Jamat-E-Islami Aur Manhaj Ahle Hadees Me Kya Farq Hai


Ibnatu Ali

Member
Jamat-E-Islami Aur Manhaj Ahle Hadees Me Kya Farq Hai

♦1. Asma O Sifaat me bhi Bad Aqeedgi

🇸🇦 Hum Allah Ki Tamaam Asma O Sifat Ko bagair kisi Tahreef, Tashbeeh, Ta'ateel O Tamseel ke bayan karne aur Manne ke Qayel hain

"الْحَمْدُ للّهِ رَبِّ الْعَالَمِين​
Ka tarjuma hai "Tamam Ta'arif Allah ke liye hai jo Tamam Jahano Ka Palne Wala hai"

♦Lekin Maududi Saheb Likhte Hain "Ta'arif Allah ke liye hai"
-Rehman aur Raheem ki Misal aisi hai jaise saqhi Data, Gora Chitta, Lamba Tadanga. Ism Rehman ki kami ko pura karne ke liye Raheem ka izafa kiya gaya hai

📓(Tafheem Ul Quran C1, V44)

_________________

♦2.Rasool (ﷺ) Apne qaul me Sadiq Nahi

🔹 Rasool (ﷺ) ke qaul ke mutabiq Har saow(100) saal me koi na koi Mujaddid Paida hoga

♦Magar Maududi aur unki Jamat ke Nazdeek koi Mujaddid Paida hi nahi hua hai

🔎 Gaur Farmayen

♦Tareeqh Par Nazar Dalne se Maloom hota hai ke Ab tak Koi Mujaddid e Kamil Paida Nahi Hua hai qareeb tha ke Umar Bin Abdul Aziz (Rahimahullah) is Mansab Par fa'iz hojate, Magar wo Kamiyab Na hosake.

♦In ke baad Jitne Mujaddid Paida hue unme Har Ek ne kisi khaas Shobe ya Channd Shobon hi me kaam kiya. Lehaza Mujaddid e kamil ka Maqaam Abhi Tak Khali Hai"

📓 (Tajdeed Wa Ahyaa E Deen, P49)

🔸Ya'ni Na Sahaba Na Tabay'in Na Tab'e Taba'in Na Ayimma Na Muhadiseen koi Bhi Mujaddid e Kamil hua hi nahi

♦ Ab inki Jamat hi se Maloom hosake ga ke Mujaddid e Kamil Kahin Sirf Maududi Saheb hi toh Nahi ??? Ya Abhi Bhi Seat Khali Hai ???

🔹 Yahi Haal Dajjal se mut'aliq hai Khud Mosuf ne Likha hai

♦Huzoor(ﷺ) ko Apne Zamane me ye Andesha Tha ke Shayed Dajjal Huzoor(ﷺ) ke Zamane me hi Zahir ho jaye Ya kisi Qareeb Zamane me Zahir Hojaye,

♦Lekin Kya Sadhe Terah Sau Baras ne Ye Sabit Nahi Kardiya ke Huzoor (ﷺ) ka ye Andesha Sahih Na Tha

📕(Tarjuman Ul Quran, Rabiyul Awwal 1365h, P31)

📓(Risayel Wa Masayel, C1 P39)

___________________

♦3. Anbiya E Kiram ki Shaan me Gustaqi

🇸🇦Yaad Rahe Hamare Nazdik Anbiya Ma'soom anil Khata hain unki Shaan me Gustaqi Kufr hai

📌 Nabi Akram(ﷺ) ki Shaan me Gustaqi

♦Nabi(ﷺ) ki Wa'az O Talqeen me Nakaami (Nauzbillah)

📌 Maududi Sahab Likhte hain

"Lekin Wa'az O Talqeen me Nakaami Ke Baad Da'ai Islam ne Haath Me Talwar li"

📓( Al Jihad Fil Islam, P174)

♦Mosuf Sayyiduna Nooh(علیہ السلام) ke Muta'liq Likhte hain

"Basa Awqat kisi Nazuk Nafsiyati Mauqe Par Nabi Jaisa Aa'La O Ashraf Insan bhi Thodi der keliye Bashri Kamzori se maghlub hojata hai.

Lekin Jab Allah Ta'La unhe Tanbeeh Farmata hai ke jis bete ne Haq ko chodh kar Batil ka Saath Diya Us ko Mahez is liye Apna Samajhna ke wo Tumhari Saleb se Paida hua Hai, mahez Ek Jahalat ka Jazba Hai toh wo Apne Dil se Be Parwah Hokar is Tarz Fikar ki Taraf Palat Aate Hain Jo Islam Ka Maqtaza hai"

📓(Tafheem Ul Quran, C2 , V344 Tab'ae saum)

♦Ek Jagah Hazrat Younus(علیہ السلام) ke baare me Likhte Hain

Hazrat Younus(علیہ السلام) se Fariza E Risalat ki Adayegi me Kuch Kotahiyan Hogayi Thi.

"Ghaliban Unho ne Be sabr hokar Qabl Az Waqt Apna Mustaqar bhi Chodh diya Tha"

📓(Tafheem Ul Quran, C2 V 312, Tab'ae saum,)

🇸🇦Hazrat Yousuf(علیہ السلام) ke baare Me Likhte hain

♦"Ye Mahez Wazir E Maaliyat ke Mansab ka Mutalibah Nahi Tha, Jaisa ke Ba'az Log Samajhte Hain. Balke ye Dictatership Ka Mutalibah Tha Aur Uske Natije Me Sayyiduna Yousuf(علیہ السلام) ko Jo Position Hasil hui Wo Qareeb Qareeb Wahi Position Thi Jo is Waqt Italy me Mesolni Ko Hasil Hai".

📓 (Tafheemat.C2 P155, Tab'ae Panjam)

_______________

♦4. Sunnat E Rasool ki Tauheen

♦Likhte hain

"Aap ka Khayal hai Nabi (ﷺ) Jitni Badi Dadhi Rakhte The Utni Hi Badi Dadhi Rakhna Sunnat Ya Uswa e Rasool hai.??

Magar Mere Sirf Yahi Nahi ke Sunnat Ki Sahih Ta'arif Nahi hai

♦Balke Ye Aqeedah Rakhta hoon ke is qism ki Cheezon ko Sunnat Qarar Dena Aur Phir Unki Itteb'a par Israr karna Ek Sakht qism ki Bid'At aur Ek Khatarnak Tahreef E Deen Hai".

📓(Rayail O Masail, Hissa Awwal, P200)

♦" Mere Nazdik kisi ki Dadhi Ke Chote Ya Bade Hone se koi khaas Farq Wa'qae Nahi hota".

📓(Rasail O Masail, C1 P153)

Goya Mausof Mujtahid Bhi Hain Aur Muqlid Hanfi bhi !!!!!!

Aisa Toh Aaj Tak Kisi Tareekh Me Koi Nahi Mila!!!!!!

Ka'abatullah Ki Tauheen Goya Jayez!!!

♦Likhte hain!

"Wo SarZameen Jahan se Kabhi Islam Ka Noor Aalam Me Phela Tha Aaj Usi Jahiliyat ke Qareeb Pahunch Gayi Hai Jis Me Wo Islam se pehle Mubtila Thi.

Ab Na Wahan Islam Ka ilm hai, Na hi Islami Akhlaq hain Na hi Islami Zindegi Hai.

Log dur dur se Gehri Aqeedaten Liye Hue Haram E Paak Ka Safar Karte Hain, Magar Is ilaqe me Pahunch Kar Jab Har Taraf unko Jahalat, Gandegi, Tam'a, be hayai, Duniya Parasti, Badh Akhlaqi, Badh Intezami aur Aam Bashindon ki Tarha Giri hui Halat Nazar Aati Hai toh In Tauqa'at ka Sara Tilsam paash paash hokar reh jata hai.

Hatta ke Bohot Log Hajj Karke Apna Imaan Badhane ke Bajaye Aur Ulta Kuch Kho Aate hain

📓(Khutbaat E Maududi, P316, Tab'a 39)

________________

♦5. Qiyamat Ki Nishaniyon Ka Mazak

♦Chunache Ye Hazraat Dajjal, Yajuj Majuj, Dabba Tul Arz ka Mazak Udate hain Ya us ki Beja Taweel

📃Jab ke Sahih Bukhari me Aath Bar Aur Sahih Muslim Me Satrah Bar "Dajjal" ke baare me Hadees Aayi Hai,

Isliye Salaf Ta Khalaf ka Ye Aqeeda Hai ke Qurb E Qayamat ki Nishaaniyon Me se Ek Nishani Ye Bhi hai ke Dajjal Aayega Aur Khudayi Ka Dawa Karega, Usko Hazrat Esa(علیہ السلام) Aakar Qatal Karenge

♦-Lekin Maududi Saheb Likhte hain

"Ye Kana Dajjal Waighaira Toh Afsane Hain Jin ki Koi Haisiyat Nahi Hai"

📓(Tarjuman Al Quran, Ramzan O Shawwal 1364h, P186)

♦" Huzur(ﷺ) ko Apne Zamane me ye Andesha Tha Ke Shayad Dajjal Huzur(ﷺ) ke Zamane Me hi Zahir Hojaye Ya Kisi Qareeb Zamane Me Zahir Hojaye,

♦Lekin Kya Sadhe Terah sau Baras ne ye Sabit Nahi kardiya ke Huzur(ﷺ) Ka Andesha Sahih na tha

📕(Tarjuman Ul Quran, Rabiyul Awwal 1365h, P31)

📓(Risayel O Masayel, C1 P39)

-----------------------------------------

♦6.Hazrat Esa(علیہ السلام) Aasman par Zindah Nahi Uthaye Gaye !!!!!

🇸🇦Hamara Aqeedah hai ke Esa(علیہ السلام) ko Zindah Jism O Ruh ke Saath Aasman par Utha liya Gaya hai aur Quran Se Bhi Sabit hai Sahih Tafseer ki Roshni me Bhi Yahi Sabit Hai Magar

♦Mausuf Likhte Hain

"Esa(علیہ السلام) ka Asma Quran Se Sabit Nahi Hai"

📓(Tafheem Al Quran, C1 V420)

----------------------------------------
♦7. Sahaba E Kiram (رضی اللہ عنہم اجمعین) ke Bare Me Farq

🇸🇦Hamare Nzdik Sahaba E kiram (رضی اللہ عنہم اجمعین) Mi'ayar E Haqq hain

🔹Balke Unke Baghair Deen ko Samajhna Samjhana Gumrahi ka Ba'es Hai

🔹Unke Bina Hum Deen Hasil Kar hi Nahi Sakte

♦Jamat E Islami ke Bani Abu Al'Ala Maududi Saheb Ke Nazdik Sahaba kiram(رضی اللہ عنہم اجمعین) Mi'ayar e Haqq nahi

♦ Likhte hain:

"Rasool E Khuda(ﷺ) ke Siwa Insan ko Ma'ayar e Haqq Na Banayen kisi ko Tanqeed Se Balatar Na Samjhen, Kisi ki Zehni Ghulami Me Mubtila Na ho, Har Ek ko Khuda ke Bataye Hue Usi Mi'ayar e Kamil par Jaanche Aur Parkhe".

📓(Dastur E Jamat E Islami Pakistan, P14)

Ek jagah aur Likhte Hain:

♦"Koi Galat Kaam Mahez Sharf E Sahabiyat ki Wajah se Musharraf Nahi hojata Balke Sahabi Ke Martaba Buland ki Wajah se Wo Galti Aur Zyada Numayan hojati hai"

📓(khilafat O Mulkiyat, P143)

----------------------------------------

🇸🇦Hamare Nazdik Sahaba E Kiram(رضی اللہ عنہم اجمعین) ki Tauheen Kufr Hai

♦Ab Yahan Sahaba ki Shaan me Gustakhi ki channd Misalen Mulaheza Farmayen

♦Ek Jagah Tamam hi Ansar Sahaba par Bohtan Tarashi Karte Hue
Likhte Hain

🔹"Chunache ye Yahudi Akhlaq hi ka Asar Tha Ke Madina Me Ba'az Ansar Apne Muhajir Bhaiyon ki khatir Apni Biwiyon ko Talaq Dekar Unse Biyah Dene par Aamadah ho gaye the"

📓(Tafhimat,C2P47,Tab'a duwwam)

🇸🇦Hazrat Usman(رضی اللہ عنہ) se Muta'alliq Likhte hain:

♦Hazrat Usman(رضی اللہ عنہ) Jin par Is Kaar E Azeem(Khilafat) ka baar Rakha gaya tha, in Khususiyat ke Hamil Na The Jo Unke Jalil Ul Qadar Paishraon ko Ata Hoyi Thi. Is liye Jahiliyat ko Islami Nizam me Ijtema'ee ke andar Ghus Aane ka Rasta Mil gaya.

📓(Tajdeed O Ahyaa E Deen,P36)

♦Ek Aur Jagah Ilzam Tarashi Karte Hue Likhte Hain:

Lekin unke Baad Jab Hazrat Usman(رضی اللہ عنہ) Janasheen Hue Toh Rafta Rafta is Policy se Hat'te Chale gaye. Inhone pey der pey Apne Rishtedaron ko Bade Bade Ahem ohday Ata kiye aur Unke Saath Dusri Aisi Ri'ayat ki Jo Aam Taur Par Logon me Hadaf E Aitraaz Ban kar Rahin. Misal ke Taur par Unhone Africa ke Maal E Ghanimat ka Pura Khams(paanch laakh Dinar) Marwan ko Baksh Diya".

📓(Khilafat O Mulkiyat, safha o hashiya 106,Tab'e duwwa)

⛰Aaj Tak Puri Maududiyat ne iska koi Sahih Ya Sabit Hawala Na diya Magar Iske Bawajud Usman(رضی اللہ عنہ) ki Gustaqi karte Hai

♦Katib E Wahi Ameer Ma'wiya(رضی اللہ عنہ) par Ilzam Lagate hue Likhte Hain

"Ek aur Nihayat Makruh bid'at Hazrat Ma'wiya(رضی اللہ عنہ) ke Ahad me Shuru hui ke wo Khud aur Unke Hukm se Unke Tamam Governer Khatbon me Bar Sar Mimbar Hazrat Ali(رضی اللہ عنہ) par Sab O Shitam ko Bochad Karte The. Hatta ke Masjid e Nabawi me Mimbar E Rasool(ﷺ) par Ayen Roza E Nabawi ke Samne Huzur(ﷺ) ke Mehboob Tareen Aziz Ko Galiyan di Jati Thi aur Hazrat Ali(رضی اللہ عنہ) ki Aulad aur Unke Qareeb Tareen Rishtedar Apne Kano se ye Galiyan Sunte The. Kisi ke Marne ke Baad usko Galiyan Dena Shariyat toh Darkinar Insani Akhlaq ke bhi Khilaf Tha aur Khas Taur Par Jum'a ke khutbe ko Gandegi se Aludah karna toh Deen O Akhlaq ke Lihaz Se Sakht Ghinaona fe'al Tha"

📓(Khilafat O Malukiyat, P174 Tab'a 23)

⚫Ek Jagah toh Mausuf ne Saari Haden Paar Kardin

"Sood khori jis muaashare mein hoti hai wahan se ghaltiya hoti hai jo sahaba ne ki, kiyun ke sahaba mein guroor tha,

♦Nafrat Wale The

♦Kanjus Aur Bakhil The

♦Aur Hazrat Usman(رضی اللہ عنہ) Darpuk The

♦In sab ke Peton me Sharab Thi aur isi wajah se Musalmano ko Ghazwah Uhad me Shikast Hui".

📓(Tafheem Ul Quran, ج1 ,ص288, 1997 Addition)

♦ Jamatul Muslimeen, Akhwan Al Muslimeen, Jamat E Islami ke Sahaba Kiram(رضی اللہ عنہم اجمعین) ke baare me Aqa'id

📌Syed Qutub Apni Kitab (Kutub O Shakshsiyat) ke Safha 242 par Likhte Hain:

✍ إن معاوية وزميله عمراً لم يغلبا علياً لأنهما أعرف منه بدخائل النفوس، وأخبر منه بالتصرف النافع في الظرف المناسب، ولكن لأنهما طليقان في استخدام كل سلاح، وهو مقيد بأخلاقه في اختيار وسائل الصراع. وحين يركن معاوية وزميله إلى الكذب والغش والخديعة والنفاق والرشوة وشراء الذمم لا يملك علي أن يتدلى إلى هذا الدرك الأسفل، فلا عجب ينجحان ويفشل. وإنه لفشل أشرف من كل نجاح​

♦Tarjuma: Ma'wiya aur Unke Saathi Amro Bin Al'Aas Ali Par Sirf is liye Ghalib Nahi Aagaye The ke Ali ke Muqable ye Dono logon ke bhedon se Zyada Waqif The, Halat ke hisab se Palti khane ka Hunar Ye Achi Tarha Jante The Balke isliye bhi Ke Ye Dono Har Tarha Ka Hathiyar Istemal karne me apne aap ko Azad Samajhte The Jabke A'la Akhlaq ke Dayere me apne Aapko Muqeet Samajhte The. Isi Tarha Ma'wiyah aur Unke Saathi Jhoot, Dhoka, Fareb, Nifaq, Rishwat dene aur Shaksiyaton ko Khareedne Jaisi Harkaton par utar Aate The Jabke Ali is Tarha ki Ghatiya Harkaten karne ke Layek Apne Aapko Nahi Samajhte The. Aisi Surat me koi Ta'Jub ki baat nahi honi chahiye Agar wo Dono Ghalib Aajayen aur ye Nakam hojayen. Is Tarha ki kamiyabi se Nakami hi Sharf O Fazilat ka Ba'is hai.

♦8. Ab Akhir Shia Rawafiz Iran me Nasb E Taleem ke andar A'Lama Maududi ki kitab (Khilafat O Malukiyat) aur sayed Qutub ki Kitab (Katab O Shaksiyat) aur (Fi Zalal Al Quran) ko dakhil nahi karenge toh kis ko dakhil karenge?

♦Aur Kattar Rafzi Shia Nawab Safwi Yunhi Nahi Kahega:

✍من أراد أن يكون جعفريا حقيقيا فلينضم إلى الإخوان المسلمين​

🔸Tarjuma: Jo chahta hai ke Haqeeqat me Ja'fari Maslak ka Pakka Rafzi Shia ban jaye toh Use Chahiye ke Akhwan Ul Muslimeen ki jam'at me Shamil Hojaye.

📓 (موقف علماء المسلمين من الشيعة لعز الدين إبراهيم: 15)​

----------------------------------------

♦9. Aqal hi sab kuch hai !!!!!

✍Mausuf Likhte hain:

"Mera Tarika ye hai ke main Buzrgan E Salaf ke Khayalat aur Kaamon Par Be Laag Tehqeeqi O Tanqeedi Nigah Dalta hoon, Jo Kuch Unme Haqq Pata hoon, Use Haqq Kehta Hoon aur Jis Cheez Ko Kitab O Sunnat ke Lihaz se ya Hikmat E Amali ke Aitbar se durust Nahi Pata. Usko Saaf Saaf Na Durust Kehta hoon".

📓 (Rasayel O Masayel, ج1 , ص321)

🔎 Yaad Rakhen Aqal ko hi Mizan E Haqq O Batil banane ki Wajah se Ishara Jamhiyah Qadariyah Waghaira Farq Zala wajud me Aaye

🔎aur Aaj Munkar E Hadees bhi Aqal ko Mizan Banane par Ta

mam Ya Aksar Ahadees ka Inkar Karte Hain

-------------------------------------
♦10. Sahih Ahadees aur Jamat E Islami

♦Unke Nazdik Sahih Bukhari O Muslim Par bhi Nazar E Saani karne ki Zarurat Hai

♦Balke Sahih Bukhari O Muslim ko Asbat Waseh Manne ko Sharafat O Amaliyat ke Munafi Qarar Dete Hain

📓(Dekhen Tahreek E Jamat E Islami Aur Ahle Hadees 10 to 12 aur Jamat E Islami ka Nazariya Hadees Ek Jayezah Waghaira )
______________________

♦11. Maududi Firqa Tafseer Bil Raye ka Qayel Hai

Balke Aaj Ghamdi Muhammad Ali Mirza Aur Islahi Saheb Unhi ke Naqshe Qadam Par Chal Kar Tafseer Karte Hain Aur kiye Hain

Aur Unki Tafheem Al Quran Bhi Us Par Shahid Hai

📖 Jabke Rasool(ﷺ) se sabit Hai

📜 عن ابن عباس ؓ قال قال رسول اللہﷺ من قال فی القرآن بغیر علم فلیتبوا مقعدہ من النار

📓 سنن الترمذی ۲۔ ۱۲۳۔ سنن ابی داؤد ۲۔ ۱۵۸​
----------------------------

♦12. Fahem Salaf Mi'ayar Haqq O Batil Hai

Quran O Hadees Hamare Yahan Asal Hai Usko Fahem Salaf Ke Mutabiq Samajhna Zaruri hai

Jabke Unke Nazdik Fikr Maududi Husn Al Bana Aur Digar Tahreeki Namuna Idiol Aur Mi'ayaar Hain

Aur Hazraat Quran O Hadees ko Aqal se Samajhne Ko Maqdam Samajhte Hain

Aur Mausuf Ke Nazdik garche Qauli Bayan ke Mutabiq Taqleed Jayez Nahi Magar Amli Taur se wo Hanfi Hi Hian

Haan Aqayed me Ash'ari Mataridi bhi Hain

Manhaj O Fikar me Maududi O khamini aur Qarzawi Bhi Hai

--------------------------------------------

🇸🇦13. Hukmaran aur Islam

📜 Islami Hukmaran ke Khilaf Khuruj Karna Ya Unke Khilaf Bhadkana Ya Unse Baghawat Ka jazba Dil Me Paida karna Jayez Nahi

📖 Is se Muta'liq Kayi Ahadees Hain

♦Magar Maududiyat O Ikhwaniyat aur Tahreeki Hukmarano ke Khilaf Baghawat Aur Unke Khilaf ahtejaj ko Sirf Durust Balke Apna Haqq Samajhte Hain

Isiliye wo Aaye Din Islami Hukumat ke khilaf Paropagandah Karte Nazar Aate Hain

Ye Baat kisi Daleel ka Muhtaj Nahi Balke Har Sahib E Aqal O Danish isko Dekh Raha Hai

_____________

♦14. Hadees Wahi Nahi !!!!

♦Hamare Nazdik Sahih Ahadees A'yen Wahi Hain Ya'ni Allah ne hi Quran Nazil ki hai aur Ahadees bhi Allah ki hi Janib se Manzil Shuda hai

Jab ke ye Hazraat sirf Quran ko Wahi Mante Hain Aur Ahadess Ko bas Nabi ka Amli ya Qauli Akhbar O Tareeqh Mante Hain

Isiliye Isme Shak Bhi Karte Hain

____________________

♦15.Itehad ki Buniyad kisi bhi Tarah Mumkin hai

Balke Shiyat O Rafziyat se Dosti aur un se Ittehad O Ittefaq ne is baat ko Yaqeeni Amli Jama Pehna Diya Hai

🇸🇦Jabke Hamare Nazdik Ittehad O Ittefaq ki Buniyad Aqayed Hain Agar Admi Mauhid Hai Aur Kuch Amli Ghaltiyan Hoon Toh Yakeenan Us se Ittehad Mumkin hai Magar Aqayed Quran O Ahadees ke Khilaf hoon aur Phir Us se Ittehad O Ittefaq ki jaye toh Durust nahi Balke Ye Paidar Bhi Nahi

___________________

🇸🇦16. Dosti aur Dushmani me Ikhtilaf

Masla Al Wala Wal Bara me bhi Mukhtalif Hain

In ke Nazdik Dushman ke Amal ko chhora jayega Zaat ko Nahi

(isko koi bhi Jamat E Islami ke Ulama ya Talba se Amlan Dekh Sakta Hai Balke Kabhi Kabhar ye uska Izhar Bhi Karte Hain Ek Saheb ne Banglore me isko Hamare Kayi Mashaikh ke samne Bayan Kiya bhi toh Hum ne Isko Bhar pur Radd kiya )

🇸🇦Jabke Hamare Nazdik Kafir O Kafirana Amal Dono Layeq Al-Tafat Nahi

------------------------------------------------

🇸🇦17.Shak O Shubhaat se Deen Sabit Nahi Hota Aur Na Shak O Shube ki Bina Par Amal Kiya Jata Hai

Magar Ye Hazraat Mahez Logon ko Khush Karne Ya Ittehad Ke liye Namaz ko Jaisa Desh Waisa Bhaes ke Mutabiq Ada Kar lete hain

Aur Har Ek Tarike Ko Durust Bhi Samajhte Hain

Hanfiyon ko bhi Ghalat Samajhte Hain aur Hum ko bhi Magar Hum se Ittehad Na Mumkin Hai aur Hanfiyon ki Masjid se Nikalna Bhi Nahi Chahte

Khud ko Hanfi Bhi Nahi Kehlate Aur Khud ko Imam Abu Hanifa(Rahimahullah) ke Mazhab ka Paband bhi banate Hain Chahe Namaz Ho Ya Roza Zakat ho Ya Hajj Sabhi me Imam Abu Hanifa ki Taqleed ki Jati Hai
 
Top