JANAZE KI NAMAAZ MEIN "WAJALLA SANAOKA" PADHNA


JANAZE KI NAMAAZ MEIN "WAJALLA SANAOKA" PADHNA
Tahreer: GULAAM MUSTAFA ZHEER AMAN PORI hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL :
Namaz-e-janaza mein ""وجل ثناءك(WAJALLA SANAOKA) ke alfaaz padhna kaisa hai ?

JAWAB :
Namaz-e-janaza mein Sana padhte waqt yeh alfaaz padhna jaayez nahi, kionke : un ke barey mein koi Daleel-e-Sharai nahi. Baaz ghair mutaliq aur ghair saabit riwayaat ka koi aitbaar nahi. Aisa karna bid'at aur deen mein zayadat se.

Baaz logon ne likha hai:
''Aur Sana wohi hai, jo aur namazon mein padhte hain, is mein "وتعالى جدك" ke baad وجل ثناءك"" ziyada karna behtar hai.(Umdat-ul-aqah az zawarmin deobandi, hissah duam, mas'ala No.519)

”ziyada karna“ be Daleel aur ijaad deen ki hosla afzai hai.
 

Similar threads


Top