Islaam Ka Hifzaan E Sehat Carona Virus Ke Tanaazur Me


Islaam Ka Hifzaan E Sehat Carona Virus Ke Tanaazur Me

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab

Islaam Apni Saaf Suthri Aur Paakizah Ta'leemaat Ke Zariya Apne Manne Walo Ko Har Chiz Me Paakizgi Ka Ahtimaam Karne Ka Hukam Deta Hai,Aysi Koi Chiz Khane Pine Se Man'a Karta Hai Jis Se Insaani Jisam Aur Sehat Ko Takleef Aur Nuqsaan Pohnche Balke Aysa Koi Kaam Bhi Karne Se Rokta Hai Jo Halaakat Ke Dahane Tak Pohnchata Hai Aaj Jab Ke 200 Ke Qareeb Mamalik Corona Virus Ki Zid Me Hai Aur Hazaaro Ki Tadad Me Maut Waaqe Bhi Ho Chuki Hai Har Mulk Is Mohlik Wabaai Bimari Se Bachaao Ki Mukhtalif Ki Tadabir Apnane Me Laga Hua Hai. Ayse Me Islaam Kis Qadar Sehat E Insaani Ka Khayaal Karta Hai Hame Janne Ki Koshish Karni Chahiye? Yah Baat To Har Koi Janta Hai Ki Kisi Ka Qatal Karna Ya Qatal Aur Maut Ka Koi Tareeqa Ikhtiyaar Karna Islaam Me Bahut Bada Juram Hai Is Wajah Se Is Aam Baat Ko Zair E Bahas Na La Kar Ham Is Mazmoon Me Un Pehlu O Par Roshni Daalna Chahen Ge Jo Baraahe Rasat Insaani Qatal To Nahi Kaha Ja Sakta Taham Basa Awqaat Bade Nuqsaan Aur Basa Awqaat Halaakat Ka Sabab Bante Hai. Niche Ki Lines Me Hifzaan E Sahat Se Mutalliq Islaam Ke 10 Sunhere Usool Zikar Kar Rahe Hai Jin Se Andazah Laga Sakte Hai Ke Ki Islaam Ki Ta'leemaat Kis Qadar Pakizah Hai Aur Woh Insaani Jaan Ki Kis Qadar Parwah Karta Hai.
(1) Kise Nahi Maloom Ke Najasat Se Bimari Phailti Hai Aur Insaano Ki Halaakat Hoti Hai Is Liye Islaam Ki Sab Se Sunheri Ta'leem Yah Hai Ke Woh Apne Manne Walo Ko Hamesha Safaai Suthraai Ka Hukam Deta Hai Balke Taharat Aur Pakizgi Imaan Ka Hissa Qaraar Deta Hai Taaki Musalmaan Imaan Ki Hifaazat Ke Sath Taharat Ka Bakhubi Iltizaam Kare. Alhamdulillaah Musalman Paidaish Se Le Kar Maut Tak Apna Kapda,Apna Badan Aur Rahan Sahan Ki Jagah Paak Rakhta Hai. Paak Kapdo Me Aur Paak Jagah Ba-Wazu Ho Kar Din Aur Raat 5 Baar Namaaz Padhna Uski Badi Daleel Hai.
5 Martaba WAZU Karna Aur Wazu Me Naak Aur Munh Me Paani Daakhil Kar Ke Jaraasim Se Jism Ki Hifazat Karna,Nez Jum'a Ke Alawah Napaak Hone Par Gusal Taharat Ka Hukam Dena Islaam Ki Paakizah Ta'leem Hai Balke Urine Ke Baad Istinja Ki Ta'leem Dena Bimaari Se Bachaao Ki Umdah Ta'leem Hai. Dekha Jaae To Musalmaano Ka Khatna Karna,Naakhun Wagair Zaroori Baal Katna Bhi Safaai Ke Sath Mukhtalif Qisam Ki Bimariyo Se Hifazat Hoti Hai. Islaam Me Safaai Se Mutalliq Uske Alawah Bahut Sari Ta'leemaat Maujood Hai.
(2) Islaam Ki Ek Umdah Ta'leem Yah Bhi Hai Ke Bimaari Laahiq Hone Se Pehle Allaah Ne Jo Sahat Aur Tandurasti Di Hai Use Ganimat Jane Is Ta'leem Ka Ek Matlab To Yah Hai Ke Karne Ke Kaam Jaldi Se Nipta Le Aur Ek Matlab Yah Bhi Hai Ke Sahat Ko Ganimat Jaan Kar Aysa Koi Kaam Na Kare Jo Use Bimaar Kar De Ya Uski Sahat Ko Nuqsaan Pohncha De Aur Fir Woh Koi Kaam Kaaj Ke Laaiq Na Bache.
(3) Islaam Jis Qadar Paakizah Hai Usi Qadar Paakizah Ta'leem Bhi Deta Hai Ke Paak Janwaro Ko Allaah Ka Naam Le Kar Khaao Aur Jo Janwar Napak Hai Unme Najasat Hai Ya Poison Hai Aur Insaani Sahat Ko Us Se Nuqsaan Pohnchne Ka Dar Hai Ayse Janwar Na Khaao Islaam Ki Yah Paakizah Ta'leem Janwaro Tak Hi Mehdood Nahi Hai Balke Kisi Bhi Qisam Ki Chiz Me Poison,Najasat Ya Nuqsaan Ho To Insaan Ke Liye Us Chiz Ka Istimaal Karna Islaami Ta'leemaat Ki Roshni Me Haraam Hai Misaal Ke Taur Par Sharaab Me Bimaari Hai Aur Jaan Ka Nuqsaan Hai To Sharaab Pina Haraam Hai Lihaza Nashili Chize,Zehrili Gizaae Halaat Khez Mawaad,Aur Nuqsaan Dene Wala Samaan Aur Jaraaseem Sab Man'a Hai Ek Musalmaan In Me Se Kisi Ka Istimaal Nahi Kar Sakta.
(4) Aap Andazah Lagaae Ke Islaam Ne Bartan Me Phunk Marne Se Man'a Kiya Hai Taaki Phunk Marne Se Jo Jarasim Nikalte Hai Kahi Uske Sabab Khane Pine Se Sahat Ko Koi Bimaari Na Lag Jaae Koi Zaroori Nahi Hai Ke Phunk Maar Kar Pine Wala Foran Bimaar Ho Jaae Kitne Log To Garam Chiz Maslan Tea Aksar Phunk Maar Kar Pite Hai Aur Bazaahir Unhe Kuch Nahi Hota Magar Islaam Ne Ahtiyaati Tadbeer Ke Tai Aysa Karne Se Man'a Kiya Hai Taaki Foran Ya Baad Me Kabhi Koi Nuqsaan Na Laahiq Ho.
(5) Na Khana Ya Ziyada Khana Yah Dono Hi Sahat Ke Liye Nuqsaan Dene Wale Hai Isliye Islaam Ne Hame Pet Ke Ek Hisse Me Khane Ka Hukam Diya Aur Dusre Hisse Me Paani Aur Tisra Hisse Ko Khaali Rakhne Ka Hukam Diya Taaki Aasaani Ke Sath Sans Le Sake. Hifzaan E Sahat Ke Liye Yah Ta'leem Nihayat Hi Umdah Hai.
(6) Aysa Koi Bimaar Jis Ki Bimaari Allaah Ke Hukam Se Dusre Ko Muntaqil Ho Sakti Hai Us Bimaar Ko Tandurast Aadmi Se Alag Rakhne Ka Hukam Hai Taaki Koi Sahat Mand Bimaar Na Ho Jaae,Yah Sirf Ahtiyati Tadbeer Hai.
(7) Isi Tarah Yah Bhi Islaami Ta'leem Hai Ke Jaha Mahamari Wali Koi Vaba Phaili Ho To Us Jagah Koi Ja Kar Sakunat Na Ikhtiyaar Kare Aur Na Hi Mahamari Jagah Se Koi Bimaar Ya Sahat Mand Dusri Jagah Safar Kare Us Se Bimari Dusro Me Aur Dusri Jagah Bhi Phailne Ka Andesha Hai.
(8) Maut Ki Tamnna Aur Aarzoo Se Bhi Islaam Man'a Karta Hai Kuy Ke Maut Apne Waqt Par Hi Aae Gi Allaah Maut Jo Yaad Karne Ka Isliye Hukam Deta Hai Taaki Insaan Aakhirat Ki Taiyyari Kare,Galat Kaamo Se Bache,Khood Ko Ya Dusre Ko Takleef Na De Allaah Ka Khauf Khaae Aur Nek Aamaal Ko Anjaam Dene Ki Fikar Karta Rahe.
(9) Islaam Ne Sahat Ka Is Qadar Khayaal Kiya Hai Ke Namaaz Jaisi Azeem Ibadat Ke Waqt Kisi Ko Paishaab Aur Pakhana Laga Ho To Woh Pehle Apni Zaroorat Puri Kar Le Chahe Uski Namaaz Jamaat Ke Sath Hi Faut Kuy Na Ho Jaae Fir Woh Namaaz Ada Kare. Ham Jante Hai Ke Paishaab Aur Pakhana Ko Rokna Takleef Dene Aur Bimaari Ka Sabab Bhi Ban Sakta Hai Jo Islaam Insaani Sahat Ka Is Qadar Khayaal Karta Hai Uski Nazar Me Insaani Qatal Kitna Bada Juram Hoga?
(10) Ek Aakhri Aham Nukta Arz Karna Chahta Hu Ke Zindagi Aur Maut Ka Paida Karne Wala,Bimaari Aur Tandurasti Dene Wala,Musibat Dene Aur Taalne Wala Akela Allaah He Uske Hukam Ke Bagair Duniya Me Kuch Bhi Nahi Ho Sakta Hai Is Liye Hamare Piyare Rasool Muhammad SAV Ne Ta'leem Di Hai Ke Allaah Se Sahat Aur Aafiyat Ki Dua Mangte Raho Aur Zamane Ke Shar Aur Fasaad Aur Bimaari Aur Takleef Se Uski Panaah Talab Karte Raho. Jo Log Apne Khaaliq Par Bharosa Karte Hai Usi Se Mangte Hai Uske Sath Kisi Ko Shareek Nahi Karte Hai Woh Allaah Us Moamin Ki Hifaazat Farmata Hai.
Mene Hifzaan E Sahat Se Mutalliq Islaam Ki 10 Sunheri Baate Aap Ki Khidmat Me Paish Ki Aur Sath Hi Shuru Hi Yah Isharah Bhi Kar Diya Ke Islaam Qatal Se Sakhti Ke Sath Man'a Karta Hai Chahe Koi Khood Ka Qatal Kare Ya Kisi Ma'soom Ka. Islaam Ki Nazar Me Qatal To Sangeen Juram Hi Hai Woh Tamaam Kaam Bhi Juram Me Shamil Hai Jo Qatal Tak Pohnchane Wale Hai Is Liye Jaan Bujh Kar Koi Musalmaan Aysa Kaam Karta Hai Jis Se Khood Ki Ya Kisi Dusre Ki Maut Waqe Ho Jati Hai To Woh Islaam Ki Nazar Me Mujrim Aur Gunehgaar Hai Mujhe Yaqeen Hai Ke Upar Zikar Kardah Bato Par Musalmaan Amal Kare Ya Gair Muslim Un Sab Ki Jismani Hifazat Hogi Aur Woh Bimari Se Aur Achanak Halaak Hone Se Bach Sake Ga Islaam Ki Mazkurah 10 Bato Ki Roshni Me Khulasa Ke Taur Par Chand Faidah Zikar Karna Chahta Hu TAAKI Aaj Ke Khaufnaak Mahol Me Kaam Aa Sake.
* Chunke Islaam Hame Paakizgi Ka Hukam Deta Hai Aur Ham Islaam Ko Manne Wale Hai Lihaza Apne Kirdaar Se Amali Namuna Paish Kare Ke Ham Waqai Islaam Ki Paakizah Ta'leemaat Par Amal Karne Wale Hai Is Liye Hamara Gardo Paish,Badan Aur Kapda Paak Saaf Suthra Ho.
* Khauf Aur Musibat Ke Waqt Ibaadat Ki Ahmiyat Mazeed Badh Jati Hai Is Liye Ayse Waqt Me Faraaiz Par Sakhti Se Kaar Band Ho Aur Taubah Aur Astagfaar Ki Kasrat Kare.
* Chand Dino Pehle Saudi Arab Ke Supreme Ulma Ke Konsal Ne Bahut Hi Gaur Aur Khauz Ke Baad Fatwah Saadir Kiya Ke Saudi Arab Walo Ko Us Waqt Apne Gharo Me Namaaz Padhni Chahiye Yaha Tak Ke Jum'a Ke Din Bhi Apne Gharo Me Hi Zuhar Ki Namaaz E Ada Kare Us Waqt Kuch Ajmi Ulma Ne Is Fatwah Par Wawela Machaya Aur Is Fatwah Ko Shariat Ke Khilaaf Qaraar Diya Aur Aaj Jab Haalaat Naazuk Ho Chuke Hai Aur Mukhtalif City's Me Lockdown Ki Nobat Aachuki To Samjh Me Aa Gaya Ke Gharo Me Namaaz Padhna Hi Haalaat Ka Taqaazah Hai.
Saudi Arab Ka Fatwah Kal Bhi Islaam Ke Khilaaf Nahi Tha Aur Aaj Bhi Nahi Hai Kuy Ke Islaam Hame Na Sirf Marne Se Rokta Hai Balke Maut Ki Taraf Jane Wale Tamam Rasto Par Chalne Se Man'a Karta Hai Awaam Aimma Aur Ulma Se Meri Pur Khuloos Guzaarish Hai Ke Chand Dino Ke Liye Gharo Ko Laazim Pakde Aur Ghar Par Hi 5 Waqt Namaaz Ada Kare Usi Me Sab Ki Aafiyat Hai.
* Kuch Naadaan Corona Ko Halke Andaaz Me Le Rahe Hai Woh Ahtiyaat Kiya Karen Ge Uska Mazaaq Uda Rahe Hai Jab Ke Yah Sangeen Bimaari Aur Allaah Ka Azaab Hai Ek Musalmaan Allaah Ke Azaab Se Kaise Be Khauf Ho Jaae Ga Aur Uska Mazaaq Udae Ga?
Khudara Hosh Ka Nakhun Le Ab Apni Aur Pure Ahal E Khana Ki Hifaazat Kare,Ihtiyaati Tadaabeer Apnane Aur Un Logo Ko Sidhi Raah Dikhaae Jo Corona Ka Mazaaq Uda Rahe Hai Ya Bad Ahtiyaati Kar Rahe Hai.
* Allaah Se Dua Mangna Moamin Ki Zindagi Ka Aham Waseela Hai Usko Amali Jama Pehnaae Allaah Se Dua Kare Ke Woh Ham Se Azaab Taal De Hamare Upar Se Khauf Ka Baadal Hata De Woh Hame Aman Aur Raahat De Aur Ummat E Muslima Ki Hifazat Farmaae. Aameen
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Other Topics 0

Similar threads


Top