Umar Asari

Administrator
Staff member
Jannat ka munkir?

Khulasa-e-Dars: Shaikh Abu Kaleem Faizi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Hadees:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: كُلُّ أُمَّتِي يَدْخُلُونَ الْجَنَّةَ إِلَّا مَنْ أَبَى. قَالُوا: يَا رَسُولَ اللَّهِ، وَمَنْ يَأْبَى؟ قَالَ: مَنْ أَطَاعَنِي دَخَلَ الْجَنَّةَ، وَمَنْ عَصَانِي فَقَدْ أَبَى​
“Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri saari ummat jannat mein daakhil hogi siwaaye us shakhs ke jo [Jannat mein jaane se] inkaar kar de, Aap se poocha gaya ki aye Allah ke Rasool ﷺ! [Jannat mein jaane se] kaun inkaar karega? Aap ﷺ ne wazahat farmaayi ke jis ne meri ita’at ki woh jannat mein daakhil huwa aur jis ne meri na-farmaani ki us ne [goya jannat mein jaane se] inkaar kiya.”
{Sahih-ul-Bukhari: 7280, Musnad Ahmed: 8728}

Tashreeh: Kuch log aise bhi hain jinhein jannat mein dhaakhil hone ki da’wat di jaati hai lekin woh inkaar kar dete hain, un par jannat pesh ki jaati hai lekin woh us se door bhaagte hain, aap logon ko ta’jjub hoga ke kya aisa bhi ho sakta hai ke jannat jaisi hamesha waali ne’mat ko qabool karne se koi shakhs inkaar kar de aur har tarah ki raahat aur aish se aabaad ghar mein daakhile se munh pher le, yaqeenan yeh baat qaabil-e-ta’jjub hai aur Sahaba-e-Kiraam Radhiallahu Anhum ko bhi is par ta’jjub huwa, to Allah ke Rasool ﷺ ne is ki wazahat karte huwe farmaaya: Meri be’sat ke baad jannat mein daakhila usi waqt mumkin hai jab meri ittebaa’ aur pairwi ki jaaye to jo shakhs meri ittebaa’ karta hai, meri sunnat par amal karta hai aur meri laayi hui ta’leemaat ko qabool karta hai woh jannat mein daakhil hoga, albattah jo shakhs meri na-farmaani karta hai, mere upar imaan nahi laata, ya imaan to laata hai magar imaan ke taqaaze ko poora karte huwe meri sunnat par amal nahi karta to goya woh shakhs jannat mein jaane se inkaar kar raha hai.
Bilkul yahi baat Hadees mein ek misaal se wazeh ki gayi hai, chunanche Jabir bin Abdullah Radhiallahu Anhuma bayan karte hain ke farishte Nabi-e-Kareem ﷺ ke paas aaye aur Aap soye huwe the. Ek ne kaha ke yeh soye huwe hain, doosre ne kaha ke in ki aankhein so rahi hain lekin in ka dil jaag raha hai. Unhon ne kaha ke tumhaare in saheb (Nabi-e-Kareem ﷺ) ki ek misaal hai pas in ki misaal bayan karo. To un mein se ek ne kaha ke yeh so rahe hain, doosre ne kaha ke aankh so rahi hai aur dil jaag raha hai. Unhon ne kaha ke in ki misaal us shakhs jaisi hai jis ne ek ghar banaaya aur wahan khaane ki da’wat ki aur bulaane waale ko bheja, pas jis ne bulaane waale ki da’wat qabool kar li woh ghar mein daakhil ho gaya aur dastarkhwaan se khaaya aur jis ne bulaane waale ki da’wat qabool nahi ki woh ghar mein daakhil nahi huwa aur dastarkhwaan se khaana nahi khaaya, phir unhon ne kaha ke is ki in ke liye tafseer kar do taake yeh samajh jaayen. Kuch ne kaha ke yeh to soye huwe hain lekin kuch ne kaha ke aankhein to so rahi hain lekin dil jaag raha hai. Phir unhon ne kaha ke ghar to jannat hai aur bulaane waale Muhammed ﷺ hain, pas jo in ki ita’at karega woh Allah ki ita’at karega aur jo in ki na-farmaani karega woh Allah ki na-farmaani karega aur Muhammed ﷺ achche aur bure logon ke darmiyaan farq karne waale hain.
{Sahih-ul-Bukhari: 7281}

Sach farmaaya Allah ﷻ ne:
وَمَنْ يُطِعِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ يُدْخِلْهُ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا وَذَلِكَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ¤ وَمَنْ يَعْصِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَيَتَعَدَّ حُدُودَهُ يُدْخِلْهُ نَارًا خَالِدًا فِيهَا وَلَهُ عَذَابٌ مُهِينٌ​
“Aur jo shakhs Allah aur us ke Rasool ki ita’at karega woh use aise baaghaat mein [Jannaton mein] daakhil karega jin ke neeche nehrein jaari hain, woh un mein hamesha rahega aur yeh bahut badi kaamyaabi hai, aur jo Allah aur us ke Rasool ki na-farmaani kare aur Allah ki hudood se aage nikal aaye to woh use dozakh mein daakhil karega jis mein woh hamesha rahega aur use ruswa karne waala azaab hoga.”
{Surah An-Nisa: 13-14}

Fawaaid:
⓵ Allah ke Rasool ﷺ ke Rasool hone ki gawaahi dene ka taqaaza hai ke Aap ki ita’at ki jaaye.
⓶ Aap ﷺ ki ita’at jannat mein jaane ka sabab aur Aap ﷺ ki na-farmaani jahannam mein jaane ka sabab hai.
⓷ Jannat aur jahannam mein daakhila is duniya mein neik amal aur burey amal par depend hai.
⓸ Jannat mein daakhil na hone ki do shaklein hain:
ⓐ Kabhi bhi jannat mein daakhila na milega balke us ke upar jannat haraam aur jahannam waajib hai, yeh us shakhs ka badla hai jo Allah ke Rasool ﷺ ki ta’leemaat aur ita’at ka mukammal taur se munkir hai, kiunki aisa shakhs kaafir hai.
ⓑ Rasool ﷺ ki risaalat ka munkir to nahi hai lekin ita’at mein kotaahi se kaam leta hai, aisa shakhs faasiq hai, yeh jannat mein daakhil to hoga lekin Allah ﷻ ki maghfirat aur apne gunaahon ki saza chakh lene ke baad.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
S Emaan 0

Similar threads


Top