JAHANNUM KI HAULNAKIYAN


Shona shaikh

Active member
JAHANNUM KI HAULNAKIYAN


Tehreer : Shaykh Abdul Ghaffar Salafi, Banaras
Transliteration by : Bint e Iqbal

__________________________________

Jahannum ka zikr aate hi dil me khauf aur dehshat ki laher daud jati hai, Allah ne gunahgaron aur nafarmanon ke liye Jahannum ki shakl me ek aisi saza ki jagah tayyar kar rakhi hai jiski sakhtiyan aur haulnakiyan hamare tasawwur se bhi bala tar hain. Ye ek aisa qaidkhana hai jahan mujrim maut ko tarsega. Lekin usey maut bhi naseeb na hogi, wo til til marega. Charon taraf maut hi maut naach rahi hogi lekin phir bhi wo maut se do chaar nahi hoga. Pyaas se behaal jahannumi ko jab jahannumiyon ke zakhmon se risne wali badboo daar peep aur mawad pilaai jayegi to uski jo kaifiyat hogi usey lafzon me bayan nahi kiya ja sakta.
Allah Ta'ala jahannum ki haulnakiyo ka naqsha kheenchte hue farmata hai.
▫"Uske saamne dozakh hai jaha wo peep ka pani pilaya jayega. Jahan wo bamushkil ghunt ghunt piyega, phir bhi wo usey gale se utaar na sakega aur usey har jagah se maut aate dikhai degi lekin wo marne wala nahin, phir uske piche bhi sakht azaab hai."
(Surah Ibraheem: 16-17)
__________________________________

Ham duniya ki aag me jhulsi hui laashe dekhte hain to laraz jate hain kamzor dil o dimagh ke log to jali hui laash ko dekh hi nhi paate, zara sochiye jahannum ki aag me jalne wale ka anjaam kya hoga us aag ki shiddat ka ye aalam hoga ki Nabi sallallahu walaihi wasalam farmate hain :
"Tumhari (duniya ki) aag jahannum ki aag ke muqable me (apni garmi aur halakat khezi me) sattarwan (70th) hissa hai."
Kisi ne poocha Ya Rasool Allah (kuffar aur gunahgaron ke azaab ke liye) ye hamari duniya ki aag bhi bahut thi, Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
" Duniya ki aag ke muqabile me jahnnum ki aag unhattar (69) guna badh kar hai. "
(Sahih Bukhari: 3265)
__________________________________

Jahannum kitni ameeq aur gahri hai iska andaza is hadees se lagaiye. Abu Huraira Razi Allahu anhu se riwayat hai ke ham Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ke saath the, ek ghadhghadahat ki awaz sunai di to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya tum jante ho ke ye kya hai?
Ravi kahte hain ke hamne arz kiya Allah aur uske Rasool hi zyada jante hain. Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya "ye ek paththar hai jo ke 70 saal pahle dozakh me pheka gaya tha aur wo lagataar dozakh me gir raha tha yahan tak ke wo paththar ab apni tah tak pahucha hai."
(Sahih Muslim: 2844)
__________________________________

Bhook aur pyaas se behaal jahannumiyon ko khane ke liye zaqqoom ka darakht diya jayega.Ye kaisa hoga Allah Ta'ala farmata hai
▫"Beshak zaqqoom (thuhar) ka darakht. Gunahgar ka khana hai. Jo misl talchahht ke hai aur pet mein khaulta rahta hai. Misl tez garm pani ke."
(Surah Dukhaan: 43-46)
__________________________________

Surah kahf me jahannumiyon ka haal zara kuch yun bayan kiya gaya hai:
▫"Zalimon ke liye hamne wo aag tayyar kar rakhi hai jiski qanaatein unhen gher lengi agar wo faryaad rasi chahenge to unki faryaad rasi us pani se kee jayegi jo tel ki talchhat jaisa hoga jo chehre bhoon dega, bada hi bura pani aur badi buri araamgaah (dozakh) hai. "
(Surah Al- Kahf: 29)
__________________________________

Jahannum ek aisa qaidkhana hai jahan ke qaidiyon ka libaas bhi bilkul nirala hai. Jahannumiyon ke libaas bhi aag se bane hue honge:
▫ "Pas kafiron ke liye to aag ke kapde biyunat kar kaate jayenge aur unke saron ke upar se sakht khaulta hua pani bahaya jayega. Jisse unke pet ki sab chizen aur khaalen gala di jayengi aur unki saza ke liye lohe ke hathaude hain."
(Surah Al-Hajj: 19-21)

Un qaidiyon ke bistar aur chaadren bhi aag ki hongi jaisa ke Allah Ta'ala ka farmaan hai :
▫Unke liye aatish e jahannum ka bichhauna hoga aur unke upar (usi) ka odhna hoga aur ham aise zalimon ko aisi hi saza dete hain."
(Surah Al-Araaf: 41)

Jahannum ki azeeyyaton se tang aa kar jahannumi Darogha e jahannum se maut ki fariyad karenge. Allah Ta'ala ka farmaan hai:
▫" Aur pukar pukar kar kahenge ki Ai Malik (Malik darogha jahannum ka naam hai)! Tera Rabb hamara kaam hi tamam karde. Wo kahega ke tumhen to (hamesha) rahna hai."
(Surah Zukhruf: 77)
__________________________________

Jahannum ki tang aur tareek kothri me jahannumi maut ko pukarengemagar unhen maut bhi naseeb na hogi.
Allah Ta'ala farmata hai:
"▫Aur jab ye jahannum ki kisi tang jagah me mashken kas kar (bound in chains) phenk diye jayenge to wahan apne liye maut hi maut pukarenge.
(Inse kaha jayega) aaj ek hi maut ko na pukaaro balki bahut si amwaat (mauton) ko pukaaro."
(Surah Al-Furqan: 13-14)
__________________________________

Jahannum ki aag me jab unki khaalen jhulas jayengi to unki khaal dobara unke jism par chadha di jayegi taki baar baar azaab ki takleefen mahsus karen.
Allah Ta'ala quran me farmata hai:
▫" Jin logon ne hamari ayaton se kufr kiya unhen ham Yaqeenan aag me daal denge. Jab unki khaalen pak jayengi ham unke siwa aur khaalen badal denge taki wo azaab chakhte rahen. Yaqeenan Allah Ta'ala ghalib hikmat wala hai."
(Surah An-Nisa: 56)
__________________________________

Mere azeez deeni bhai aur behno ye quran aur hadees ki roshni me jahannum ki haulnakiyon ki sirf chand jhalkiyan hain. Kitna nadaan hai wo insan jo jahannum ki in haulnakiyon ke baare me janne ke baad bhi khud ko aur apne ahel o ayal ko ussey bachane ki koshish na kare.
Allah Ta'ala farmata hai
▫"Ai iman walo tum apne aap ko aur apne ghar walo ko us aag se bachao jiska indhan insan aur pathar hain. Jispar sakht dil mazboot farishte muqarrar hain, jinhen jo hukm Allah Ta'ala deta hai uski nafarmani nahin karte balki jo hukm diya jata hai bajaa laate hain."
(Surah At-Tahreem: 6)
__________________________________

Kaash hamen ye Haqeeqat samjh me aa jaye ke duniya me daulat o izzat kama lena hi kamiyabi nahi. Haqeeqi kamiyabi to ye hai ek admi jahannum ke azaab se bacha liya jaye.
Allah Ta'ala farmata hai:
▫"Har jaan maut ka maza chakhne wali hai. Aur qayamat ke din tum apne badle poore poore diye jaoge. Pas jo shakhs (jahannum ki) aag se hata diya jaaye aur jannat me dakhil kar diya jaaye beshak wo kamiyab ho gaya aur duniya ki zindagi to sirf dhoke ki jins hai."
(Surah Al - Imran: 185)
__________________________________

Magar yaad rahe khwahishaat e nafs ke raste par chal kar ham jahannum se bach nahin sakte. Jahannam se bachne ke liye hamen apni khwahishaat ki itteba chhod kar Allah aur uske Rasool ki itteba karni hogi. Rabb ke samne jawab dahi ka ehsas apne dil me paida karna hoga. Tabhi ham jahannum se bachkar jannat me dakhile ke haqdar ban sakte hain.
Allah Ta'ala farmata hai:
▫"To jis (shakhs) ne sarkashi ki (hogi) aur duniyavi zindagi ko tarjeeh di (hogi). (Uska) thikana jahannum hi hai. Haan jo shakhs apne Rabb ke samne khade hone se darta raha hoga, aur apne nafs ko khwahish se roka hoga to uska thikana jannat hi hai."
(Surah An-Naziyaat: 37-41)
__________________________________

Allah ham sabko jahannum se apni panaah me rakhe aur jannatul firdaus me dakhil kare. Aameen
 
Last edited:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
S Emaan 0

Similar threads


Top