Isqaat E Hamal Par Diyyat Aur Kaffarah Ka Hukam


Isqaat E Hamal Par Diyyat Aur Kaffarah Ka Hukam.

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Islamic Dawah Center Taif KSA
Romanised By: Khadija Muhammadi
Aaj Insaani Jaan Ki Qeemat Gajar Aur Mooli Se Kamtar Maloom Hoti Hai Yahi Wajah Hai Ke Qatal Jaise Sangeen Jaraaim Ab Khel Tamasha Ban Gaya Hai. Qaatilo Ke Khilaaf Koi Sakhat Iqdaam Nahi Balke Aksar Qaatilo Ki Pushat Panaahi Ki Jaati Hai. Pushat Panaahi Karne Wale Samaaji Afraad Hi Nahi Adaalat Aur Kachehri Bhi Hai Ek Qaatil Ko Khule Aam Ghumte Firte Dekh Kar Dusro Me Bhi Qatal Aur Garat Giri Ka Ansur Paida Ho Jata Hai. Is Tarah Aaj Ka Samaaj Qatal Aur Khoon Me Lat-Pat Hai,Insaaniyat Sisak Rahi Hai Aur Hukoomat Aur Adaalat Ke Qawaaneen Kaagazo Ki Sirf Zeenat Bane Hue Hai.

Mazkurah Tamheed Ka Unwaan Se Rabat Yah Hai Ke Maa Ke Pait Me Pal Rahe Bachche Ka Isqaat Bhi Qatal Jaisa Sangeen Juram Hai Balke Ek Tarah Se Qatal Se Bhi Bhayanak Juram Hai. Yah Woh Safakana Qatal Hai Jo Zamana E Jaahiliyat Me Zindah Dargor Hone Wali Bachchiyo Ke Mushabah Hai. Kal Qayamat Me Un Sab Se Sawaal Kiya Jaae Ga Jinhone Kisi Ka Qatal Kiya Ya Qatal Karne Par Madad Ki,Ma'soom Ka Khoon Bahaya,Hamal Barbaad Kiya Aur Zindah Dargor Kiya.
Aaj Kal Hamal Barbaad Karna Ma'mooli Si Baat Ban Gai Hai,Na Dr Ko Sharam Aur Khauf Hai Abortion Me Aur Na Hi Miya Ya Biwi Ko Aur Us Zamane Ka Qaanoon To Andha Behra Hai Hi. Ayse Poor Fitan Halaat Me Allaah Hi Logo Ko Hidayat Dene Wala Hai. Allaah Ne Apne Bando Ko Faqro Faqah Ke Dar Se Aulaad Ka Qatal Karne Se Mana Kiya Hai Aur Aaj Usi Sabab Aksar Abortion Ho Raha Hai. Musalmaan Hone Ka Matlab Allaah Ka Mutee Aur Farmabardaar Hona Hai,Agar Ham Waqai Musalmaan Hai To Maa Ke Pet Me Pal Rahe Bachche Ki Hifazat Walidain Ki Zimma Dari Hai,Yah Allaah Ki Amaanat Hai Usko Nuqsaan Pohnchana Ya Barbaad Karna Amaanat Me Khayanat Aur Insaani Qatal Hai.

Hamal Ek Nafas Aur Ek Jaan Hai,Hamal Ki Muddat Jaise Jaise Badhti Hai Usme Khilqat Parwaan Chadti Hai. Hamal Ke Pehle 40 Din Ke Baad Dusra 40wa Shuru Hota Hai To 42 Din Insaani Takhleeq Ki Shuruaat Ho Jaati Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
اذا مر بالنطفةثنتان وأربعون ليلة،بعث الله إليها ملكا،فصورها وخلق سمعها وبصرها وجلدها ولحمها وعظامها.
Tarjumah: Jab Nutfe Oar 42 Raate Guzar Jaati Hai To Allaah Uske Paas Ek Farishta Bhejta Hai Woh Uski Surat Banata Hai,Uske Kaan, Aankhe, Khaal,Goshat Aur Uski Haddiya Banata Hai.(Muslim Sharif:2645)
Aur Sahih Muslim Ki Rivayat Se Ma'loom Hota Hai Ke 120 Din Yani 4 Month Ki Muddat Par Janeen Me Rooh Phunki Jaati Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
ان أحدكم يجمع خلقه في بطن أمه أربعين يوما،ثم يكون في ذلك علقة مثل ذلك،ثم يكون في ذلك مضغة مثل ذلك،ثم يرسل الملك وينفخ فيه الروح.
Tarjumah: Beshak Tum Me Se Har Ek Aadmi Ka Nutfah Uski Maa Ke Pet Me 40 Din Jana Rehta Hai,Fir 40 Din Me Lahu Ki Phutki Ho Jata Hai,Fir 40 Din Me Goshat Ki Boti Ban Jata Hai,Fir Allaah Uski Taraf Farishte Ko Bhejta Hai Woh Usme Rooh Phunkta Hai.(Muslim Sharif:2643)

Is Hadees Se Maaloom Hota Hai Ke Janeen Par 4 Adwaar Guzarte Hai Tab Jaa Kar Khalqat Mukammal Hoti Hai,Pehle Daur Jo Ke 40 Dino Par Muheet Hota Hai Usme Mani Par Mukhtalif Maraahil Guzarte Hai,Us Marhala Ko Nutfah Kaha Jata Hai,Fir Dusre Marhale(40 Days)Me Nutfah Mukhtalif Marahil Se Guzar Kar Munjameed Khoon Ki Shakal Ikhtiyaar Karta Hai Is Marhale Ko Alaqah Kaha Jata Hai,Fir 3re Marhale(40 Days)Me Munjameed Khoon Goshat Ke Lothde Ki Shakal Ikhtiyaar Karta Hai,Use Muzaga Kaha Jata Hai. Un 3 Maraahil Se Guzar Kar Janeen Me Aazaa Ki Tashkeel Aur Haddiyo Ki Banawat Ke Aasaar Zaahir Ho Jaate Hai Aur Jab 4 Month Baad Aazaae Jisam Ka Zahoor Ho Jata Hai To Usme Rooh Phunk Di Jaati Hai.

In Baato Se Ham Ne Yah Jana Ke Jab Hamal Thehar Jata Hai To Fir Uski Paidah Hone Ka Silsila Jari Rehta Hai Us Wajah Se Shuru Hamal Me Ya Darmiyan Ya Aakhir Me Kabhi Bhi Isqaat Jaaiz Nahi Hai,Jin Ulma Ne Kaha Ke Bila Sabab Bhi Pehle 40 Din Me Abortion Kar Sakte Hai Woh Khata Par Hai,Hamal Ke Mamle Me Asal Yahi Hai Ke Bila Uzar Uska Isqaat Na Pehle Daur Me Jaaiz Hai Aur Na Hi Dusre,Teesre Aur Aakhri Daur Me Balke 42 Din Ke Baad Jab Kaan,Naak,Aankh Ke Aasaar Paidah Ho Jate Hai Tab Aur Bhi Sakhat Juram Hai Aur Us Se Bada Juram 120 Din Ke Baad Abortion Hai Ke Us Waqt Bachche Me Rooh Phunk Di Jaati Hai.
Agar Kisi Aurat Ne Khud Se Ya Shohar Ya Kisi Dusrr Ke Behkaawe Me Aa Kar Abortion Karwa Diya He To Us Aurat Par Laazim Hai Ke Foran Allaah Ke Huzur Gidgida Kar Sachchi Taubah Kare Aur Kasrat Se Astagfaar Kare Ke Kahi Yah Juram Uski Halakat Ka Maujab Na Ban Jaae,Sachchi Taubah Se Mumkin Hai Ke Gunehgaar Ko Bakhash De.

Ab Yaha Yah Hukam Janna Hai Ke Kisi Aurat Ne Bila Uzar Amadan Abortion Kawaya Hai To Kya Us Par Taubah Ke Saath Kaffarah Bhi Hoga?
To Is Sawaal Ka Jawaab Yah Hai Ke Agar Isqaat Pehle Daur Yani Awwal 40 Me Ho To Isme Aurat Par Sirf Taubah Aur Astagfaar Laazim Hai Aur Agar Dusre Daur Me 42 Din Ke Baad Aur Rooh Phunkne Se Pehle Hua Ho To Diyyat Deni Hogi Kuy Ke Is Marhale Me Insaani Paidaaish Ki Shuruaat Ho Chuki Hoti Hai Jaisa Ke Sahih Muslim Ki Rivayat Se Ma'loom Hua Hai. Is Diyyat Ki Daleel Mundarja Zail Hai:
عن أبي هريرة، أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قضى في امرأتين من هذيل اقتتلتا،فرمت إحداهما الأخرى بحجر،فأصاب بطنها وهي حامل،فقتلت ولدها الذي في بطنها فاختصموا إلى النبي صلى الله عليه وسلم،فقضى:أن دية ما في بطنها غرة عبد اؤ امة فقال ولي المرأة التي غرمت:كيف اغرم،يا رسول الله،من لا شرب ولا اكل،ولا نطق ولا استهل،فمثل ذلك يطل،فقال النبي صلى الله عليه وسلم:انما هذا من إخوان الكهان.
Abu Hurairha RA Se Rivayat Hai Ke Rasulullaah SAV Ne Qabeela Huzail Ki 2 Aurto Me Faislah Kiya Jinhone Aapas Me Jhagda Kiya Tha. Unme Se Ek Ne Dusre Ko Paththar Mara Jo Uske Pet Par Laga Yah Aurat Hamila Thi Is Liye Uske Pet Ka Bachcha Mar Gaya. Yah Mamla Dono Fareeq Nabi SAV Ke Paas Le Kar Aae To Aap Ne Faisla Farmaya Ke Aurat Ke Pet Ki Diyyat Ek Gulaam Ya Laundi Ada Karna Hai Jis Aurat Par Tavaan Wajib Hua Tha Uske Sarparasat Ne Kaha:Me Iska Taavaan Ada Karu Jis Ne Na Khaya Na Piya Na Bola Aur Na Chillaaya? Aysi Surat Me To Kuch Bhi Diyyat Wajib Nahi Ho Sakti. Is Par Nabi SAV Ne Farmaya:Yah To Kaahino Ka Bhaai Ma'loom Hota Hai.(Bukhari Sharif:5758)
42 Days Se Le Kar 120 Days Tak Isqaat E Hamal Karwane Ki Surat Me Diyyat Dena Hoga. Diyyat Ko"غرة عبد أو امة " Se Ta'beer Kiya Gaya Hai Yani Ek Gulaam Ya Laundi Ki Shakal Me Bachche Ki Diyyat Hogi,Is Se Muraad Maa Ki Diyyat Ka Daswa Hissa Jo Ke 5 Oont Banta Hai Is Babat Shaikh Ibne Baaz RH Ne Zikar Kiya Ke"Mard Ki Diyyat 100 Oont Hai,Iska Aadha 50 Oont Ki Diyyat Aurat Ki Hogi,Is Tarah Aurat Ki Diyyat Ma Daswa Hissa 5 Oont Banta Hai Aur Aaj Kal Diyyat Ki Qeemat Ek Laakh Riyaal Hai Is Tarah Aurat Ki Diyyat Ka Daswa Hissa 5000 Riyaal Hoga. Yah Diyyat Janeen Ke Wariso Me Taqseem Hogi Taham Janeen Ke Qaatil Chaahe Maa Ho Ya Baap Ya Dono Unko Hissa Nahi Mile Ga Kuy Ke Rasuool SAV Ka Farmaan Hai:
ليس للقاتل شيء،وان لم يكن له وارث،فوارثه اقري الناس اليه،ولا يرث القاتل شيئا.
Tarjumah: Qaatil Ke Liye Kuch Bhi Nahi,Aur Agar Uska Koi Waaris Na Ho To Uska Waaris Sab Se Qareebi Rishte Daar Hoga Lekin Qaatil Kisi Chiz Ka Waaris Na Hoga. (Abu Dawood:4564)
Agar Isqaat Rooh Phunkne Ke Baad Giraya Gaya Ho Jis Ke Natije Me Janeen Ki Maut Ho Jaae To Diyyat Ke Sath Kaffarah Bhi Dena Padhe Ga Aur Kaffarah Yah Hai Ke Ya To Ek Musalmaan Gulaam Ki Gardan Aazaad Kare Ya Fir Musalsal 2 Month Ke Roze Rakhkhe. Maqtool Ke Warsa Chaahe To Diyyat Maaf Ho Sakti He Lekin Kaffarah Maaf Nahi Ho Sakta Kuy Ke Diyyat Huququl Ibaad Hai Jo Bando Ke Maaf Karne Se Maaf Ho Jaae Ga Lekin Kaffarah Allaah Ka Haq Hai Jise Farz Kar Diya Gaya Hai,Use Har Haal Me Ada Karna Hoga,Allaah Ka Farmaan Hai:
ومن قتل مؤمنا خطأ فتحرير رقبة مؤمنة ودية مسلمة إلى اهله إلا أن يصدقوا.
Tarjumah: Jo Shakhas Kisi Musalman Ko Bila Qasad Maar Daale,Us Par Ek Musalmaan Gulaam Ki Gardan Aazaad Karna Aur Maqtool Ke Azeezo Ko Khoon Baha Pohbchana Hai,Haa Yah Aur Baat Hai Ke Woh Log Bataure Sadaqah(Diyyat) Maaf Kar De(To Koi Baat Nahi).

Aakhir Me Musalmaan Aurto Se Guzarish Karta Hu Ke Magribi Tehzeeb Ki Naqqali Aur Gairo Ki Dekha Dekhi Me Apni Aulaad ka Qatal Na Kare,Na Hi Faqro Faqah Aur Ta'leem Ka Bahana Bana Kar Ma'soom Ki Jaan Le. Yaad Rakhkhe,Rozi Ka Maalik Allaah Hai,Jis Tarah Woh Aap Ko Rozi Deta Hai Usi Tarah Aane Wale Bachche Ko Bhi Apne Naseeb Ki Rozi Dega. Agar Aap Ne Yah Baat Zahan Me Na Bithaai Aur Man Maani Karte Hue Hamal Saaqit Karwaate Rahe To Ain Mumkin Hai Bachche Ki Rozi Ka Hissa Aap Ki Rozi Se Kam Kar Di Jaae,Zindagi Me Aazmaaish Badha Di Jaae Aur Ma'soom Bachche Ke Qatal Ke Juram Me Aakhirat Me Dardnaak Saza Se Do Chaar Kiya Jaae. AL HIFZO WAL AMAAN
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abdul Adil Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top