JISNE MUNKARAAT SE NA ROKA TOH US SE SAWAAL HOGA


JISNE MUNKARAAT SE NA ROKA TOH US SE SAWAAL HOGA

بسم الله الرحمن الرحيم

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:
إِنَّ اللَّهَ لَيَسْأَلُ الْعَبْدَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ،‌‌‌‏ حَتَّى يَقُولَ:‌‌‌‏ مَا مَنَعَكَ إِذْ رَأَيْتَ الْمُنْكَرَ أَنْ تُنْكِرَهُ،‌‌‌‏ فَإِذَا لَقَّنَ اللَّهُ عَبْدًا حُجَّتَهُ،‌‌‌‏ قَالَ:‌‌‌‏ يَا رَبِّ،‌‌‌‏ رَجَوْتُكَ وَفَرِقْتُ مِنَ النَّاسِ
"Allaah (تعالى) Qiyaamat ke din bandey se sawaal karega yahaan tak ke ye bhi farmaayega: Jab toone Munkar (Buraayi) dekhi thi toh us se mana' kyun nahin kiya tha? Phir jab (woh jawaab na dey sakega toh) Allaah (تعالى) apne bandey ko Apni hujjat zehen nasheen karaayega (Ya'ni jawaab sikhaadega), woh (bandah) kahega: Aye Allaah! Mujhe tujhse (Rehmat ki) ummeed thi aur logon se darr lagta tha."
[Source: Sunan Ibn e Maajah: 4017 (Hasan)]


Wazaahat: Ma’loom hua ke Qiyaamat ke roz buraayi se mana’ na karne ke baare mein bhi poocha jaayega.

• Allaah (تعالى) ba'z auqaat kisi Neyki ki wajah se gunaah mu'aaf farma deta hai.

• Jisey Allaah (تعالى) mu'aaf farmaana chaahega, uske dil mein saheeh jawaab daaldega.

• Allaah ki Rehmat bohat Wasee' hai lekin usi par bharosah karke gunaahon mein mubtila hojaana aur Neykiyon ke baare mein bey parwa hojaana saraasar gumraahi hai.

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

 
Last edited by a moderator:
Top