JIN CHEEZON KO ALLAH TA'ALA NE MUFEED NAHIN BANAAYA UNKEY FAIDEY KA A'ITEQAAD RAKHNA.


Ibnatu Ali

Member
❒JIN CHEEZON KO ALLAH TA'ALA NE MUFEED NAHIN BANAAYA UNKEY FAIDEY KA A'ITEQAAD RAKHNA.

Ba'z log ta'weezon aur mushrikaana gandon Par 'aqeedah rakhtey hain aur kisi kaahin yaa jaadugar ke ishaarey Par mukhtalif qism ke pathron ke nageeney, samandari seepiyaan, manikey yaa silvery kadey aur challey waghairah pehentey hain, unhein apney yaa apney bacchon ke galey mein nazre bad ko door karney ke liye latkaa detey hain, yaa un cheezon ko apney jism Par baandh letey yaa unhein gaadi yaa ghar mein latkaa detey hain, yaa uss qism ki nageeney waali anghooti pehentey hain jis mein ba'z umoor ka a'iteqaad rakhtey hain maslan museebat ko door karna yaa pareshaaniyon ka khaatema waghairah, aur ye beshak Allah par tawakkul karney ke munaafi hai aur ye sab insaan ko siwaaye mushkilaat ke aur kuch faidah nahin pohoncha sakta aur ye 'ilaaj haraam hai. Aur ye jo beshumaar ta'weez latkaaye jaatey hain in mein se ba'z toh shirk hain aur ba'z mein jinnon aur shayaateen se yaa mabham naqshon yaa gair mafhoom 'ibaaraton se madad li jaati hai aur ba'z jaadugar Quran ki ba'z aayaat likh kar kisi doosri shirkiya likhaayi mein milaa detey hain, aur ba'z jaadugar yaa kahin Quraani aayaat ko najaasat wa gandagi, peshaab yaa haiz ke khoon se likhtey hain, jabke mazkoorah saabeqa cheezon ka galey mein latkaana yaa jism Par baandhna haraam hai, Nabiﷺ ka irshaad hai:
◉مَنْ عَلَّقَ تَمِيْمَةً فَقَدْ اَشْرَكَ.​
“Jis shakhs ne ta'weez [yaa manka ghonga] latkaaya toh uss ne shirk kiya”
❲Ahmed 4/156, As-silsilat us sahihatu no. 492.❳

ye sab kuch karney waala agar iss baat ka a'iteqaad rakhey ke Allah ki madad ke baghair bazaate khud in cheezon se faidah yaa nuqsaan hoga toh ye shirk hai shirk e Akbar, aur agar woh iss baat Par a'iteqaad rakhey ke ye sab kisi faidah yaa nuqsaan ka mahez ek zari'ya wa sabab hai jabke Allah ta'ala ne isey zari'ya nahin banaaya, toh woh shakhs bhi mushrik hai aur uska ye shirk shirk-e-Asghar hai aur ye “zaraae' wa asbaab mein shirk” ki ek qism hai.
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa umoor❩.
Taleef: Fazilath Al-shaykh Mohammad saalih Al-munajjid [hafidhahullah] ┃
 
Top