ISLAAM ME ZAWJAIN (MIYA BIWI) KE HUQOOQ


ISLAAM ME ZAWJAIN (MIYA BIWI) KE HUQOOQ.

FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH
JEDDAH DA'WA CENTRE HAIYYIS SALAMA SAUDI ARAB
Romanised By Khadija Muhammadi
Nikaah Shohar Biwi Ke Darmiyaan Ek Mazboot Rishte Ka Naam Hai Jo Aapasi Muhabbat Aur Hamdardi Par Qaim Ek Dusre Ko Sukoon Pohnchane Ka Ba'is Hai. Allah Ka Farmaan Hai:
وَمِنْ ءَايَٰتِهِۦٓ أَنْ خَلَقَ لَكُم مِّنْ أَنفُسِكُمْ أَزْوَٰجًا لِّتَسْكُنُوٓاْ إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُم مَّوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِى ذَٰلِكَ لَءَايَٰتٍۢ لِّقَوْمٍۢ يَتَفَكَّرُونَ.(الروم: 21)
Tarjumah:- Aur Uski Nishaaniyo Me Se Hai Ke Tumhari Hi Jins Se Biwiya Paida Ki Taaki Tum Aaraam Paao Usne Tumhare Darmiyaan Muhabbat Aur Hamdardi Qaim Kar Di Yaqeenan Gaur Aur Fikr Karne Walo Ke Liye Usme Bahut Nishaniya Hai.
Zindagi Me Sab Kuch Ho Magar Sukoon Maiyssar Na Ho To Zindagi Kisi Kaam Ki Nahi, Allah Apne Bando Par Raham Farmate Hue Unko Sukoon Pohnchane Ke Ba'is Usi Ke Jins Se Uske Liye Biwi Paida Ki Jis Se Shadi Kar Ke Insaan Zindagi Ko Khushgawaar Aur Pursukoon Banata Hai Magar Aaj Kal Miya Biwi Ke Darmiyaan Ulfat Aur Hamdardi Ka Mahol Nazar Nahi Aata Hai. Aksar Gharo Me Besukooni, Jhagde, Aur Nafrat Aur Adawat Ka Maahol Hai, Yahi Wajah Hai Ke Muslim Muashre Me Kasrat Se Talaq Di Jati Hai Aur Miya Biwi Ka Ghar Ujadta Hai.
Sawaal Paida Hota Hai Ke Nikaah To Ulfat Aur Sukoon Aur Ghar Basane Ke Liye Kiya Jata Hai Fir Aaj Ayse Bure Manaazir Dekhne Ko Kuy Milte Hai?
Isi Sawaal Ne Mujhe Yah Tehreer Likhne Par Majboor Kiya,Shayad Kisi Ka Ghar Bas Jaae, Kisi Ki Nafrat Aapasi Muhabbat Me Tabdeel Ho Jaae Aur Sukoon Aur Qaraar Se Dubarah Zindagi Guzaarne Lage. Allah Ka Farmaan Hai:
وذكر فان الذكر تنفع المؤمنين.(الذاريات: 55)
Tarjumah: Aur Nasihat Karte Rahe Yaqeenan Yah Nasihat Imaandaaron Ko Faidah Degi.
Jo Log Nikaah Ko Ma'mooli Baat Samjhte Hai Aur Uske Taqaaze Se Bekhabar Hai Wahi Aksar Bekhabri Me Badi Aasani Se Is Rishte Ko Tod Dete Hai. Iske Alawah Bhi Dusre Sabab Paae Jaate Hai. Jaise Galatfehmi,Gussa, Ananiyyat, Tassub,Zulm Aur Majburi Wagairah Taaham Huquooq Zawjain Se Nawaakifiyat Aur Allah Se Bekhaufi Azdawaji Zindagi Ki Barbadi Ka Aham Sabab Hai.
Zawjain Ke Huqooq Bayan Karne Se Pehle 5 Aham Tareen Baato Ko Jaan Lena Behad Faidemand Hoga
Pehli Baat Yah Hai Ke Aqd E Nikaah Karne Se Pehle Hi Balke Ladki Ka Rishta Talaashte Waqt Hi Apni Niyyat Ki Islaah Kar Leni Chaahiye Aur Yah Niyyat Bana Leni Chaahiye Ke Me Iffat Aur Ismat Ki Hifaazat, Zindagi Me Sukoon, Nek Aulaad Ke Husool Aur Deeni Kaam Par Madad Haasil Karne Ke Liye Shadi Kar Raha Hu. Jab Niyyat Achchi Hogi To Allah Achche Rishte Ki Taufeeq Dega Aur Nikaah Ke Baad Rishte Me Paaedari Hogi Aur Nikaah Ke Paakizah Maqasid Bhi Haasil Honge. Imaam Bukhari Rh. Sahih Bukhari Me Sab Se Pehle Niyyat Wali Hadees Darj Karte Hai Jis Me Bataya Gaya Hai Ke Tamaam Kaamo Ka Daaromadaar Niyyat Par Hai, Shadi Bhi Ek Aham Kaam Hai, Iske Liye Achchi Niyyat Karte Hai To Zindagi Par Achcha Asar Hoga Aur Buri Niyyat Karte Hai To Zindagi Par Bura Asar Hoga.
Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Farmate Hai:
إِنَّمَا الأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ، وَإِنَّمَا لِكُلِّ امْرِئٍ مَا نَوَى، فَمَنْ كَانَتْ هِجْرَتُهُ إِلَى دُنْيَا يُصِيبُهَا، أَوْ إِلَى امْرَأَةٍ يَنْكِحُهَا، فَهِجْرَتُهُ إِلَى مَا هَاجَرَ إِلَيْهِ.(البخاري:١)
Tarjumah: Tamaam Aamal Ka Daaromadaar Niyyat Par Hai Aur Har Amal Ka Natija Har Insaan Ki Uski Niyyat Ke Mutaabiq Hi Mile Ga. Pas Jis Ki Hijrat (Watan Chhodne Ki)Daulat E Duniya Haasil Karne Ke Liye Ho Ya Kisi Aurat Se Shadi Ki Garaz Se Ho. Pas Uski Hijrat Unhi Chizo Ke Liye Hogi Jinke Haasil Karne Ki Niyyat Se Usne Hijrat Ki Hai.
Dusri Baat Yah Hai Ke Buniyadi Taur Par Mardo Ko Yah Samjhana Hai Ke Jin Aurto Ko Ham Biyaah Kar Ghar Laate Hai Unse Hamare Ahad Aur Paimaan Hote Hai. Allah Ka Farmaan Hai:
واخذن منكم ميثاقا غليظا.(النساء:٢١)
Tarjumah: Aur Un Aurto Ne Tum Se Mazboot Ahad O Paimaan Le Rakha Hai.
Yaha Mazboot Ahad O Paimaan Se Muraad Yah Hai Ke Mard Achche Tariqe Se Biwi Ko Sath Rakhne Ka Us Se Mazboot Wada Karta Hai.
Teesri Baat Yah Hai Ke Nikaah Se Hamara Ghar Aabaad Hota Hai Aur Ek New Zindagi Ka Aagaaz Hota Hai,Yah Aagaaz Jis Qadr Behtar Hoga Uska Gehra Asar Aaindah Ki Zindagi Par Parhta Hai. Baae Sabab Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Nek Aurat Se Shadi Karne Aur Kaamiyaab Hone Ka Hukm Diya Hai. Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
‏تنكح المرأة لأربع‏:‏ لمالها، ولحسبها، ولجمالها، ولدينها، فاظفر بذات الدين تربت يداك‏"‏(البخاري:5090)
Tarjumah: Aurat Se Nikaah 4 Chizo Ki Buniyaad Par Kiya Jata Hai Uske Maal Ki Wajah Se Aur Uske Khaandaani Sharf Ki Wajah Se Aur Uski Khubsurati Ki Wajah Se Aur Uske Deen Ki Wajah Se Aur Tu Deendaar Aurat Se Nikaah Kar Ke Kaamiyaabi Haasil Kar, Agar Aysa Na Kare To Tere Hatho Ko Mitti Lagegi(Yani Akheer Me Tujh Ko Nadaamat Hogi)
Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Duniyadaar Logo Ka Haal Bataya Ke Woh Log Maal Aur Manaal, Hasab O Nasab, Aur Husn Aur Jamaal Ki Wajah Se Shadi Karte Hai Tum Imaan Wale Deen Ki Buniyaad Par Deendaar Ladki Se Shadi Karo, Agar Tum Deendaar Ladki Se Shadi Karoge To Kaamiyaab Rahoge Aur Agar Tum Ne Iski Mukhalifat Ki To Afsos Karna Parega. Aaj Hamari Barbadi Ki Badi Wajah Nikaah Me Deen Ko Me'yaar Na Banana Hai. Yah Hadees Is Baat Ki Daleel Hai, Is Se Bhi Waazeh Zikr Ek Dusri Hadees Me Milta Hai, Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
إِذَا خَطَبَ إِلَيْكُمْ مَنْ تَرْضَوْنَ دِينَهُ وَخُلُقَهُ فَزَوِّجُوهُ، إِلَّا تَفْعَلُوا تَكُنْ فِتْنَةٌ فِي الأَرْضِ، وَفَسَادٌ عَرِيضٌ.(التركي:1084)
Tarjumah: Agar Tumhare Yaha Koi Aysa Aadmi Nikaah Ka Paigaam Bheje Jis Ke Deen Aur Akhlaaq Se Tum Mutmain Ho To Uske Sath(Apni Waliya) Ki Shadi Kar Do Agar Tum Ne Aysa Na Kiya To Zameen Me Bada Fitna Aur Fasaad Phaile Ga.
Is Liye Mere Bhaiyo! Agar Apne Gharo Ko Bachana Ho, Zindagi Me Sukoon Lana Ho Aur Apna Rishta Mazbooti Se Qaim Rakhna Ho To Nikaah Me Deen Ko Me'yaar Banaae. Deendaar Aur Nek Biwi Duniya Ki Azeem Daulat Hai, Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
الدُّنيا متاعٌ وخيرُ متاعِها المرأةُ الصَّالحةِ.(صحيح مسلم:3649)
Tarjumah: Duniya <<Mata'a>> Hai(Chand Rozah Samaan Hai) Aur Duniya Ka Behtareen <<Mata'a>> (Faidah Bakhsh Samaan) Nek Aurat Hai.
Nek Biwi Duniya Ki Azeem Daulat Is Liye Hai Ke Woh Shohar Ki Qadr Karti Hai, Uske Huqooq Ada Karti Hai, Ghar Ka Maahol Deeni Bana Kar Rakhti Hai, Aulaad Ki Deeni Tarbiyat Karti Hai Aur Shohar Ko Bhi Deen Aur Imaan Par Madad Karti Hai.
Sauban RA Kehte Hai Ek Safar Me The,Aap Ke Kuch Sahaba Ne Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Se Kaha Ke Agar Ham Jaante Ke Kon Sa Maal Behtar Hai To Usi Ko Apnaate To Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
أفضلُه لسانٌ ذاكرٌ ، وقلبٌ شاكرٌ ، وزَوجةٌ مؤمنةٌ تعينُهُ على إيمانِهِ.(صحيح التركي:3094)
Tarjumah: Behtareen Maal Yah Hai Ke Aadmi Ke Paas Allah Ko Yaad Karne Wali Zabaan Ho,Shukr Guzaar Dil Ho, Aur Uski Biwi Aysi Mo'mina Aurat Ho Jo Uske Imaan Ko Pukhta Tar Banane Me Madadgaar Ho.
Chothi Baat Yah Hai Ke Allah Ne Mard Ko Aurat Ka Hakim Banaya Hai, Woh Ghar Chalata, Sambhalta Aur Biwi Bachcho Ki Kifaalat Karta Hai Yahi Wajah Hai Ke Mard Ko Allah Ne Biwi Par Fazilat Di Hai.
Lekin Huqooq Dono Ke Liye Mutaiyyan Farmaae Hai Allah Farmata Hai:
وَلَهُنَّ مِثْلُ الَّذِي عَلَيْهِنَّ بِالْمَعْرُوفِ وَلِلرِّجَالِ عَلَيْهِنَّ دَرَجَةٌ والله عزيز حكيم ﴾ [البقرة: 228].
Tarjumah: Aur Aurto Ke Bhi Waise Hi Haq Hai Jaise Un Par Mardo Ke Hai Achchaai Ke Sath, Han Mardo Ko Aurto Par Fazilat Hai Allah Gaalib Hai Hikmat Wala Hai
Is Liye Shohar Yah Na Samjhe Ke Islaam Ne Biwi Ko Koi Maqaam Nahi Diya, Iske Liye Koi Haq Nahi Hai, Usko Jaise Chaaho Rakho,Bila Wajah Zado Kob Karo, Ghar Me Rakho Ya Nikaal Do, Istimaal Karo Aur Talaaq Dedo Koi Farq Nahi Parhta. Hargiz Nahi. Biwi Ke Bhi Waise Hi Huqooq Hai Jaise Shohar Ke Huqooq Hai.
Paanchwe Baat Yah Hai Ke Bando Ke Huqooq Ka Mukammal Bahut Hi Aham Hai Jo Bhi Musalmaan Mard Ya Aurat Kisi Ki Haq Talafi Kare Aur Us Haal Me Mar Jaae To Allah Ke Yaha Uski Sakht Puch Hogi Aur Mazloom Ko Pura Pura Insaaf Diya Jaaega. Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Muflis Meri Ummat Me Qayamat Ke Din Woh Hoga Jo Namaaz Laaega, Rozah Aur Zakaat Lekin Usne Duniya Me Ek Ko Gaali Di Hogi,Dusre Ko Badkari Ki Tohmat Lagaai Hogi, Teesre Ka Maal Kha Liya Hoga, Chothe Ka Khoon Kiya Hoga, Paanchwe Ko Maara Hoga Fir Un Logo Ko(Yani Jin Ko Usne Duniya Me Sataya) Uski Nekiya Mil Jaaegi Aur Jo Uski Nekiya Uske Gunaah Ada Hone Se Pehle Khatam Ho Jaaegi To Un Logo Ki Buraaiya Us Par Daali Jaaegi Aakhir Woh Jahnnam Me Daal Diya Jaae Ga.
Is Liye Miya Biwi Me Se Har Ek Ko Apna Apna Haq Ada Karna Chaahiye Aur Haq Talafi Karne Se Allah Ka Khauf Khana Chaahiye.
Ab Aap Ke Samane Miya Biwi Ke Huqooq Bayaan Karenge. Yaha 3 Qism Ke Huqooq Hai, Kuch Huqooq Zawjain Ke Darmiyaan Mushtarka Hai Yani Dono Ko Ek Dusre Ke Liye Ada Karna Hai, Kuch Makhsoos Huqooq Shohar Ke Hai Aur Kuch Makhsoos Huqooq Biwi Ke Hai. Tawaalat Ke Khauf Se Un 3no Qism Ke Huqooq Me Se Aham Huqooq Ko Bayaan Karne Par Iktifa Karunga.

MIYA BIWI KE DARMIYAAN MUSHTARKA HUQOOQ
(1) Ita'at E Ilaahi Ke Liye Ek Dusre Ka Ta'wun: Nikaah Ki Buniyaad Hi Kufu Yani Deendaari Par Qaim Hai Is Deen Ki Hifaazat Aur Deen Par Amal Karne Ke Liye Miya Biwi Ek Dusre Ka Ta'wun Kare. Allah Ka Farmaan Hai:
وَتَعَاوَنُوا عَلَى الْبِرِّ وَالتَّقْوَىٰ ۖ وَلَا تَعَاوَنُوا عَلَى الْإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ ۖ إِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ۔
(المائدہ:٢)
Tarjumah: Neki Aur Parhezgaari Me Ek Dusre Ki Imdaad Karte Raho Aur Gunaah Zulm Ziyaadti Me Madad Na Karo Aur Allah Se Darte Raho,Beshak Allah Sakhat Saza Dene Wala Hai.
Allah Ka Yah Hukm Aam Hai Ke Har Koi Ek Dusre Ko Neki Ke Kaam Par Madad Kare Aur Buraai Ke Kaam Par Koi Kisi Ki Madad Na Kare. Jab Yah Aam Logo Ke Liye Hukm Hai To Miya Biwi Ke Liye Badarja Awla Hukm Hoga Kuy Ke Unhi Dono Se Pehle Ghar Banta Hai Aur Fir Mutaddad Gharo Se Samaaj Aur Muashira Tashkeel Pata Hai. Is Mamle Me Ek Aham Hadees Mulaahiza Farmaae, Abu Hurairah RA Kehte Hai Ke Rasool Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
رحِمَ اللَّه رَجُلا قَامَ مِنَ اللَّيْلِ، فصلىَّ وأيْقَظَ امرأَتهُ، فإنْ أَبَتْ نَضحَ في وجْهِهَا الماءَ، رَحِمَ اللَّهُ امَرَأَةً قَامت مِن اللَّيْلِ فَصلَّتْ، وأَيْقَظَتْ زَوْجَهَا فإِن أَبي نَضَحَتْ فِي وجْهِهِ الماءَ.(صحيح ابي داؤد:١٣٠٨)
Tarjumah: Allah Us Shakhas Par Raham Farmaae Jo Raat Ko Uthe Aur Namaaz Parhe Aur Apni Biwi Ko Bhi Bedaar Kare,Agar Woh Na Uthe To Uske Chehre Par Paani Ke Chinte Maare Allah Us Aurat Par Raham Farmaae Jo Raat Ko Uth Kar Namaaz Parhe Aur Apne Shohar Ko Bhi Jagaae, Agar Woh Na Uthe To Uske Chehre Par Pani Ke Chinte Maare.
Is Hadees Me Deen Ke Kaam Par Miya Biwi Me Se Har Ek Ko Dusre Ka Ta'wun Karne Ki Targeeb Di Gai Hai. Shohar Koi Deeni Kaam Kare To Uski Taraf Biwi Ko Bulaae Aur Biwi Koi Neki Ka Kaam Kare To Usme Shohar Ko Bhi Shareek Kare.
Baaz Log Yah Samjhte Hai Ke Biwi Ko Neki Ka Hukm Dena Sirf Shohar Ka Kaam Hai, Biwi Ka Kaam Nahi Hai. Yah Logo Ki Galatfehmi Hai. Yaad Rakhe Jitna Shohar Biwi Ke Liye Zimmedaar Hai Utna Biwi Bhi Shohar Ka Zimmedaar Hai. Shohar Be Deen,Be Namaazi, Sharabi, Juwari, Behaya Aur Kufr Aur Ma'siyat Karne Wala Ho To Biwi Ka Deeni Fareeza Ke Apne Shohar Ki Deeni Islaah Kare, Agar Shohar Apni Islaah Kar Leta Hai Aur Deen Par Aa Jaata Hai To Thik Hai Warna Biwi Ayse Shohar Se Alag Ho Sakti Hai. Yahi Zimmadari Mard Ki Bhi Hai.
Deen Biwi Ke Talluq Ke Se.
(2) HUSN E MA'SHIRAT KE SATH ZINDAGI GUZARNA:
Miya Biwi Me Se Dono Ka Fareeza Hai Ke Ek Dusre Se Muhabbat Kare, Ek Dusre Ka Sath De, Ek Dusre Se Husne Sulook Se Paish Aae, Narami Aur Hamdardi Ka Mamla Kare, Ek Dusre Ki Bashari Galatiyo Ko Nazar Andaaz Kare (Deeni Mamla Me Galati Ki Islaah Ki Jaaegi) Aur Afwu Aur Darguzar Se Kaam Le, Sukh Dukh Me Ek Dusre Ka Gamkisaar Bane Aur Ghar Me Khushgawaar Maahol Aur Pursukoon Fiza Qaim Karne Me Ek Dusre Ka Har Tarah Se Sath De.
Allah Ne Hukm Diya Hai:
وعاشروهن بالمعروف(النساء:١٩)
Tarjumah: Tum Unke Sath Achche Se Bod O Baash Rakho.
Yah Hukm To Asal Mardo Ko Hai Kuy Ke Wahi Shadi Kar Ke Biwi Ko Ghar Laya Hai Taaham Biwi Bhi Is Qadr Husn E Ma'shirat Se Shohar Ke Sath Zindagi Guzaarne Ka Paband Hai.
Mard Aurat Ka Haakim Aur Ghar Ka Nigraan Aur Muntazim Hai Is Lihaaz Se Uski Badi Zimmadari Hai Ke Apne Ahal E Khana Ke Sath Achche Tariqe Se Rahan Sahan Kare, Shohar Behtar Tareeqah Se Rahe Ga To Yaqeenan Biwi Par Uska Achcha Asar Parhega Aur Biwi Bhi Achchai Ka Muamla Karegi. Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
خيركم خيركم لاهله وأنا خيركم لاهلي.(صحيح التركي:٣٨٩٥)
Tarjumah: Tum Me Se Behtar Woh Hai Jo Apne Ghar Walo Ke Liye Behtar Ho Aur Me Apne Ghar Walo Ke Liye Sab Se Behtar Hu.
Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Jaabir RA Se Farmaya:
فهلا جارية تلاعبها وتلاعبك وتضاحكها وتضاحكك؟ (صحيح البخاري:5367)
Tarjumah: Tum Ne Kisi Kunwari Ladki Se Shadi Kuy Na Ki,Tum Uske Sath Khelte,Aur Woh Tumhare Sath Khelti, Tum Uske Sath Hansi Mazaaq Karte Aur Woh Tumhare Sath Hansi Karti.
Husne Ma'shirat Ke Liye Dono Taraf Barabar Muhabbat, Ta'wun, Husne Sulook, Aur Shafqat Aur Hamdardi Honi Chahiye Jaisa Ke Mazkoorah Bala Hadees Me Tarafain Ke Liye Fitri Muhabbat Ki Targeeb Milti Hai. Ek Dusri Hadees Se Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Apni Biwi Se Husn E Mua'shirat Ka Ek Namoona Dekhe. Ummul Mo'meneen Aaisha RA Se Rivayat Hai Ke Woh Nabi E Akram Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Sath Ek Safar Me Thi Kehti Hai Ke Me Ne Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Se Race Ka Muqabla Kiya To Me Jeet Gai, Fir Jab Mera Badan Bhari Ho Gaya To Me Ne Aap Se(Dubarah) Muqabla Kiya To Aap Jeet Gae Is Par Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Yah Jeet Us Jeet Ke Badle Hai. (Sahih Abu Dawood:2578)
Race Ek Tarah Ka Khel Hai, Miya Biwi Ke Darmiyaan Is Tarah Ka Muamla Aapasi Muhabbat Aur Hamdardi Aur Khushgawaar Zindagi Ki Daleel Hai. Aap Bhi Apne Ghar Ko Khushgawaar, Pursukoon Aur Zindagi Ko Behtareen Banana Chahte Hai To 3 Buniyaadi Bato Ko Amal Me Lana Zaroori Hai Un 3 Bato Se Nikaah Ke Rishte Me Paaedaari Hogi.
* Nikaah Ke Baad Rishta Qaaim Aur Mazboot Rahe Aur Ghar Ka Maahol Pursukoon Ho Uske Liye Zaroori Hai Ke Bahami Ittihaad Ho Yani Dono Mil Jul Kar Rahe Ikhtilaaf Se Bache.
* Dusri Baat Yah Ke Baahami Ittihaad Ke Liye Baahami Ulfat Aur Muhabbat Zaroori Hai, Ek Dusre Se Belos Muhabbat Ho.
* Teesri Baat Yah Hai Ke Baahami Muhabbat Ke Liye Ek Dusre Ke Liye Narmi,Hamdardi, Khairkhawahi Aur Shafqat Chaahiye Taaki Aap Ek Dusre Ki Lagzisho Se Darguzar Kare Aur Sirf Mufeed Aur Positive Pehlu Ko Madde Nazar Rakhe Yah Buniyadi Teen Baate Rishte Ki Paaedaari Aur Ghar Ke Achche Maahol Aur Husne Mua'shirat Ke Liye Zaroori Hai,In Teen Baato Ka Zikr Surah Room Ki 21 wi Aayat Me Hua Hai.
Jis Me Litaskunu (Sukoon) Mawaddah (Muhabbat) Aur Rahmah (Hamdardi) Ke Alfaaz Waarid Hai.
(3) Paakdaamni: Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Taaqatwar Nawjawaano Ko Nikaah Ka Hukm Dete Hue Irshaad Farmaya:
يَا مَعْشَرَ الشَّبَابِ، مَنِ اسْتَطَاعَ مِنْكُمُ الْبَاءَةَ فَلْيَتَزَوَّجْ، فَإِنَّهُ أَغَضُّ لِلْبَصَرِ، وَأَحْصَنُ لِلْفَرْجِ، وَمَنْ لَمْ يَسْتَطِعْ فَعَلَيْهِ بِالصَّوْمِ؛ فَإِنَّهُ لَهُ وِجَاءٌ.(البخاري:٥٠٦٦،مسلم:١٤٠٠)
Tarjumah: Ay Nawjawano Ki Jama'at! Tum Me Se Jo Koi Istita'at Rakhta Ho Woh Zaroor Shadi Kare Kuy Ke Yah(Shadi)Nigaaho Ko Bahut Jhukaane Wali Aur Sharmgaah Ki Khub Hifaazat Karne Wali Hai Aur Jo Shadi Ki Taaqat Nahi Rakhta Woh Rozah Rakhe,Pas Yah Uske Liye Dhaal Hoga.
Isme Nikaah Ka Maqsad Nigaaho Aur Sharmgaaho Ki Hifaazat Bataya Gaya Hai. Is Liye Nikaah Ke Baad Miya Biwi Me Se Har Ek Apni Nazro Aur Sharamgaaho Ki Hifaazat Kare Aur Jaiz Tariqe Se Apni Shehwat Puri Kare. Biwi Se Kisi Bhi Tarah Istimta'a Kar Sakte Hai Woh Mardo Ke Liye Khetiya Hai Siwaae Un Baaz Kamo Ke Jin Se Islaam Ne Man'a Kiya Hai Maslan Piche Ke Raaste Me Aur Haiz Aur Nifaas Me Wati Karna. Miya Biwi Me Har Ek Dusre Ki Shehwat Ka Khayaal Kare Aur Jab Jis Ko Zaroorat Mehsoos Ho Dusra Uski Madad Kare. Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
إذا الرجل دعا زوجته لحاجته فلتاته،وان كانت على التنور.(صحيح الترمذي:١١٦٠)
Tarjumah: Jab Khawind Apni Biwi Ko Apni Haajat Puri Karne Ke Liye Bulaae To Use Aana Chaahiye Agarcha Woh Tannoor Par Hi Kuy Na Ho.
Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
إذا دعا الرجل امراته الى فراشه فأبت،فبات غضبان عليها،لعنتها الملائكة حتى تصبح.(صحيح البخاري:٣٢٣٧)
Tarjumah: Jab Koi Shakhas Apni Biwi Ko Apne Bistar Par Bulaae Aur Biwi Aane Se Inkaar Kar De Aur Khaawind Us Par Naarazgi Ki Haalat Me Hi Raat Basar Kar De To Us Aurat Par Subah Hone Tak Farishte La'nat Karte Rehte Hai.
In Ahaadees Ka Yah Matlab Nahi Hai Ke Biwi Shohar Ki Khawaahish Puri Na Kare To Usi Par La'nat Hai Shohar Ki Bhi Zimmadari Hai Ke Uski Khawaahish Ka Pura Khayaal Kare Aur Jo Bhi Is Muamle Me Kotaahi Kare Ga Woh Haqtalafi Baabat Sawaal Deh Hoga.
Islaam Me Kis Qadr Bhalaai Hai Ke Jaiz Tareeqah Se Shehwat Puri Karne Par Sawaab Diya Jata Hai. Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Farmate Hai:
وفي بُضْعِ أَحَدِكُمْ صَدَقَةٌ، قالوا: يا رَسولَ اللهِ، أَيَأتي أَحَدُنَا شَهْوَتَهُ وَيَكونُ له فِيهَا أَجْرٌ؟ قالَ: أَرَأَيْتُمْ لو وَضَعَهَا في حَرَامٍ، أَكانَ عليه فِيهَا وِزْرٌ؟ فَكَذلكَ إذَا وَضَعَهَا في الحَلَالِ كانَ له أَجْرٌ.(صحيح مسلم: ٢٣٢٩)
Tarjumah: Aur Har Shakhas Ke Badan Ke Tukde Me Sadaqah Hai. Logo Ne Arz Ki Ke Ya Rasoolullah! Ham Me Se Koi Shakhas Apne Badan Se Apni Shehwat Nikaalta Hai(Yani Apni Biwi Se Suhbat Karta Hai) To Kiya Isme Sawaab Hai? Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Kuy Nahi Dekho To Agar Use Haraam Me Sarf Kar Le To Wabaal Hua Ke Nahi? Isi Tarah Jab Halaal Me Sarf Karta Hai To Sawaab Hota Hai.
Isliye Zawjain Ko Fitri Aur Jaiz Tariqe Se Shehwat Puri Karna Chahiye, Is Se Sawaab Bhi Mile Ga Aur Iffat Aur Ismat Ki Hifaazat Bhi Hogi Aur Takmeel E Shehwat Ke Gairfitri Aur Magribi Tariqo Se Miya Biwi Ko Bachna Chaahiye.
Jim'a Ke Aadaab Aur Ahkaam Jaanne Ke Liye Mere Blog Par "Jim'a Ka Tareeqah Aur Uske Chand Aadaab Aur Masaail" Ka Mutali'a Farmaae.
(4) Azdawaji Israar Ki Hifaazat: Allah Farmata Hai:
هن لباس لكم وانتم لباس لهن.(البقرة:١٨٧)
Tarjumah: Woh Tumhara Libaas Hai Aur Tum Unke Libaas Ho.
Allah Ne Miya Biwi Me Se Har Ek Ko Dusre Ka Libaas Qaraar Diya Hai Iska Matlab Yah Hai Ke Jaise Libaas Aur Jism Ke Darmiyaan Koi Chiz Haail Nahi Hoti Waise Miya Biwi Ke Talluqaat Hote Hai, Un Dono Ke Darmiyaan Kisi Qism Ka Koi Pardah Nahi Hota Hai Yah Ek Dusre Ke Raazdaa Aur Pardah Posh Hote Hai. Lihaza Miya Biwi Me Se Koi Apni Makhsoos Baate Chahe Jim'a Se Mutalliq Ho, Bashari Galati Ya Fitri Kamzori Se Mutalliq Ho Yaha Tak Ke Aapas Ke Raazo Niyaaz Ki Baate Ho Kisi Se Bayan Nahi Karna Chaahiye, Na Sasuraal Me Se Kisi Se,Na Maike Me Kisi Se, Miya Biwi Ki Aapasi Lutfo Andozi Ki Baat Se Khususiyat Ke Sath Man'a Kiya Gaya Hai, Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Farmate Hai:
إنَّ من اشَرّ النَّاسِ عِنْدَ اللَّهِ مَنْزِلَةً يَومَ القِيَامَةِ الرجل يفضي الى امراته وتفضي اليه ثم ينشر سرها.(صحيح مسلم: 3542)
Tarjumah: Sab Se Ziyadah Bura Logo Me Allah Ke Nazdeek Qayamat Ke Din Woh Shakhas Hai Jo Apni Biwi Ke Paas Jaae Aur Aurat Uske Paas Aae (Yani Sohbat Kare) Aur Fir Uska Bhed Zaahir Kar De.
Sahih Muslim Me Is Hadees Par Is Tarah Baab Qaim Kiya Gaya Hai:
(باب تحريم افشاء سر المرأة)
Yani Baab:Aurat Ka Bhed Kholna Haraam Hai.
Aaj Kal To Shohar Mardo Me Aur Biwi Aurto Me Na Sirf Aapasi Baate Share Karte Hai Balke Ek Dusre Se Bos Aur Kinaar Aur Lutf Ke Manaazir Picture Aur Video Ki Shakal Me Share Karte Hai. Magribi Tehzeeb Me Ishq Karne Wale Ladke Aur Ladki Ko Couple Yani Joda Ka Naam Diya Jata Hai Jabke Ham Musalman Sirf Sharai Taur Par Nikaah Ke Zariya Ek Hone Wale Ladka Aur Ladki Ko Joda Kahenge.
Baharehaal! Magribi Haraam Jodo Ki Fahash Chizo Ke Kasrat E Isha'at Ki Wajah Se Muslim Jode Mutassir Hote Hai Aur Woh Bhi Fahash Manaazir Share Karte Hai Ayse Logo Ko Allah Se Darna Chaahiye. Ek Hadees E Paak Se Ibrat Haasil Karte Chale.
Ek Jagah Mard Aur Aurat Jama The To Aap Pehle Mardo Ki Jaanib Mutawjjoh Hue Aur Farmaya: Kiya Tum Me Koi Aysa Hai Jo Apni Biwi Ke Paas Aakar, Darwaza Band Kar Leta Hai Aur Pardah Daal Leta Hai Aur Allah Ke Parde Me Chhup Jata Hai?Logo Ne Jawaab Diya: Haa, Fir Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Uske Baad Woh Logo Me Bethta Hai Aur Kehta Hai:Mene Aysa Kiya Mene Aysa Kiya, Yah Sun Kar Log Khaamosh Rahe,Mardo Ke Baad Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Aurton Ki Jaanib Mutawjjoh Hue Aur Unse Bhi Pucha Ke:Kiya Koi Tum Me Aysi Hai,Jo Aysi Baat Karti Hai?To Woh Bhi Khaamosh Rahi, Lekin Ek Jawaan Aurat Apne Ek Guthne Ke Bal Khadi Ho Kar Unchi Ho Gai Taaki Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Use Dekh Sake Aur Uski Baate Sun Sake, Usne Kaha: Ay Allah Ke Rasool! Is Qism Ki Baate Mard Bhi Karte Hai Aur Aurte Bhi Karti Hai. Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Jaante Ho Ayse Shakhas Ki Misaal Kaisi Hai? Fir Khud Hi Farmaya: Is Ki Misaal Us Shaitaan Aurat Ki Si Hai Jo Gali Me Kisi Shaitaan Mard Se Mile Aur Us Se Apni Khawahish Puri Kare, Aur Log Use Dekh Rahe Ho.(Sahihul Jame7037, Irwaahul Galeel:2011)
BIWI KE HUQOOQ (SHOHAR KE ZIMMA)
(1) MEHAR KI ADAAEGI: Biwi Ke Huqooq Me Se Sab Se Aham Shohar Ke Zimma Teh Shudah Mehar Ki Adaaegi Hai,Allah Ka Farmaan Hai:
وآتوة النساء صدقاتهن نحلة.(النساء:4)
Tarjumah: Aur Aurto Ko Unke Mehar Raazi Khushi Se De Do.
Unke Liye Sakhat Waeed Hai Jo Biwi Se Faidah Utha Kar Chhod Dete Hai Aur Mehar Kha Lete Hai, Abdullah Bin Umar RA Se Marfuan Marwi Hai:
ان أعظم الذنوب عند الله رجل تزوج امرأة، فلما قضى حاجته طلقها، وذهب بمهرها.(السلسة الصحيحة:999)
Tarjumah:Allah Ke Nazdeek Sab Se Azeem Jurm Wala Woh Shakhas Hai Jis Ne Kisi Aurat Se Shadi Ki,Fir Jab Us Se Apni Zaroorat Puri Kar Li To Use Talaq De Kar Uska Mehar Hathiya Liya Biwiyo Ka Mehar Khane Ki Ek Qism Nikaah E Shigaar Hai,Nikaah Shigaar (Satta Watta Ki Shadi) Yah Hai Ke Koi Aadmi Apni Beti, Bahan Ya Waliya Ki Shadi Is Shart Par Kisi Se Kare Ke Woh Uske Sath Apni Kisi Azeeza Ki Shadi Kare Aur Dono Nikaah Me Mehar Khatam Kar Diya Jaae. Yah Haraam Nikaah Hai Aur Agar Is Qism Ke Shartiya Nikaah Me Mehar Teh Bhi Kar Diya Jaae Tab Bhi Satta Watta Ki Shadi Baatil Hai. Haa Do Khaandaan Ke Darmiyaan Aapas Me 2 Alag Alag Nikaah Ittifaaqan Aur Bagair Shartiya Shadi Ke Ho To Is Shadi Me Koi Harj Nahi Hai.
Behre Haal! Nikaah Me Mehar Shadi Ke Waqt Hi De Dena Behtar Hai Lekin Agar Shadi Ke Waqt Na De Sake To Shadi Ke Baad Jis Qadr Jaldi Ho Biwi Ko Uska Mehar De Dena Chahiye Taaki Mard Ke Zimma Se Yah Haq Saaqit Ho Jaae Warna Qayamat Me Woh Jawaab Deh Hoga.
Mehar Kitna Hona Chahiye? Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Apni Azwaaj Ko 500 Dirham Mehar Diya Karte The.
Ek Dirham(2.975) Garaam Chaandi Hoti Hai. Jis Ko 500× Dete Hai To (500×2.975=1487.5) Yani Taqreeban Dedh Kilo Chandi Banti Hai. Abdur Rahman Bin Auf RA Ne Apni Biwi Ko Mehar Me Khajoor Ki Guthli Ke Barabar Gold Ki Dalli Di Thi Jis Wazan 5 Dirham Ke Barabar Tha Jo Taqreeban(5× 2.975=14.875)Dedh Tola Sona Banta Hai.
Ek Sahabi Ne Khaibar Ki Zameen Mehar Me Di Thi, Saabit Bin Qais RA Ne Apni Biwi Ko Mehar Me Ek Baag Diya Tha, Ek Sahabi Ko Mehar Ke Taur Par Kuch Dene Ko Nahi Tha To Unhone Biwi Ko Qur'an Sikhaya Jo Bataur E Mehar Tha. Saeed Bin Musaiyib RA Kibaar E Tabe'een Me Se Hai,Unhone Apni Beti Ka Rishta Apne Ek Shaagird Se Kiya Tha Aur Mehar Me 2 Dirham Mutaiyyin Kiya Tha. Khulasa Yah Hai Ke Mehar Me Koi Khaas Chiz Aur Miqdaar Mutaiyyin Nahi Hai. Ladka Apni Khushi Aur Haisiyat Se Biwi Ko Jo Chiz Dena Chaahe Jis Se Biwi Bhi Khush Ho Jaae Mehar Me De Sakta Hai Chaahe Woh Zameen Ho Ya Makaan Ho Ya Zaiwar Ho Ya Naqadi Rupees.
(2)NAFAQAH: Shohar Ke Zimme Biwi Ke Buniyaadi Tamaam Qism Ke Akhraajat Hai Jin Me Khane Ka Kharch, Rihaaish, Ya Uska Kharch Aur Bimari Aur Ilaaj Ka Kharch. Sahih Muslim(2950) Me Mazkoor Hai Ke Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Hajjatul Wid'a Ke Mauqe Se Deen Ke Bahut Saare Ahkaam Bataae Unme Aurto Ke Bare Me Bhi Kai Waseeyate Farmaai, Pehle Taqwah Ki Waseeyat Ki
فاتقوا الله في النساء.
Aurto Ke Mamle Allah Se Darte Raho. Zaahir Si Baat Hai Ke Bagair Taqwah Ke Ek Mard Biwi Ke Mamle Me Amaantdaar Nahi Ho Sakta Hai Aage Aap Yah Bhi Irshaad Farmate Hai:
ولهن عليكم رزقهن وكسوتهن بالمعروف.
Aur Unka Haq Tumhare Upar Yah Hai Ke Dastoor Ke Mutaabiq Unko Khana Khilaao Aur Kapde Pehnaao.
Yah Baat Allah Ne Bhi Qur'an Me Zikr Farmaai Hai, Irshaad E Rabbani Hai:
وعلى المولود رزقهن وكسوتهن بالمعروف. (البقرة:233)
Tarjumah: Aur Jin Ke Bachche Hai Un(Waalid) Ke Zimme Unka Roti Kapda Hai Jo Mutaabiq Dastoor Ke Ho.
Shohar Biwi Aur Bachcho Ka Kafeel Hai Is Liye Use Chaahiye Ke Nikaah Ke Baad Mehnat Aur Mazdoori Kar Ke Halaal Rizq Kamaae Aur Apne Biwi Bachcho Ki Halaal Rozi Se Kafaalat Kare,Kamaane Me Susti Ya Khilaane Me Kanjoosi Karna Jaiz Nahi Hai. Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
كفى بالمرء اثما ان يحبس عمن يملك قوته.(صحيح مسلم:2312)
Tarjumah: Insaan Ke Liye Itna Gunaah Hi Kaafi Hai Ke Woh Jin Ki Khuraak Ka Maalik Hai Unka Kharch Rok De.
Ek Taraf Shohar Kama Kar Khilane Me Susti Aur Gaflat Na Barte, Dusri Taraf Jo Kuch Woh Kama Kar Lata Hai Usme Se Biwi Ko Zaroorat Bhar Kharch De, Uska Kharch Na Roke Aur Na Hi Kharch Dene Me Kanjoosi Kare Warna Biwi Apna Haq Bagair Bataae Shohar Ke Maal Se Le Sakti Hai. Aaisha RA Se Rivayat Hai Ke Hind Bint Utbah Ne Arz Ki Allah Ke Rasool!
إنَّ أبا سفيانَ رجلٌ شحيحٌ، لا يعطيني ما يَكفيني وولَدي، إلَّا ما أخذتُ من مالِهِ، وَهوَ لا يعلَمُ، فقال: خُذي ما يَكفيكِ وولدَكِ بالمعروفِ.(صحيح البخاري:5364)
Tarjumah: Bila Shuba Abu Sufiyan RA Kanjoos Aadmi Hai Aur Mujhe Itna Maal Nahi Dete Jo Mujhe Aur Meri Aulaad Ko Kaafi Ho Magar Yah Ke Me Kuch Maal Lailmi Me Le Lu. Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Dastoor Ke Mutaabiq Itna Maal Le Sakti Ho Jo Tumhe Aur Tumhari Aulaad Ko Kaafi Ho.
Khush Naseeb Hai Woh Log Jo Halaal Rozi Kamate Hai Aur Apne Ahal O Ayaal Par Kharch Karte Hai, Ayse Logo Ke Liye Bahut Saare Faide Hai Unme Se Ek Faidah Yah Hai Ke Allah Ki Raza Aur Ajar Ki Niyyat Se Ahal O Ayaal Par Kharch Karne Se Sadaqa Ka Sawaab Milta Hai, Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Farmaate Hai:
إذا أنفق الرجل على اهله يحتسبها فهو له صدقة. (صحيح البخاري: 55)
Tarjumah: Jab Aadmi Sawaab Ki Niyyat Se Apne Ahal O Ayaal Par Kharch Kare Pas Woh Bhi Uske Liye Sadaqah Hai.
Jo Aadmi Allah Ki Raza Ke Liye Ghar Walo Par Maal Kharch Karega Woh Na Kabhi Galat Tareeqe Se Maal Kamaae Ga Aur Na Kabhi Ghar Walo Par Maal Ki Tangi Karega. Yaha Biwi Ko Bhi Chaahiye Ke Shohar Se Najaiz Mutaalbaat Na Kare,Dusri Aurto Se Muqabla Bazi Aur Israaf Aur Fuzool Kharchi Se Parhez Kare.
(3) KAPDA: Shohar Ke Zimma Biwi Ki Khuraak Ke Sath Uski Poshaak Bhi Hai Woh Bhi Apni Haisiyat Ke Mutaabiq Yani Jaise Woh Pehnta Hai Apni Biwi Ke Liye Kapde Ki Zaroorat Puri Karega. Uski Daleel Nafaqah Ke Sath Mazkoor Hai.
(4) Rihaaish: Mard Par Waajib Hai Ke Biwi Ke Liye Kushadah Makaan Ya Kafaalat Karne Wali Rihaaish Ka Intizaam Kare Allah Ta'la Ka Farmaan Hai:
اسكنوهن من حيث سكنتم من وجدكم.(الطلاق:6)
Tarjumah: Tum Apni Taaqat Ke Mutaabiq Jaha Tum Rehte Ho Waha Un Aurto Ko Rakho.
Is Aayat Me Mutalliqa Rajiya Ke Bare Me Bataya Gaya Hai Ke Iske Liye Apni Haisiyat Ke Mutaabiq Rihaish Ka Intizaam Karo. Jab Mutalliqa Ke Liye Rehne Ki Zimmadari Shohar Par Wajib Hai To Biwi Ke Liye Badarja Awla Rihaaish Zaroori Hai.
MUSHTARKA FAMILY ME BIWI KI RIHAISH KA MASALA:
Yaha Ek Masala Yah Waazeh Rahe Ke Umooman Barre Sageer Me Mushtaraka Family System Chalta Hai Jaha Shohar Biwi Ko Apne Baap Ke Banaae Hue Ghar Me Rakhta Hai Aur Waha Mukhtalif Logo Ke Ek Sath Rehne Ki Wajah Se Biwi Ko Tarah Tarah Ki Mushkilaat Ka Saamna Karna Parhta Hai, Ma'mooli Ma'mooli Baat Par Ghar Ke Dusre Log Ise Ghar Se Bhi Bhagaate Rehte Hai, Yah Aurat Ki Tauheen Hai. Ayse Me Agar Biwi Alag Rihaaish Ka Mutalba Kare To Shohar Par Waajib Hai Ke Woh Hasbe Istita'at Uske Liye Rihaaish Muhaiyya Kare. Rihaaish Ki Zimmedaari Sasur Par Nahi Shohar Par Hai, Isliye Biwi Mushtarka Family Me Dushwari Hone Par Alag Rihaaish Jo Shohar Ki Taraf Se Ho Mutalba Kar Sakti Hai Chaahe Usi Jagah Rihaaish Kuy Na Ho Magar Woh Rihaaish Shohar Ki Taraf Se Ho Taaki Dusra Koi Is Jagah Se Na Bhagaae. Basa Awqaat Biwi Zaati Makaan Ka Mutalba Karne Lagti Hai To Ayse Me Shohar Ki Istita'at Aur Ragabat Ko Dekh Kar Biwi Mutalba Kare. Bataur E Haq Biwi Sirf Rahaaish Ka Mutalba Kar Sakti Hai Makaan Ka Nahi.
BIWI KO CHHOD KAR KHAARJI MULK ME REHNA:
Basa Awqaat Shohar Rozgaar Ya Koi Dusre Kaam Ki Garaz Se Biwi Se Alag Dusre Mulk Me Rehta Hai,Ayse Me Ek Sawaal Paida Hota Hai Ke Kiya Biwi Ko Chhod Kar Shohar Baahari Mulk Me Reh Sakta Hai Jab Ke Shadi Ka Maqsad Miya Biwi Ka Yakja Hona Hai?
Uska Jawaab Yah Hai Ke Agar Biwi Raazi Ho Aur Dono Sabr Bhi Kar Sakte Ho Yani Sabar Karte Hue Ismat Ki Hifaazat Karna To Shohar Biwi Se Door Kisi Dusre Mulk Me Reh Sakta Hai. Uski Muddat Mutaiyyan Nahi Hai Ke Kab Tak Watan Waapis Aae? Jab Zaroorat Ho Saal Do Saal Baad Aae Isme Shara'an Harj Nahi Hai Lekin Ijaazat Na De To Bahar Nahi Ja Sakta Hai Ayse Me Shohar Biwi Ke Sath Rahe Ya Apne Sath Bahar Le Jaae.
Isi Tarah Ek Dusre Se Door Rehte Hue Gunaah Me Waaq'e Hone Ka Khatrah Mehsoos Ho Raha Ho To Fir Shohar Biwi Ke Paas Rahe Chaahe Biwi Ijaazat Hi Kuy Na De Kuy Ke Nikaah Ka Asal Maqsad Nigaaho Aur Sharmgaaho Ki Hifaazat Hai.
(5) BIWI KE LIYE SHOHAR KI GAIRAT: Shohar Apni Biwi Ke Liye Gairatmand Bane, Woh Uski Izzat Aur Aabroo Ki Hifaazat Kare Jaise Uske Zimma Jism O Jaan Ki Hifaazat Hai. Shohar Ki Waajibi Zimmadari Hai Ke Biwi Ke Ghar Me Ajnabi Mardo Ko Daakhil Na Hone De Yaha Tak Ke Aysi Aurto Aur Logo Ko Bhi Roke Jo Miya Biwi Me Phut Aur Ghar Bigaadne Ka Kaam Karne Wale Ho.
Uqbah Bin Aamir RA Se Rivayat Hai Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
إياكم والدخولَ على النساء، فقال رجل من الأنصار: يا رسول الله، أرأيتَ الحَمُو؟ قال: الحَمُو الموتُ.(صحيح مسلم:5674)
Tarjumah: Bacho Tum Aurto Ke Paas Jane Se. Ek Shakhas Ansaari Bola: Ya Rasoolullah! Agar Dewar Jaae?Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Dewar To Maut Hai.
Ibne Wahab Ne Kaha: Suna Mene Lais Bin Sa'ad RA Se, Kehte The: Hadees Me Jo Aaya Hai Ke " Hamu" Maut Hai To "Hamu" Se Muraad Khaawind Ke Azeez Aur Aqraba Hai Jaise Shohar Ka Bhai Ya Uske Chacha Ka Beta(Shohar Ke Jin Azeezo Se Aurat Ka Nikaah Karna Sahih Hai To Woh Sab "Hamu" Me Daakhil Hai Unse Pardah Karna Chaahiye Siwaae Shohar Ke Baap Ya Dada Ya Uske Bete Ke Ke Woh Mehram Hai Unse Pardah Zaroori Nahi Hai.) (Sahih Muslim: 5676)
Is Hadees Se Maloom Hua Ke Shohar Biwi Ko Us Tarah Aur Aysi Jagah Rakhe Ke Uske Kamre Me Aurat Ke Mahaarim Ke Alawa Koi Daakhil Na Ho. Mushtarka Family Me Bataur Khaas Dewar Bhabhi Ke Ghar Bahut Ziyadah Aata Jata Hai Balke Hansi Mazaaq Karta Hai Aur Bhabhi Dewar Se Pardah Nahi Karti Jabke Yah Sab Haraam Kaam Hai. Koi Ajnabi Mard Aurat Ke Sath Tanhaai Na Kare (Chaahe Dewar Hi Kuy Na Ho) Aur Bhabhi Ka Dewar Se Hansi Mazaaq Karna Haraam Hai Usse Pardah Kare, Ghar Me Us Se Akele Hargiz Baat Na Kare Balke Usko Ghar Me Bhi Daakhil Na Hone De Aur Allah Ka Khauf Khaae. Zaahir Si Baat Hai Ke In Baato Par Amal Karne Ke Liye Shohar Ki Zaroorat Hai,Shohar Biwi Ke Liye Gairatmand Bane Aur Apne Ghar Me Behayaai Ko Dakhil Na Hone De.
Zara Sa'ad RA Ki Gairat Dekhe, Mugirah RA Se Rivayat Hai Ke Sa'ad Bin Ubadah RA Ne Kaha:
لو رأيت رجلا مع امرأتي لضربته بالسيف غير مصفح ، فبلغ ذلك رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: «أتعجبون من غيرة سعد، لأنا أغير منه، والله أغير مني.(صحيح البخاري: 6846)
Tarjumah: Agar Me Apni Biwi Ke Sath Kisi Gair Mard Ko Dekh Lu To Sidhi Talwaar Ki Dhaar Se Use Maar Daalu. Yah Baat Nabi E Kareem Sallallahu Alyhi Wasallam Tak Pohnchi To Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya Ke Kiya Tumhe Sa'ad Ki Gairat Par Hairat Hai. Me Unse Bhi Badh Kar Gairat Mand Hu Aur Allah Mujh Se Bhi Ziyadah Gairat Mand Hai.
Yahi Gairat Mard Me Apni Biwi Ke Liye Honi Chaahiye Kuy Ke Begairati Dayyusiyat Hai Jo Badtareen Sifat Hai Aur Jahnnam Me Le Jane Wali Hai.
Abdullah Bin Umar RA Se Rivayat Hai Ke Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmate Hai:
ثلاثةٌ قد حرَّم اللهُ عليهمُ الجنةَ : مُدمنُ الخمرِ، والعاقُّ، والديُّوثُ الذي يُقرُّ في أهلهِ الخبَثَ.(صحيح الجامع:3052)
Tarjumah: Teen Qism Ke Aadmi Par Allah Ne Janant Ko Haraam Kar Di Hai, Ek Sharaab Pine Wala, Dusra Walaidain Ki Naafarmani Karne Wala, Aur Teesra Daiyyus (Begairat) Jo Apne Ghar Walo(Ahal O Ayaal) Me Behayaai Aur Khabasat Ko Bardasht Kare.
Ahal O Ayaal Me Begairati Ko Bardasht Karne Ka Matlab Yah Hai Ke Ghar Ki Aurte Be Hayaai Ka Kaam Kare, Urya Libaas Laga Kar Ghume,Ajnabi Mardo Se Raabta Rakhe,Unse Hansi Mazaaq Kare,Gair Mardo Ke Sath Ghume Aur Logo Ke Saamne Naach Gaane Kare Wagairah, Mard In Behayaai Ko Dekh Kar Kuch Na Bole. Aysa Mard Daiyyus Hai.
Is Liye Moamin Mard Aur Moamin Aurat Dono Ko Gairat Mand Hona Hai Aur Apne Andar Aur Apne Ghar Me Begairati Ko Bardasht Nahi Karna Hai Balke Jin Asbaab Se Ghar Me Behayaai Paida Hoti Hai Unse Bhi Door Rehna Hai Jaise Aurat Ke Ghar Me Ajnabi Mardo Ka Dakahil Hona, Aur Zaib O Zeenat Kar Ke Ya Urya Libaas Laga Kar Aurto Ka Bazaar Jana Wagairah. Aurat Khud Bhi Ghar Me Kisi Ajnabi Mard Ko Daakhil Na Hone De, Koi Zabardasti Ghuse To Shohar Ko Uski Ittila De Aur Ghar Se Bahar Nikalte Waqt Sharai Pardah Kare Aur Fitna Ki Jagho Se Door Rahe.
Bilashuba Mard Ko Gairatmand Hona Hai Magar Biwi Par Bilawajah Shak Bhi Nahi Karna Hai, Isi Tarah Aurat Ko Bhi Bilawajah Apne Shohar Par Shak Nahi Karna Hai Yaha Tak Ke Ek Dusre Ke Bare Me Kisi Se Behayaai Ki Baat Sune To Us Waqt Tak Us Par Yaqeen Na Kare Jab Tak Us Baat Ki Tehqeeq Na Kar Le Aur Uska Thos Saboot Na Mil Jaae.
(6) EK Se ZIYADAH BIWI KE DARMIYAAN INSAAF AUR BARABARI QAIM KARNA: Islaam Ne Mardo Ko Ek Se Ziyadah Shadi Karne Ki Ijaazat Di Hai Magar Woh Ijazat Insaaf Se Mashroot Hai. Allah Ka Farmaan Hai:
فَانكِحُوا مَا طَابَ لَكُم مِّنَ النِّسَاءِ مَثْنَىٰ وَثُلَاثَ وَرُبَاعَ ۖ فَإِنْ خِفْتُمْ أَلَّا تَعْدِلُوا فَوَاحِدَةً. (النساء:4)
Tarjumah: Aurto Me Se Jo Bhi Tumhe Achchi Lage Tum Unse Nikaah Kar Lo, Do Do, Teen Teen, Chaar Chaar Se Lekin Agar Tumhe Insaaf Na Kar Sakne Ka Khauf Ho To Ek Hi Kaafi Hai.
Ek Se Ziyadah Shadi Karne Ki 3 Sharte Hai. Ek Shart To Insaaf Hai Yani Shohar Tamam Biwiyo Ke Darmiyaan Barabar Insaaf Kar Sake.
Dusri Shart Yah Hai Ke Sab Ko Naan O Nafqa, Rihaaish, Kapda Aur Zarooriyaat Pura Karne Ki Taaqat Rakhta Ho.
Aur Teesri Shart Yah Hai Ke Uske Paas Sab Biwi Se Jim'a Karne Ki Taaqat Ho. Goya Apni Biwiyo Ke Huqooq, Zarooriyaat,Muhabbat,
Jim'a, Gift, Sahoolat Aur Aaraam Aur Sukoon Dene Me Adalo Insaaf Karne Aur Naano Nafqa Sath Jim'a Ki Taaqat Rakhta Ho Tab Hi Woh Dusri Shadi Karega Warna Dusri Shadi Nahi Karega. Isliye Ananiyat Ko Taskeen Pohnchane Ya Shoq Pura Karne Ya Dikhawa Karne Ke Liye Dusri Shadi Na Kare Balke Zaroorat Ke Tahat Aur Adal Karne Ki Taaqat Rakhne Par Dusri Shadi Kare. Jo Log Apni Biwiyo Me Insaaf Nahi Karte Unko Allah Ki Pakad Se Darna Chaahiye Aur Yah Hadees Yaad Rakhni Chahaiye. Abu Hurairah RA Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
مَنْ كانت له امرأتان فَمَالَ إلى إحْداهُما جاء يومَ القيامةِ وشِقُّهُ مَاِئلٌ.(صحيح ابي داؤد:2133)
Tarjumah: Jis Ke Paas 2 Biwiya Ho Aur Uska Meelaan Ek Ki Jaanib Ho To Woh Baroz E Qayamat Is Haal Me Aaega Ke Uska Ek Dhad Jhuka Hua Hoga.
Ek Se Ziyada Biwiyo Ke Huqooq Aur Aadab Me Se Hai Ke Biwiyo Ko Ek Kamra Me Na Rakhe Balke Un Sab Ke Liye Alag Alag Room Ya Alag Alag Rehne Ki Jagah Ka Intizaam Kare, Sab Ke Yaha Raat Guzarne Me Insaaf Ke Sath Bari Mutaiyyan Kare,Sab Ko Barabar Taur Par Khilaae, Pehnaae, Gift De, Aur Ilaaj Aur Mualija Ka Khayaal Rakhe, Ek Biwi Ke Saamne Dusri Biwi Ko Na Daante,Na Maare,Un Sab Ki Aulaad Me Se Koi Tafreeq Na Kare, Sab Ke Sath Ek Jaisi Muhabbat Kare Aur Sab Ke Sath Narmi Aur Hamdardi Ke Sath Paish Aae. Shohar Biwiyo Me Adal Kare To Biwiya Aapas Me Zaroor Mil Kar Rahe.
(7) UZAR KE SABAB KHULA TALAB KARNE PAR KHULA DE:
Basa Awqaat Miya Biwi Me Ek Dusre Ki Nahi Banti Hai Aur Ek Sath Rehna Mushkil Ho Jata Hai To Shohar Ko Talaq Dene Ka Ikhtiyaar Hai Woh Jab Biwi Ko Alag Karna Chaahe To Talaq De Kar Alag Kar Sakta Hai Lekin Biwi Ka Mamla Mukhtalif Hai,Use Shohar Se Alag Hona Ho To Shohar Se Khula Talab Karegi,Shohar Khula Dega To Alag Hogi,Ya Fir Naaguzer Haalat Me Qaazi Nikaah E Faskh Kar Deta Hai. Yaha Khula Ke Zikr Ka Maqsad Yah Hai Ke Agar Biwi Shaohar Se Khula Talab Kare To Shohar Biwi Ke Mamle Me Gaur Kare,Agar Is Ke Paas Uzar Hai Aur Alag Hona Chaahti Hai To Khula De De.
Ibne Abbas RA Ne Bayan Kiya Ke Saabit Bin Qais Bin Shamaas RA Ki Biwi Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Paas Aai Aur Arz Kiya:
يا رسول الله،ما انقم على ثابت في دين ولا خلق الا اني اخاف الكفر.(صحيح البخاري: 5276)
Tarjumah: Ya Rasoolullah! Saabit Ke Deen Aur Unke Akhlaaq Se Mujhe Koi Shikaayat Nahi Lekin Mujhe Khatra Hai Ke(Me Saabit RA Ki Nashukri Me Na Phnas Jaau) Is Par Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Unse mDariyafat Farmaya Ke Kiya Tum Unka Baag(Jo Unhone Mehar Me Diya Tha) Waapas Kar Sakti Ho? Unhone Arz Kiya Ji Haa. Chunancha Unhone Woh Baag Waapas Kar Diya Aur Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Hukm Se Saabit RA Ne Unhe Apne Se Juda Kar Diya.
Bahut Sare Mard Ayse Hai Jo Shadi Kar Ke Na Biwi Ka Haq Ada Karte Hai, Na Usko Talaq Dete Hai Aur Na Khula Talab Karne Par Khula Dete Hai Ayse Mardo Ko Bhi Haq Talafi Ki Wajah Se Allah Ka Khauf Khana Chaahiye Aur Un Behno Ko Bhi Allah Se Darna Chaahiye Jo Bagair Uzar Ke Shohar Se Judaai Talab Kare.
Saubaan RA Kehte Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
ايما امرأة سالت زوجها طلاقا من غير بأس فحرام عليها رائحة الجنة.(صحيح الترمذي:1187)
Tarjumah: Jis Aurat Ne Bagair Kisi Baat Ke Apne Shohar Se Talaq Talab Ki To Us Par Jannat Ki Khushbu Haraam Hai.
(8) NIKAAH KE SHARAAIT PURE KARNA: Uqbah Bin Aamir RA Ne Bayan Kiya Ke Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
احق الشروط ان توفوا به ما استحللتم به الفروج.(صحيح البخاري:2721)
Tarjumah: Woh Sharte Jin Ke Zariya Tum Ne Aurto Ki Sharamgaaho Ko Halaal Kiya Hai Puri Ki Jane Ki Sab Se Ziyadah Mustahiq Hai.
Nikaah Khud Ek Muahida Hai Jo Miya Biwi Ke Darmiyaan Hota Hai Aur Uski Wajah Se Dono Ke Zimma Kuch Alahida Aur Kuch Mushtarka Huqooq Waajib Hote Hai Jin Ka Pura Karna Dono Par Waajib Hai. Sath Hi Is Hadees Se Maloom Hota Hai Ke Nikaah Ke Waqt Sharaait Teh Karna Jaiz Hai Aur Jo Sharaait Teh Kiye Jaae Woh Nikaah Ke Baad Pura Karna Parhe Ga. Nikaah Ke Sharaait Me Se Ek To Mehar Hai Jis Ke Zariya Sharamgaah Halaal Ki Jati Hai Uska Ada Karna Mard Par Laazim Hai, Mehar Ke Alawa Bhi Agar Ladki Koi Shart Lagaati Hai Maslan Mujhe Alag Makaan Chaahiye Ya Meri Zindagi Me Ladka Dusri Shadi Nahi Kare Ya Ladka Namaaz Aur Roza Ki Pabandi Karega Ya Ladka Khud Kahe Ladki Se Ke Mujh Se Shadi Karogi To Ek Makan Dunga Ya 10 Tola Gold Dunga Wagàirah To Nikaah Ke Baad Teh Ki Gai Shart Ladka Ko Pura Karna Waajib Hai.
Yaha Is Baat Ka Khayaal Rahe Ke Najaiz Mutaalbaat Na Ladki Ki Taraf Se Qaabil E Qabool Hai Aur Na Ladka Ki Taraf Se Qaabil E Qabool Hai Maslan Ladki Shart Lagaae Pehli Biwi Ko Talaq Dena Parhega Ya Ladka Shart Lagaae Tum Ko Ghar Walo Se Pardah Nahi Karna Hai,Aysi Shart Nahi Maani Jaaegi. Atidaal Me Rehte Hue Ladka Aur Ladki Ke Darmiyaan Aqde Nikaah Ke Waqt Jo Jaiz Sharte Teh Paae, Shadi Ke Baad Uska Pura Karna Zaroori Hai.

SHOHAR KE HUQOOQ (BIWI KE ZIMMA)
(1) Bhalai Ke Kaam Me Shohar Ki Ita'at: Yaha Ek Qaidah Achchi Tarah Samjh Le, Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
الطاعة في المعروف.(صحيح البخاري:4340)
Tarjumah: Ita'at Ka Hukm Sirf Nek Kaamo Ke Liye Hai.
Is Hadees Ko Saamne Rakhte Hue Yah Baat Achchi Tarah Samjh Le Ke Biwi Shohar Ka Wahi Hukm Maane Gi Jo Jaiz Ho Aur Bhalaai Se Mutalliq Ho Lekin Shohar Ka Jo Hukm Najaiz Ho Usko Nahi Manegi Chaahe Khane Pine Ka Mamle Me Ho,Ya Libaas Ke Mamle Me Ho, Jim'a Ke Mamle Me Ho, Mamlaat Ke Silsile Me Ho Ya Ibaadat Aur Ahkaam Se Silsile Me. Biwi Ke Zimma Shohar Ke Huqooq Ki Adaaegi Ke Sath Achchi Baato Ka Hukm Maanna Hai Aur Jo Buri Baat Ho Us Se Inkaar Kare.
Shohar Bistar Par Bulaae Foran Labbaik Kahe Aur Uski Haajat Puri Kare, Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
إذا الرجل دعا زوجته لحاجته فلتاته وان كانت على التنور.(صحيح الترمذي:1160)
Tarjumah: Jab Khaawind Apni Biwi Ko Apni Haajat Puri Karne Ke Liye Bulaae To Use Aana Chaahiye Agarcha Woh Tannoor Par Hi Kuy Na Ho.
Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
إذا دعا الرجل امراته الى فراشه فابت.فبات غضبان عليها لعنتها الملائكة حتى تصبح.(صحيح البخاري:3237)
Tarjumah: Jab Koi Shakhas Apni Biwi Ko Apne Bistar Par Bulaae Aur Biwi Aane Se Inkaar Kar De Aur Khaawind Us Par Naarazgi Ki Haalat Me Hi Raat Basar Kar De To Us Aurat Par Subah Hone Tak Farishte La'nat Karte Rehte Hai.
Shohar Ghar Par Maujood Ho Aur Nafil Rozah Se Mana Kare To Ruk Jaae, Ghar Se Baahar Bila Ijaazat Jane Se Mana Kare To Ruk Jaae, Bepardagi Se Mana Kare To Hukm Ki Ita'at Kare,Gair Mehram Se Baat Karne Se Mana Kare To Baat Mane, Is Tarah Jo Bhi Ahkaam Shohar Ki Taraf Se Ho Biwi Unme Shohar Ki Baat Maane. Is Jagah Aurto Ke Liye Ek Aham Aur Mashhoor Hadees Bayaan Karna Chahta Hu Jis Ko Yaad Kar Le Aur Amal Zindagi Me Utaar Le, In Sha Allah Duniyawi Zindagi Bhi Behtar Guzregi Aur Ukhrawi Zindagi Bhi Behtar Rahegi.
Anas Bin Maalik RA Se Rivayat Hai Ke Nabi Kareem Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
إذا صلت المرأة خمسها وصامت شهرها وحفظت فرجها واطاعت زوجها دخلت الجنة.(صحيح الجامع:661)
Tarjumah: Jab Aurat 5 Namaze Parhti Ho, Maahe Ramazan Ke Roze Rakhti Ho, Apni Sharamgaah Ki Hifaazat Karti Ho Aur Apne Shohar Ki Ita'at Karti Ho,To Us Se Kaha Jaaega Ke Jannat Me Jis Darwaze Se Chahati Hai Daakhil Ho Ja.
Is Hadees Me Bayaan Ki Gai 4 Baato Ko Biwi Laazim Pakad Le.
BIWI KI NAAFARMAANI KA MASALA:
Biwi Ki Kabhi Kabhaar Ki Naafarmani Ko Shohar Nazarandaaz Kare, Leki Agar Musalsal Nafarmaani Kare, Naafarmani Par Musir Ho Jaae To Umooman Shohar Jazbaat Me Aakar Foran Talaq De Deta Hai Yah Bilkul Galat Tariqa Hai. Islaam Ne Hame Islah Ki Garaz Se Ek Lamba Process Diya Hai Pehle Is Par Amal Karna Hai, Jab Islaah Ki Gunjaaish Na Ho Tab Judaai Ka Raasta Ikhtiyaar Karna Hai. Miya Biwi Me Islaah Ka Process Kiya Hai:
وَاللَّاتِي تَخَافُونَ نُشُوزَهُنَّ فَعِظُوهُنَّ وَاهْجُرُوهُنَّ فِي الْمَضَاجِعِ وَاضْرِبُوهُنَّ ۖ فَإِنْ أَطَعْنَكُمْ فَلَا تَبْغُوا عَلَيْهِنَّ سَبِيلًا ۗ إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَلِيًّا كَبِيرًا وان خفتم شقاق بينهما فابعثوا حكما من اهله وحكما من اهلها ان يريدا اصلاحا يوفق الله بينهما ان الله كان عليما خبيرا. (النساء: 34-35)
Tarjumah: Aur Jin Aurto Ki Naafarmani Aur Bad Dimaagi Ka Tumhe Khauf Ho Unhe Nasihat Karo Aur Unhe Alag Bistaro Par Chhod Do Aur Unhe Maar Ki Saza Do Fir Agar Woh Tabe'daari Kare To Un Par Raasta Talash Na Karo,Beshak Allah Badi Bulandi Aur Badaai Wala Hai. Agar Tumhe Miya Biwi Ke Darmiyaan Aapas Ki Anban Ka Khauf Ho To Ek Musif Mard Walo Me Aur Ek Aurat Ke Ghar Walo Me Se Muqarrar Karo,Agar Yah Dono Sulah Karna Chaahe Ge To Allah Dono Me Milaap Kara Dega Yaqeenan Allah Pure Ilm Wala Aur Puri Khabar Wala Hai.
Surah Nisaa Ki Un 2 Aayat Me Allah Shohar Ko Hukm Deta Hai Agar Biwi Bad Dimaagi Aur Nafarmaani Kare To Sab Se Pehle Use Nasihat Karo Yah Pehla Darja Hai. Nasihat Gussa Me Nahi Ki Jati Aur Na Daant Phitkaar Ko Nasihat Kehte Hai. Allah Aur Uske Rasool Ke Ahkaam Bayan Karne Aur Piyaar Aur Muhabbat Se Naram Lehje Me Biwi Ko Ita'at Aur Farmabardari Ki Da'wat Dene Ko Nasihat Kehte Hai. Allah Farmata Hai, Nasihat Karo, Moamino Ko Nasihat Faidah Pohnchati Hai.
ISLAAH KA DUSRA MARHALA: Ek Munasib Waqt Taq Shohar Biwi Ko Wa'az Aur Nasihat Karta Rahe,Manane Aur Khush Karne Ki Koshish Karta Rahe, Fir Bhi Naafarmani Par Musir Rahe To Dusre Marhala Me Biwi Ka Bistar Alag Kar Ke Ma'mooli Naarazgi Ka Izhaar Kare, Yah Naaraazgi Biwi Ko Azeeyat Pohnchane Ya Ghar Se Nikaalne Ki Garaz Se Na Ho Balke Islaah Ki Garaz Se Ho.
TEESRA MARHALA: Bistar Alag Karke, Naaraaz Ho Kar Aur Baatchit Band Kar Ke Bhi Biwi Ki Islaah Na Ho Sake To Ab Halaki Maar Ke Zariya Usko Sudhaarne Ki Koshish Karenge. Halaki Maar Se Muraad Jis Se Jism Me Zakham Na Lage, Khoon Na Nikle, Haddi Na Toote Ya Koi Hissa Mutassir Na Ho.
Yah Teen Marhale Gharelu Islaah Ke The Jin Ke Zariya Biwi Ki Naafarmani Ko Door Karna Hai Lekin In 3 Gharelu Nuskho Se Bhi Islaah Na Ho Sake Tab Ek Chotha Islaahi Nuskha Yah Istimaal Karna Hai Ke Shohar Aur Biwi Dono Ki Taraf Se Ghar Ke Dusre Afraad Ko Bataur E Hakam(Mukhlis Faisal) Jama Kar Ke Dono Ke Maabain Islaah Ki Harmumkin Koshish Ki Jaaegi. Aayat Bataati Hai Ke Hakam Ikhlaas Ke Sath Dono Me Islaah Ki Koshish Kare To Allah Islaah Ki Raah Hamwaar Kar Dega. Koshish Aur Sa'i Tamam Ke Bawajood Miya Biwi Ke Darmiyaan Islaah Na Ho Sake To Yah Log Miya Biwi Ki Manzoori Le Kar Dono Me Judaai Kar Sakte Hai.
Baharhaal! Miya Biwi Ka Mamla Huqooqul Ibaad Se Mutalliq Hai,Jaha Biwi Ko Shohar Ki Naafarmani Se Bachna Hai Wahi Shohar Ko Bhi Biwi Ke Mamle Me Ziyadati Aur Zulm Se Bachna Hai.
Abu Hurairah RA Se Rivayat Hai Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: لتودن الحقوق الى اهلها يوم القيامة حتى يقاد للشاة الجلحاء من الشاة القرناء.
(صحيح مسلم:6580)
Tarjumah: Tum Haqdaaro Ke Haq Ada Karoge Qayamat Ke Din Yaha Tak Ke Beseeng Wali Bakari Ka Badla Seeng Wali Bakari Se Liya Jaaega.
(2) SHOHAR KE GHAR RIHAAISH IKHTIYAAR KARNA: Shadi Ke Baad Ladki Ka Apna Ghar Shohar Ka Ghar Hota Hai,Ab Usi Ghar Me Sukoonat Ikhtiyaar Karna Hai Aur Shohar Ki Ijaazat Ke Bagair Us Ghar Se Baahar Qadam Nahi Nikaalna Hai. Allah Ta'la Ne Hukam Diya Hai:
وقرن في بيوتكن ولا تبرجن تبرج الجاهلية الاولى.(الاحزاب:33)
Tarjumah: Aur Apne Gharo Me Qaraar Se Raho Aur Qadeem Jaahiliyat Ke Zamane Ki Tarah Apne Banaao Ka Izhaar Na Karo.
Aurat Ghar Ki Maalikin Hai,Use Ghar Me Rehna Hai Aur Umoore Khana Daari Nibhana Hai, Baahari Kaam Jaise Rozi Talaash Karna,Ghar Ke Liye Zaroori Chize Muhaiyya Karna Aur Ghar Ka Intizaam Sambhalna Yah Mardo Ka Kaam Hai Is Liye Mard Ko Aurat Ka Haakim Kaha Gaya Hai. Goya Aurat Ki Asal Yahi Hai Ke Ghar Me Rahe Aur Gharelu Zimmadari Nibhaae Taaham Bawaqt Zaroorat Shohar Ki Ijaazat Se Ghar Se Baahar Nikal Sakti Hai Aur Ek Muslim Aurat Jab Ghar Se Baahar Nikle To Sharai Ahkaam Ke Sath Mukammal Pardah Karte Hue Nikle. Yaha Par Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Yah Farmaan Mulahiza Farmaae.
Abdullah Bin Masud RA Se Rivayat Hai Ke Nabi E Akram Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
المرأة عورة فاذا خرجت استشرفها الشيطان.(صحيح الترمذي:1173)
Tarjumah: Aurat(Sarapa) Pardah Hai,Jab Woh Baahar Nikalti Hai To Shaitaan Usko Taakta Hai.
Goya Aurat Ke Ghar Se Baahar Nikalne Me Shaitaani Fitnah Hai Isliye Jis Qadr Woh Ghar Me Rahe Uske Liye Itna Hi Achcha Hai. Mardo Ke Upar Bhi Laazim Hai Ke Ghar Ki Zaroori Chize Aurat Ke Liye Muhaiyya Kare Taaki Use Baahar Nikalne Ki Nobat Na Aae. Imaam Zahabi Ne Likha Hai Ke Fatima Bint Attar Bagdadiya Zindagi Me Sirf 3 Baar Apne Ghar Se Nikalti Hai,Ek Us Waqt Jab Unki Shadi Hui,Dusra Us Waqt Jab Haj Ke Liye Gai Aur Teesra Us Waqt Jab Unki WAFAAT Hui. (Taarikhe Islaam Lizzahabi)
(3) SHOHAR KE LIYE ZEENAT IKHTIYAAR KARNA: Shohar Ke Liye Zeenat Ikhtiyaar Karna Biwi Ke Aham Zimma Daariyo Me Se Hai. Allah Ne Aurat Ke Kashish Ke Sath Aysa Malka Rakha Hai Ke Woh Saj Dhaj Kar, Apne Nazawada Aur Mithi Baato Se Shohar Ki Nafrat Bhi Muhabbat Me Badal Sakti Hai. Jo Aurat Shohar Ke Liye Saja Kare, Usi Ke Liye Zeenat Ikhtiyaar Kare Aur Usi Ke Saamne Hamesha Zaib Aur Zeenat Ke Sath Hansti Muskurati Aaya Kare, Kabhi Aysi Biwi Se Shohar Nafrat Nahi Karega. Aaj Kal Aurte Baazaar Jane, Ghumne Aur Dusro Ke Waaste To Zaroor Saja Karti Hai Magar Apne Shohar Ke Samne Wahi Phata Purana Libaas,Maayusi Aur Gandi Surat Le Kar Aati Hai,Jab Mamla Is Tarah Ka Hota Hai To Dhire Dhire Shohar Ki Ragabat Biwi Me Khatam Hone Lagti Hai. Aurat Shohar Le Liye Faidah Uthaane Ki Chiz Hai Fir Usko Usi Tarah Hamesha Rehna Chaahiye Taaki Shohar Sukoon Paae Aur Faidah Uthata Rahe.
Abu Hurairah RA Kehte Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
خير النساء التي تسره إذا نظر وتطيعه إذا أمر لا تخالفه في نفسها ولا مالها بما يكره.(صحيح الجامع:3298)
Tarjumah: Woh Aurat Ke Jab Uska Shohar Uski Taraf Dekhe To Use Khush Kar De Jab Use Koi Hukm De To Farmabardari Kare, Shohar Ko Jo Baat Napasand Hai Apne Nafs Aur Apne Maal Ke Bare Me Uski Mukhaalifat Na Kare.
Jo Biwi Naak Bhu Chada Kar Aur Gandi Shakal Bana Kar Rehti Ho Uski Taraf Shohar Dekhe To Kaise Khush Hoga? Isliye Biwi Ko Shohar Ke Liye Khubsurat Ban Kar Saj Dhaj Kar Rehna Hai.
Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Jab Ek Jihaad Se Waapas Aa Rahe The To Madina City Me Daakhil Hote Waqt Farmaya:
امهلوا حتى تدخلوا ليلا أي عشاء لكي تمتشط الشعثة وتستحد المغيبة.(صحيح البخاري:5079)
Tarjumah: Thodi Der Thehar Jaao Aur Raat Ho Jaae Tab Daakhil Ho Taaki Pareshaan Balo Wali Kangha Kar Le Aur Jin Ke Shohar Maujood Nahi The Woh Apne Baal Saaf Kar Le.
Biwi Ko Shohar Ke Liye Zeenat To Ikhtiyaar Karna Hai Shohar Bhi Biwi Ke Liye Zeenat Ikhtiyaar Kare, Umdah Libaas Pehne, Khushbu Lagaae, Badan Ya Munh Se Bu Aati Ho To Usko Door Karne Ke Liye Khushbudaar Chiz Istimaal Kare, Oil Lagaaez, Maang Sanwaare. Goya Shohar Ko Bhi Biwi Ke Liye Umdah Aur Saaf Suthra Rehna Chaahiye, Bahut Saari Aurate Shohar Ke Ganda Rehne Ki Shikaayat Karti Hai Yaha Tak Ke Kitni Biwiya Ayse Mardo Se Alag Bhi Ho Jaati Hai Is Liye Shohar Bhi Zaib Aur Zeenat Ka Khayaal Kare.
(4) SHOHAR KI SHUKRGYZAARI KARNA: Shohar Biwi Ke Liye Ek Azeem Mohsin Hai,Woh Biwi Ki Tamam Zarooriyaat Ki Takmeel Karta Aur Uske Liye Sukh Dukh Ka Behtareen Sathi Hai Isliye Biwi Ko Apne Shohar Ka Hamesha Shukr Guzaar Rehna Chaahiye.
Tabrani Ki Mo'jamus Sageer Me Kitaabul Adab Ke Tahat Yah Hadees Maujood Hai. Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Farmate Hai: Aaisha! Jab Qayamat Ke Roz Allah Makhlooqaat Ko Jama Karega To Apne Bando Me Se Ek Ayse Bande Se Farmaae Ga Jis Ke Sath Kisi Ne Neki Ki Hogi Ke Kiya Tune Apne Mohsin Ka Shukriya Ada Kiya Hai? Woh Kahe Ga: Ay Mere Rab! Mene Yah Samjh Kar Ke Yah Teri Taraf Se Hai, Mene Tera Shukriya Ada Kar Diya Tha. Allah Farmaae Ga:Tune Mera Shukriya Bhi Ada Nahi Kiya Jis Ke Hatho Par Mene Tujh Par Ahsaan Jari Kiya.
Ek Dusri Hadees Me Hai Abu Hurairah RA Kehte Hai Ke Nabi E Akram Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
لا يشكر الله من لا يشكر الناس.(صحيح ابي داؤد:4811)
Tarjumah: Jo Logo Ka Shukr Ada Nahi Karta Allah Ka(Bhi) Shukr Ada Nahi Karta.
Biwi Par Shohar Ke Bahut Sare Ahsaanaat Hote Hai Isliye Biwi Shohar Ka Shukr Guzaar Bane Magar Aksar Aurte Shohar Ki Nashukri Karti Hai Jo Duniya Me Bhi Basa Awqaat Zillat Ka Sabab Ban Sakti Hai Aur Ukhrawi Anjaam To Bahut Bura Hai, Is Silsile Me Chand Hadees Mulahiza Farmaae.
Abu Saeed Khudri RA Bayan Karte Hai Ke Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Eidul Azha Ya Eidul Fitr Ke Liye Eidgaah Ki Taraf Nikle Aur Aurto Ke Paas Guzre To Farmaane Lage:
يا معاشر النساء تصدقن فاني رايتكن اكثر اهل النار فقلن وبم ذالك يا رسول الله؟ قال تكثرن اللعن وتكفرن العشير.(صحيح البخاري:1462)
Tarjumah: Ay Aurto Ki Jamat! Sadaqah Aur Khairaat Kiya Karo Beshak Mujhe Dikhaya Gaya Hai Ke Jahnnam Me Tumhari Aksariyat Hai To Woh Kehne Lagi Ay Allah Ke Rasool Woh Kuy? To Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Tum Gaali Gulooch Bahut Ziyadah Karti Ho Aur Khaawind Ki Naafarmani Karti Ho.
Asma Bint Yazeed Bayan Karti Hai Ke Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
اياكن وكفران المنعمين لعل احداكن تطول ايمتها من ابويها ثم يرزقها الله زوجها و يرزقها منه ولدا فتغضب الغضبة فتكفر فتقول:ما رأيت منك خيرا قط.(صحيح الادب الفرد:800)
Tarjumah: Tum Achcha Sulook Karne Wale Shoharo Ki Nashukr Guzaari Se Bacho Fir Farmaya: Tum Aurto Me Se Kisi Ka Haal Yah Hota Hai Ke Apne Walaidain Ke Ghar Lambe Arse Tak Kunwari Bethi Rehti Ho Fir Allah Use Shohar Deta Hai Aur Us Se Aulaad Hoti Hai Fir Kisi Baat Par Gussa Ho Jaati Ho Aur Kufr Karti Ho Aur Shohar Se Kehti Ho Ke Tum Ne Mere Sath Koi Ahsaan Nahi Kiya.
(5) SHOHAR KI KHIDMAT KARNA:
Biwi Ke Zimma Shohar Ki Khidmat Waajib Hai Ya Nahi Is Bare Me Sahih Baat Yah Hai Ke Ma'roof Tariqe Se Shohar Ki Khidmat Karna Biwi Par Waajib Hai. Shohar Ki Khidmat Me Uske Liye Khana Pakana, Khilaana Pilaana, Kapde Dhulna, Bistar Lagana,Ghar Aur Bartan Ki Safaai Karna Shohar Ke Bachcho Ki Dekh Bhaal Aur Uski Achchi Parwarish Karna Wagairah Shamil Hai.
Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Zamane Me Gharelu Kaam Kaaj Ki Jo Noiyat Thi Usko Biwi Anjaam Deti Thi, Jaise Fatima RA Chakki Chalaati, Roti Pakaati Aur Ghar Ka Kaam Karti. Azwaaj E Mutahhiraat Khana Pakane Ka Kaam Khud Hi Karti. Aur Khud Se Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ko Khilaati. Waqia Ifq Me Mazkoor Hai Ke Jab Aaisha RA Par Ilzaam Laga To Aap Ne Barirah RA Se Aaisha Ke Bare Me Pucha To Unhone Jawaab Diya:
ما رأيت امرا اكثر من انها جارية حديثة السن تنام عن عجين اهلها فتاتي الداجن فتاكله. (صحيح البخاري:7369)
Tarjumah: Mene Iske Siwa Aur Kuch Nahi Dekha Ke Woh Kam Umar Ladki Hai, Aata Goondh Kar Bhi So Jati Hai Aur Pados Ki Bakari Aa Kar Use Kha Jati Hai.
Isi Tarah Sahih Muslim (668) Me Hai Aaisha RA Farmati Hai Ke Me Rasool Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Kapde Se Mani Cheel Daalti(Yani Khurach Daalti Isliye Ke Woh Gaadi Hoti) Fir Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Us Kapde Ko Pehan Kar Namaaz Parhte.
In Dono Hadeeso Se Maloom Hua Ke Aaisha RA Ghar Ka Khana Bhi Pakati Aur Kapde Bhi Saaf Karti.
Asma Bint Abi Bakr RA Apne Shohar Zubair Bin Awam RA Ke Ghar Ka Sara Kaam Karti Thi.(Sahih Bukhari: 5234) Ki Yah Hadees Mulahiza Farmaae:
Asma Bint Abi Bakar RA Ne Bayan Kiya Ke Zubair Bin Awam RA Ne Mujh Se Shadi Ki To Unke Paas Ek Oont Aur Unke Ghode Ke Siwa Roe Zameen Par Koi Maal, Koi Gulaam, Koi Chiz Nahi Thi. Me Hi Unka Ghoda Charaati,Paani Pilaati,Unka Dol Seeti Aur Aata Gundhti. Me Achchi Tarah Roti Nahi Paka Sakti Thi. Ansaar Ki Kuch Ladkiya Meri Roti Paka Jati Thi. Yah Badi Sachchi Aur Bawafa Aurte Thi.
Zubair RA Ki Woh Zameen Jo Rasool Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Unhe Di Thi, Us Se Me Apne Sar Par Khajoor Ki Ghutliya Ghar Laya Karti Thi Yah Zameen Mere Ghar Se 2 Meel(Taqreeban 4 Kilometres) Door Thi.
Yah Chand Namoone Is Baat Ka Saboot Hai Ke Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Zamane Me Ghar Ka Kaam Jo Hua Karta Tha Usko Aurte Hi Anjaam Deti Thi Isi Tarah Aaj Bhi Aurto Ko Apne Shohar Aur Uske Ghar Ki Khidmat Anjaam Dena Chaahiye. Shohar Ghar Par Rehta Ho Aur Ghar Ke Kaam Kaaj Me Hath Bata Sakta Ho To Use Chaahiye Ke Gharelu Kaamo Me Biwi Ki Madad Kare, Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Bhi Gharelu Kaamo Me Biwiyo Ki Madad Kiya Karte The. Aur Shohar Ghar Par Nahi Rehta Ho, Ya Kaam Ki Wajah Se Der Raat Ghar Lotta Ho To Uske Liye Gharelu Kaam Me Madad Karna Mumkin Nahi Hai. Haa Biwi Kamzor Ya Bimaar Ho Aur Ghar Ke Kamo Ke Liye Laaziman Kisi Ki Madad Chahaiye To Hasb E Istita'at Khaadim Ka Intizaam Kar De Ya Khud Madad Kare.
MUSHTARAKA FAMILY SYSTEM AUR SAAS BAHU KI KHIDMAT:
Hamare Liye Mushtaraka Family Me Bade Masaail Hai Unme Se Ek Masala Yah Hai Ke Umooman Mushtarka Family Me Bahu Ko Khaadima Samjha Jata Hai, Usko Pakane, Khilaane,Safaai Suthraai Se Le Kar Ghar Ke Har Fard Ki Khidmat Karna Aur Un Sab Ko Khush Rakhna Bahu Ki Zimmedaari Samjhi Jati Hai. Ek Aurat Sahih Se Apne Shohar Ki Khidmat Nahi Kar Sakti, Ghar Ke Sare Afraad Bashamool Saas Sasur,Dewar, Jeth, Nand Wagairah Ki Akele Kaise Khidmat Kar Sakti Hai Fir Sab Ko Khush Bhi Rakhna Hai. Isi Wajah Hai Mushtarka Family System Me Bahu Par Aksar Zulm Hota Hai,Bahu Ke Zimma Shohar Aur Apne Bachche Ki Khidmat Hai,Ghar Ke Baqi Afraad Ki Khidmat Nahi Hai Magar Saas Sasur Ki Khidmat Jabaran Karwaai Jaati Hai.
Mushtaraka Nizaam Sab Ko Madad Se Aur Muhabbat Ke Maahol Me Chal Sake To Usme Koi Harj Nahi Hai,Bahu Is Nizaam Me Ahsaan Aur Sulook Ke Tahat Saas Aur Sasur Ki Khidmat Karegi Lekin Jab Waha Muhabbat Ki Fiza Qaim Na Ho, Zulm Hota Ho, Haq Mara Jata Ho,Bepardagi Aur Be Nazami Ho To Fir Mard Ko Apni Biwi Ke Sath Alag Rehna Chaahiye Taaki Biwi Shohar Ki Achchi Tarah Khidmat Kar Sake Aur Apne Bachcho Ki Achchi Parwarish Kar Sake. Basa Awqaat Biwi Shohar Ki Khidmat Se Inkaar Karti Jia Ya Mushtarka Family Me Wahi Man Maani Karti Ho Aur Dusro Par Mazaalim Dhaati Hai Aysi Bahu Ko Allah Ka Khauf Khana Chaahiye Aur Amaanatdaari Se Apni Zimmadaari Ada Karni Chaahiye.
(6) SHOHAR KE MAAL KI HIFAAZAT KARNA:
Biwi Ke Zaati Maal Jo Naqad Ya Zaiwaraat Ki Shakal Me Ho Usi Maal Par Biwi Ka Maalikana Haq Hai Isme Jaise Chaahe Tasarruf Kare Lekin Shohar Jo Kamata Hai Woh Maal Shohar Ka Hai Us Maal Ki Hifaazat Karna Biwi Ke Zimmadari Hai Aur Us Maal Me Bagair Shohar Ki Ijaazat Ke Kuch Bhi Kharch Karna Jaiz Nahi Hai.
Abu Umama Baahili RA Kehte Hai Ke Mene Hajjatul Wid'a Ke Saal Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ko Apne Khutbe Me Farmate Hue Suna:
لا تنفق امرأة شيئا من بيت زوجها الا باذن زوجها قيل يا رسول الله ولا الطعام قال ذاك افضل اموالنا.(صحيح الترمذي:670)
Tarjumah: Aurat Apne Ghar Me Se Apne Shohar Ki Ijaazat Ke Bagair Kuch Kharch Na Kare. Logo Ne Arz Kiya: Allah Ke Rasool! Khana Bhi Kisi Ko Na De? To Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Haa, Khana Bhi Na De, Yah To Hamare Maalo Me Sab Se Behtar Maal Hai.
Is Hadees Se Maloom Hua Ke Aurat Shohar Ke Saaman Me Se Ma'mooli Chiz Bhi Bagair Uski Ijaazat Ke Kisi Ko Nahi De Sakti Hai,Haa Agar Shohar Ne Khane Pine Ki Chize Aur Ma'mooli Sadaqah Aur Khairaat Ke Liye Ijaazat De Rakhi Ho To Har Har Chiz Ke Liye Ijaazat Lene Ki Zaroorat Nahi Hai Aur Jo Aham Aur Badi Chiz Ho Ya Ziyadah Maal Kharch Karne Ki Baat Ho To Shohar Se Ijaazat Le Kar Uske Maal Me Se Kharch Kare.
Shohar Buniyaadi Kharch Me Kanjoosi Kare To Biwi Bagair Ijaazat Aur Bagair Ilm Ke Bhi Shohar Ke Maal Se Zaroorat Bhar Le Sakti Hai.
(7) BIWI KI ZINDAGI ME SHAOHAR KI WAFAAT HO JAAE TO 4 MONTH 10 DAY SOG MANAAE:
Allah Ne Shohar Ko Buland Maqaam Diya Hai,Nek Biwi Uski Azmat Ka Khayaal Karti Hai Biwi Par Shohar Ke Huqooq Me Se Ek Haq Yah Hai Ke Agar Uski Zindagi Me Shohar Ka Intiqaal Ho Jaae To Uske Liye 4 Maah 10 Din(130 Din)Shohar Ke Hi Ghar Me Iddat Guzaare Aur Shohar Ke Liye Sog Kare. Yah Allah Ka Hukm Hai, Iski Mukhaalifat Karne Wali Aurat Ko Gunaah Mile Ga. Allah Ka Farmaan Hai:
وَالَّذِينَ يُتَوَفَّوْنَ مِنكُمْ وَيَذَرُونَ أَزْوَاجًا يتربصن بانفسهن أربعة أشهر وعشرا.(البقرة:234)
Tarjumah: Aur Tum Me Se Jo Log Faut Ho Jaae Aur Biwiya Chhod Jaae Woh Aurte Apne Aap Ko 4 Mahina 10 Din Iddat Me Rakhe.
Aur Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai:
لا يحل لامراة تومن بالله واليوم الآخر ان تحد على ميت فوق ثلاث ليال الا على زوج أربعة أشهر وعشرا. (صحيح البخاري:5334)
Tarjumah: Kisi Aurat Ke Liye Jo Allah Aur Aakhirat Ke Din Par Imaan Rakhti Ho Yah Jaiz Nahi Ke Kisi Maiyyat Par 3 Din Se Ziyadah Sog Manaae Sirf Shohar Ke Liye 4 Maah 10 Din Ka Sog Hai.
Sog Manane Ka Matlab Zeenat Ki Chizo Ko Chhod Dena Aur Nikaah Se Mutalliq Baato Se Bachna Hai. Iddat Shohar Ke Ghar Guzaarna Hai Aur Us Duaraan Bilazaroorat Ghar Se Baahar Nahi Nikalna Hai Aur Dauraan E Sog Zeenat Ki Chize Masalan Bhadkile Kapde, Zaib O Zeenat Ke Saamaan Baali, Chudi,Anguthi,Paazaib Wagairah Istimaal Nahi Karna Hai.
Samaaj Me Ek Galat Fehmi Paai Jati Hai Ke Shohar Ki Wafaat Se Nikaah Toot Jaata Hai Is Liye Biwi Shohar Ka Chehra Nahi Dekh Sakti Hai, Yah Galat Baat Hai, Iska Islaam Se Koi Talluq Nahi Hai. Shohar Ki Wafaat Par Biwi Uska Chehra Dekh Sakti Hai,Chaahe To Usko Gusal De Sakti Hai, Shohar Ke Meeraas Se Usko Hissa Mile Ga, Aur Aakhirat Me Miya Biwi Dono Jannat Me Gae To Ek Sath Rahenge. Biwi Ke Tafseeli Ahkaam Jaanne Ke Liye Muharrir Ke Blog Par "Bewa Khatoon Ke Ahkaam Aur Masaail" Ka Mutali'a Kare.
 
Top