KYA Islam me CIGARETTE pina aur TAMBAKU khana Jayez hai❓


Ibnatu Ali

Member
KYA Islam me CIGARETTE pina aur TAMBAKU khana Jayez hai❓

Cigarette pina haraam hai kyunki yeh khabees cheez hai aur bohat ziyada zarrar (injurious) aur nuqsanaat par mushtamil hai, Allah Subhanahu Taa'la ne to apne bandon ke liye khane peene wali Pakiza Cheezein halal ki hain, aur un par khabees aur gandi Cheezein haraam ki hain.
Allah Subhanahu Taala ka farmaan hai :
▫ Aur unke liye Pakiza Cheezein halal karta aur khabees aur gandi Cheezein haraam karta hai.
Surah Al-Araaf, Ayah : 157

☑ Lehaza har qism ki cigarette pina khabees aur gandi Cheezon mein shaamil hota hai, aur phir yeh zarrar aur nuqsande aur nashawar mawaad (material) par mushtamil hai.

➖Kisi bhi haalat mein iski aadat haraam hai, chahe tambaku pi jaye, ya phir tambaku chaba kar khaya jaye ya kisi aur tareeqe se tambaku istemaal kiya jaye yeh haraam hai .

✔Har musalman shakhs par wajib hai ke woh fauri taur par is ko tark kar ke Allah Ta'ala se tauba o astaghfar kare, aur is gunahgaari (evilness) o nafarmani par nadim ho, aur aindah pukhta irada kare ke woh kabhi bhi dobarah aisa nahi karega.
(Fatawa Islamiyah : 3/442)

➖Aksar kuch log ye kahte hue bhi nazar ate hai ke ham ziyadah cigarette nahi pite ham ziyadah Tambaku nahi khate to unke liye ek farman e Rasool hazir hai

☑ Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
"Jis cheez ki ziyadah miqdar (quantity) nasha paida kare to uski thodi si miqdar bhi haram hai."
Timizi :1865 (Hasan Sahih)

➖Jab Allah ta'ala ne hame paak cheeze ata ki hai aur uske bawajood ham gandi cheeze kha rahe to ye sarasar Allah ki neymato ka nashukri hai. Jin paak cheezo ko kha kar ek insan ki sehat banti hai to wohi insan saath saath gandi cheeze kha kha kar apni sehat bigaadta jata hai.
Tambaku aur Cigarette bechne wale packet pe likh likh kar bech rahe ke ye apki sehat ke liye hanikarak hai ise khane se apko CANCER ho sakta hai aur khareedne wale tab bhi khareedte jaa rahe. Allahu Akbar Ye paisa dekar bimari khareedna nahi to aur kya hai❓

CIGARETTE aur TAMBAKU Fizul kharch hai
Jo log apna paisa cigarette pi kar dhue me uda dete hai ya tambaku kha kar apna paisa thuk dete hai unhe sochna chahiye ke kitne ghareeb miskeen ko khane ko nahi hai aur wo bhook se tadap kar mar rahe aur aap us paise ko dhue me uda rahe aur thuk rahe.
Astaghfirullah ye Ghurur nahi to kya hai❓
Ye paisa Allah ne apko udane ko ya thukne ko nahi diya balki ye bhi ek azmaish hai ke ap in paiso ka sahi istemal karte hai ya nahi, logo ka haq ada karte hain ya nahi❓

Allah Ta'ala farmata hai
"aur rishtedaaro ka aur miskino aur musaafiro ka haq adaa karte raho, aur israaf aur beja kharch se bacho."
(Surah Bani Israil - 17 : 26)

▫......... Aaiye dekhiye Aage ki ayat me Allah Ta'ala fizul kharch karne walo ke liye kya farmata hai

"Fizul kharch karne waale shaitaano ke bhai hai aur shaitaan apne parvardigaar ka bada hi nashukra hai."
(Surah Bani Israil - 17 : 27)

Ab apka zameer kya kahta hai, kya ab bhi aap Cigarette piyenge aur tambaku khayenge aur Shaytan ke bhai kahlayenge❓
 

Similar threads


Top