JAME DUA


JAME DUA
Tahreer: FAZILAT-USH-SHAIK HAFIZ ABD-US-SATTAR HAMMAD hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

اللَّهُمَّ رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً، وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً، وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
"Aye ALLAH ! hamein duniya mein bhalai ataa kar aur akhirat mein bhi bhalai de aur hamein dozakh ke azaab se bacha le."(Sahih Bukhari, Kitab al-Dawaat, Hadis No.6389)

FAYEDAH:
syidina Anas razillahu-anhu ka bayaan hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam aksar yeh dua padha karte the dar haqeeqat yeh dua jame kalmaat par mushtamil hai. Is mein duniya aur akhirat ki har bhalai talab ki gayi hai. حَسَنَةً "" se moraad agar nemat hai to RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne is dua ke zariye duniya o akhirat ki nematon aur azaab-e-akhirat se hifazat talab ki hai. Is dua mein duniya ko akhirat par is liye muqaddam kya gaya hai ke duniya pehlay hai aur akhirat baad mein anay wali hai phir kisi insaan ki duniya achi hai is mein woh kisi ka mohtaaj nahi to akhirat mein bhi kamyabi ki umeed ki ja sakti hai. RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam baitullah ka tuwaf karte howe rukan yamani aur hijr Aswed ke darmiyan yahi dua parhte thay.(Sunan Abi Dawod, Kitab al-Manasik, Hadis No.1892)
رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
"Aye ahamare RABB! hamein dunya main bhi bhalayi aur aakhirat mein bhi bhalayi de aur hamein aag ke azaab se bach."(Surah al-Baqarah:201)

"syidina Anas raziallahu-anhu jab –apne liye ya kisi ke liye dua karte to isi dua ko padhte the."(Sahih Muslim:6840)

RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne aik dafaa kisi shakhs ki timardari ki, jo bimari se sookh kar kaanta ban chuka tha. RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne is se poocha : ”to ne koi dua ki hai ya ALLAH TA'ALA se kuch manga hai? “is ne kaha : mein ne yeh dua ki thi : ae Allah ! agar to mujhe akhirat mein koi azaab dena chahta hai to woh mujhe duniya hi mein day day. AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaya : ”SUB'HAN-ALLAH ! kya to is ki taaqat rakhta hai. “AAP sallallahu alaihi wasallam ne usey mazkoorah baala dua padhany ki Talqeen ki chunancha is ne yeh dua parhi to Allah taala ki meharbani se woh tandrost ho gaya."(Sahih Muslim:6840)
 

Similar threads


Top