih al-Maqdisi ne farmaya:
))فَصْلٌ أَهْلُ الْحَدِيثِ هُمْ الطَّائِفَةُ النَّاجِيَةُ الْقَائِمُونَ عَلَى الْحَقِّ((
Ahle Hadis naaji(najaat pane wala) groh hai jo haq par qayim hai. (Aadaab ul Sharyi'yah:1/211)

Imam Hafas Bin Ghiyas aur Imam Abu Bakar Bin Iyash rahima-humullah ke qaul ke tasdeeq O tayeed karte howe Imam Hakim rahimahullah farmate hai: In dono ne sach kaha ke Ashab ul Hadis bahtareen log hai aur aise kio na ho, unho ne kaha(kitab O suannt ke muqabile me) dunya ko mukammal taur par apne piche phaik diya hai chod diya hai.(Ma'arifat Ulum ul Hadith, page:113)

Syidina Abdullah Bin Maswod razaillahu-anhu se riwayet hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne faramaya:
((أَوْلَى النَّاسِ بِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ أَكْثَرُهُمْ عَلَىَّ صَلاَةً))
"Qayamat ke din wo log sab se zyadah mere qreeb hogay jo sab se zyadah mujh par drood padhte hai." (Suan al-Tirmizi, Hadis No.484 aur is ki sanad HASAN hai)
Chuke Ahle Hadis ke bache bache ko RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki hadis se gahra shughf aur qalabi lagao hai. Wo qiyas arayio aur fiqhi muhshagafio ke bajai NABI E KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki hadis hi bayan karne me sa'adat jaante hai, chunanche Imam Abu Hatim Ibn Hibban al-Busti rahimahullah ne darje bala hadis se ek ahem mas'alah sabit kiya hai. Unho ne farmaya:
is hadis me dalil hai ke qayamat ke din RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke zyadah qareeb Ahle Hadis hogay, kioke is ummat me koi grooh in (Ahle Hadis) se zyadah AAP sallallahu alaihi wasallam par durood nahi padhta.(Sahih Ibn Hibban:911)

Is qadar fazail O manaqib ke bawajud baaz log Ahle Hadis ki mukhalifat, unpar ta'an O tashnee aur tamakhar O tahqeer apna maurasi haq samajhte hai. Shayed aise hi logo ke bare me Imam Ahmed Bin Sinaan al-Qattan rahimahullah ne farmaya:
((لَيْسَ فِي الدُّنْيَا مُبْتَدِعٌ إِلَّا وَهُوَ يُبْغِضُ أَهْلَ الْحَدِيثِ))
"Dunya me koi aisa bid'ati nahi hai jo Ahle Hadis se bughz nahi rakhta." (Ma'arifat Ulum ul Hadith lil-Hakim:6 aur is ki sanad SAHIH hai)

Imam Hakim rahimahullah ne farmaya: Hame safar O hazar me jitne log aise mile jo ilhaad O bid'at ki taraf mansoob the wo Taayifah Mansurah(Ahle Hadis) ko hiqarat ki nigaah se dekhte the aur inhe "Hashwiyah" ke naam se pukarte the. (Ma'arifat Ulum ul Hadith, page:115)

Jabke hum un logo ko ye samajhana chahte hai ke:
((أَهْلَ الْحَدِيثِ هُم أَهْلَ النَّبِيِ وَإِن لَم يَصْحَبُوْا نَفْسِهِ أَنْفَاسَه صُحِبُوْا))
"Ahle Hadis hi Aale Rasool hai agar che wo NABI sallallahu alaihi wasallam ki suhbat hasil nahi karsake, likin wo AAP sallallahu alaihi wasallam ke muattir saso ke murakkab alfaz se mustafeed hote aa rahe hain.

Zer-e-Nazar kitab "Fazilat-ush-Shaikh Hafiz Zubair Ali Zai hafizahullah(Rahimahullah) tasneef e lateef hai jo Ahle Hadis ke sifati naam ke bare me paida hone wale ishkalaat O eterazaat ke jawabaat par mushtamil hai. ye is lihaz se badi jame aur munfarid kitab hai ke har baat mustanad, mudallal aur ba-hawalah hai.

ALLAH RAB-UL-IZZAT muhtaram Hafiz Sahab(Zubair Ali Zai rahimahuallah) hafizahullah ko sehat O tandorusti wali omar se nawaze aur unse isee tarah ilmi O tahqiqi kaam karaata rahe.(Aameen)
Hafiz Nadeem Zaheer(Hafizahullah)
[12/Sha'abaan,1433 Hijri(2011)]
-------------------------------

ALHLE HADIS EK SIFATI NAAM: TA'ARU
Al-Hamdu Lillahi Rabbil Aalameen Wassalatu Wassalamu Ala Khatimin Nabyyeen Waraziallahu-An Ashabihi Wa Aalihi Ajmayeen Wa Rahmatullahi Ala Al-Tabayeen Wa Ittiba-Attabayeen Wa Min Tabi'a-Hum Bi-Ihsaani Ilaa Youmiddeen, Amma Ba'ad:
Musalmano ke bahut se sifati naam hai misal ke taur par: Momineen, Ibaadullah aur Hizbullah waghairah, aur iske ilawa Sahabah, Tabayeen, Tabe-Tabayeen, Muhajireen O Ansaar waghairah. isee tarah in sifati naamo me Ahle Sunnat aur Ahle Hadis alqabaat(laqab ke jama) zamanai 'Khair-ul-Quroon'(Islam ke Ibtidai 300 saal) se sabit hain aur Musalmano me in ka itemaal inkaar kiye baghair aur inkaar jari kiye baghair jaari O saari hai, balke is ke jawaaz par Ummat Muslimah ka "IJMA" hai.

Ahle Sunnat aur Ahle Hadis do alag jaise ek hi naam hai, jin se Sahih Aqidah rakhne wale Musalmaan yani 'Taayifah Mansurah'(jin ki madad qayamat ki jati rahegi) aur Firqai Najiyah(Najaat paane walaa groh/Jama'at) ki pahchaan hoti hai.

Ahle Hadis ke Sifaati aur pyare laqab se do qisam ke Sahih Aqidah rakhne wale Musalmaan muraad hai:
1)Muhaddiseen-e-Kiraam
2)Hadis par amal karne wale aam log(Muhaddiseen ke awaam)
Jin ka ek number par zikar howa hai in ke bare me arz hai ke (Imam, Muhiuddin[deen ko zindah karne wala]) Hafiz Ibn Taimiyah rahimahullah(728 Hijri) ne Muhaddiseen-e-Kiraam ko "Ahle Hadis" kaha hai. (Dekhiye: Majmo Fatawa:4/95)

Imam Yahya Bin Sayeed al-Qattan rahimahullah ne ek rawi ke bare farmaya:
"Woh Ahle Hadis me se nahi tha."(Al-Taareekh al-Kabeer lil-Bukhari:6/429. Al-jarah wa al-Tadeel:6/303)

Sabit howa ke sirf Hadis ko bayan karne wale Raawi(narrator) ko Ahle Hadis nahi kaha jata balke sahih aqidah rakhne wale rawiyaane hadis yani Muhaddiseen ko Ahle Hadis kahajata hai.

Ek muqaam par Hafiz Ibn Hibbaan rahimahullah ne Ahle Hadis ki teen nishaniya bayan ki hai:
1)Woh Hadis par amal karte hai.
2)Sunnat (yani Hadis) ka difa karte hai.
3)Aur Sunnat ke mukhalifeen ka qila-qama(uchaad, pachaad/ tood, phood) karte hai. (Sahih Ibn Hibban, Al-Ihsaan:2169, dusra Nuskhah:6162)

Ahle Hadis ke mash'hur dushman aur ek takfeeri khariji jama'at "Jama'at-ul-Muslimeen Registered" ki bunyaad rakhne wale "Maswod Ahmed Bsc." ne Saaf Saaf likha hai:
"Hum bhi Muhaddiseen ko Ahle Hadis kahte hai."(al-Jama'at-ul-Qadeemah Ba-jawaab Al-Firqah al-Jadeedah, page:5)

Hayaati Diobandio ke "Imam" 'Sarfaraaz Khan Safdar Ghakhdawi' ne likha hai:
"Ahle Hadis se woh hazraat muraad hai jo Hadis ke hifz O fahem aur is ke ittiba O pairwi ke jazbah se sarshaar aur bahra-war ho."(Taayifah Mansurah, page:38. is ke ilawa Dekhiye: Al-Kalaam-ul-Mufeed, page:139)

Is ke ba'ad mazeed(aur ziyadah) bahas karte howe 'Sarfaraaz Khan' sahib ne likha hai:
"is se aashkaar(khul gaya zahir hogaya) hogaya ke har wo shakhs Ahle Hadis hai jis ne tahseel(hasil karne) aur talab-e-hadis ka ehtemaam kiya ho aur hadis ke liye sayee aur kaawish ki ho aam is-se ke wo hanafi ho maliki, shafayi ho yaa Hanbali, hatta ke shia hi kio naa ho, wo bhi Ahle Hadis hai."(Taayifah Mansurah, page:39)

Is ibaarat me Khan Sahab ne Muhaddiseen-e-Kiraam ko Ahle Hadis kaha hai. likin unho ne shia waghairah ko bhi Ahle Hadis qaraar diya hai jo ke dalayil ki roshni me batil balke 'al-abaateel' hai, jaisa ke aagay aaraha hai. In Sha ALLAH

Adwaar(zamane) ke lihaz se Muhaddiseen-e-Kiraam ki kai jama'ate hai. masalan:
1)Sahabah Kiraam razaillahu-anhum ajmayeen.

Haaji Imdad-ul-Laah ke khalifai majaaz Muhammed Anwar-ul-llah Farooqi Fazilat Yaar Jang, Baniye: Jamiyah Nizamiyah, Hyderabad Deccan ne likha hai:
"Halanke Ahle Hadis kul Sahabah the kion ke fane hadis ki ibtidaa inhi se thi is liye ke inhi hazraat ne Aan-Hazrat sallallahu alaihiwasallam se hadis lekar dast badast ummat ko puhchaya phir in ke Ahle Hadis hone me kiya shubah." (Haqiqit-ul-Fiqah:2/228, published: Idarat-ul-Quran wa Uloom-ul-Islamiyah, Karachi)

Yahan par bataure tahdees-e-nemat O imtenaan arz hai ke ye kitab mujhe 'Qari Abdul Qaiyoom Zaheer hafizahullah ne tuhfatan di hai. JAZAHULLAHU KHAIRAN
Deobandio ke mash'hor aalim aur kai kitabo ke musannif 'Muhammed Idrees Kaandhalwi Lahori' ne likha hai:" Ahle Hadis to tamaam Sahabah (raziallahu-anhum) the magar fatwe ahl-ur-raye hi dete the. ba'ad me ye laqab imam abu hanifah aur aap ke ashab ka hogaya aur is zamane ke tmaam Ahle Hadis ne imam abu hanifah ko "imam ahl-ur-raye" ka laqab diya…."(Ijtihaad aur Taqleed ki be-misaal Tahqiq, page:48, published by: ilmi markaz, anaar kali, lahor.maghrabi Pakistan)

Is ibaarat se saabit howa ke imam abu hanifah ke zamane me Ahle Hadis maujood the.

2)Sahih-ul-Aqeedah Tabayeen, Tab-e-Tabayeen wa min ba'adi-him(aur unke ba'ad ke log)

Ye kahna ke shia aur ahle bid'at bhi Ahle Hadis hai, kai wajah se ghalat aur baatil(jhoot) hai, masalan:
1.Ek sahih Hadis me aaya hai ke Taayifah Mansurah hamesha ghalib rahega…..

Is ki tashreeh me Imam Bukhari, Imam Ali Bin Madini aur Imam Ahmed Ibn Hanbal rahmatullahi-alaihim waghairah ne faramaya:"Yeh Ahle Hadis hai." (Mulakkhasan, Dekhiye:Mas'at-ul-Ihtijaaj Bish-Sahfayi, page:47. Suan al-Tirmizi:2229. Ma'arrifat Uloom-ul-Hadis lil-Hakim:2)
Aur yeh kahna bilkul batil(jhoot) 'Abtalul Abaateel' (jhoot me sab se bada jhoot) hai ke shia aur ahle bid'at bhi Taayifah Mansurah hai.
2.Imam Ahmed Bin Sinaan al-Wasiti rahimahullah ne farmaya:"Dunya me koi aisa bid'ati nahi ho Ahle Hadis se bughz(dushmani) nahi rakhta."(Ma'arrifat Uloom-ul-Hadis, page:4)

Is sunhari qaul se saaf zaahir hai ke Ahle Hadis ilaheda groh hai aur ahle bid'at ilaheda groh hai.
3.Imam Sahfayi rahimahullah ne farmaya:"Jab mai Ahle Hadis me se kisi shakhs ko dekhta ho to goya mai NABI sallallahu alaihi wasallam ko zindah dekhta ho." (Sharf Ashab-ul-Hadis lil-Khateeb:85)

Yani Ahle Hadis ke zariye se NABI sallallahu alaihi wasallam ki dawat zindah hai.
Agar Ahle Hadis se shia aur bid'ati bhi muraad liye jai to kiya Imam Shafayi rahimahullah shio, mutazalio, murjio aur dosre qisam ke bid'atio ko dekh kar khush hote the?.
Ahmd Bin Ali Lahori Deobandi ne apne malfuzaat me farmaya:
"Mai qadri aur hanafi ho. Ahle Hadis na qadri hai aur na hanafi magar wo hamari masjid me 40 saal se namaaz padhrahe hai main in ko haq par samajhta ho." (Malfuzaat Tayibaat, page:115, dosra nuskha, page:126)

Is malfooz se '5' baten sabit hai:
1. Ahle Hadis haq par hain.
2. Ahle Hadis sahih Musalmaan hain aur in ka laqab Ahle Hadis hai, lihaza shia waghairah Ahle Hadis nahi, woh to ahle bid'at hain.
3. Ahle Hadis sirf Muhaddiseen ko nahi kaha jata, balke Muhaddiseen ke awaam ko bhi Ahle Hadis kaha jata hai, warna woh kon se Muhaddiseen the jo Lahore Sahab ki masjid 40 saal se namaazen padhrahe the.
4. Insaan agar hanafi yaa qadri na ho to phir bhi Ahle Haq me se hosakta hai.
5. Sarfaraaz Khan Safdar ka shia ko Ahle Hadis kahna batil hai.

Is tarah ke aur bhi bahut se hawale hain jin se ye baat sabit hai ke Muhaddiseen Kiraam hon yaa unke awaam, Ahle Hadis se muraad Ahle Sunnat yani Sahih Aqidah log hain aur is laqab me ahle bid'at har giz shamil nahi balke ahle bid'at to Ahle Hadis se bughz rakhte hai.

Saani al-zikar(dosre number par jin ka zikar howa)(Muhaddiseen Kiraam ke awaam yani Hadis par amal karne wale aam logo) ke bare me arz hai ke baaz log ye propaganda karte rahte hain ke Ahle Hadis se muraad sirf Muhaddiseen Kiraam hain aur awaam muraad nahi, lihaza aise logo ke radd ke liye '20' hawale pesh-e-khidmat hain:
(1)
Bahut se ulamai haq masalan Imam Ahmed Bin Hanbal, Imam Ali Bin Madini aur Imam Bukhari waghairohum ne Ahle Hadis ko Taayifah Mansurah qaraar diay.(masalan Dekhiye:'Ahle Hadis Ek Sifaati Naam, page:20-21)

Is-se madd-e-nazar rakh kar arz hai ke ye kahna: sirf muhaddiseen Kiraam Taayifah Mansurah hai aur unke awaam nahi , yaa sirf Muahddiseen Kiraam junnat me jainge aur unke awaam bahar khade rahenge. Baatil hai blake Islam ke saath mazaaq hai.

(2)
Hafiz Ibn Hibban ne Ahle Hadis ke bare me farmaya: "Woh Hadiso par amal karte hain, in ka difa karte hain aur in ke mukhalifeen ka qila-qama karte hain." (Shih Ibn Hibban:6129, dosra nuskhah:6162)

ye zahir hai ke Ahle Hadis ke awaam bhi hadison par hi amal karte hain….

(3)
Imam Abu Bakar Bin Abi Dawod rahimahullah ne farmaya:" Aur to us qaum me se na hona jo apne deen se khelte hain(warna) to Ahle Hadis par ta'an O jarah kar baithega."(al-Shariyah lil-Aajurri, page:975)

is se maloom howa ke jo log Ahle Hadis ko bura kahte hai wo deen se khelte hain yani (aise log)ahle bid'at hain aur ye bhi zahir hai ke ale bid'at sirf Muhaddiseen Kiraam se hi bughz nahi rakhte balke Ahle Hadis awaam se bhi bahut ziayada bughz rakhte hai.

Ameen Aukaadwi Deobandi ne "Ghair Muqallid ki Tareef" ke tahat likha hai: "Likin jo shakhs na imam ho na muqtadi, kabhi imam ko galiyan de kabhi muqtadio se lade ye ghair muqallid hai."(Tajalliyaat-e-Safdar:3/377)

Neez(iske ilawah) Aukaadwi ne doseri jagha likha hai: "Is liye jo jitna bada ghair muqallid hoga, wo itna hi bada gustaakh aur be-adab bhi hoga."(Tajalliyaat-e-Safdar:3/590)

Aukaadwi ne mazeed likha: "Ke har ghair muqallid:
((اعجاب کل ذی رأی برأیه))
ka mujassimah hai aur mauafiq farmaan RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam aise logo par taubah ka darwazah band hai."(Tajalliyaat -e-Safdar:3/590)
Yeh hain wo ibaaraat aur is tarah ke dosre hawale, jin ki wajah se aale taqleed ka Ahle Hadis ke khilaf ghair muqallid ka lafz istimaal karna bilkul batil aur mardood hai.

(4)
Imam Ahmed Bin Sinaan al-Wasiti rahimahullah ne farmaya:"Dunya me koi aisa bid'ati nahi jo Ahle Hadis se bughz nahi rakhta."(Ma'arrifat Uloom al-Hadis lil-Hakim. page:4)

Aur yeh ke har Ahle Hadis se chahe Muhaddis O aalim ho ya awaam me se ho, tamam ahle bid'at bughz rakhte hain aur tarah tarah ke naam rakh kar masalan ghair muqallideen kah kar Ahle Hadis ka mazaaq udate hain.

(5)
Hafiz Ibn Qaiyyim ne apne mash'hor qasidah 'Nooniyah' me farmaya:"Ahle Hadis se bughz rakhne wale aur galiyan dene wale, tujhe shaitaan se dosti aur yaari qayim karne ki bashart ho."(page:199, Ahle Hadis Ek Sifaati Naam, page:35)

Aur ye aam logon ko bhi malom hia ke tamaam kattar ahle bid'at ba-haisiyet-e-jama'at tamaam Ahle Hadis se chahe ulama hon yaa awaam, sakht bughz rakhte hain aur bura bhala kahte hai.

(6)
Hafiz Ibn Kaseer rahimahuallah ne Ahle Hadis ki ek fazeelat bayan farmai: "Baaz Salaf Saliheen ne farmaya: ye aayat(Surah Bani Isreal:17) Ahle Hadis ki sab se badi fazeelat hai, kionke in ke Imam 'NABI sallallahu alaihi wasallam' hain." (Tafseer Ibn Kaseer:4/162)

Jis tarah NABI E KAREEM sallallahu alaihi wasallam Muhaddiseen Kiraam ke 'IMAAM E AZAM' hai, isee tarah Ahle Hadis awaam ke bhi 'IMAAM E AZAM' hain aur ye koi dhaki chupi baat nahi balke Ahle Hadis ke khaas O aam khutabah aur waizeen ki taqreeron se bhi zaahir hai.

(7)
Qawam-us-Sunnah Ismail Bin Muhammed Bin al-Fazal al-Asbahani rahimahullah ne farmaya: "Ahle Hadis ka zikar aur yahi groh qayamat tka haq par ghaalib rahega."( Al-Hujjah fi Bayaan al-Mahajjah:1/246)

Is se sabit howa ke Ahle Hadis se muraad Muhaddiseen aur unke awaam hai aur ye groh qayamat tak har daur me maujood rahega, lihaza 'Maswod Ahmed Sahab' ka darje zail bayaan batil hai:
"Muhaddiseen to guzar gai ab to wo log rahgai hain jo unki kitabon se naqal karte hain."(al-Jamat-ul-Qadimah, page:29)

(8)
Abu Ismail Abdul Rahmaan Bin Ismail al-Saabuni rahimahullah ne farmaya:"Ahle Hadis ye aqidah rakhte hai aur is baat ki gawahi dete hai ke ALLAH TA'ALA saat aasmano se upar apne arsh par hai."(Aqidah Salaf Ashab-ul-Hadis, page:14)

Muhaddiseen Kiraam ho yaa Ahle Hadis awaam hon, sab ka yahi aqidah hai ke ALLAH TA'ALA apne arsh par mustawi hai aur pani zaat ke saath har jagah nahi balke uske ilm O qudrat har cheez ko ghere howe hai.

(9)
Abu Masoor Abdul Qaahir Bin Tahir al-Bughdadi ne shaam(Syria) waghairah ki sarhadon par rahne walo ke bare me farmaya:"Woh sab Ahle Sunnat me se Ahle Hadis ke mazhab par hain".(Usool al-Deen, page:317)

(10)
Hafiz Ibn Taimiyah rahimahullah muttabiyeen-e-hadis yani Hadis par amal karne wale ko bhi Ahle Hadis qaraar dete hain.(Dekhiye: Majmu Fatawa:495, Ahle Hadis Ek Sifaati Naam, page:39-40)

(11)
Imam Ahmed Bin Hanbal rahimahullah ne farmaya:"Hamare nazdeek Ahle Hadis wo hai jo hadis par amal kare."(al-Jame lil-Khateeb:1/144. Ahle Hadis Ek Sifaati Naam, page:81)

(12)
Surah Bani Isreal ki ayat number:71 ki tashreeh me Siyooti Sahab ne faramay:" Ahle Hadis keliye is se ziyadah fazialat wali aur koi baat nahi, kionke AAP sallallahu alahi wasallam ke siwa Ahle Hadis ka koi imam (yani Imam e azam) nahi." (Tadreeb-ul-Raawi:2/126, Nau'o No.27)

(13)
Rasheed Ahmed Ludhyanwi Deobandi ne likha hai:"Tahqreban dosri teesri sadi hijri me ahle haq me foruyi aur jusyi masayil ke hal karne me ikhtilaaf ke peshe nazar 5 makatib fikar(school of thought) qayim hogai yani mazaahib arba(4 maz'hab Hanafi, Shafayi, Maliki, Hanbali) aur Ahle Hadis. Is zamane se lekar aaj tak inhi paanch(5) tariqon me haq ko munhasir(depend) samjha jataraha."(Ahsan-ul-Fatawa:1/316)

Is ibaarat se 3 mas'ale sabit hote hain:
I. Ahle Hadis haq par hai.
II. Ahle Hadis se muraad Muhaddiseen Kiraam aur unke awaam dono hai.
III. Ahle Hadis ka groh mazahib-e-arba'a ke ilawa paanchwan groh hai, lihaza 'Sarfaraaz Khan Safdar' ka hanafion waghairah ko Ahle Hadis qaraar dena ghalat hai.

(14)
Ahmed Ali Lahori Sahab ka ye qaul (malfooz) guzar chuka hai ke unhone farmaya:"Ahle Hadis naa qadri hain aur naa hanafi magar woh hamari masjid me 40 saal se namaaz padh rahe hain main inko haq par samajhta hon."(Malfozaat Taiyibaat, page 115, pruana nuskhah(old print): page:126)

Is ibaarat se saaf zahir hai ke Ahle Hadis se muraad sirf Muhaddiseen Kiraam nahi balke in ke awaam bhi Ahle Hadis hain.

(15)
Muhammed Qasim Nanutawi ki pasandidah kitab:'Haqqan Aqayid-ul-Islam' me Abdul Haq Haqqani Dahlawi ne kaha:"Aur Ahle Sunnat Shafayi, Hanbali, Maliki, Hanafi hai aur Ahle Hadis bhi inhi me dakhil hain".(Haqqan Aqayid-ul-Islam, page:3)

Is qaul me jis tarah Shafayion waghairuhum se muraad un ke awaam bhi hain, isee tarah Ahle Hadis se muraad Muhaddiseen Kiraam ke awaam bhi hai.

(16)
Kifayatullah Dahlawi Deobandi ne ek sawaal ke jawab me likha hai:"Haan Ahle Hadis Musalmaan hai aur Ahle Suannat wo al-Jama'at me dakhil hai. In se shadi biyaah ka muamilah karna durust hai. Mahez tark e taqleed se Isalm me farq nahi padhta aur na Ahle Sunnat wa al-Jama'at se taarik e taqlee(taqleed na karne wala) baahar hota hai."(Kifayat-ul-Mufti:1/325)

Is fatwe aur sabiqah fatwe se zaahir hai ke Ahle Hadis 'Ahle Sunnat' hai aur awaam ko bhi Ahle Hadis kahna bilkul Sahih hai.

(17)
Chohti (fourth) Sadi Hijri ke muarrikh Bashaari Muqdisi(M 375 Hijri) ne Mansurah(Sindh) ke logo ke bare me farmaya:"In ke mazaheb ye hai: woh aksar Ahle Hadis hai………"(Ahsan-ul-Taqaaseem fi Ma'arrifat-ul-Aqaaleem, page:481)

Ye aqlan malom hai ke is waqt sindh ke tamaam log muhaddiseen nahi the balke in me Muhaddiseen ke awaam bhi shamil hai.

(18)
Ishaaraat-e-Fareedi yani 'Maqaabees-ul-Majaalis' me likha howa hai:" Ahle Hadis ke Imam Hazrat Qazi Muhammed Bin Ali Shaukaani Yamani rahimahullah ne samaa par ek mudallil risalah likha hai, ibtaal dawa ijma. Is risalah me aap ne Ahadis-e-Nabawi se saabit kiya hai ke samaa jayiz hai……."(Maqaabees-ul-Majaalis, page:156)

Is ibaarat me tasleem kiya gaya hai ke Ahle Hadis se Muraad Hindustaan waghairah ke Ahle Hadis awaam hain aur baaqi ibaarat ke bare me do(2) ahem baten darje zail hain:
Shaukaani tamaam Ahle Hadis ke Imam yani 'IMAM E AZAM' nahi, balke Ahle Hadis ke 'IMAM E AZAM' "MUHAMMED RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam" hain, Shaukani(rahimahullah) to muta'akhir (aakhri daur ke) ulama me se ek aalim hain.

Samaa se agar qawali, raag baajaa aur aalaate mositqi(Musical Instrument) muraad ho to ahadis e sahiha ki ru se ye haraam hai aur isi tarah shirkiyah O bid'yiyah ash'aar bhi haraam hai.

(19)
Deobandi "Mufti" Muhammed Anwar ne sufi Abdul Hameed Sawayi ki kitab: 'Nammz e Masnon' ke muqaddimah me likha hai:"Bilashubah hanafi maslak ke pairokaron ko apne maslak aur sharah e sadr ke liye "Namaaz e Masnon" ek kaafi O shafi taleef hai. 837 safhaat par mushtamil is taleef me namaaz ke muta'alluqaat zurori tafseel ke saath aagai hain. Hamari rai me na sirf hanafi maslak ke har imam O khateeb keliye khusosan aur awaam kelie is ka mutalia naafe(nafaa wala) hai balke maslake Ahle Hadis ke ghair muta'aseb hazraat keliye bhi is ka mutalia IN-SHA-ALAH baseerat afroz o chashm kushaa hoga."(Namaaz e Msnon, Tabserah, page:18)

Is ibaarat me Muhammed Anwar ne awaam ko bhi Ahle Hadis ke laqab se mulaqqab kiya hai.

(20)
Ek ghaali(extremist) deobandi Muhammed Omer ne likha hai:"Ahle Hadis awaam se hamari muaddibanah darkhwast hai ke aap ko un haqayeq se be-bahrah rakh kar aap ka fikri istehsaal kiyagaya, Ahle Hadis awaam ye sochte honge ke Ahle Sunnat wa al-Jama'at ahnaaf unke ulama ki kitabon par amal kion nahi karte?."(Chupe Raaz:4/2)

Is talbeesaanah ibaarat me bhi Ahle Hadis awaam ko Ahle Hadis tasleem kiya gaya hai.

Ye bees(20) hawale 'mushte az khirdaare' hain, warnah in ke ilawah aur bhi bahut se hawale hain.

Baaz loog apni khud saakhtah malihaton ki wajah se apne aap ko Ahle Hadis nahi kahte balke is se sharmate hai aur dosre mukhtalif naamon se muta'aruf hone ki koshish karte hain, baaz Ahle Hadis naam se ghair Ahle Hadis ki mukhalifat ki wajah se darte hain aur baaz apne aap ko Ahle Sahih al-Hadis waghairah kahel wane ki koshish karte hain. Yeh sab karwayiyan aur chalen ghalat hain aur Ahle Haq ke sifaati naamon me se Ahle Sunnat , Ahle Hadis , Salafi, aur Asari bahut bahtareen laqab hain aur in sab me ala tareen Ahle Hadis hai, jis ke jawaz par Salaf Saliheen ka "IJMAA" hai. AL-HAMDULILLAH
Waqat ki ahem zarurat ye hai ke tamaam Ahle Hadis ulama aur awaam ek saath hojain, tamaam ikhtilaafaat khatam karden aur KITAB O SUNNAT ke jhande ko dunya me sarbuland karne keliye dil o jaan se koshish karne me lag-jain.

Zer-e-Nazar kitaab 'Raqim al-Huroof' (likhne wala/writer) ke mukhtalif mazaameen ka majmua hai, lihaza baaz jagah takraar bhi likin ye awaam o khawaas keliye eksaan mufeed hai.
WAMA ALAINA ILLALLA-BALAAGH
(19/Shabaan/1433 Hijri, Bamutabiq 10/July/2012)
--------------------

KIYA AHLE HADIS NAAM SAHIH AHI?
-:SAWAAL:- Hum Ahle Hadis kion hain?
Hum Muslimeen(Musalmaan) kion nahi hain?
Kiya koi Sahabi Ahle Hadis tha?
Ya unho ne apna naam Ahle Hadis rakha ho?
Dalayil se wazeh karen hum Ahle Hadis kion hain?
(jazakomullahu khairan)

Ye Sawaal "Jama'at-ul-Muslimeen"(Firqah Maswodiyah) ki taraf se hai aur Bukhari ki Hadis bhi pexh ki hai ke Jama'at-ul-Muslimeen aur is ke imam ko laazim pakdo. (Umme Khalid, Kaamrah Cant.)

-:JAWAAB:- "Muslimeen" Muslim ki jama hai aur bil-ijmaa Mulim, Musalmaan ita'at karne wale ko aur farmaabardaar ko kahte hai. Musalmaanon ke bahut se naam aur alqaabaat hai. Masalan: 'Muhajireen', 'Ansaar', 'Sahabah', 'Taabayeen', Tabe-Taabayeen' waghairah, ek sahih hadis me aaya hai:
((فَادْعُوا بِدَعْوَى اللَّهِ الَّذِي سَمَّاكُمُ الْمُسْلِمِينَ الْمُؤْمِنِينَ عِبَادَ اللَّهِ)) ‏
"Pas pukaaro, ALLAH ki pukaar ke saath jis ne tumhare naam Muslimee, Mumineen(aur) Ibaadullah rakhe ahin."(Suan al-Tirmizi:2863, Imam Tirmizi ne farmaya:"ye hadis HASAN ghareeb hai hai" Ibn Hibban(Mawaarid:1222.1550). al-Hakim:1/117-118, 236, 421-422, aur Imam Zahbi ne muafiqat ki hai)

Is ki sanad sahih hai. Yahya Bin Abi Kaseer ne sama ki tasreeh kar rakhi hai.

Mosa bin Khalaf Abu Khalaf 'an' Yahya Bin Kaseer……… ki riwayet me aya hai:
((فادعواالمسلمین باسمائھم بما سما ھم اللہ عزوجل المسلمین))
"Musalmaanon ko unke namon 'Muslimeen', 'Mumineen' (aur) 'Ibadullah'-Azza wa Jalla se pukaaro jo ke ALLAH TA'ALA ne unke naam rakhe hain." (Musnad Ahmed:4/130, hadis No.17302 / 4/202, Hadis No.17953, wa sanduho HASAN)

Is riwayat ki sanad hasan li-zatihi hai. is ke ek rawi Abu Khalaf Bin Khalaf hai jo jamhor Muhaddiseen ke nazdee Siqqah(sache) hain lihaza 'Suduq Hasan-ul-Hadis' hain.
Musnad Ahmed(5/244, Hadis No.23298) me is ka ek Shih shahed yani tayeed wali riwayet bhi hai, lihaza riwayet mazkorah bilkul Shih hai. WALHAMDULILLAH
Is hadis se malom howa ke Musalmaanon ke aur bhi naam hain lihaza baaz logon ka yeh kahna ke "Hamara Naam Sirf Ek :MUSLIM" hai, ghalat aur baatil hai.

Sahih Mulim ke muqaddimah me mash'hor Tabai 'Muhammed Bin Sireen rahimahullah ka qaul likha howa hai ke:
((فَيُنْظَرُ إِلَى أَهْلِ السُّنَّةِ فَيُؤْخَذُ حَدِيثُهُمْ))
"Pas Ahle Sunnat ki taraf dekha jata tha aur un ki hadis qubol ki jati thi." (Baab:5, Hadi No.27 number Darussalam)

Is qaul ke rawiyon aur Imam Muslim rahimahullah ki rizamandi se ye qaul maujod hai. Sahih Muslim hazaaron lakhon ulama ne padhi hai magar kisi ne is qaul par eteraaz nahi kiya ke Musalmaanon ka naam Ahle Suannat ghalat hai. Malom howa ke is par Musalmaanon ka ijmaa hai ke Ahle Suannt naam sahih hai.

Ek sahih Hadis me ayaa hai ke Tayifah Mansurah hamesha ghaalib rahega. Is ki tashreeh me Imam Bukhari rahimahullah farmate hain:
((یَعْنِی أَھْلُ الْحَدِیْثِ))
"Yani is se muraad Ahle Hadis hain.(Mas'alatul Ihtijaaj Bish-Shafayi lil-Khateeb, page47, wa sanaduho SAHIH)

Imam Bukhari ke ustaad Ali Bin Abdullah al-Madeeni rahimahullah aisee riwayat ki tashreeh me farmate hain:
((ھُمْ أَھْلُ الْحَدِیْثِ))
(Suan al-Tirmizi, Abwabul Fitan, Baab maja fil Ayimatul Muzalleen, Hadis No.2269, Nuskha Aarizatul-Ahwazee:9/74, wa sanadohu SAHIH)

Imam Qutaibah Bin Sayeed rahimahullah ne faramaya:
((إِذَا رَأَيْتَ رَجُلً یحب أَهْلَ الْحَدِيثِ ۔۔۔۔فَاِنَّه عَلی السُّنَّة"الخ))
"Agar to kisi aadme ko dekhe ke wo Ahle Hadis se muhabbat karta hai….. to (samajh le ke) woh shakhs Sunnat par (chal raha) hai." (Sharf As'haab-ul-Hadis lil-Khateeb, page:134, Hadis No.143 wa snadoho SAHIH)

Ahmed Bin Sinaan al-Wasiti rahimahullah ne farmaaya:
((لَيْسَ فِي الدُّنْيَا مُبْتَدِعٌ إِلَّا وَهُوَ يُبْغِضُ أَهْلَ الْحَدِيثِ))
"Dunya me koi bhi aisa bid'ati nahi hai jo ke Ahle Hadis se bughz nahi rakhta."(Ma'arrifat Ulom-ul-Hadis lil-Hakim, page:4, wa sanadohu SAHIH)

Imam Ahmed Bin Hanbal rahimahuallah farmate hain:
))إِنْ لَمْ تَكُنْ هَذِهِ الطَّائِفَةُ الْمَنْصُورَةُ أَصْحَابَ الْحَدِيثِ فَلَا أَدْرِي مَنْ هُمْ((
"Agar Taiyifah Mansurah se muraad As'habul Hadis nahi hain to phir main nahi jaanta ke wo kon hain." (Ma'arrifat Ulom-ul-Hadis lil-Hakim, page:2. wa Sahhahah Ibn Hajar Fi Fathul Bari:13/250)

Hafas Bin Ghiyaas ne As'habul Hadis ke bare me kaha:
((هُمْ خَيْرُ أَهْلِ الدُّنْيَا))
"Yeh dunya me bahtareen loog hain." (Ma'arrifat Ulom-ul-Hadis lil-Hakim, page:3, wa sanadohu SAHIH)

Imam Shafayi rahimahuallah farmate hain:
((إِذَا رَأَيْتَ رَجُلًا مِنْ أَصْحَابِ الْحَدِيثِ ، فَكَا نِّي رَأَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ حَيًّا ))
"Jab main As'habul Hadis me se kisi shakhs ko dekhta ho to goya NABI sallallahu alaihi wasallam ko zindah dekhta hon." (Sharf As'haab-ul-Hadis lil-Khateeb, page:94, Hadis No.85 wa snadoho SAHIH)

Al-Muhaddis al-Sudoq Imam Ibn Qutaibah al-dainori(276 Hijri) ne ek kitaab likhi hai:
((تأويل مختلف الحديث فی الرد علٰی أعدائ أھل الحدیث))
"Tawil Mukhtalif Al-hadith Fi Al-radu Ala 'A'ada Ahl Al-Hadith"
Is kitaab me unho ne "Ahle Hadis" ke a'ada(dushmanon) ka zabardast radd kiya hai.

Ye tamaam aqwal Muhaddiseen ke darmiyaan bila inkaar o bila eteraaz shaye o zaye aur mash'hor hain.

Lihaza malom howa ke "Ahle Hadis" naam ke jayez o sahih hone par Ayimah Muslimeen ka Ijmaa hai. Aur ye baat azhar minash-shams hai ke ummate muslimah gumrahi par Ijmaa nahi karsakti.

RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ((لَا يَجْمَعُ اللَّهُ أُمَّتِي - أَوْ قَالَ هَذِهِ الْأُمَّةَ - عَلَى الضَّلَالَةِ أَبَدًا وَيَدُ اللَّهِ عَلَى الْجَمَاعَةِ((
"ALLAH meri ummat ko – yaa farmaya ummat ko gumrahi par kabhi jama nahi karegaa aur ALLAH ka haath jama'at(ijmaa) par hai." (Al-Mustadrak lil-Hakim:1/116, Hadis No.398,399, wa sanadohu SAHIH)

In chand dalayil-e-mazkorah se malom howa ke muslimeen ka sifaati naam aur laqab Ahle Hadis wa Ahl-us-Sunnah bhi hai aur yahi groh Tayifah Masurah hai.

Ahle Hadis ke do mafhom mumkin hain:
1) Sahih-ul-Aqidah Muhaddiseen-e-Kiraam
2) Sahih-ul-Aqidah Muhaddiseen-e-Kiraam ke manhaj(Raastah) par un ki iqtidaa ba-dalil karte hain.

Dekhiye:Muqaddimah Al-Firqat-ul-Jadeedah(page:19) aur Majmo Fatawa Ibn Taimiyah(4/95)

Yeh baat sabit shurda hai ke tayifah Mansurah jannat me jaiga kionke ye Ahle Haq hain to kiya sirf Muhaddiseen-e-Kiraam hi jannat me jainge aur in ke awaam baahar darwaze par hi rahjainge?.

Malom howa ke Taifah Mansurah me Muhaddiseen aur un ke awaam dono hi shamil hai. Quran o Hadis ko apni aqal se samajhne wale aur munkir-e-ijmaa 'Masood Ahmed Bsc.' takfiree ne likha hai:
"Hum Muhaddiseen ko Ahle Hadis kahte hain. Zubair Sahab ka mazkorah bala qaul hamari tayeed hai nah ke tardeed."(Al-Jama'at-ul-Qadeemah Ba-Jawaab Al-Firqat-ul-Jadeedah, page:5)

Hadis bayaan karne walaon ko Muhaddiseen kahte hain.

Ye awaam-ul-Muslimeen ko bhi malom hai Sahabah o Tabayeen ne ahadis bayaan ki hain lihaza saabit howa ke Sahabah o Tabayeen sab Muhaddiseen(Ahle Hadis) the.

Masood Sahab par ek nayi "Wahi" naazil howi hai, wo mutakabbiranah elaan karte hain ke:
"Muhaddiseen to guzargai ab to wo log rahgai hain jo unki kitabon se naqal karte hain."( Al-Jama'at-ul-Qadeemah, page:29)

Is par tabserah karte howe Brother Muhtaram Dr. Abu Jabir al-Daamaanwi farmate hain:
"Goya mausof ke kahne ka matlab ye hai ke jis tarah RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam par nabowat ka silsilah khatam hochuka hai isi tarah Muhaddiseen ka silsilah bhi kisi khaas Muhaddis par khatam hochuka hai aur ab qayamat tak koi muhaddis paida nahi hoga aur ab jo bhi aayega wo sirf naaqil(naqal karne wala) hi hoga.

Jis tarah logon ne ijtihaad ka darwazah band kardiya. Kisi ne 12 ke baad Ayimah ka silsilah khatam kardiay.

Mausof ka khiyaal hoga ke isi tarah Muhaddiseen ki aamad ka silsilah bhi ab khatam hochuka hai likin is silsilah me anho ne kisi dalil ka zikar nahi kiya, aqawaal al-rijaal to waise hi mausof ki nigaah me qaabil-e-iltifaat hain albattah apne hi qaul ko unho ne is silsilah me hujjat mana hai. halanke jo log bhi fan-e-hadis ke saath shughf rakhte hain unka shumaar Muhaddiseen ke zumre me hota hai."(Khulasah Al-Firqah Al-Jadeedah, page:55)

Sahih Bukhari(7084) wali hadis:
((تَلْزَمُ جَمَاعَةَ الْمُسْلِمِينَ وَإِمَامَهُمْ))
"Jamat-ul-Muslimeen aur is ke imam ko lazim pakdo."

Is par Imam Bukhari rahimahullah ke likhehowe BAAB:
((باب كَيْفَ الأَمْرُ إِذَا لَمْ تَكُنْ جَمَاعَةٌ))
Ki tashreeh me Hafiz Ibn Hajar rahimahullah farmate hain:
((وَالْمَعْنَى مَا الَّذِي يَفْعَلُ الْمُسلم فِي حَال الِاخْتِلَاف من قبل ان يَقع الْإِجْمَاع على خَليفَة))
"Is hadis ka mana ye hai ke ek khalifah par ijmaa hone se pahle haalate ikhtilaaf me muasalmaan kiya kare?."(Fathul Baari:13/35, hadis No.7084)

Ayini Hanafi likhte hain:
((وَحَاصِل معنى التَّرْجَمَة أَنه إِذا وَقع اخْتِلَاف وَلم يكن خَليفَة فَكيف يفعل الْمُسلم من قبل أَن يَقع الِاجْتِمَاع على خَليفَة؟))
"Is baab ka khulasah ye hai ke jab ikhtilaf hojai aur khalifah nah hoto Khalifah par ijmaa se pahle Musalmaan kiya karega?."(Umdat-ul-Qari:24/193, kitab-ul-firan)

"Al-Jama'a -الجَمَاعَة "ki tashreeh me Qastalaani likhte hain:
(مجتمعون علٰی خَلِیفَۃ))
"Ek Khalifah par jama hone wale."(Irshaad-ul-Saari:10/183)

Abul Abbas Ahmed Bin Omer Bin Ibrahim al-Qurtubbi( Mutawaffa:656 Hijri) likhte hain:
((یعنی:انہ متی اجتمع المسلمون علٰی امام فلا یخرج علیہ وان جار کما تقدم وکام فی الروایۃ الاخریٰ:فاسمع واطع، وعلیٰ ھذا فتشھدمع ائمۃ الجور الصلوات ولجماعات والجھادو الحج وتجتنب معاصیھم ولا یطاعنون فیھا))
"Yani: Jab bhi tamaam musalmaan kis(Khalifah) par jama hojain to is ke khilaaf khuroj nahi kiya jaiga agarcheh woh zaalim ho, jaisake guzar chuka hai aur jaisake dosri reiwaayat me aayaa hai: pas suno aur ita'at kar(agarcheh wo tumhari peeth par maare) is hadis ki ro se namaazen, jama'aten, jihaad aur hajj(waghairah) zaalim hukmaraanon ke slaath mil kar adaa ki jaati hain. Un ke gunaahon se ijtinaab kiya jaata hai aur un par ta'an nahi kiya jata." (almafuhum lamaa 'ushkil min talkhis kitaab-ul-muslim:4/57)

Qortubbi mazeed farmate hai:
((فلو بایع اھل الحل والعقدلواھدموصور بشروط الامامۃلانعقدت لاالخلافۃ وحرمت علٰی کہ احد الخالفۃ))
"Pas agar (tamaam) ahle hal o aqd imaamat ke kisi musthiq ki bai'at karlen to is ki khilaafat qaayim ho jaati hai aur har ek par is ki mukhalifat haraam hojati hai." (almafuhum lamaa 'ushkil min talkhis kitaab-ul-muslim:4/57-58)

Sharaheen-e-Hadis ki in tashreehaat se malom howa ke jama'at-ul-Mulimeen aur unke imaam se muraad khilaafat aur khileefah hai. Is ki taayeed is se bhi hoti hai ke Syidina Huzaifah raziallahu-anhu se dosri riwayet me aayaa hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((فَإِنْ لَمْ تَجِدْ يَوْمَئِذٍ خَلِيفَةً فَاهْرَبْ حَتَّى تَمُوتَ ))
"Pas agar to us din khalifah paye to maut tak keliye bhaat ja."(Suan Abi Dawod:4247. Sahih Abi Awanah:4/476, wa sanadohu HASAN. Sakhar Bin Badar hain[Abi Awanah], Sabee Bin Khalid siqqah hain, al-ejlee aur Ibn Hibban is ke shawahed maujod hain)

Ek ahem faidah: Ibn Battal al-Qurtubbi(muttawaffa: 449 Hijri) ne kah:
((فَإِنْ لَمْ يَكُنْ لَهُمْ جَمَاعَةٌ وَلا إِمَامٌ؟ قَالَ: (فَاعْتَزِلْ تِلْكَ الْفِرَقَ كُلَّهَا))
"Pas jb in logon ka imam(khalifah) nah ho (aur ahle isalm ihzaab(partion) me bat jayen) to in tamam firqon se dor hojana wajib (farz) hai." (Sharah Sahih al-Bukhari li-Ibn Battaal:10/32)

Syidina Huzaifah raziallahu-anhu ki bayaan kardah is hadis se do qisam ke logon ne fayedah uthaane ki koshish ki hai:
1) Woh log jinho ne "Jama'at-ul-Muslimeen" ke naam se ek kaghazi parti (hizb) banaayi aur ek aam aadmi us ka imaam ban gaya halaanke ye parti khilafat e mulimeen nahi hai aur is ka naam nihaad imam khalifah nahi hai.

2) Woh log jinho ne ek kaghazi khalifah banaya jis ke paas naa fauj hai aur nah koi taqat is kaaghazi khalifah ka ek inch zameen par qabzah nahi hai. Is khalifah ne nah kuffar se jihaad kiya, nah sharyi hudod ka nifaaz kiya, usye khalifah kahna khilaafat ke mazaaq hai.

Surah Baqarah ki ayaayat number 30 ki tashreeh me Hafiz Ibn Kaseer rahimahullah farmaate hain:
((وَقَدِ اسْتَدَلَّ الْقُرْطُبِيُّ وَغَيْرُهُ بِهَذِهِ الْآيَةِ عَلَى وُجُوبِ نَصْبِ الْخَلِيفَةِ لِيَفْصِلَ بَيْنَ النَّاسِ فِيمَا اختلفوا فِيهِ وَيَقْطَعَ تَنَازُعَهُمْ وَيَنْتَصِرَ لِمَظْلُومِهِمْ مِنْ ظَالِمِهِمْ وَيُقِيمَ الْحُدُودَ وَيَزْجُرَ عَنْ تَعَاطِي الْفَوَاحِشِ))
"Qurtubbi waghairah ne is aayaat se istidlaa kiya hai ke khaleefah qayim karnaa waajib hai taake logon ke darmiyaan ikhtilaaftaat me faisalah kare aur jhghde khatam karde. Zaalim ke muqabile me mazlom ki madad kare hudod ka nifaaz kare aur be hayayi, fahhaashi, ke kamon se roke." (Tafseer Ibn Kaseer:1/204)

Qaazi Abu Yala Muhammed Bin Husain alfara aur Qaazi Ali Bin Muhammed Bin Habeeb al-Maawardi ne bhi khalifah keliye jihaad, siyaasat aur iqaamate hudod ko shart qarra diya hai. (Dekhiye: Al-Ihkaam-ul-Sultaaniyah, page:22 / Al-Ihkaam-ul-Sultaaniyah lil-Maawardi, page:6 / Maah Naamah Al-Hadis:22/39)

Mullah Ali Qaari Hanafi likhte hain:
((ولان المسلمین لابدّلھم من امام یقوم بتنفید أحکامھم واقامۃ حدودھم وسدّثغورھم وتجھیزجیوشھم أخذصدقاتھم))
"Musalmaanon ka aisaa imam(khalifah) hona zurori hai jo ehkaam naafiz kare, hudod qaayim kare, sarhadon ki hifaazat kare, lashkar taiyaar kare aur logon se sadqaat (quwwat ke saath) ussol kare." (Sharah Fiqh-ul-Akbar, page:146)

Ulamaye Kiraam ki in tashreehaat ke saraasar khilaaf ek kaghazi khalifah banana jo apne ghar me sharyi hudod qaayim karne se aajiz ho aur apne ghar ki deewaron ki hifaazat naa karsakta ho (waghairah) in logon ka kaam hai jo ummat-e-musimah me firqah parasti aur baatil nazriyaat ko furogh dena chahte hain.

Ek hadis me aayaa hai:
((مَنْ مَاتَ وَلَيْسَ لَهُ إِمَامٌ مَاتَ مِيتَةً جَاهِلِيَّةً))
"Jo shakhs faut(mar jaye) ho jaye aur us ki gardan me imam (khalifah) ki bai'at nah ho to wo jahiliyet ki maut marta hai." (al-Sunnah li-Ibn Abi Aasim:1057, wa sanadohu HASAN. neez Dekhiye:Sahih Mulim:1851)

Is tashreeh me Imam Ahmed farmate hai:
((تَدْرِي مَا الْإِمَامُ؟ الَّذِي يُجْتَمِعُ الْمُسْلِمُونَ عَلَيْهِ، كُلُّهُمْ يَقُولُ: هَذَا إِمَامٌ، فَهَذَا مَعْنَاهُ))
"Tuhe pata hai ke (is hadis me) imam kise kahte hain? Jis par tamaam musalmaan ka ijmaa hojaye. Har aadmi yahi kahe ke ye imaam (khalifah) hai, ye hai is hadis mana."
(Suwalaat Ibn Haahi, page:185, Fiqrah No.2011. / As-Sunnah lil-Khallal, page:81, Fiqrah No.10 / Al-Musnad min Masaayil al-Imam Ahmed, q:1, Ba-hawalah: al-imaamat-ul-uzmaa inda Ahl-us-Sunnag wa al-Jama'ah, page:217)

Mukhtasa ye ke imam aur jama'at-ul-muslimeen wali ahadis se istedlaal karte howe baaz-un-naas ka kaaghazi jama'aten aur kaaghazi ameer banaana bilkul ghalat hai aur salaf saleheen ke fahem ke saraasar khilaaf hai.

Baaz log "Ahle Hadis" naam se bahut chid-te hain aur awaamunnaas me ye mash'hor karne ki sayee naamuraad karte hain ke "ye naam firqah waraanah hai chonke hum musalmaan hain lihaza hame musalmaan hi kahnaa chahiye" lihaza hum ne apne aslaaf, muhaddiseen aur ayimah kiraam se muta'adad dalaayil pesh kiye hain ke Ahle Hadis kahlana sirf jayez hai balke pasandidah bhi hai aur yahi Taayifah Mansurah hai. Is silsile me ek tahqiqi mazmoon agle safhe par pesh e khidmat hai:
-------------------

AHLE HADIS EK SIFAATI NAAM AUR IJMAA
Salaf saaliheen ke aasaar se pachaas(50) hawale peshe khidmat hain jin se saabit hota hai ke Ahle Ahedis ka laqab aur sifaati naam bilkul sahih hai aur isee par ijmaa hai.

(1)
Bukhari: Imam Bukhari rahimahullah ne Taayifah Mansurah ke bare me farmaya:
((یَعْنِی أَھْلُ الْحَدِیْثِ))
"Yani is se muraad Ahle Hadis hain." (Mas'alat-ul-Ihtijaaj Bish-Shafayi lil-Khateeb, page:47 aur is ki sanad SAHIH hai. Al-Hujjah fi Bayaan-il-Muhijjah:1/246)

Imam Bukhari rahimahullah ne Yahya Bin Sayeed al-Qattan rahimahullah se ek raawi ke bare me naqal kiay:
((لَمْ یَكُنْ مِن أَھْلُ الْحَدِیْثِ))
"Woh Ahle Hadis me se nahi tha." (Taarikh al-Kabeer:6/429. Al-Zuafa al-Sagheer:281)

(2)
Muslim: Imam Mulim majroh raawiyon ke bare me farmate hain:
((هُمْ عِنْدَ أَهْلِ الْحَدِيثِ مُتَّهَمُونَ))
"Woh Ahle Hadis ke nazdeek mut'him(bad-naam) hain." (Shih Mulim, al-Muqaddimah, page:6 (qabl al-babb awal) dosra nuskhah:1/5)

Imam Muslim mazeed farmate hain:
"Humne hadis aur Ahle Hadis ke maz'hab ki tashreeh ki."(hawalah mazkorah)

Iamam Mulim rahimahullah ne Imam Iyob Sakhtiyani, In Awn, Malik Bin Anas, Shubah Bin Hajjaj, Yahya Bin Sayeed Al-Qattan, Abdul Rahmaan Bin Mahdi rahmatullahi alaihim ajmayeen aur unke baad ke aane walon ko:
((مِن أَھْلُ الْحَدِیْثِ))
Ahle Hadis me se qaraar diay.(Sahih Mulim, al-Muqaddimah, page:22[Baab: lafze "AN" ke zariye se riwayat kardah hadis hujjat hai basharteke rawiyon ki mulaaqaat mumkin ho aur un me se koi mudllis naa ho] Dosra Nuskhah:1/26, Teesra Nuskhah:1/23)

(3)
Shafayi: Ek riwayat ke bare me Imam Muhammed Bin Idrees al-Shafayi rahimahullah faramate hain:
((لَایُثبت أَھْلُ الْحَدِیْثِ مِثلَہ))
"Is jaisi riwayat ko Ahle Hadis saabit nahi samajhte."(al-Sunan al-Kubra lil-Baihaqi:1/260, aur is ki sanad SAHIH hai)

Imam Shafayi rahimahullah ne farmaya:
((إِذَا رَأَيْتَ رَجُلًا مِنْ أَصْحَابِ الْحَدِيثِ ، فَكَا نِّي رَأَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ حَيًّا ))
"Jab mai As'habul Hadis me se kisi shakhs ko dekhta hon to goya NABI sallallahu alaihi wasallam ko zindah dekhta hon."(Sharf As'habul Hadis lil-Khateeb:85, aur is ki sanad SAHIH hai)

(4)
Ahmed Bin Hanbal: Imam Ahmed Bin Muhammed Bin Hanbal al-Shibani rahimahullah se Taayifah Masurah ke bare me pocha gaya to unho ne faramya:
))إِنْ لَمْ تَكُنْ هَذِهِ الطَّائِفَةُ الْمَنْصُورَةُ أَصْحَابَ الْحَدِيثِ فَلَا أَدْرِي مَنْ هُمْ((
"Agar Taiyifah Mansurah se muraad As'habul Hadis nahi hain to phir main nahi jaanta ke wo kon hain." (Ma'arrifat Ulom-ul-Hadis lil-Hakim, page:2. wa Sahhahah Ibn Hajar Fi Fathul Bari:13/250)

(5)
Yahya Bin Sayeed al-Qattan: Imam Yahya Bin Sayeed al-Qattan ne Sulaiman Bin Tur khan al-Taimi ke bare me farmaya:
((کَانَ التَیمِیُّ عِنْدَنَا أَهْلِ الْحَدِيثِ))
"Taimee hamare nazdeek Ahle Hadis me se hain."(Musnad Ali Bin al-Ja'ad:1/594, Hadis No.:1354 is ki sanad SAHIH hai, Dosra Nuskhah Hadis No.1314. Al-Jarh wa al-Taadeel li-Ibn Abi Hatim:4/125, aur is ki sanad SAHIH hai)
Ek raawiye Hadis Imran Bin Qadamah al-Emmi ke bare me Yahay Bin sayeed al-Qattan rahimahullah ne farmaya:
((وَلَکِنہ لَم یَکُن مِن أَھْلُ الْحَدِیْثِ))
"Likin woh Ahle Hadis me se nahi tha."(al-Jarh wo al-Taadeel:2/303, aur is ki sanad SAHIH hai)

(6)
Tirmizi: Imam Abu Isaa al-Timizi rahimahullah ne Abu Zaid naami ek raawi ke bare me farmaya:
((وَأَبُو زَيْدٍ رَجُلٌ مَجْهُولٌ عِنْدَ أَهْلِ الْحَدِيثِ))
"Aur Ahle Hadis ke nazdeek Abu Zaid 'MAJ'HOL' aadmi hai."(Sunan al-Timizi, Baab:65, Hadis No.88)

(7)
Abu Dawod: Imam Abu Dawod al-Sajistaani rahimahullah ne farmaya:
((عِنْدَعَامۃ أَهْلِ الْحَدِيثِ))
"Aam Ahle Hadis ke nazdeek." (Risalah Abi Dawod ila Makkah… page:30, wo makhtoot, page:1)

(8)
Nasayi: Imam Nasayi rahimahullah ne farmaya:
((وَمَنْفَعَةً لأَهْلِ الإِسْلاَمِ وَمِنْ أَهْلِ الْحَدِيثِ وَالْعِلْمِ وَالْفِقْهِ وَالْقُرْآنِ))
"Ahle Islam keliye nafa hai aur Ahle Hadis, ilm wo fiqah aur Quran walon me se." (Suan al-Nasayi:7/135, Hadis No.4147, al-Taaliqaat-us-Salafiyah:4152)

(9)
Ibn Khuzaimah: Imam Muhammed Bin Is'haaq Bin Khuzaimah Naisabori ne ek hadis ke bare me farmaya:
((لَمْ نَرَ خِلَافًا بَيْنَ عُلَمَاءِ أَهْلِ الْحَدِيثِ أَنَّ هَذَا الْخَبَرَ صَحِيحٌ مِنْ جِهَةِ النَّقْلِ))
"Hum ne ulama Ahle Hadis ke darmiyan koi ikhtilaaf nahi dekha ke ye hadis riwaayat ke lihaaz se sahih hai."(Sahih Ibn Khuzaimah:1/21, Hadis No.31)

(10)
Ibn Hibban: Hafiz Muhammed Bin Hibban al-Busti rahimahullah ne ek hadis par darje zail baab baandhaa:
((ذِكْرُ خَبَرٍ شَنَّعَ بِهِ بَعْضُ الْمُعَطِّلَةِ وَأَهْلُ الْبِدَعِ عَلَى أَصْحَابِ الْحَدِيثِ حَيْثُ حُرِمُوا تَوْفِيقَ الْإِصَابَةِ لِمَعْنَاهُ))
"Is hadis ka zikar jis ke zariye se baaz muattilah firqe wale Ahle Hadis par tanqeed karte hain kion ke ye (muattilah) is ke sahih mana ki tofeeq se mahrom hain."(Shih Ibn Hibban, al-Ihsaan,[Kitab-ul-Taarikh]:566, Dosra Nuskhah:565)

Ek dosre muqaam par Hafiz Ibn Hibban ne Ahle Hadis ki ye sift bayaan ki hai:
((يَنْتَحِلُونَ السُّنَنَ،وَيَذُبُّونَ عَنْهَا، وَيَقْمَعُونَ مَنْ خَالَفَهَا))
"Woh hadison par amal karte hain, unke difaa karte hain aur un ke mukhalifeen ka qila-qama karte hain."(Sahih Ibn Hibban, al-Ihsaan:6129. dosra:6162) iske ilawah DEKHIYE: (Al-Ihsaan:1/140, qabl Hadis :61)

(11)
Abu Awanah: Imam Abu Awanah al-Asfarayini rahimahullah ek mas'ale ke bare me Imam Muzanni rahimahullah ko batate hain:
((اِختِلَاف بَینَ أَهْلِ الْحَدِيثِ))
"Is me Ahle Hadis ke darmiyan ikhtilaaf hai." (Dekhiye: Musnad Abi Awanah:1/49)

(12)
Ijli: Imam Ahmed Bin Abdullah Bin Salih al-Ijli rahimahullah ne Imam Sufyaan Bin Uyainah ke bare me farmaya:
((وَكَانَ بَعض أَهْلِ الْحَدِيثِ يَقُول هُوَ اثْبتْ النَّاس فِي حَدِيث الزُّهْرِيّ))
"Aur baaz Ahle Hadis kahte the ke woh 'ZUHRI' rahimahullah ki hadis me sab se ziyadah siqqah(sache) hain. "(al-Muarrifat-us-Siqaat:1/417 'ta' 631, Dosra Nuskhah:577)

(13)
Hakim: Imam Abu Abdullah al-Hakim Nisabori rahimahullah ne Imam Yahya Bin Mayeen ke bare me farmaya:
((إِمَامُ أَهْلِ الْحَدِيثِ))
"Ahle Hadis ke imam."( Al-Musdatrak:1/198, Hadis No.710)

(14)
Hakim Kabeer: Abu Ahmed al-Hakim al-Kabeer rahimahullah ne ek kitab likhi hai:
((شِعَار أَصْحَابَ الْحَدِيث))
"As'haab-ul-Hadis ka Shi'aar"
ye kitaa raqim-ul-hurof ki tahqiq aur tarjume se chap chuki hai. (Dekhiye Maah naamah Al-Hadis:9/4-28)

to be continued...... In Sha ALLAH
 

Similar threads


Top