JIS CHEEZ KO ALLAH TA'ALA NE HARAAM KIYA HAI USEY HALAAL KAR LENA AUR HALAAL KARDAH CHEEZ KO HARAAM THAIRA LENA:


Ibnatu Ali

Member
❐JIS CHEEZ KO ALLAH TA'ALA NE HARAAM KIYA HAI USEY HALAAL KAR LENA AUR HALAAL KARDAH CHEEZ KO HARAAM THAIRA LENA:

Haraam ko Halaal kar lena aur halaal ko haraam thairaana yaa iss baat ka 'aiteqaad rakhna ke Allah ke 'alaawah woh iss mu'amle [tehleel wa tehreem] mein kisi doosrey ko bhi haq haasil hai, ya court kachehri mein apni marzi se jaahiliyat ke yaa wazi' qawaneen naafiz karna aur uskey jaayez hone ka aiteqaad rakhna.

Allah ta'ala ne iss kufre Akbar ko yuun zikr kiya hai:
❴اِتَّخَذُوۡۤا اَحۡبَارَهُمۡ وَرُهۡبَانَهُمۡ اَرۡبَابًا مِّنۡ دُوۡنِ اللّٰهِ❵​
❛❛Unhon ne apney 'ulmaa aur mashayeq ko Allah ke siwa ma'bood banaa liya❜❜.
❨Surah At-Tawba:13❩
Jab hazrat Adi bin Hatim(razi Allahu ta'ala 'anhu) ne Rasoolullah ﷺ se ye aayat suni toh kaha:
“woh log unki 'ibaadat toh nahin kartey they”, toh Aapﷺ ne farmaaya:
❴أجَلْ وَلٰكِنْ يُحَلُّوْنَ لَهُمْ مَا حَرَّمَ اللهُ فَيَسْتَحِلُّوْنَه وَيُحَرِّمُوْنَ عَلَيْهِمْ مَا أحَلَّ اللهُ فَيُحَرِّمُوْنَهُ فَتِلْكَ عِبَادَتُهُمْ لَهُمْ.❵​
“Haan, magar woh log jis cheez ko Allah ta'ala ne haraam kiya hai usey halaal kar detey aur woh maan letey they aur jis cheez ko Allah ta'ala ne halaal kiya hai usey haraam qaraar detey aur woh qubool kar letey they toh yahi unki 'ibaadat thi”.
➭Bayhaqi, Sunan kubra 116/10, Tirmizi no.3095, hasan al Albaani fi ghayatul maram. safha:19
➪ [Iss usool ke tehet in logon ne apne ahbaar wa rahbaan ko rab ka darjaa de rakha tha, daur-e-haazir mein bhi ba'z logon ne apne imamon, muftiyon, peeron aur murshadon ko yahi muqaam de rakha hai jo ke shirk wa kufr hi hai.] ❨Abu Adnan❩

Allah ta'ala ne apni kitaab mein mushrikon ka zikr kartey huwe farmaaya hai:
❴وَلَا يُحَرِّمُونَ مَا حَرَّمَ اللَّهُ وَرَسُولُهُ وَلَا يَدِينُونَ دِينَ الْحَقِّ❵​
“Allah aur Rasool ﷺ ki haraam kardah shai ko haraam nahin jaantey naa deen-e-haq ko qubool kartey hain”.
❨Surah At-Tawba:29❩
Allah ta'ala ka irshaad hai:
❴قُلْ أَرَأَيْتُمْ مَّآ أَنزَلَ اللَّهُ لَكُمْ مِّن رِّزْقٍ فَجَعَلْتُمْ مِّنْهُ حَرَامًا وَحَلاَلاً قُلْ ءَآللَّهُ أَذِنَ لَكُمْ أَمْ عَلَى اللَّهِ تَفْتَرُونَ❵​
“Kaho ke bhalaa dekho toh Allah ne tumhaare liye Jo rizq naazil farmaaya toh tum ne uss mein se (ba'z ko) haraam thairaya aur (ba'z ko) halaal (unn se) poocho: kya Allah ne tumhein iss ka hukum diya hai yaa tum Allah par iftira' kartey ho?”.
❨Surah yunus:59❩

┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa umoor❩.
Taleef: Fazilath Al-shaykh Mohammad saalih Al-munajjid [hafidhahullah] ┃
 

Similar threads


Top