ISLAM ME MUSIC KA HUKM


ISLAM ME MUSIC KA HUKM
AZ: -IBN BAZ- Abdul Aziz ibn Abdullah ibn Baz rahimahullah (21 November 1910 – 13 May 1999)
Morattab : Abdur-Rahmaan Al-Jabreen (Abdullah Bin Abdurrahman al-Jibreen)
Tarjumah: Abdullah Rafeeque(Lahore)
Translitration: Abu Arqam Salafi
Roman Script & Izaafah: Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

(Music)Gaane sunna haraam aur bura amal hai, iski wajah se dil bimaar aur sakht ho jaate hain, Allah ke zikr aur namaaz se door hojaate hain. aksar ahle ilm ne Allah ta'ala ke is farmaan:
﴿وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يَشْتَرِي لَهْوَ الْحَدِيثِ﴾
(Surah Luqmaan:6)
"kuchh log fuzool aur be kaar cheezien khareed te hain" se muraad muscqi li hai. Abdullah bin Mas'ood raziallahu-anhu

qasam uthhaakar kahte the ke "LAHWAL HADEES" se muraad museqi hai" ager geet ke saath tabla aur sarangi jaise aalaat bhi hon to uski huramat aur ziyada sakht hojaayegi. b'az ulmaa ne kahaa hai ke gaane waale aalaat ke saath musegi ki hurmat par ittefaaq hai. lehaaza isse door rahna zaroori hai.Nabi Kine farmaaya:
((لَيَكُونَنَّ مِنْ أُمَّتِي أَقْوَامٌ يَسْتَحِلُّونَ الْحِرَ وَالْحَرِيرَ وَالْخَمْرَ وَالْمَعَازِفَ))
"Meri ummat men aise loge honge jo zina, resham, sharaab aur museqi ke aalaat ko halaal samajh lenge."(Sahih Bukhari Kitabul Ashribah, Hadis N.5590)

Main aap ko qur'an aur "Noor Al'ad-Darb" (saudi arab radio se is naam se deeni program nashr hote hain urdu mein us naam ka maana hai "darwaze par roushni" jaisa ke hamare mulk mein "SIRAAT-E-MUSTAQEEM" aur "HAY A'A LAL FALAH" ke naam se radio mein deeni program nashar hote hain) jaise program sunne ki wasiyyat karta hun. in mein azeem fawaayed hain aur aadmi museqi aur gande gaanon se bhi bach jaata hai.

Albatta Shaadi ke mauqe par duf bajaana aur aise geet gaana jaayez hain jin men koyi haraam cheez na ho, haraam ki taraf dawat na ho aur na haraam ki tareef wa tauseef ho. raat shaadi ke moqa par thode se waqt ke liye is ki gunjaayesh hai taake logon ko nikah ka pata chal jaaye aur nikah aur haraam kaari ke darmiyaan farq hojaye yah nabi in ki hadees se saabit hai.(Duf bajaane aur jaayez geet gaane ke jawaaz ki daleel:
((حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ، حَدَّثَنَا بِشْرُ بْنُ الْمُفَضَّلِ، حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ ذَكْوَانَ، قَالَ قَالَتِ الرُّبَيِّعُ بِنْتُ مُعَوِّذٍ ابْنِ عَفْرَاءَ‏.‏ جَاءَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم فَدَخَلَ حِينَ بُنِيَ عَلَىَّ، فَجَلَسَ عَلَى فِرَاشِي كَمَجْلِسِكَ مِنِّي، فَجَعَلَتْ جُوَيْرِيَاتٌ لَنَا يَضْرِبْنَ بِالدُّفِّ وَيَنْدُبْنَ مَنْ قُتِلَ مِنْ آبَائِي يَوْمَ بَدْرٍ، إِذْ قَالَتْ إِحْدَاهُنَّ وَفِينَا نَبِيٌّ يَعْلَمُ مَا فِي غَدٍ‏.‏ فَقَالَ ‏ "‏ دَعِي هَذِهِ، وَقُولِي بِالَّذِي كُنْتِ تَقُولِينَ ‏"‏‏))
"Khalid Bin Zakwa rahimahullah se riwaayat hai Syidah Rabi Binte Muawwiz Bin Afra'a raziallahu-anha bayaan karti hain, Jab meri rikhsati howi to NABI sallallahu allaihi wasallam tashreef laye aur mere bistar par baithe jaise tum jaise tum mere paas baithe ho, is dauraan hamari choti bachchion ne daff bajana shuro kardiya aur mere aabaa jo Ghuzwaye Badar me shaheed hochuke the unka marsiyah padhne lagin, unme se ek bachchi ne achanak kah diya: hum me ek NABI hai jo un baton ki khabar rakhta hai jo aayindah kal hone waali hain, AAP sallallahu alaihi wasallam ne (unhe rook diya aur) farmaya: ye kahna chod do aur wahi kaho jo pahle kahrhi thin." (Sahih Bukhair, kitab al-Nikah, baab:"
باب ضَرْبِ الدُّفِّ فِي النِّكَاحِ وَالْوَلِيمَةِ" Nikaah aur Walimah ke waqt daff bajaana, Hadis No.5147 )

Shaadi mein dhol bajaana jaayez nahin. sirf duf (bajaane ka chhota sa aala hai) kaafi hai shadi men laoud speakar ka istemaal aur gande aur lachar gaane gaana thheek nahin, is ke nataayej intehaayi khatarnaak hain. is mein bade fitne aur musalmaanon ki iza rasaani hai. jaayez geet bhi thode se waqt ke live hone chahiyen kyun ke ziyadah waqt yeh kaam karne se subh ki namaz zaye hojaayegi. aadmi isko waqt par ada nahin kar payega aur yeh haraam hai aur munaafiqeen ke a'amaal men se hai.

NOTE:-
Daff me ghongroo ki jhankaar nahi hoti balke woh music ke baghair saadah hoti.

WAZAAHAT:
1)AAP sallallahu alaihi wasallam ne us ladki ko aisey ash'aar padhne se isliye manaa farmaya ke in ash'aar me woh ladki hudood se aage badh gayi thi aur AAP sallallahu alaihi wasallam par aalime ghaib hone ki baat ki haalaanke yeh sift sirf ALLAH TA'ALA ke saath makhsoos hai.

2)Hadis me Shuhdaye Badar ka zikar hai, aur AAP sallallahu alaihi wasallam ne shuhdaye Badar ki tareef ko pasand kiya hai aur is baat se ye baat bhi saabit hoti hai ke natiya ash'aar son'na jayiz hai shart ye hai ke in ash'aar me shirk aur haraam aur takaabor ka zikar nah ho.

3)Ahle Bidat jis mohabbat ka dawa karte hain woh mohabbat nahi balke AAP sallallahu alaihi wasallam se dushmani hai kion ke ahle bidat ne Quran o Hadis ko jhutlaya hai.
 

Similar threads


Top