HAALAT E HAIZ ME ISTIMAAL SHUDA KAPDE KA HUKM


HAALAT E HAIZ ME ISTIMAAL SHUDA KAPDE KA HUKM

FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH
JIDDAH DA'WAH CENTER HAIYYUS SALAMAH SAUDI ARABIA

Hamare Muashre Me Haiz Wali Aurton Ke Talluq Se Bahut Saari Galat Fahmiyan Paai Jaati Hai, Baaz Jagho Par Haiz Wali Aurat Ko Aur Uske Jism Ke Kapde Ko Is Qadr Naapaak Samjha Jata Hai Ke Uske Badan Se Tuch Nahi Kar Sakte Hai, Iska Koi Saamaan Maslan Dupatta,Zaiwaraat,Bistar Wagairah Istimaal Nahi Kar Sakte Yaha Tak Ke Haiza Ko Khana Pakane Ki Ijaazat Bhi Nahi Hoti Hai. Yah Sab Galat Baate Hai.
Maloom Hona Chaahiye Ke Haiz Wali Aurat Hukm E Najis/Naapaak Hai Lekin Zaahiri Taur Par Uska Jism Paak Hai Aur Uske Jism Ka Woh Kapda Bhi Paak Hai Jo Khushk Hai. Ek Hadees Ki Roshni Me Is Masale Ko Samjhne Ki Koshish Kare.
Aaisha RA Se Rivayat Ki, Unhone Kaha:
أمرني رسول الله صلى الله عليه وسلم أن أناوله شيئاً من المسجد فقلت : إني حائض . فقال: تناويلها فانَّ حَيْضَتَكِ لَيْسَتْ فِي يَدِكِ.(مسلم شريف:298)
Tarjumah:- Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Mujhe Hukm Diya Ke Me Masjid Se Aap Ko Jaae Namaaz Pakda Du,Mene Arz Ki: Me Haiza Hu. Aap Ne Farmaya: Haiz Tumhare Hath Me Nahi Hai.
Is Hadees Se Maloom Hua Ke Haiz Wali Aurat Ka Jism Paak Hai,Iske Hath Ka Pakaya Hua Khana Kha Sakte Hai.
Jism Ke Bare Me Aap Ne Jaan Liya Ke Haiza Zaahiri Taur Par Paak Hai, Ab Iske Istimaal Ke Kapdo Ke Bare Me Jaante Hai.
Haiz Ki Haalat Me Pehne Gae Kapdo Ke Bare Me Aurton Me Yah Khayaal Paya Jata Hai Ke Unke Kapde Naapaak Hote Hai Balke Yaha Tak Mana Jata Hai Ke Haiz Wali Aurat Ke Jism Se Kapda Tuch Ho Jane Aur Pasinah Wagairah Bhi Lag Jane Se Naapaak Ho Jata Hai Lihaza Is Me Namaaz Nahi Ada Kar Sakte Hai,Haiz Ka Kapda Alag Aur Khaas Hota Hai, Istimaal Kar Ke Use Phaink Dena Chahaiye.
Aurton Ke Yah Khayalaat Galat Hai Aaiye Aap Ko Hadees E Rasool Ki Roshni Me Sahih Baat Bataate Hai. Asma Bint Abu Baqr RA Rivaayat Karti Hai:
جَاءَتِ امْرَأَةٌ النبيَّ صَلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ فَقالَتْ: أرَأَيْتَ إحْدَانَا تَحِيضُ في الثَّوْبِ، كيفَ تَصْنَعُ؟ قالَ: تَحُتُّهُ، ثُمَّ تَقْرُصُهُ بالمَاءِ، وتَنْضَحُهُ، وتُصَلِّي فِيهِ.(صحيح بخاري:227)
Tarjumah: Ek Aurat Ne Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Khidmat Me Haazir Ho Kar Arz Ki Ke Ya Rasoolullah!Farmaaiye Ham Me Se Kisi Aurat Ko Kapde Me Haiz Aa Jaae (To) Woh Kya Kare? Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya (Ke Pehle)Use Khurche, Fir Pani Se Ragde Aur Pani Se Dho Dale Aur Usi Kapde Me Namaaz Parh Le.
Sahih Bukhari Ki Ek Dusri Rivayat Paish Karta Hu, Aaisha RA Se Rivaayat Hai Unhone Farmaya:
كَانَتْ إحْدَانَا تَحِيضُ، ثُمَّ تَقْتَرِصُ الدَّمَ مِن ثَوْبِهَا عِنْدَ طُهْرِهَا، فَتَغْسِلُهُ وتَنْضَحُ علَى سَائِرِهِ، ثُمَّ تُصَلِّي فِيهِ.
Tarjumah: Hame Haiz Aata To Kapde Ko Paak Karte Waqt Ham Khoon Ko Mal Dete Fir Us Jagah Ko Dho Lete Aur Tamaam Kapde Par Pani Baha Dete Aur Use Pahan Kar Namaaz Parhte.(Sahih Bukhari: 308)
In Dono Hadeeso Se Maloom Hua Ke Haiz Wali Aurat Jis Kapde Ko Haiz Ki Haalat Me Istimaal Ki Hai Us Kapde Me Jaha Haiz Ka Khoon Laga Ho Usko Mal Kar Pani Se Dho Le, Kapda Paak Ho Jaae Ga, Ab Usi Kapde Me Woh Namaaz Parh Sakti Hai. Aur Jo Kapda Khushk Ho, Usme Haiz Ka Khoon Na Laga Ho Woh Pehle Se Paak Hai Usko Dhone Ki Bhi Zaroorat Nahi Hai Jaise Qamees Aur Dupatta, Umooman Inme Khoon Nahi Lagta Hai Sirf Shalwaar Me Khoon Lagta Hai. Agar Khudanakhwasta Qamees Me Bhi Khoon Lag Jaae To Usko Bhi Dhul Le Aur Dhul Jaane Ke Baad To Kapda Bilkul Paak Hai Ab Is Me Namaaz Ada Karne Me Koi Harj Nahi Hai.
Haa Yah Mumkin Hai Ke Dhulne Se Kapde Ki Najaasat Door Ho Jaae Magar Kapde Par Khoon Ke Nishaanaat Lage Reh Jaae To Un Nishaanaat Ki Wajah Se Bhi Namaaz Parhne Me Koi Harj Nahi Hai Kuy Ke Kapda Paak Ho Gaya Hai Chaahe Us Par Nishaan Kuy Na Maloom Hota Ho.
Kapde Ko Khoon Aur Uske Nishaanaat Wagairah Se Mehfooz Rakhne Ke Liye Aurte Pad Ya Langot Ka Istimaal Kar Sakti Hai. Yaad Rahe Ke Agar Haiz Wali Aurat Pad Istimaal Kare Aur Kapde Par Khoon Na Lage To Fir Bagair Kapda Dhule Gusal Haiz Ke Baad Usi Kapde Me Namaaz Ada Kar Sakti Hai Kuy Ke Kapde Par Najaasat Na Lagne Ki Wajah Se Woh Pehle Se Hi Paak Hai.
Ahde Risaalat Me Khawateen Haiz Ke Dino Me Karsaf(Sharamgaah Ke Munh Par Rakha Jaane Wala Kapda Ya Rooi) Ka Istimaal Karti Thi.
Marjana Jo Maa Hai Alqamah Ki Aur Maula Hai Aaisha RA Ki,Se Rivayat Hai Woh Bayaan Karti Hai
عن علقمة بن أبي علقمة، عن أمه مولاة عائشة أم المؤمنين، أنها قالت: كان النساء يبعثن إلى عائشة أم المؤمنين، بالدرجة فيها الكرسف، فيه الصفرة من دم الحيضة، يسألنها عن الصلاة.
فتقول لهن: «لا تعجلن حتى ترين القصة البيضاء».
تريد بذلك الطهر من الحيضة.
Tarjumah: Aurten Dabbiyo Me Rooi Rakh Kar Aaisha RA Ko Dikhaane Ko Bhejti Thi, Aur Us Rooi Me Zardi Hoti Thi Haiz Ke Khoon Ki. Puchti Thi Ke Namaaz Parhe Ya Na Parhe? To Kehti Thi Aaisha RA: Mat Jaldi Karo Tum Namaaz Me,Yaha Tak Ke Rootubat Dekh Lo, Muraad Yah Thi Ke Paak Ho Jaao Haiz Se.(Moatta Imaam Maalik:127)
*Shaikh Albaani Ne Is Ki Sanad Ko Hasan Kaha Hai. (Tamaamul Munnah:136)
Is Liye Behtar Hai Ke Khawateen Haiz Ke Dino Me Pad Ka Istimaal Kare Taaki Khoon Ke Nishaanaat Kapda,Bistar Aur Zameen Par Na Lage Khususan Un Aurton Ko Zaroor Pad Istimaal Karna Chaahiye Jinhe Bahut Ziyadah Miqdaar Me Khoon Aata Hai.
Ek Zaeef Hadees Me Aaya Hai Ke Haiz Lage Tukde Ko Dafan Karna Hai. Aaisha RA Se Marwi Hai:
كان يأمر بدفن سبعة أشياء من الإنسان: الشعر، والظفر، والدم، والحيضة، والسن، والمشيمة، والقلفة.
Tarjumah: Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Insaan Ki 7 Chizo Ko Dafan Karne Ka Hukm Dete The. Baal, Naakhoon,Khoon,Haiz Ka Kapda, Daant, Nawmaulood Ki Theli/Pardah(Jis Me Wilaadat Hoti Hai) Aur Khatnah Ki Chamdi.
Is Hadees Ko Shaikh Albani RH Ne Munkar Kaha Hai Aur Munkar Zaeef Hadees Hoti Hai. Dekhe Silsilatus Zaeefah: Munkar,3263)
Is Hadees Se Logo Me Galat Fehmi Paida Hui Ke Haiz Ki Haalat Me Pehne Gae Kapde Ko Phaink Dena Chaahiye Magar Sahih Baat Yah Hai Ke Istimaal Shuda Kapda Nahi Phainkna Hai Balke Karsaf Ko Dafan Karne Ke Liye Kaha Gaya Hai Aur Karsaf Sharamgaah Par Rakhne Wali Rooi Ya Tukda Hai Jis Ke Bare Me Upar Aap Ne Jana Hai. Aur Dusri Baat Yah Hai Ke Yah Hadees Istidlaal Ke Kaabil Nahi Hai Kuy Ke Yah Zaeef Hai.
Khulasa Kalaam Yah Hai Ke Haiz Wali Aurat Ka Jism Zaahir Me Paak Hai Aur Uske Jism Ke Sath Woh Saari Chize Paak Hai Jo Haiz Ke Khoon Se Mehfooz Hai Misaal Ke Taur Par Qamees,Dupatta,Zewaraat Aur Bistar Wagairah Faqt Hukmi Taur Par Haiz Wali Aurat Napaak Hoti Hai. Aur Jis Kapde Me Khoon Laga Ho Sirf Wahi Aur Usi Miqdaar Me Napaak Hai Baqi Kapda Paak Hai. Aur Haiz Se Paak Hone Par Haiz Me Istimaal Shuda Kapde Jin Me Haiz Ke Daag Dhabbe Ho Aur Khoon Lage Ho Unko Dhul Kar Saaf Kar Liya Jaae To Unme Namaaz Ada Karne Me Koi Harj Nahi Hai. Aur Haiza Ke Ghar, Bistar Aur Samaan Wagairah Ko Napaak Samjh Kar Sab Ko Dhulna Yah Galat Hai. Haiz Ki Wajah Se Ghar, Bistar, Samaan Aur Bartan Napaak Nahi Hote. Yahi Wajah Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Mardo Ko Haiz Ki Haalat Me Jim'a Se Mana Kiya Hai Taaham Jim'a Se Door Rehte Hue Biwi Ke Sath Uthna Bethna, Khana Pina, Aur Sath Sona Yah Sab Jaiz Hai Yaha Tak Ke Biwi Se Bos Aur Kinaar Bhi Ho Sakta Hai Aur Uske Jism Se Jim'a Ke Siwa Faidah Utha Sakta Hai.
 
Top