4 Din Qurbani ke Mashroyiyat par Doosri Hadees {Hazrat Zubair Bin Mut'im Razi Allahu Anhu Ki Riwayat}


Abdul Adil

Member
4 Din Qurbani ke Mashroyiyat par Doosri Hadees {Hazrat Zubair Bin Mut'im Razi Allahu Anhu Ki Riwayat}

Tahreer :- Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Imam Ibne Hibban Rahimahullah (Died 354 Hijj) ne kaha

أَخْبَرَنَا أَحْمَدُ بْنُ الْحَسَنِ بْنِ عَبْدِ الْجَبَّارِ الصُّوفِيُّ بِبَغْدَادَ، حَدَّثَنَا أَبُو نَصْرٍ التَّمَّارُ عَبْدُ الْمَلِكِ بْنِ عَبْدِ الْعَزِيزِ الْقُشَيْرِيُّ فِي شَوَّالٍ سَنَةَ سَبْعٍ وَعِشْرِينَ وَمِئَتَيْنِ، حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ عَبْدِ الْعَزِيزِ، عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ مُوسَى، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِي حُسَيْنٍ، عَنْ جُبَيْرِ بْنِ مُطْعِمٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «كُلُّ عَرَفَاتٍ مَوْقِفٌ، وَارْفَعُوا عَنْ عُرَنَةَ، وَكُلُّ مُزْدَلِفَةَ مَوْقِفٌ وَارْفَعُوا عَنْ مُحَسِّرٍ، فَكُلُّ فِجَاجِ مِنًى مَنْحَرٌ، وَفِي كُلِّ أَيَّامِ التَّشْرِيقِ ذَبَحٌ»

Sahabi E Rasool Hazrat Zubair bin Mut'im Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya : Poora arafaat wuqoof ki jagah hai , aur Urna se hat kar wuqoof karo aur poora mujdalifah wuqoof ki jagah hai aur waadi e Muhassar se hat kar wuqoof karo aur Mina ka har rasta qurbani ki jagah hai aur Tashreeq ke tamam din jabah ke din hai .

[Sahih Ibne Hibban Jild-9 , Safa-166 , Raqam-3854]

Ye Hadees Marfua'a Muttasil hai , Imam Ibne Hibban Rahimahullah ne ise Sahih kaha hai , iske sanad ke rizaal ka mukhtasar ta'aruf mulahiza farmaye.

1] Abdurrahman Bin Abi husain Al-Nofly_____

a] Imam Ibne Hibban Rahimahullah (Died 354 Hijj) ne inhen shiqa'at me jikr karte huye kaha

عبد الرحمن بن أبي حسين والد عبد الله بن عبد الرحمن بن أبي حسين يروى عن جبیر بن مطعم روى عنه سليمان بن موسى.

Abdurrahman Bin Abi Hussain ye Abdullah Bin Abdurrahman Bin Abi Husain ke walid hai , Ye Jubair Bin Mut'im se riwayat karte hai usne suleman bin moosa ne riwayat kiya hai.

[As-Siqa'at Ibne Hibban Al-Usmaniya 5/109]

b] Imam Ibne Hibban Rahimahullah ke sath sath Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne bhi is rawi ko siqa'a kaha hai kyunki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmate hai


حجة الجمهور حديث جبير بن مطعم رفعه فجاج منى منحر وفي كل أيام التشريق ذبح أخرجه أحمد لكن في سنده انقطاع ووصله الدارقطني ورجاله ثقات .

Jamhoor (Yani 4 Din Qurbani ke qayleen) ki daleel Zubair Bin Mut'im ke Marfua'a hadees hai ki . Mina ka har rasta Qurbani gaah hai aur Tashreeq ke har din jabah ke din hai , ise Imam Ahmad ne riwayat kiya hai lekin iski sanad me inteqa'a hai , lekin Imam Daraqtuni Rahimahullah ne use mausool bayan kiya hai aur uske rizaal siqa'a hai.

[Fatahul Bari Ibne Hajar 10/8]

Arz hai ki فجاج منی منحر wali mukammal riwayat jo mausool hai use Zubair Bin Mut'im Razi Allahu Anhu se Abdurrahman Bin Abi Hussain ne hi riwayat kiya hai aur Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne iske sare rizaal ko siqa'a kaha hai , ye is baat ki daleel hai ki Abdurrahman Bin Abi Hussain Ibne Hibban Rahimahullah ki tarah Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ke nazdeek bhi siqa'a hai. Lihaza ye kahna durust nahi hai ki Abdurrahman Bin Abi Hussain ki tausheeq me Ibne Hibban Akele hai, agar koyi kahe ki فجاج منی منحر wali mausool riwayat ke rizal siqa'a kahne ke baad Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne Daraqtuni ka hawala diya hai aur Sunan Daraqtuni me ye riwayat mauzood nahi hai , balki Sunan Daraqtuni me ek jo mausool riwayat hai uski sanad me Abdurrahman Bin bin Abi Hussain nahi balki uski jagah Nafey Bin Zubair hai . to Jawaban Arz ye hai ki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ki murad ye riwayat qat'an nahi ho sakti uski do wajah hai.

Pahli Wajah :- Nafey Bin Zubair wali mausool riwayat ke alfaaz فجاج منی منحر ۔۔۔ wale alfaaz nahi hai , jabki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne jis riwayat ke rizal ko siqa'a kaha hai usme فجاج منی منحر ke alfaaz nakal kiya hai.

Dooshr Wajah :- Nafey Bin Zubair Wali mausool riwayat me Suwaid Bin Abdul Azeez mauzood hai aur ye bahut hi mashoor wa maroof zaeef rawi hai . Balki Khud Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne apni mashoor kitab Taqreeb me ise zaeef karar dete huye kaha :

سويد بن عبد العزيز بن نمير السلمي مولاهم الدمشقى وقيل أصله حمصى وقيل غير ذلك ضعيف مـن كبار التاسعة مات سنة ۱۹۴ ت ق

[Taqreeb ut Tahzeeb Ibne Hajar Raqam : 2692]

Sirf yahi nahi ki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne Suwaid Ko Zaeef kaha hai balki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne apni bahut si kitab me Suwaid ki riwayat ko zaeef kaha hai .

Dekhiye [Talqeesh ul Hubair Ibne 3/117]

Hatta Ki Fatahul Bari Mein hi ek Muqam par kaha

سويد ضعيف عندهم.

Yani Suwaid Muhaddiseen ke nazdeek zaeef hai .

[Fatahul Nari Ibne Hajar 1/572]

Maloom hua ki Suwaid Ke Zaeef hone par Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah poori tarah agah the Lihaza ye namumkin hai ki Aap aisi sanad ke tamam rizal ko siqa'a bole jisme Sawed nami Mashoor Zaeef Rawi ho Bil-Khusoosh jabki isi kitab Fatahul Bari hi mein iske rawi ko zaeef karar de chuke hai. nez Daraqtuni ne Amr Bin Dinar ke tariqe se bhi ise mausool bayan kiya hai . Lekin Ye riwayat bhi Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ki murad nahi ho sakti kyunki yahan bhi donon wazuhaat hai yani isme bhi فجاج منی منحر wale alfaaz nahi hai , isi tarah isme bhi ek bahut hi mashoor aur shakth Zaeef Rawi Ahmad bin Esa Al-Khasab Mauzood hai.

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne inke bare me kaha

أحـمـد بـن عيسى التنيسى المصرى ليس بالقوى.

[Taqreeb ut Tahzeeb Ibne Hajar Raqam : 87]

In Do Wazuhaat ki bina par ye namumkin hai ki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne jis sanad ke rizal ko siqa'a kaha wo Nafey bin Zubair ya Amr Bin Dinar wali sanad hai , aur Allama Albani Rahimahullah ka ye kahna ki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne Imam Baihaqi Rahimahullah ki taqleed me iske rizal ko siqa'a kaha [As-Sahiha 5/620] be-buniyad hai kyunki Imam Baihaqi ne Sirf aur sirf mausool hone ki bat kahi hai aur sanad ke kisi rawi ko sire se Siqa'a kaha hi nahi hai, Lihaza rizaal ko siqa'a kahne wali bat me Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah, Imam Baihaqi Rahimahullah ki taqleed kyu kar sakte hai , Ab rahi bat ye ki fir Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne jis tareeq ke rizal ko siqa'a kaha kar Daraqtuni ki taraf mansoob kiya hai wo to Daraqtuni ki kitab mein Mauzood hi nahi hai , to arz hai ki yahan par do bate mumkin hai.

Pahli Bat ye ki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne Daraqtuni ki sanad ke bajaye koyi aisi kitab murad li ho jis tak hamari risaayi nahi.

Ya doosri bat ye ho sakti hai ki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne sabqat qalmi me Daraqtuni likh diya hai aur asal me wo Ibne Hibban Likhna chahate ho kyunki Sahih Ibne Hibban me فجاج منی منحر wali Mukammal riwayat mausool mauzood hai.

Iski Tayeed Is bat se bhi hoti hai ki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne apni ek doosri kitab me kaha

حـديـث (حـب حـم): "كل عرفات موقف وارفعوا عن عرنة، وكل مزدلفة موقف وارفعوا عن محسر، وكل فجاج منى منحر، وكل أيام التشريق ذبح .“ حـب فـي الثالث والأربعين من الثالث : أنا أحمد بن الحسن بن عبد الجبار، ثنا أبو نصر التمار، ثنا سعيد بن عبد العزيز، ثنا سليمان بن موسى، عن عبد الرحمن بن أبي حسين، عنه، به. رواه الإمام أحمد: عـن أبـى الـمغيرة وأبي اليمان، عن سعيد بن عبد العزيز ، عن سليمان بن موسى، عنه، به.


[Ithaaf Al-Mahra Ibne Hajar Jild-4 , Safa-24]


Yahan Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne (حم) yani Musnad Ahmad ki munqate riwayat nakal kiya aur uske sath me (حب) yani Ibne Hibban Ki mausool riwayat jikr hai . Isse ishara milta hai ki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah Musnad Ahmad ki munqate riwayat ke sath Jis mausool riwayat ko pesh e nazar rakhte the wo Ibne Hibban wali mausool riwayat hi hai.

baher hal mamla kuch bhi ho , lekin ye bat mutaiyyan hai ki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne jis mausool riwayat ke rizal ko siqa'a kaha hai usme Abdurrahman bin Abi Husain mauzood hai , is poori tafseel se maloom hua ki Abdurrahman bin Abi Husain ko Ibne Hibban ke sath sath Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne bhi siqa'a kaha hai aur iske bar-khilaaf unse mutalliq jarah ka ek harf bhi manqool nahi hai. Pas sabit hua ki Abdurrahman Bin Abi Husain siqa'a rawi hai.

2] Suleman Bin Moosa Al-Qarshi Rahimahullah____


Aap Sahih Muslim Aur Sunan E Araba ke rizaal me se hai aur uske saath sath Aap bahut bade faqih aur imam hai .

a] Imam Zahbi Rahimahullah ne inhe Ibne imamaul kabeer yani bahut bade imam aur mufti e dimashk kaha.

[Siyar o Alam Al-Nabula'a 5/433]

b] Imam Ibne Sa'ad Rahimahullah (Died 230 Hijj) ne kaha

كان ثقة.

Ye Siqah.

[At-Tabqat Ibne Sa'ad 7/318]


c] Ibne Adi Rahimahullah (Died 465 Hijj) ne kaha

وهو عندي ثبت صدوق.

Ye Mere Nazdeek Sabt aur sadooq hai .

[Al-Kamil Fi Zoa'afa Al-Rizal Ibne Adi 4/262]

d] Imam Daraqutni Rahimahullah (Died 385 Hijj) ne kaha

سليمان بن موسى ، من الثقات الحفاظ.

Suleman Bin Moosa Huffaz aur Siqa'a logon me se hai.

[Illal Al-Daraqutni 15/14]

Is ke alawa aur bhi bahut se muhaddiseen ne inhe Siqa'a kaha hai baaz se mamoli zarah manqool hai lekin shareh aur wajeh tausheeq ke muqable me iski koyi haisiyat nahi , mazed tafseel ke liye dekhiye , Allama Wa Muhaddis Raees Ahmad Nadwi Rahimahullah ki kitab

غسابة التحقيق فـي تضحية ايام التشريق

[Safa 41-54]


3] Saeed Bin Abdul Azeez Bin Abi Yahya Al-Tanokhi__________

Aap Muslim aur Sunan e Araba ke Rawi aur bahut bade imam hai , Hatta Ki

a] Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah ne inke aur Imam Auzaai me bare me kaha

هما عندى سواء .

Ye Dono Mere Nazdeek Barabar hai.

[Al-Illal Wal Marifatur Rizal Ahmad 3/53].

b] Muhammad Bin Idrees Ar-Raazi Rahimahullah (Died 277 Hijj) ne kaha

كان أبو مسهر يقدم سعيد بن عبد العزيز على الأوزاعي.

c] Abu Mashar Abdul Aa'la Gasani (Died 218 Hijj) Inhe Imam Auzaai Par muqaddam karte the.

[Al-Zarah Wal Tadeel Ibne Abi Hatim 4/42]

d] Aur Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah ne yahan tak kaha

ليس بالشام رجل أصح حديثا من سعيد بن عبد العزيز التنوخي.

Sham Mein Saeed bin Abdul Azeez Tanokhi se jyada Sahih Hadees wala koyi nahi .

[Al-Illal Wa Marifatur Rizaal Ahmad 3/53]

e] Imam Haqim Rahimahullah (Died 405 Hijj) ne kaha

سـعـيـد بـن عبـد الـعزيز التنوخي لاهل الشام كمالک بن انس في التقدم والفضل والفقه والامانة.

Saeed Bin Abdul Azeez Tanokhi Ahle Sham ke liye Fazal wa manzilat aur fiqah wa Amanat mein Imam Malik Tarah hai.

[Sawalat Al-Sazji Haqim Safa : 208]


Ab jinhe Imam Auzaai Aur Imam Malik Ki mishl qarar diya gaya hai aur Imam Muslim ne jin se Sahih mein riwayat li ho unke bare me mazeed tafseel karne ki jarurat nahi halakin is jabardast Tadeel wa tausheeq ke alawa bhi aur bhi kayi Muhaddiseen ne inki shareh tausheeq ki hai , Maslan ,

f] Imam Ibne Ma'een Rahimahullah (Died 233 Hijj) ne kaha

ثقة.

Ye Siqa'a hai.

[Al-Zarah Wal-Ta'adeel Ibne Abi Hatim 4/43 Sanad Sahih]

In par baaz mamooli zarah hai jiski koyi haisiyat nahi.

4] Abdul Malik Bin Abdul Azeez Al-Qasyri Al-Nasai_____


Aap Muslim aur Nasai ke Rawi hai , Aap Bil-Ittefaq Siqa'a fazil hai , kisi bhi Muhaddis ne aap par jarah nahi ki hai

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah aap ke bare me Muhaddiseen ke aqwaal ka khuslasha pesh karte huye kahte hai

ثقة عابد

Aap Siqa'a , Aabid Hai.

[Taqreeb ut Tahzeeb Ibne Hajar Raqam : 4194]

5] Ahmad Bin Husain bin Abdul Jabbar Al-Bagdadi____

Aap Bhi Sahih Ibne Hibban wagairah ke rizal me se hai aur Bil-Ittefaq Siqa'a hai , kisi bhi Muhaddis ne aap par koyi jarah nahi ki hai aur kayi Muhaddis ne apko sharahatan Siqa'a kaha hai. Maslan

a] Imam Haqim Rahimahullah (Died 405 Hijj) Ne kaha

ثقة.
Ye Siqa'a hai.

[Sawalat Al-Sazji Haqim Safa : 134]



b] Khateeb Bagdadi Rahimahullah (Died 463 Hijj) ne kaha

كان ثقة.

Aap Siqa'a the.

[Tareekh E Bagdad Matbua'h Al-Sa'adah Jild-4 , Safa-82]

Hadees E Mazkoor Ki Sanad Par Hafiz Zubair Ali Zai {Rahimaullah} Ke Etraaz Aur Uske jawabaat :

Hafiz Zubair Ali Zai {Rahimaullah} ne is hadees ki sanad par do etraazat kiya hai :

Awwal : Abdurrahman Bin Abi Husain ki tausheeq Ibne Hibban ke alawa kisi aur se sabit nahi lihaza ye rawi mazhool ul haal hai.

Doyem : Hafiz Al-Bazzar ne kaha :

وابن أبي حسين لم يلق جبير بن مطعم

Aur (Abdurrahman) Ibne Abi Hussain ki Zubair Bin Mut'im Se mulaqat nahi huyi.

[Al-Bahrur Jukhar 8/346 , Hadees Number-3444]

Dekhiye Fatawa Ilmiya Jild-2 Safa-187]

Arz hai jahan tak pahle Etraaz ki bat hai ki Abdurrahman Bin Abi Husain ko Ibne Hibban Ke alawa kisi ne Siqa'a nahi kaha hai to ye bat galat hai aur haqiqat ye hai ki Ibne Hibban Ke sath sath Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah ne bhi inki tausheeq ki hai guzista sutoor me poori bahas tafseel se pesh ki ja chuki hai.

Raha Doosra Etraaz ki Imam bazaar ne Abdurrahman Bin Abi Hussain aur Zubair Bin Mut'im ke beech inqeta'a ka dawa kiya hai to arz hai ki Imam Bazaar Ke is daawe ki koyi haisiyat nahi kyunki Ibne Hibban Rahimaullah ne Sahih Ibne Hibban mein iski sanad ko sahih kaha hai , jo is bat ko mustalzim hai ki Ibne Hibban Ki Nazdeek Ye Sanad Muttasil hai jaisa ki Ibne Hibban ne Sahih Ibne Hibban ke muqaddame me Sharahat kar di hai. Ye Aam fahem hai ki jis tarah Naqid e Muhaddis kisi sanad ko sahih kahe to uski ta-sahih me sanad ke rizaal ki tausheeq hoti hai theek usi tarah uski ta-sahih me sanad ki itsaal aur adam e inqeta'a ka bhi huqm hota hai

Hafiz Ibne Hajar Rahimahuah (Died 852 Hijj) ek Muqam par farmate hai

وقال: (يـعـنـى الـدار قـطـي هـذه كـلـهـا مراسيل، ابن بريدة لم يسمع من عائشة. قلت : صحح له الترمذي حديثه عن عائشة في القول ليلة القدر، من رواية: جعفر بن سليمان، بهذا الإسناد، ومقتضى ذلك أن يكون سمع منها، ولم أقف على قول أحد وصفه بالتدليس.

Daraqtuni ne kaha ye sab mursal hai Ibne Buraidah Ne Amma Ayesha Razi Allahu Anha se nahi suna , Main (Hafiz Ibne Hajar) kahta hun ki : Imam Tirmizi ne duaye Lailatul qadr ki Ba-bat Amma Ayesha Razi Allahu Anha se Ibne Buraidah ki riwayat kardah hadees ko sahih kaha hai ye riwayat isi sanad se Zafar bin Suleman se marwi hai . Aur Uska taqaza ye hai ki Ibne Buraidah ne Amma Ayesha Razi Allahu Anha se suna hai aur mai kisi ka qaul nahi janta jisne Ibne Buraida Ko Mudallis kaha ho.

[Ithaaf Al-Mahra Ibne Hajar 5/17]

Arz hai ki Agar Imam Tirmizi Rahimahuah ki ta-sahih sima'a ke saboot par dalalat hai to Imam Ibne Hibban Rahimaullah ki Ta-sahih ba-darze awla sima'a par dalalat karegi.

Yaad rhe ki Imam Ibne Hibban Rahimaullah Zarah wa Ta'adeel ke jabardast Imam hai. sirf aur sirf mazahil ki tausheeq se mutalliq unhe mutsahil kaha gya hai. Lekin Itsaal wa inqeta'a ke faisle me wo qat'an mutsahil nahi balki aise mamlat me wo mutasaddid hai . Iske Bar-khilaaf Imam Bazzar is paye ke Imam nahi hai balki kayi ek Muhaddis ne un par Jarah kar rakhi hai balki khud Hafiz Zubair Ali Zai {Rahimaullah} ne bhi Bazaar ko Mutakallim fih batlaya hai.

Arz hai ki jab ye shoorat e haal hai ki Imam Bazzar Mutakallim fih ka mauquf Ibne Hibban jabardast Siqa'a ke mauquf se takra raha hai , to jahir hai ki is shoorat me Ibne Hibban hi ke mauquf ko Tarzeeh di jayegi, Alawa bare Zubair Bin Mut'im ki is hadees kayi turq hai agar ye farz bhi kar liya jaye ki iske sare turq zaeef hai to bhi ye tamam turq ek doosre ke sath taqwiyat pa kar hasan li-gairahi har haal me ban jayegi balki Sawahid ke pesh e nazar sahih qarar payegi , Jel me ham Hadees Zubair Bin Mut'im ke deegar turq pesh karte hai :

1] Tareeq Nafey Bin Zubair ____

Imam Daraqtuni Rahimahullah (Died 385 Hijj) ne kaha :

حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ صَاعِدٍ , نا أَحْمَدُ بْنُ مَنْصُورِ بْنِ سَيَّارٍ , نا مُحَمَّدُ بْنُ بُكَيْرٍ الْحَضْرَمِيُّ , نا سُوَيْدُ بْنُ عَبْدِ الْعَزِيزِ , عَنْ سَعِيدِ بْنِ عَبْدِ الْعَزِيزِ التَّنُوخِيِّ , عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ مُوسَى , عَنْ نَافِعِ بْنِ جُبَيْرِ بْنِ مُطْعِمٍ , عَنْ أَبِيهِ , أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ , قَالَ: «أَيَّامُ التَّشْرِيقِ كُلُّهَا ذَبْحٌ».

[Sunan Daraqutni 4/284 {Ijafa : Hadees Number-4756}]

2] Tareeq Amr Bin Dinar____

Imam Daraqtuni Rahimahullah (Died 358 Hijj) ne kaha :

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرٍ النَّيْسَابُورِيُّ , نا أَحْمَدُ بْنُ عِيسَى الْخَشَّابُ , نا عَمْرُو بْنُ أَبِي سَلَمَةَ , نا أَبُو مُعَيْدٍ , عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ مُوسَى , أَنَّ عَمْرَو بْنَ دِينَارٍ حَدَّثَهُ , عَنْ جُبَيْرِ بْنِ مُطْعِمٍ , أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ , قَالَ: «كُلُّ أَيَّامِ التَّشْرِيقِ ذَبْحٌ»

[Sunan Daraqutni 4/284 {Ijafa : Hadees Number : 4758}]

3] Tareeq Suleman Bin Moosa_____


Imam Daraqutni Rahimahuah (Died 358 Hijj) ne kaha :

حَدَّثَنَا أَبُو الْيَمَانِ، قَالَ: حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ عَبْدِ الْعَزِيزِ، عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ مُوسَى، عَنْ جُبَيْرِ بْنِ مُطْعِمٍ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَذَكَرَ مِثْلَهُ، وَقَالَ: ” كُلُّ أَيَّامِ التَّشْرِيقِ ذَبْحٌ “

[Musnad Ahmad Al-Maimamniyah 4/82 {Ijafa : Hadees Number : 16752}]

Abdurrahman bin Abi Husain ke tareeq samet hadees Zubair Bin Mut'im ke bayk char Tareeq hai , hamne Hadees Zubair Bin Mut'im ke deegar teen turuq ko ikhteshar ke sath mahaz pesh karne par iktefa kiya hai aur sanadon par tafseeli Bahash ke liye Shayqeen Muhaddis kabeer Allama Muhammad Raees Nadawi ki do kitabe

غایۃ اتحقیق فی تضحیہ ایام التشریق

Aur Qissa Qurbani ka dekhen

In Mutaaddad turq ke buniyad par bahut sare Ahle Ilm ne Zubair Bin Mut'im Razi Allahu Anhu ki is hadees ko sahih ya hasan karar diya hai.

1] Imam Ibne Qayyam Rahimahuah ne Tadad e turq ke bina par is hadees ko sahih kaha hai.

[Zaad ul Ma'ad]

2] Hafiz Ibne Hajar Rahimahuah ne Fatahul bari mein Siqa'a kaha hai yaad rhe Hafiz Ibne Hajar Rahimahuah Agar fatahul bari me koyi riwayat nakal karke uski ta-zaeef na kare ho to wo riwayat unki nazar me sahih ya kam az kam hasan hoti hai .

3] Allama Albani Rahimahullah ne bhi is hadees ko Sahih karar diya hai.

Dekhiye [Al-Ta'aliqaat Al-Hisaan Ala Sahih Ibne Hibban Albani 6/61 , As-Sahiha 5/621, Raqam - 2476]

4] Isi Tarah Shoaib Arnaut aur unke rufqa'a ne bhi is hadees ko Tadad e turq ke bina par sahih kaha hai.

Maslan Dekhiye [Musnad Ahmad Ar-Risala 27/316 , Raqam : 16751]

5] Shaikh Ahmad Al-Gamari Ne bhi is hadees ko Tada'ad turq ki pesh nazar sahih kaha hai.

[Dekhiye : Al-Hidaya Fi Takhreez Ahadees Al-Bidaya : 5/403-404]

6] Isi Tarah Allama Ubaidullah Mubarak puri Rahimaullah ne bhi Tadad e turq se ise Sahih kaha hai.

[Dekhiye : Maratul Mafateh Sharah Mishqatul Masabeh 5/108]

Isi Tarah Ma'ashreen me Bahut Sare Ahle Ilm ne is hadees ko sahih kaha hai.

Lateefa :- Ibne Al-Turkamani Hanafi aur baaz ne intehayi la-parwahi ka mujahira karte huye ye kaha diya ki iski sanad me ijterab hai yani Suleman bin Moosa ne alag alag dafa apne alag alag ustadon se ye hadees nakal ki hai. Arz hai ki sanad me is tarah ke ikhtelaf ko ijterab nahi Tadad e turq kahte hai. Dare shoorat ye Hadees taqwiyat ki ba'as hai. ye bahut badi bhool hai jo cheej sehat e hadees par dalalat karti ho usko ta-zaeef ki daleel samajh liya jaye. yaad rahe ki ye najariya dusrust nahi ki har jagah zaeef hadees doosri zaeef hadees se milkar hasan ligairihi ho jati hai . lekin iske sath sath ye mauquf ki zaeef hadees , zaeef ke sath milkar kisi bhi shoorat me hasan ligairihi ya maqubool wa hujjat nahi hai , batil wa mardood hai , balki asr e hajir ki bidat hai , 1400 sa'alah daur mein kisi ek bhi Ilm e hadees se dilchaspi rakhne wale kisi bhi alim ke bare me hame nahi maloom ki usne alal-itlaaq is tarah ki bat kahi ho.

Doctor Khalid Al-Dures aur Umar Wa Abdul Mannan Saleem wagairah ne is mauzu par kitabe likhi hai magar unhone bhi ye mauquf nahi apnaya hai ki kisi bhi shoorat me zaeef doosri zaeef se mil kar taqwiyat nahi pa sakti ya maqubool wa hujjat nahi ho sakti. Lihaza Hasan Ligairihi ko Alal-itlaaq radd kar dene wala nazariya Hafiz Zubair Ali Zai {Rahimaullah} ka tafarrud hai.
 

Similar threads


Top