Juma Ke Din Surah Kahaf Padhne Wali Hadees Ekdam Sahih Hai


Abdul Adil

Member
Juma Ke Din Surah Kahaf Padhne Wali Hadees Ekdam Sahih Hai

Imam Tabrijizi Rahimahullah Kahte Hai :

وَعَنْ أَبِي سَعِيدٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «من قَرَأَ سُورَة الْكَهْف فِي يَوْم الْجُمُعَة أَضَاء لَهُ النُّور مَا بَيْنَ الْجُمْعَتَيْنِ» .

رَوَاهُ الْبَيْهَقِيُّ فِي الدَّعَوَاتِ الْكَبِير

Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki Allah Ke Rasool ﷺ ne farmaya : “Jo Shaksh Juma ke roz Surah Kahaf padhta hai to uske liye do Jumon ke darmiyani muddat tak ke liye noor rahta hai”

Ye Hadees Hasan Hai.

[Mishqat Ul Masabeh Hadees Number : 2175, Marfua'a]

Takhreez : [Sunan Al Kubra Lil Baihaqi 3/249 , Mustadrak Lil Haaqim : 2/368 , Sunan Darmi : 3407 , Mishqat Ul Masabeh : 2175]

Ye Hadees Ekdam Sahih Hai .

Is Hadees Ko Sahih Kahne Wale Muhaddiseen ______

① Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah "Takhreez Ul Azkaar" mein kahte hai ye Hadees Hasan hai , Aur Unka Kahna hi ki Surah Kahaf Ke bare mein Sabse qawi yahi Hadees hai.

[Faiz Ul Qadeer : 6/198]

② Allama Nasiruddin Albani Rahimahullah ne kaha :

صحيح

Ye Hadees Sahih hai.

[Sahih Al-Jaamey Hadees Number : 6407]

Mazeed Farmate hai :

حسن

[Mishqat Ul Masabeh Hadees Number : 2175]

③ Imam Siyuti Rahimahullah ne kaha :

صحيح

[Al-Jaamey Ul Shageer : 8910]


④ Muhammad Bin Abdul Wahab Rahimahullah ne kaha :

إسناده حسن

[Al-Hadees Libne Abdul Wahab : 2/166]

⑤ Shaikh Saleh Al Usaimeen Rahimahullah ne kaha :

أعل بعض العلماء المرفوع بأن الحديث روي موقوفا.

[Al-Sharah Al-Mumta'a : 5/91]


⑥ Imam Zahbi Rahimahullah ne kaha :

وقفه أصح

[المهذب ٣‏/١١٨١]

⑦ Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah ne kaha :

حسن

[Mishqat Ul Masabeh Hadees Number : 2175]


⑧ Imam Darmi Rahimahullah Is Hadees Ki Muaquf Riwayat Nakal Karne ke baad kaha :

إسناده صحيح

Is Hadees Ki Sanad Sahih Hai

[Sunan Darmi Hadees Number : 3407]

⑨ Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah Ne Kaha :

Surah Kahaf se mutalliq Mazkoorah riwayat Sahih aur layak e amal hai , ise Mutlaq Zaeef karar dena Sahih nahi.

[Noor Ul Hadees : 24 , Safa : 14]


⑩ Imam Haaqim Rahimahullah ne kaha :

هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحٌ عَلَى شَرْطِ مُسْلِمٍ وَلَمْ يُخَرِّجَاهُ ".

Ye Hadees Muslim Ki Shirt par sahi hai , lekin ise Sahihain mein nakal nahi kiya gaya hai.

[Al-Mustadrak : 2072]


⑪ Imam Nisai Rahimahullah ne kaha :

"والصواب موقوف“

Aur (Ye Riwayat) Muaquf durust hai.

[Al-Sunan Al-Kubra 9/38]

⑫ Imam Baihaqi Rahimahullah Ne farmaya :

"وهذا هو المحفوظ موقوف“

[Shoabul Iman : 4/86]

Yani Imam Nisai aur Imam Baihaqi Rahimahullah ke nazdeek ye mauquf riwayat Mahfooz hai . Walhamdulillah

⑬ Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne ise mauqufan Jyada sahih karar diya hai.

[Al-Talkheesh Ul Hubair : 2/1765]


_______________________


Imam Saeed Bin Mansoor Rahimahullah Kahte Hai :

حدثنا سعيد قال: حدثنا هشيم ، ثنا أبو هاشم، عن أبي مجلز، عن قيس بن عباد، عن أبي سعيد الخدريؓ قال: من قرأ سورة الكهف يوم الجمعة أضاء له من الثور ما بينه وبين البيت العتيق


Sayyadana Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu Ne kaha : Jo Shaksh Juma ki Rat ko Surah Kahaf padhe to Uske liye , Usse lekar Baitullah tak Noor ki roshni hoti hai.

[Sunan Saeed Bin Mansoor : 1368 Sanad Sahih {Muaquf}]

Takhreez : Fazail E Quran Libne Au Ubaid Safa : 244 , Shoabul Iman Lil Baihaqi : 2444 , Al-Amal Al-Yaouma Wal Laila : 953 , 954 , Mustadrak Al-Haqim : 2073 , Baihaqi : 2446 , Sunan Saeed Bin Mansoor : 1368 Sanad Sahih , Sunan Darmi Hadees Number : 3407]

Ye Riwayat Muaquf hai , lekin Huqman Mafrua'a hai.

⓵ Imam Nisai Rahimahullah ne kaha :

"والصواب موقوف“

Aur (Ye Riwayat) Muaquf durust hai.

[Al-Sunan Al-Kubra 9/38]

⓶ Imam Baihaqi Rahimahullah Ne farmaya :

"وهذا هو المحفوظ موقوف“

[Shoabul Iman : 4/86]

Yani Imam Nisai aur Imam Baihaqi Rahimahullah ke nazdeek ye mauquf riwayat Mahfooz hai . Walhamdulillah

⓷ Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne ise mauqufan Jyada sahih karar diya hai.

[Al-Talkheesh Ul Hubair : 2/1765]

Hadees Ki Sanad :

حدثنا سعيد قال: حدثنا هشيم ، ثنا أبو هاشم، عن أبي مجلز، عن قيس بن عباد، عن أبي سعيد الخدريؓ

Raawiyon Ka Mukhtasar Ta'aruf _____

❶ Saeed Bin Mansoor :

”ثقة مصنف“

[Al-Takreeb : 2399]

❷ Hussaib Bin Basheer :

”ثقه ثبت“

[Al-Takreeb : 7312]

Note : Ye Mudallis Bhi Hai lekin is hadees mein Sima'a ki sharahat hai.

❸ Abu Hashim Yahya Bin Dinar Al-Wasiti :

"ثقة"

[Al-Takreeb : 8425]

❹ Abu Mizlaz :

”ثقة“

[Al-Takreeb : 7490]

❻ Qais Bin Ubaad :

”ثقة“

[Al-Takreeb : 5582]

❼ Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu :

Aap Sahabi E Rasool Hai , Apke bare mein daleel ki jaroorat nahi.

Isi Sanad Ke Sath Bukhari aur Muslim mein kayi hadees hai chand mulahiza farmaye :

حَدَّثَنَا يَعْقُوبُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ الدَّوْرَقِيُّ ، حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ ، أَخْبَرَنَا أَبُو هَاشِمٍ ، عَنْ أَبِي مِجْلَزٍ ، عَنْ قَيْسِ بْنِ عُبَادٍ ، قَالَ : سَمِعْتُ أَبَا ذَرٍّ

[Sahih Bukhari Hadees Number : 3969]

حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ جَعْفَرٍ ، أَخْبَرَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ سُفْيَانَ ، عَنْ أَبِي هَاشِمٍ ، عَنْ أَبِي مِجْلَزٍ ، عَنْ قَيْسِ بْنِ عُبَادٍ ، سَمِعْتُ أَبَا ذَرٍّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ

[Sahih Bukhari Hadees Number : 3968]

حَدَّثَنَا حَجَّاجُ بْنُ مِنْهَالٍ ، حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ ، أَخْبَرَنَا أَبُو هَاشِمٍ ، عَنْ أَبِي مِجْلَزٍ ، عَنْ قَيْسِ بْنِ عُبَادٍ ، عَنْ أَبِي ذَرٍّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ

[Sahih Bukhari Hadees Number : 4743]


حَدَّثَنَا عَمْرُو بْنُ زُرَارَةَ حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ عَنْ أَبِي هَاشِمٍ عَنْ أَبِي مِجْلَزٍ عَنْ قَيْسِ بْنِ عُبَادٍ قَالَ سَمِعْتُ أَبَا ذَرٍّ

[Sahih Muslim Hadees Number : 3033 & International Number : 7562]

Is Hadees Par Kuch Etraaz Kiya jata hai mulahiza farmaye ______

Etraaz 1 :
Mazkoorah Riwayat Par Ek etraaz ye kiya jata hai ki Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah ne darz jayl riwayat ko nakal kiya hai

حدثنا هشيم عن أبي هاشم عن أبي مجلز عن فيـس بـن عبـاد عـن أبـي سـعـيـد الخدري قال: إذا توضأ الرجل فقال: سبحانك اللهم وبحمدك .

Fir uske baad farmaya :

"لم يسمعه هشيم من أبي هاشم“

[Al-Ilal Wa Marifatur Rizaal : 2/251]

Jawab : Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah ki nakal kardah Sanad wa Matan ko Jahen Nasheen Karne ke baad darz jayl sanad wa matan par bhi gaur kare :

Imam Nisai Rahimahullah Ne kaha :

"أخبرنا محمد بن بشار قال: حدثنا محمد قال حدثنا شعبة عن أبي هاشم قال سمعت أبا مجلز يحدث عن قيس بن عباد عن أبي سعيد قوله“

Nez Farmaya :

"أخبرنا يحيى بن محمد بن السكن قال حدثنا يحيى بن كثير أبو عشان قال: حدثنا شعبة قال حدثنا أبو هاشم عن أبي مجلز عن قيـس بـن عبـاد عـن أبي سعيد عن النبي ﷺ قال: من توضأ فقال: سبحانك اللهم وبحمد.....

Mazkoorah dono Sanado mein waazeh Taur par Imam Shoaba Ne Hashim ki mutabiyat kar rakhi hai jisse maloom hota hai ki he riwayat Abu Hashim se Imam Shoaba ne bhi sun rakhi hai , lihaza Hussaim ke adam Sima'a ko buniyad banakar Mazkoorah riwayat ko zaeef karar dena bilkul baatil aur gair sawab hai.

Iske alawa Mazkoorah etraaz ke silsile mein arz hai ki Ahle Ilm ke beech agar aisa ikhtelaaf runama ho jata hai to tashreeh Sima'a ko bataur daleel pesh karte aur waazeh kareena ke begair tasreeh Sima'a ko radd nahi karte the.

Imam Ibne Qayyam Rahimahullah ne Imam Ibne Hibban Rahimahullah se Mutalliq farmaya :

"وقد أعـلـه أبو حاتم ابـن جـبـان بـأن قـال: زاذان لم يسمعه من البراء وهذه العلة فاسدة فإنّ زاذان قال سمعت البراء بن عازب ......

[Haashiya Ibne Qayyam Ala Sunan Abi Dawood : 9/31 , Nez Dekhiye Kitab Ul Rooh Safa : 77]

Mazkoorah ibarat se waazeh hai ki Jab Imam Ibne Hibban Rahimahullah ne Sima'a ka inkaar kiya to Imam Ibne Qayyam Rahimahullah ne tashreeh Sima'a hi ko bataur e daleel pesh kiya.

Isi Tarah Imam Jiya Ul Muqdasi Rahimahullah ek riwayat nakal karne ke baad Imam Daraqutni Rahimahullah ka qaul jikr karte hai ki :

"إنّ ابـن جـريـج لم يسمعه من إسحاق“

Imam Jiyauddin Rahimahullah waazeh karte hai ki Yahya Bin Sa'ad ke tareek se "أخبـــرنـي إسحاق" hai. Yani Imam Daraqutni ke qaul mein jis illat ka tazkarah tha , Uska Ijala Tashreeh Sima'a se kiya.

[Al-Mukhtarah Lil Muqdasi 4/373 , 374]

Iske alawa jo ye kaha jata hai ki Tashreeh Sima'a kisi raawi ki khata hai , bilkul be-daleel hai. Kisi moatabar Muhaddis ne uski nishandehi nahi farmayi aur ye is liye bhi layak ittefat nahi ki Char siqa'a wa sadook raawi tashreeh E Sima'a nakal kar rhe hai na ki ye kisi raawi ka mahaz tafarrud hai

Imam Saeed Bin Mansoor Rahimahullah ne Tashreeh E Sima'a nakal ki hai :

حدثنا سعيد قال: حدثنا هشيم ، ثنا أبو هاشم، عن أبي مجلز، عن قيس بن عباد، عن أبي سعيد الخدريؓ قال: من قرأ سورة الكهف يوم الجمعة أضاء له من الثور ما بينه وبين البيت العتيق

[Sunan Saeed Bin Mansoor : 1368]

Imam Abu Noman Sadwi Ne bhi Tashreeh Sima'a hi bayan ki hai :

حَدَّثَنَا أَبُو النُّعْمَانِ، حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ، حَدَّثَنَا أَبُو هَاشِمٍ، عَنْ أَبِي مِجْلَزٍ، عَنْ قَيْسِ بْنِ عُبَادٍ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ، قَالَ: "مَنْ قَرَأَ سُورَةَ الْكَهْفِ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ، أَضَاءَ لَهُ مِنْ النُّورِ فِيمَا بَيْنَهُ وَبَيْنَ الْبَيْتِ الْعَتِيقِ".

[Sunan Darmi : 3407]

Imam Abu Ubaid Qasim Bin Salam Ne bhi Tashreeh bayan ki hai :

أخبرنا أحمد بن خلف البغدادي، قال: حدثنا هشیه ، عن أبي هاشم ، عن أبي مجلز، عن قیس بن عباد، عن أبي سعيد

[Fazail E Quran Safa : 244]

Imam Naeem Bin Hammad Ne Tashreeh E Sima'a jikr ki hai.

Waazeh rahe ki jis " Khata" ki kisi moatabar Muhaddiseen ne nishan dehi nahi ki us "khata" par Mazkoorah charo siqa'a wa sadook raawiyon ka ittefaq mahal hai.

Etraaz 2 : Shaikh Ul Hadees , Aur Hamare Behtreen Aalim E Deen Shaikh Gulam Mustafa Zaheer Aman puri Hafizahullah ne Sunan Darmi ki riwayat ko zaeef karar diya hai , kyunki Iski Sanad mein Hashim Bin Basheer ne Abu Hashim Romani se حَدَّثَنَا se riwayat ki hai aur ye Mashoor hai ki Hashim Bin Bashir Ki حَدَّثَنَا wali riwayat se Sima'a ki sharahat nahi hoti jaisa ki shaikh Hafizahullah ne apni tashreeh Ahmad Bin Hambal Rahimahullah aur Yahya Bin Moeen Rahimahullah ke hawale se waazeh kar diya hai.

Jawab : Sahih Bukhari Ki Hadees Mein Hashim Bin Basheer ne Kuch is tarah se riwayat nakal kiya hai

حَدَّثَنَا حَجَّاجُ بْنُ مِنْهَالٍ ، حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ ، أَخْبَرَنَا أَبُو هَاشِمٍ ، عَنْ أَبِي مِجْلَزٍ ، عَنْ قَيْسِ بْنِ عُبَادٍ ، عَنْ أَبِي ذَرٍّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ

[Sahih Bukhari Hadees Number : 4743]


Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah is etraaz ka jawab dete huye kahate hai :

Ye agar aisa hi ho to Hashim ki adalat par sawal khada ho jaye to unki Riwayat mein sehat wa saqam ki tameez khatam ho jaye , jabki Muhaddiseen ne unki tashreeh Sima'a wali riwayat ko kabool kiya hai jo is baat ki daleel hai ki Hashim ki Sima'a ko nazar andaaz nahi kiya ja sakta . Is silsile mein Imam Yahya Bin Moeen Rahimahullah ke qaul se istedlal durust nahi balki wo Hashim Ki adalat aur Diyanat par دال hai Ki jab unki Juban se حـدثـنا ada ho gaya aur unhone wo hadees nahi suni thi to fauran wazuhaat kar di ki maine ye Nahi Suni.

Subhan Allah

Isi Tarah Imam Abdur Rahman Mahdi ki Khata se Hashim Ko Mat'oon wa mazrooh karar dena bhi insaaf ke manafi hai.

[Noor Ul Hadees : 24 , Safa : 14]

Khulasha : Surah Kahaf se mutalliq Mazkoorah riwayat Sahih aur layak e amal hai , ise Mutlaq Zaeef karar dena Sahih nahi.

Wallahu Aalam
 
Top