Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Khwaab Mein Dekhna


Ibnatu Ali

Member
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Khwaab Mein Dekhna

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Kisi bhai ne sawal kiya hai ke ek aadmi ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko khwaab mein baghair daadhi ke dekha hai. Khwaab dekhne wala alim e deen hai, woh kehta hai ki mera khwaab sachcha hai. Kya aisa mumkin hai?

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko khwaab mein dekhne se mutalliq pehle 2 baatein jaan len:
(1) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko bedaari ki halat mein nahi dekha jaa sakta hai jo is ka daawa karta hai woh jhoota hai.

(2) Khwaab mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha jaa sakta hai. Is ki daleel Bukhari aur Muslim ki Hadees hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم:‏ مَنْ رَآنِي فِي الْمَنَامِ فَقَدْ رَآنِي فَإِنَّ الشَّيْطَانَ لاَ يَتَمَثَّلُ بِي​
Tarjumah: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya: Jis ne mujhe khwaab mein dekha to us ne mujhe haqeeqat mein dekha, kiunki shaitan meri shakl ikhtiyaar nahi kar sakta. Bukhari ke alfaaz hain «لاَ يَتَمَثَّلُ فِي صُورَتِي» yani meri surat ikhtiyar nahi kar sakta.
(Sahih Bukhari: 110 and Sahih Muslim: 2266)

Is Hadees ki sehat par koi kalaam hi nahi ho sakta kiunki yeh Sahihain (yani Sahih Bukhari aur Sahih Muslim) ki riwayat hai, neez Sahih Ahadees se yeh bhi pata chalta hai ke kuch Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko khwaab mein dekha. Musnad Ahmad mein Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma ke mutalliq zikr milta hai.

To maloom huwa ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko khwaab mein dekha jaa sakta hai magar yeh baat wazeh rahe ke Aap ko dekhne waale ne asli soorat par dekha ho jaisa ki Hadees se ishara milta hai ke shaitan meri soorat ikhtiyaar nahi kar sakta hai. Is ka matlab yeh huwa ki shaitan doosri soorat ikhtiyaar kar ke insaan ko khwaab ke zariye yeh tasawwur de sakta hai ke main hi Nabi hon. Mumkin hai shaitan buzurg ki soorat ikhtiyaar kar ke aaye. Is liye khwaab dekhne waale ko Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka hulya mubarak sahih se maloom hona chahiye.

Upar jis tarah ka sawal hai us se maloom hota hai ki woh khwaab sachcha nahi hai kiunki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko daadhi thi, baghair daadhi wala khwaab jhoota hai chahe khwaab dekhne waala alim e deen hi kiun na ho. Shaitan kisi ko bhi dhoka de sakta hai. Agar koi yeh kahe ke main ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko khwaab mein safaid (white) daadhi mein dekha to yeh bhi jhoota khwaab maana jayega kiunki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke sirf kuch baal hi safaid they

Ek ahem intibaah:
Pehle ahl e bidat khwaab ke naam par bada drama karte they ki falan ne aisa dekha to falan ne aisa dekha. Ab log samajhdaar ho gaye to bidati log khwaabon ko Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob kar ke gumraahi phailane lage is liye is maamle mein hamein samajhdaari se kaam lena chahiye khaas taur se yeh baat jaan len ke deen mein ab koi nai baat izafah nahi ki jaa sakti na khwaab ke zariye, na hi kisi aur zariye se. Hamara deen Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafaat se pehle hi mukammal ho chuka tha Aap ne Sahaba e Kiraam se ‘Hajjat ul Wida’ ke mauqe par risalat ke mukammal hone ki gawahi bhi le li thi jo ‘khutba Hajjat ul Wida’ mein mazkoor hai.
Allah Taala hum sab ko ahl e bidat ke makr o fareb se bachaaye. Aameen.
 

Similar threads


Top