Jo Zakat Ada Nahi Karta


Umar Asari

Administrator
Staff member
Jo Zakat Ada Nahi Karta

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah


Romanized By:
Umar Asari

Sawaal:
Agar zakaat ki farziyyat aor ahmiyyat pahle bata di jaaye aor uske baad bhi koi zakaat ada na kare ya mana kare to kya karna chahiye?
Sail: Irfanullah, Riyaz Saudia Arabia

Jawaab:
Alhamdulillah! Zakat Islam Key Paanch Arkaan Mein Sey Teesra Ahem Rukn Hai, Jiski Adaigi Har Sahib e Nisaab Par Saal Mein Ek Martaba Hai.
Jo Shakhs Zakat Ada Nahi Karta Allah Key Nazdeek Uski Pakad Hogi, Aisey Logon Key Baarey Mein Sakht Waeed Aai Hai.

Allah Ta'ala Ka Farmaan hai:
وَالَّذِينَ يَكْنِزُونَ الذَّهَبَ وَالْفِضَّةَ وَلاَ يُنفِقُونَهَا فِي سَبِيلِ اللّهِ فَبَشِّرْهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٍ , يَوْمَ يُحْمَى عَلَيْهَا فِي نَارِ جَهَنَّمَ فَتُكْوَى بِهَا جِبَاهُهُمْ وَجُنوبُهُمْ وَظُهُورُهُمْ هَـذَا مَا كَنَزْتُمْ لأَنفُسِكُمْ فَذُوقُواْ مَا كُنتُمْ تَكْنِزُونَ​
Tarjumah: Wo Log Jo Sona Chandi Ko Khazano Mein Jama Kartey Hain or Allah Ta'ala Ki Raah Mein Kharch Nahi Kartey Unhein Shadeed Azaab Ki Khushkhabri De Do Us Din (Unkey Maal Ko) Garm Kiya Jayega Jahannum Ki Aag Mein, Or Unki Peshaniyon, Pahlu or Peethon Ko Dagha Jayega or (Kaha Jayega) Ke Ye Hai Tumhara Maal, Jo Tum Ney Apney Liye Jama Kiya Tha So Aaj Us Azaab Ka Maza Chakho, Jo Tum Apney Liye Jama Kartey The.
(Surah At-Taubah: 34 and 35)

Sahib e Nisaab Par Zakaat Ki Adaigi Farz Hai, Jo Zakat Ada Nahi Karta Wo Gunaah e Kabeerah Ka Murtakib Hai, Aisey Shakhs Ko Naseehat Karna Chahiye Ke Wo Apney Gunaah Sey Tauba Karey or Jo Zakat Key Mustahiq Hain Unhein Apney Maal Sey Zakat De. Agar Koi Naseehat Key Bawjood Apney Haal Par Qayem Hai To Allah Sey Uski Hidayat Key Liye Dua Karen.
والله أعلم بالصواب​
 

Similar threads


Top