ISLAAM KYA HAI ?


ISLAAM KYA HAI ?

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

الْإِسْلَامُ أَنْ تَعْبُدَ اللَّهَ ، وَلَا تُشْرِكَ بِهِ شَيْئًا

"Islaam ye hai ke (Akele) Allaah ki ibaadat karo aur kisi (cheez) ko uska shareek na tehraao." [1]

هو الإستسلام لله بالتوحيد والانقياد له بالطاعة والبراءة من الشرك وأهله

"Allaah (تعالى) ki Tawheed ke iqraar aur Uski itaa'at karte hue apne aap ko Allaah (تعالى) ke sapurd kardene aur Shirk aur Mushrikon se Baraa'at (Bezaari ka elaan karne) ka naam Islaam hai."
[2]

Tawheed ko Dil o Jaan se apnaate hue apne aap ko Allaah (تعالى) ke Mutee' (Farmaabardaar) wa Sapurd (Hawaale) kardene, uske Ahkaam ki itaa'at karte hue uska taabe' farmaan (Ya'ni uske Hukm ka Farmaabardaar) rehne aur uske saath doosre ko hargiz shareek na tehraane aur Shirk aur Ahl e Shirk (Mushrikeen) se bezaari ka elaan karne ka naam "Deen e Islaam" hai.

• Farmaan e ILaahi hai:

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم

قَدۡ کَانَتۡ لَکُمۡ اُسۡوَۃٌ حَسَنَةٌ فِیۡۤ اِبۡرٰهِیۡمَ وَ الَّذِیۡنَ مَعَهٗ ۚ اِذۡ قَالُوۡا لِقَوۡمِهِمۡ اِنَّا بُرَءٰٓؤُا مِنۡکُمۡ وَ مِمَّا تَعۡبُدُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ کَفَرۡنَا بِکُمۡ وَ بَدَا بَیۡنَنَا وَ بَیۡنَکُمُ الۡعَدَاوَۃُ وَ الۡبَغۡضَآءُ اَبَدًا حَتّٰی تُؤۡمِنُوۡا بِاللّٰہِ وَحۡدَہٗۤ

"Tumhaare liye Ibraaheem (عليه السلام) aur unke saathiyon mein behtareen namoonah hai jab unhone apni Qaum se kaha tha ke hum tum se aur jin jin ki Allaah ke alaawah tum ibaadat karte ho un sab se bezaar hain, hum tumhaara inkaar karte hain, hamaare aur tumhaare darmiyaan Bughz (nafrat) aur 'Adaawat (Dushmani) shuroo' hogayi hai yahaan tak ke tum Ek Allaah par Eemaan ley aao." [3]

Yahaan ek ahem mas'aley ki wazaahat zaroori hai, Aur woh ye hai ke:

• Kuffaar ke liye (Dil mein) Wujoodul-'Adaawah rakhne mein aur Iz'haarul-'Adaawah karne ke darmiyaan farq hai.

• Shaykh 'Abdul-Lateef Ibn 'Abdul-Rahmaan Aal Al-Shaykh (Rahimahullaah) ne farmaaya:

ومسألة إظهار العداوة غير مسألة وجود العداوة، فالأول: يعربه مع العجز والخوف، لقوله تعالى: (إلا أن تتقوا منهم تقاة) ، والثاني: لا بد منه، لأنه يدخل في الكفر بالطاغوت، وبينه وبين حب الله ورسوله تلازم كلي، لا ينفك عنه المؤمن

"Iz'haarul-'Adaawah (Dushmani ka zaahir karne) ka mas'alah Wujoodul-'Adaawah (Dil mein dushmani rakhne) se mukhtalif (alag) hai. Pehla jo hai us mein kamzori aur khauf ki wajah se uzr hai jaisa ke Allaah (تعالى) ka farmaan hai: "Siwaaye iske ke tum un (ke zulm) se bachne ke liye bachaao ka koi tareeqah ikhtiyaar karo." [3:28] Doosra: Ye laaziman hai (ya'ni is mein koi uzr nahin, ye waajib hai), kyunke ye Kufr Bit-Ťaghhoot mein daakhil hota hai, uske aur Allaah aur Uske Rasool ki muhabbat ke darmiyaan (ek dum, bina kisi khalal ke) seedha raabtah hai jis se ek Mumin apne aap ko kabhi is se alag nahin kar sakta." [4]

Jo bhi Islaam mein daakhil hua usey Musalmaan kaha jaayega, is liye ke usne har cheez ko Allaah (تعالى) aur uske Rasool (ﷺ) ke Mutee' aur Hawaale kardiya aur jo Ahkaam Allaah aur uske Rasool se aaye hain un par amal kiya, isi bina par usey Musalmaan kaha jaata hai.

☆ MUSHRIKEEN SE JUDA AUR ALAG REHNE KA BAYAAN ☆

أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ قُدَامَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا جَرِيرٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ مَنْصُورٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي وَائِلٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي نُخَيْلَةَ الْبَجَلِيِّ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ جَرِيرٌ:‏‏‏‏ أَتَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَهُوَ يُبَايِعُ، ‏‏‏‏‏‏فَقُلْتُ:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏ابْسُطْ يَدَكَ حَتَّى أُبَايِعَكَ وَاشْتَرِطْ عَلَيَّ فَأَنْتَ أَعْلَمُ. قَالَ:‏‏‏‏ أُبَايِعُكَ عَلَى أَنْ تَعْبُدَ اللَّهَ وَتُقِيمَ الصَّلَاةَ، ‏‏‏‏‏‏وَتُؤْتِيَ الزَّكَاةَ، ‏‏‏‏‏‏وَتُنَاصِحَ الْمُسْلِمِينَ، ‏‏‏‏‏‏وَتُفَارِقَ الْمُشْرِكِينَ

Jareer (Raziyallaahu 'Anhu) se riwaayat hai, Unhone kaha ke: Main Nabi (ﷺ) ke paas aaya, Rasool Allaah Bai'at ley rahe the. Maine 'arz kiya: Allaah ke Rasool haath phailaaiye taake Main Bai'at karun, aur aap Shart bataaiye kyunke aap zyaadah jaante hain.

Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya: "Main tum se is baat par Bai'at leta hoon ke tum Allaah (Akele) ki ibaadat karoge, Namaaz qaayem karoge, Zakaat adaa karoge, Musalmaanon ke saath Khair khwaahi aur bhalaayi karoge Aur (Kuffaar wa) Mushrikeen se alag thalag rahoge." [5]

Sheikh Suleiman Anwar (Hafizahullaah) ne kaha:

Logon ko Islaam ki da'wat dene ke wujoob ko Mushrikeen se Baraa'at ke wujoob par jo ke (Deen ki) bunyaad hai kabhi bhi (Da'wat dene ko) muqaddam (aage) nahin rakha gaya hai.

وَأَذَانٌ مِّنَ اللَّهِ وَرَسُولِهِ إِلَى النَّاسِ يَوْمَ الْحَجِّ الْأَكْبَرِ أَنَّ اللَّهَ بَرِيءٌ مِّنَ الْمُشْرِكِينَ ۙ وَرَسُولُهُ

"Allaah aur uske Rasool ki taraf se logon ko badey Hajj ke din saaf ittelaa' hai ke Allaah aur uska Rasool Mushrikon se bezaar hai." [6]

WAZAAHAT: Ya'ni Mushrikeen se Baraa'at karte hue Deen ki da'wat dee jaayegi. Baraa'at pehle hai isliye ke Baraa'at ek bunyaadi fareezah hai jo ke pehle hai uske ba'd Islaam ki Da'wat dee jaayegi.

☆ KALIMAH e TAWHEED KE IQRAAR SE KYA HOGA ? ☆

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَكَفَرَ بِمَا يُعْبَدُ مَنْ دُونِ اللهِ، حَرُمَ مَالُهُ، وَدَمُهُ، وَحِسَابُهُ عَلَى اللهِ

"Jis ne Laa ILaaha Illaa Allaah kaha aur Allaah ke siwa jin ki ibaadat kee jaati hai, un (sab) ka inkaar kiya toh us ka Maal wa Jaan mehfooz hogaya aur uska hisaab Allaah par hai." [7]

وما عليّ إلا البلاغ ، ولله الحمد والمنة وأعلم

《 Muharrir: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah 》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )

_____________

References:


[1] Saheeh Al-Bukhaari: 4777.

[2] Al-Durar Al-Saniyyah, 1/129.

[3] Soorah No. 60, Al-Mumtahinah, Aayah: 4.

[4] Al-Durar Al-Saniyyah, Jild: 8, Pg: 259.

[5] Sunan Al-Nasaai: 4182.

[6] Soorah No. 9, Al-Tawbah, Aayah: 3.


[7] Saheeh Muslim: 130.
 
Last edited:

Similar threads


Top