Islam: Sab Se Badi Ne'mat


Umar Asari

Administrator
Staff member
Islam: Sab Se Badi Ne'mat

Written By: Umar Asari

Allah Rabbul A'alameen Ka Laakh Laakh Shukr Hai Ki Usne Hamein Insaan Banaya or Sab Se Badi Ne'mat Ata Ki Yaani Muslmaan Banaya.

Yun To Dunya Mein Kai Mazahib Paaye Jaate Hain Lekin Allah Ta'ala Ne Quran Majeed Mein Deen e Islaam Ko Pasand Karte Hue Tamam Doosre Adyaan (Religions) Ko Mansookh Kar Diya, Farmaya:
إِنَّ ٱلدِّينَ عِندَ ٱللَّهِ ٱلْإِسْلَٰم​
Tarjumah: Beshak Allah Ke Nazdeek Pasandeedah Deen Deen e Islam Hai.
(Surah Aal e Imran: Surah Number: 3 Ayat Number: 19)

Is Aayat Se Maloom Hua Ki Pasandeedah Deen Sirf or Sirf Islam Hi Hai.

Ek Doosri Jagah Par Allah Ne Deen e Islam Se Apni Razamandi Batate Hue Farmaya:
ٱلْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِى وَرَضِيتُ لَكُمُ ٱلْإِسْلَٰمَ دِينًا​
Tarjumah: Aaj Mein Ne Tumhare Liye Tumhare Deen Ko Mukammal Kar Diya or Tum Par Apna In'aam Bharpoor Kar Diya or Tumhare Liye Islam Ke Deen Hone Par Raazi Ho Gya.
(Surah Al Maayedah: Surah Number: 5 Aayat Number: 3)

Is Aayat Se Hamein Do Batein Maaloom Hoti Hain:
Ek To Ye Ki Deen Mukammal Ho Chuka Hai or Ab Usmein Izafe Ki Gunjaish Nahi,
Doosri Baat Ye Maloom Hue Ki Allah Ta'ala Ne Deen e Islam Ko Deen Ke Taur Par Pasand Kar Liya or Deen e Islam Se Razi Ho Gaya.

Ab Agar Koi Insaan Deen e Islam Ke Alawah Koi Doosra Deen Chunta (Apnata) Hai To Uska Etbaar Nahi Kiya Jaayega or Allah Ke Yahan Usko Qubuliyat Nahi Milegi.

Allah Ta'ala Ne Farmaya:
وَمَنْ يَبْتَغِ غَيْرَ الْإِسْلَامِ دِينًا فَلَنْ يُقْبَلَ مِنْهُ وَهُوَ فِي الْآخِرَةِ مِنَ الْخَاسِرِينَ​
Tarjumah: Or Jo Shakhs Islam Ke Siwa Koi Or Deen Chahega To Wo Usse Hargiz Qubul Nahi Kiya Jayega or Aisa Shakhs Aakhirat Mein Ghata Uthane Walon Mein Se Hoga.
(Surah Aal e Imran: Surah No. 3 Aayat No: 85)

Is Aayat Mein Allah Ta'ala Ne Ye Bayan Kar Diya Hai Ki Islam Ke Alawa Jitne Bhi Mazaahib Is Dunya Mein Paaye Jaate Hain Sab Mazahib Islam Ke Aane Ke Baad Mansookh Ho Gye Hain Isliye Deen e Islam Ke Alawa Kisi Or Mazhab Ko Allah Rabbul Aalameen Qubul Nahi Krega or Jo Shakhs Islam Ke Alawah Kisi Or Mazhab Ko Apnata Hai To Wo Aakhirat Mein Nuqsaan Uthayega.

Is liye Hamein Allah Ka shukr Ada Karna Chahiye Ki Usne Hamein Itni Azeem Nemat Se Hamko Nawaaza Hai.

Lehaza Hamein Sirf or Sirf Usi Ki Ibaadat Karni Chahiye or Usi Ki Baat Maanni Chahiye.

Allah Hamein Sachcha Muslmaan Banaye. Aameen
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Mu’aasharat (Rahen Sahen) 0

Similar threads


Top