Jab banda Nikah karta hai to apna aadha deen mukammal kar leta hai


Jab banda Nikah karta hai to apna aadha deen mukammal kar leta hai

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم

عَنْ أَنَسٍ بْنِ مَالِكٍ قَالَ: قَالَ رَسُوْلُ اللهِ صلی اللہ علیہ وسلم : « إِذاَ تَزَوَّجَ الْعَبْدُ فَقَدِ اسْتَكْمَلَ نِصْفُ دِيْنِه، فَلْيَتَّقِ اللهَ فِيْمَا بَقِيَ »


Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jab banda Nikah karta hai to apna aadha deen mukammal kar leta hai ab usko chahiye jo baqi (aadha deen) hai usmein Allah se darta rahe.

[Al Silsila As Sahiha, Hadees: 1895]


عَنْ عَائِشَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَتْ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ النِّكَاحُ مِنْ سُنَّتِي، ‏‏‏‏‏‏فَمَنْ لَمْ يَعْمَلْ بِسُنَّتِي فَلَيْسَ مِنِّي، ‏‏‏‏‏‏وَتَزَوَّجُوا فَإِنِّي مُكَاثِرٌ بِكُمُ الْأُمَمَ، ‏‏‏‏‏‏وَمَنْ كَانَ ذَا طَوْلٍ فَلْيَنْكِحْ، ‏‏‏‏‏‏وَمَنْ لَمْ يَجِدْ فَعَلَيْهِ بِالصِّيَامِ، ‏‏‏‏‏‏فَإِنَّ الصَّوْمَ لَهُ وِجَاء


Aisha Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Nikah meri sunnat hai aur jo koi meri sunnat par amal na kare uska mujhse koi talluq nahi, Nikah kiya karo isliye ki tumhari zyada tadad par main dusri ummato ke samne fakhr karunga, jismein istitaat (capacity) ho wo to nikah kar le aur jismein istitaat na ho wo roze rakhe, wo isliye ki roza uski shahwat (nafsani khwahishat) ko tod dega.

[Sunan Ibn majah, Hadees: 1846]
 
Top