ISLAM MEIN PAKKI QABRON KI HAISIYAT


ISLAM MEIN PAKKI QABRON KI HAISIYAT
Taaleef: (Imam Shawkani) BADRUDDIN - MUHAMMED BIN ALI BIN MUHAMMED AL-SHAWKANI YAMANI
rahimahullah(1759-1839)
Romanised: Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

BOT-PARASTI AUR QABAR-PARASTI KA AAGHAAZ
Sab se pehle bot-parasti aur qabar-parasti ki bemari qoum-e-Nooh mein aayi. Chunanche irshad BAARI TA'ALA hai:
قَالَ نُوحٌ رَبِّ إِنَّهُمْ عَصَوْنِي وَاتَّبَعُوا مَنْ لَمْ يَزِدْهُ مَالُهُ وَوَلَدُهُ إِلَّا خَسَارًا * وَمَكَرُوا مَكْرًا كُبَّارًا * وَقَالُوا لَا تَذَرُنَّ آلِهَتَكُمْ وَلَا تَذَرُنَّ وَدًّا وَلَا سُوَاعًا وَلَا يَغُوثَ وَيَعُوقَ وَنَسْرًا
"(kuffaar se mayoos ho kar )Hazrat NOOH alaihissalam yun dua karne lagey:
Aye RABB! (yeh kaafir log) meri baat nahi mantay. Yeh un( boton) ki pairwi karne par israar karte hain jo un ke maal o doulat aur aulaad mein afzaish karne se aajiz hain. Albata un ki nahosat se un (kuffaar) ka nuqsaan hota hai. Un logon ne (mere sath) bade bade daaway kiye hain. Yeh aapas mein ek dosre se kehte hain tum apne mabodon (ki pooja) se hargiz baaz nah aanaa khaas kar 'Sowwa', 'Yaghoos', 'Yawooq' aur 'Nasraa' ki ibadat par datay rehna."(Surah Nooh:21-23)

Yeh (qaum-e-Nooh ke paanch-5 Auliya) hazraat AADAM allahissalam ki aulaad mein se naik log thay. Un ki zindagi mein yeh log un ke pairokaar thay. Jab yeh faut ho gaye to un ke pirokaron ne akatthay ho kar aapas mein mahswarah kya ke hum un ki taswerain aur mujasmay banayen. Kionke aisa karne se ibadat mein ziyada shawq paida ho ga. Chunanche unhon ne un buzurgon ki tasweren aur mujasmay banaye. Jab yeh log is aalam aabb o gul se rkhtِ safar bandh kar mulk-e-adam mein chale gaye aur un ki auladen badi howi to un se kaha gaya ke woh un ki pooja kya karte the aur un se barish talabb karte thay. Is (shaitaan) ki baat sun kr un ke purastaar ban gaye aahista aahista tamam arab un ka pujari ban gaya. Chunanche Sahih Bukhari mein syedina Abdullah Bin Abbas raziallahu-anhuma ki riwayat se mazkoor hai ke yeh hazraat NOOH alaihissalam ki qoum mein se Saleh aur naik (Auliya-Allah) insaan thay. Jab yeh faut ho gaye to un ke pairokaaron ne un ki qabron par Mujawer ban kar baith gaye. Phir un ki taswerain aur mujassme banaye, phir kuch zamana guzarne ke baad un ki ibadat shuro kar di gayi.(Sahih Bukhari: kitaab al-Tafseer)

Is baat ki tasdeeq Sahihain aur deegar kutub hadees ki is riwaayat se hoti hai jo Sayida Ayisha raziallahu-anha se mazkoor hai.
 

Similar threads


Top