AURAT KA MARD KO DEKHNA


AURAT KA MARD KO DEKHNA
Tahreer : SHAIKH IBN BAAZ rahimahullah (Formar Grand Mufti of KSA)

Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
Television par ya aam halaat mein aurat ka mard ko dekhna shar'an kya hukm rakhta hai?

JAWAB:
Television par ya aam halaat mein aurat ka mard ko dekhna do haal se khaali nahi.

1)Shehwat aur lutaf andozi se dekhna, to fitnah o fasaad ke paish-e-nazar yeh haraam hai.

2)Shehwat aur lutaf andozi ke baghair dekhna, to ulama ke sahih qoul ki ro se is mein koi harj nahi hai. Yeh jaaiz hai is liye ke Syidah Ayishah raziallahu-anha se saabit hai ke woh habshiyon ko khailtay howe dekha kartin aur RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam inhen un se chupate aur inhen is haalat par baqi rehne dete .

Neez is liye bhi ke aurtein baazaaron mein chaltay phirtay baaparda haalat mein bhi mardon ko dekhati hain. Is soorat mein agarcheh mard hazraat aurton ko nahi dekh paate magar aurtain inhen dekh rahi hoti hain, lekin jaisa ke hum ne bataya is ki shart yeh hai ke fitnah o shehwat ka wujood nah ho aur agar aisa ho to Television waghera par aurton ka mardon ko dekhna haraam ho ga.
 
Top