Jahannum mein aurton ki tadaad mardon ki tadaad se ziyada kyun hai?


Salafiyyah

New member
Jahannum mein aurton ki tadaad mardon ki tadaad se ziyada kyun hai?

Sheikh Muhammad Saalih Al Munajjid

Romanised: Siraj

Alhmdulillah : Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se yeh saabit hai ke jahannum mein aurton ki aksariyat hai.
Imran bin Husain bayan karte hain ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Maine jannat mein jhanka toh us mein aksar log fuqara they aur maine jahannum mein jhanka to is mein aksar aurtein thi.
(sahih bukhari hadees number 3241 sahih muslim hadees number 2737)

aur iske sabab ke mutalliq Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya to aap ne woh bhi bayan farmaya ke: Abdullah bin Abbas razi Allah anhuma bayan karte hain ke rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Mujhe aag dikhayi gayi toh main ne aaj jaisa khofnaak manzar kabhi nahi dekha aur maine jahannum mein aksariyat aurton ki dekhi hai. Toh sahaba kehnay lagey aye Allah ke rasool Sallallahu Alaihi wasallam woh kyun? toh nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : apne kufr ki wajah se. toh aap se yeh poocha gaya ki kya woh Allah taala ke sath kufr karti hain toh nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya khawind aur ehsaan ki nashukri karti hain agar aap un mein se kisi ke sath zindagi bhar ehsaan karte raho toh phir woh aap se koi khilaaf e mizaaj cheez dekh le to yeh kehti hai ke maine saari zindagi tum se koi Khair hi nahi dekhi
(sahih bukhari hadees number 1052)

Abu Saeed khudri razi Allah anho bayan karte hain ke nabi Sallallahu Alaihi wasallam eid ul azha ya eid ul fitr ke liye eidgaah ki taraf niklay toh aurton ke paas se guzray toh farmaney lagey : aye aurton ki jamaat sadqa o khairaat kiya karo beshak mujhe dikhaya gaya hai ke tumhari jahannum mein aksariyat hai toh woh kehnay lagi aye Allah ke rasool woh kyun? toh nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum gaali galoch bahut ziyada karti ho aur khawind ki nafarmani karti ho maine deen aur aqal mein naaqis tum se zada Koi nahi dekha tum mein se koi ek achay bhalay shakhs ki aql kharab kar deti hai. woh kehnay lagi aye Allah ke rasool Sallallahu Alaihi wasallam toh hamara deen aur hamari aqal mein nuqs kya hai? nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : kya aurat ki gawaahi mard ki gawaahi ke nisf (aadhi) nahi toh woh kehnay lagi kiun nahi toh nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya toh yeh uski aql ka nuqsaan hai. Aur kya jab kisi ko haiz aaye toh woh namaz aur roza nahi chorti? To Woh kehnay lagi kyun nahi to nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya yeh uske deen ka nuqsaan Hai.
(sahih bukhari hadees number 304)

Jabir bin abdullah razi Allah anhuma bayaan karte hain ke main nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke sath eid ke din namaz Mein hazir tha toh aap ne khutba se pehle baghair azaan aur Iqamat ke namaz padhaayi phir namaz ke baad bilal razi Allah anho par tek laga kar khade hue aur Allah taala ka taqwa ikhtiyar karne ka hukm diya aur uski itaat karne par ubhara aur logon ko waaz o naseehat ki phir aurton ke paas aaye aur unhen waaz o naseehat ki aur kehnay lagey : aye aurton ! sadqa o khairaat Kiya karo kyunkay tumhari aksariyat jahannum ka eendhan hai toh aurton ke darmiyaan se ek siyah nishaan walay rukhsaaron waali aurat uth kar kehnay lagi aye Allah ke rasool Sallallahu Alaihi Wasallam wo kyun? toh nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : isliye ke tum shikwah aur shikayat bohat ziyada karti aur khawind ki nafarmani aur na shukri karti ho Jabir razi Allah anho bayan karte hain ke woh apne zewraat mein se sadqa ke liye apni anguthiyan aur baaliyan bilal razi Allah anho ke kapde mein daalney lagi.
(sahih muslim hadees number 885)

Isliye un musalman behno par jo is hadees ko janti hain zaroori hai ke un ke mamlaat bhi sahabiyaat ki tarah hon ke jab unko iska ilm huwa toh unhoney Khair aur bhalai ki jo ke Allah taala ke hukm se unhein us aksariyat se door le jayegi aur woh jahannum mein dakhlay se bach jayengi. behno ko hamari yeh naseehat hai ke woh islam ke shi'aar aur faraiz par amal karen aur khaaskar namaz padhen aur un cheezon se door rahen jo ke Allah taala ne haraam ki hain khaas kar shirk se jo ke aurton ke andar mukhtalif sooraton mein phela huwa hai maslan Allah taala ke alawa dosron se haajat poori karwana aur jaadoogaron aur nujumiyo ke paas jana. hum Allah taala se dua karte hain ke wo hamein aur hamaray sab behan bhaiyon ko aag se door kare aur aisay qoul o amal karne ki taufeeq de jo Allah taala ke qareeb karen. Wallahu A’lam.
 

Similar threads


Top