Islam me Aaurton ka maqam


Ibnatu Ali

Member
Islam me Aaurton ka maqam

Mard wa aurat dono ke fitri aur jismaani farq hone ke baawajud Allah ne dono ko barabri ka darja diya !
aur farmaya beshak aadam ki aulaad {mard ho ya aaurat} ko hamne izzatdaar banaya !{surah isra:70}

Aur us ki nishaniyon mein se hai ki tumhari hi jins se biwiyaan paida ki taaki tum un se aaram pao uss ne tumhare darmiyaan mohabbat aur humdardi qaaem kar di yaqeenan ghaur~o~fikr kerney waalon ke liya is mein bahot si nishaniyaan hain...
{surah Ar~Rum: 21}

logo ke liye aurton ki mohabbat aur chahat sawar di gaye hai.
{surah Aal~imran 14}

Rozay ki raaton mein apni biwiyon se milna tumharay liye halaal kiya gaya woh tumahara libaas hain aur tum un ke libaas ho..
{surah Baqarah:187}

Aur aurton ke bhi waisay hi haq hain jaisay un pr mardon ke hain achchai ke saath haan mardon ko aurton pr fazeelat hai...
{surah Al~Baqrah:228}

Rasoolallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne farmaya mujhe Duniya ki sab chizon meim Aurtein aur khusbu ziyada pasand hai aur meri aankho ki thandak namaz me hai...{Nisai~3940}
 

Similar threads


Top