Islam ka Maana Kya hai?


Islam ka Maana Kya hai?

بسم اللہ الرحمن الرحیم

Tafseer e baseeth me Allama Waahidi (D 468 hijri) ne bayan kiya ke :

ما هو متابعة وانقياد باللسان والقلب، وهو قوله: ﴿قالَ أسْلَمْتُ لِرَبِّ العالَمِينَ﴾، فهذا معنى الإسلام

jo ke farmabardari o inqiyad ho zaban aur dil se jaisa ke Allah tala ka qaul hai (Ibraheem AS ke mutalliq ) ke : " usne kaha main apne rabb ke liye Farmabardar ho gaya " (waahidi ne kaha ) pas yahi ISLAM ka maana hai

phir Allama waahidi ne Allama ibnul anbari se naqal kiya :

أنّ المسلم معناه: المُخْلِصُ لله العبادة

Musalman ka maana ye hai ke : Jo khaalis Allah ki ibadat kare .

phir is maane ki sharha karte hue Allama waahidi farmate hain :

فعلى هذا الإسلام معناه: إخلاص الدين والعقيدة لله تعالى، وهو التبريء عن الشرك

tou isi bunyad per islam ka maana ye hoga : Deen o Aqeedah Khaalis Allah ke liye karna aur wo SHIRK se baraat karna hai .

(Tafseer e baseeth Vol 5 page 120 )

Note : ye tou bas Allama waahidi ki tafseer ke ek maqam se naqal hai salaf se lekar khalaf tak har tafseer o aqeedeh ki kitab me aapko yahi maane milenge .
 

Similar threads


Top